Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet34/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   30   31   32   33   34   35   36   37   ...   91

Mustahabb hai k samajhdar bachay ko (yani os bachay ko jo buray bhalay ki samajh rakhta ho)namaz parhnay aur dusri abadaat bajalanay ki aadat dali jae balke mustahabb hai k osay qaza namazain parhnay par bhi aa’mada kia jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1370)

User Info.

seemi abbass - seemiabbas2012@hotmail.com - karachi - pakistan 

Question ID

14830 

Question Date

Tuesday, July 24, 2012 

Mujtahid Name

ayatullah sistani 

Question

khyms mal ka kitna fisad (percent)hota hay 

khums maal ki bachat ka paanchwa hissa, 1/5 ya twenty percent hota hai)

  1. Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain. 2) Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain. Is hisab se 1000 rupay per 200 rupay aur 50000 per 10000 rupay khums dena ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722, 1804).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

User Info.

aliahmad - aliahmadbtk@yahoo.com - malakand - pakistan 

Question ID

14810 

Question Date

Monday, July 23, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

slam my question is that kai mai apni bevi kai satt kiss ya touch kar saktha ho  

1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he. 2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. 3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

User Info.

Noor - virtualworld_active@yahoo.com - lahore - Pakistan 

Question ID

13784 

Question Date

Friday, March 09, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

kia 3 baar larka or larki apus m pyar or mzaq m "kabool hai" dil se bol dain to nikah ho jata hai jb k ghr waale na jaante ho k dono aik dusre ko bht chahte hain.??? 

1)Nikah me shart ha k (maqsoos) alfaaz k zaria eijaab aur qabool kiya jaay .aur kohe bhi amal eijaab k qaim maqaam nahe ban sakta .(lehaza alfaaaz ada karna zaroori hai) ..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 245 masla #439)

2) Ehtiyat e wajib ki bina per nikah(nikah k alfaaz) arabi me perhai jaay agar khud mard aur aurat arabi me na persakte ho to arabi k ilawa kisi aur zabaan me nikah per sakte hai. Masln phele mahar moiiyan karne k baad aurat kahay me ne is mahar per jo moiiyan ho chuka hai apne app ko tumhari biwi banaya is k lmhe bher baad mard kehe me ne is shadi ko qabool kiya to nikah sahe hai.aurat agar pele se shadi shuda na ho (yani pele shohar se is k intercourse na hoa ho ) to is ki shadi me baab ya dada ki ijazat zarooori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2335,2333,2341) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).



User Info.

ittifa - muheeburrahmanp15@ibibo.com - chennai - india 

Question ID

13783 

Question Date

Friday, March 09, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Kya mai meri aurat k peshab k jageh par zuban dal kar maza lena jaiz he? 

Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

ghulam abbas - abbas.zahid30@gmail.com - quetta - pakistan  

Question ID

14811 

Question Date

Monday, July 23, 2012 

Mujtahid Name

ali sistani a.s  

Question

taqleed say kia murad hai aur taqleed kab wajib hoti hai 

1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)

2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)



User Info.

Habib ur Rehman - Shaheer192@gmail.Com - Karachi - Pakistan 

Question ID

13773 

Question Date

Friday, March 09, 2012 

Mujtahid Name

Hanfia 

Question

Assalamu Aluykum. Main ek saal se berozgar hon. 

Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01



User Info.

MIAN ASAD - asadanjum_29@yahoo.com - Lahore - PAKISTAN 

Question ID

16416 

Question Date

Wednesday, September 12, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Isha ki qaza namaz mai kia witar b parhnay hotay hain plz guid me 

Isha ki nafla ka waqt namaz khatam honay k baad sai aadhi raat tk hai aur bethr hai k namaz e isha khatm honay k foran baad baad parhi jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 759) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

User Info.

MA Bangash - khanjunny@yahoo.com - Hangu - Pakistan 

Question ID

16420 

Question Date

Wednesday, September 12, 2012 

Mujtahid Name

Sistani 

Question

Nimaz ki duraan ghalti se sajde min raku aur raku min sajde ka ziker parhne se nimaz batil ho jati hai ya nahin  

Is sai namaz batil nhi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1015)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

User Info.

murtaza - innocent.rajo@yahoo.com - manama - bahrain 

Question ID

16421 

Question Date

Wednesday, September 12, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

salam mjhy ye pochna hai k agr mard ko ahtlam ho jata hy to gosal se pehly peshab krna zrori hai kia ya ahtlam k bad bgair peshab keye gosal kr lia jay to ye thek hy ya nhi plz btana thanks

Mani kharij honay k baad insane k lie peshab krna mustahabb hai

Mani kharij honay k baad insan k lie peshab karna mustahabb hai. Aur agar peshab na karay aur ghusl k baad is k peshab ki nali se ratobat kharij ho jis k baray me wo na jaanta ho k mani hai ya koi aur ratoobat to wo ratoobat mani ka hokum rakhti hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 347) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 





User Info.

ALI RAZA - ALIRAZA1634@YAHOO.COM - KARACHI - PAKISTAN 

Question ID

13778 

Question Date

Friday, March 09, 2012 

Mujtahid Name

IMAM SIESTANI 

Question

Salam mjhay muthh marny ki bury adat parh gay hai or mery age abhi 7 saal hai koi aisa tarika batain kai meri ye adat khatam hojay or main is sai bach jaon....plz reply 

1)Istimna(Musht zani) kisi bhi zarie say ho haram hay. (Ref : jaded fiqhi masail masla no 462 pg # 253)

2)Taqwa e ilahi k zarye se is adat se nijaat hasil ki jay.or jin cheezo or maqamaat se jazbaat main tehreek(harkat) paida hoti hay un se door raha jay.or Allah e subhaan ka kasrat se zikr kia jay or shadi kerne main jaldi ki jay.or ye adat se bachne k liay ye sakht koshish ki jay or roza rakha jay q k roza burai say bachnay k liay dhal hay. (Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=262 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  



User Info.

mohammad usama - mohammmadusama39@gmail.com - quetta - pakistan 

Question ID

13776 

Question Date

Friday, March 09, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

sir mujy bata hay kay dhari complate kasay rakay jahay ya dhari kei sunnit kia ha 

Dhari ki Sherie miqdaar ye hai k zaroori ha k aam loog ise dhari wala kehain . (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 1, ques # 159 pg # 80) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

User Info.

a;i raza - raza11035@gmail.com - sialkot - pakistan 

Question ID

14832 

Question Date

Tuesday, July 24, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

kia french kiss karny sy roza toot jata hai 

Jee nahi Mian aur biwi ka French kiss karnay sai roza batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553)

User Info.

rozmin bhimani - rozminbhimani@yahoo.com - bhavnagar - india 

Question ID

14833 

Question Date

Tuesday, July 24, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

lafze shia quran me kis surah me aya hai? 

1)Surah saaffaat surah no. 37 ayat no .83. 2)surah e qasas mai 2 martaba aya hai. surah no. 28 ayat no .15. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

User Info.

Imran Haider Jaffery - jafferi.mafhh@gmail.com - Khushab Punjab - Pakistan 

Question ID

14836 

Question Date

Tuesday, July 24, 2012 

Mujtahid Name

Ayatullah Ali Hussaini Sistani 

Question

Kia Ayatullah Sistani ky Muqalad Zanjeer Zaini kr skty hen?? Plz Tell me  

zanjeer ka matam karnay mein behtar hai ke mahol (society) aur mutaarif tareeqay kay mutabiq azadari ki jay. (REF: www.sistani.org , farsi , shaair-e-deeni , Q 11.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

User Info.

mahreen - mahreen50@hotmail.com - lahore - pakistan 

Question ID

14814 

Question Date

Monday, July 23, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

salam mera sawal hai k mere sharam ga se chaltay phir te thora thora safeed pani ata rehta ha bna sex ko sochay aur karay ya pani parta rehta ha thora thora kya me aise halat me namaz par sakti hu roza rak sakti hu quran par sakti hu jism pak rehta ha ya nai aur haan kapray change karna chai ya ha ya nai? plz reply fast  

Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

User Info.

Faiq Mirza - faiqmirza@hotmail.com - Karachi - Pakistan 

Question ID

14835 

Question Date

Tuesday, July 24, 2012 

Mujtahid Name

Ayatullah Syed Ali Sistani 

Question

salam, mera sawal ye hai ke ke muqalid jis mujhtahid ki taqleed main hai to kya wohe muqalid us ke lye waleye faqeeh ho ga? aur wohe us ko hukum de ga ? au wohe us ke lya hujaat ho ga na ? 

Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   30   31   32   33   34   35   36   37   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2025
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish