Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet36/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   32   33   34   35   36   37   38   39   ...   91
1)Istimna(Musht zani) kisi bhi zarie say ho haram hay. (Ref : jaded fiqhi masail masla no 462 pg # 253)

2) sub se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Namaz k ahkam

User Info.

syed sarfaraz hussain - sarfarazh@gmail.com - Karachi - Pakistan 

Question ID

14678 

Question Date

Monday, July 02, 2012 

Mujtahid Name

Aayat-ul-Allah Seestani  

Question

AOA kia namaz-e-shab ko chalty/phirty huway bagher Qibla ruk k ada ki jasakti hia jissay nafala namaz ada ki jasakti hia 

1)Mustahab namaz (is me namaz –e- shab bhi shamil hai) raasta chalte hoay aur sawari ki halat me perhe ja sakti hai aur agar insaan in donoo halato me mustahab namaz perhe to zaroori nahe hai k is ka mou qiblay ki taraf ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 769,753)

2) lakin agar insaan in donoo halato(raasta chalte hoay aur sawari ki halat me) k ilawa mustahab namaz perhe to ehitiyate wajib ki bina per qibla ruke hona zaroori hai.(ref. Urwa tul wusqa part no :2 Ayat Ullaha Sistani (d.b.)masla #after 1245) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).



Istekhara

User Info.

Hussain Raza - shra.1992@yahoo.com - Karachi - Pakistan 

Question ID

14684 

Question Date

Tuesday, July 03, 2012 

Mujtahid Name

Sistani sahab 

Question

shadi ka istekhara dekh den: (boy: syed hussain raza abidi mother: shahida begum father: syed qaiser abbas zaidi) (Girl: syeda kanwal zehra naqvi Mother: Mahmooda naz Father: Syed Ameer Mehdi Naqvi) 

Istekharay k lie is number per raabta krain 0092-21-32226948. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

User Info.

Aijaz Ali - aijazalibaloch786@gmail.com - Karachi - Pakistan 

Question ID

14682 

Question Date

Tuesday, July 03, 2012 

Mujtahid Name

Ayatullah Sistani sahab 

Question

ruku me nazar kahan rakhni chahye sajde gah pe ya tango ke darmian? 

Ruku me mustahabb ha k donoo paaou(legs) k darmian dekhay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1030)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

User Info.

rahat ijaz ali - rahatijaznad@gmail.com - lahore - pakistan 

Question ID

14727 

Question Date

Friday, July 13, 2012 

Mujtahid Name

aiyt ullah sastani 

Question

aslam o alaikum mera ap sy ye swal hai k agr main apni wife k sath sex karny k liye condom use karta hon or main discharge ho jata hon mtlb k meri (mani)condam maynikal jati hai mera ghusal karna wajib ho gya hai to kya meri wife ka bhi ghusal karna wajib ho ga?  

1)Merd k liay jaiz hay k wo condam istemaal karay laikin ehtiyaat wajib ye hay k is k istemaal kernay say pehlay apni biwi say ijazat lay lay. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 465 pg # 254)

2)Agar koe shakhs aurat se jimma(intercourse) karay aur azo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dhakil ho jay to chahae ye dkhool fraj(uqle sharamgha) me ho ya pichlay maqam me aur chahae wo balig ho ya na balig aur chahae mani kharij ho ya na ho donoo junub ho jatay hein.(aur donoo per ghusl e janabat wajib ho hata he.) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).



User Info.

Naveed - Minhas82@gmail.com - Nottingham - Uk 

Question ID

14613 

Question Date

Thursday, June 14, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

A.o.a.Keya nafal nemaz Beth ke parhne chayain ya khare ho ke.jo nafal nemaz main hote hain ,shukriya 

Nafal namazain halat e ekhtiar mai bhi beth kar parhi ja sakti hain aur ye bhi zaroori nahi hai k 2 rakatoo ko aik rakat samjha jae albetta behtr hai k inhain kharay rah kar parhay. Zaroori hai k namaz e isha k nawafil ehtiyat e wajib ki bina par beth kar parhain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 754 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

Shereen - shereen_rizvi@hotmail.com - Karachi - Pakistan 

Question ID

14729 

Question Date

Friday, July 13, 2012 

Mujtahid Name

AyatoAllah Sistani (r.a) 

Question

kia khandaan ki aisi shadian jahan mukammal tour pa mixed gathering ho, attend karna jaiz hai? ayaotalla sistani is baray main kia farmatay hain .. kia yea ahkaam mard or aurat k liay same hain? or plz farmaiye ga mixed gathering kin kin moqon par jaiz hai .. office main kaam karna jahan aurton sey interaction ho wo jaiz hai? universities main .. khandaan ki picnic jahan sab namehram bhi hon wahan janay k kia ahkaam hain .. baraye meherbani yea ahkaam mard or aurat dono k liay batayie gaa .. jazakAllah! 

1) Agar aap ko yaqeen ha ka app kise qism k ghuna me mubtila nahe hon ghi to aap k lye jaiz hai.(ref : E-mail received from aqai sistani d.b. dated 13 april)

2) (haram mixed gathering se muraad ye he k ) Aurate aur mard is tarh jama hoon k jis may hijab ka khayl nah rakha jay aur isi terh in ka aisa mail milap jis ka natija akhlaqi fasad ki surat may zahir ho to wo jaiz nahi hay. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 152, pg # 67)

3) Office main kaam karna : agar shr’ei(islamic) parday ka khayaar rakha jay aur lazzat ka iraada ya Ghana me mubtela hone ka khoof na ho to koe haraj nahe hai. (Ref : nigah aur libaas ques # 97 pg # 65).

4)university me co.education: Agar gunnah aaloud nigahoo ka tabadla nah ho aur haram may mubtila honay ka khoof nah ho to koe haraj nahi laikin is k bawajood ye masla is laiq hay k islami mumalik k zimaydar afraad larkoo aur larkioon k liye alag alag taleemi idaray bananay k liye mansooba bandi karain. (Ref : nigah aur libaas ques # 92 pg # 63). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)  



User Info.

Ali - Zulqarnain_jatt@yahoo.com - Kolkata - India 

Question ID

14725 

Question Date

Friday, July 13, 2012 

Mujtahid Name

Shia 

Question

Kya insan apni maa ya behn se sex kr sakta ha kya ye jaiz ha! 

(1) Zina kerna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30),



(2) shoar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna kerna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30), (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

User Info.

fatima - nuzhatraza2010@live.com - karachi - pakistan 

Question ID

14728 

Question Date

Friday, July 13, 2012 

Mujtahid Name

ayatullah sistani 

Question

agr ek larka or larki ki baat tey ho gai ho or nikah 2 months k baad ho to kia wh dono msgs pr baat kr saktay hain,agr nahi kr sktay or kr li ho to ab kia krna chaiay 

 Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

User Info.

aliabbas - aliabbaspk@hotmail.com - karachi - pakistan 

Question ID

14710 

Question Date

Tuesday, July 10, 2012 

Mujtahid Name

sistani sahab 

Question

pehle ek baar sawal kia tha wazu ka reply nahi aya k dil o dimag main koi galat baat ajaye to kia waju tut jata hai email hi kar dien 

Is se wuzu batil nahi hota he. Sirif 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1)peshab aur jo mashkooq ratubat peshab k baad aur istibra se phele nikalti he wo pheshab ka hakum rakte hai 2) pakhana 3)riyaah(gas)(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq,ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakaintu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istehaza 7)janabat (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Khums


User Info.

sadaf - prity___girl@hotmail.com - karachi - pakistan 

Question ID

14708 

Question Date

Tuesday, July 10, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

khums kya hota hay 


  1. Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain. 2) Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain. Is hisab se 1000 rupay per 200 rupay aur 50000 per 10000 rupay khums dena ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722, 1804). 3) Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot se vakeel maujood hain.jin main se aik Maulana Ali Raza Mehdavi hain.or ye Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

  2. Mubtilat e namza kapray

    User Info.

    Ashfaq Hussain - hussainashfaq057@gmail.com - Okara - Pakistan 

    Question ID

    15130 

    Question Date

    Wednesday, August 01, 2012 

    Mujtahid Name

     

    Question

    kia pent fold karne se namaz nahi hoti agar nahi to hadis ka hawala bhi digiye shukriya 

  3. Is se namaz batil nahe hote hai. Aur zaroori hai k mard chahae osay koi bhi dekh na raha ho namaz ki halat mai apni sharamgahoo ko dhapain aur behtr ye hai k naaf sai ghutnoo tak badan bhi dhapain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1113,776) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Ehtilam ka wazifa

User Info.

Umar - Umariqbal755@yahoo.com - sialkot - pakistan 

Question ID

14706 

Question Date

Tuesday, July 10, 2012 

Mujtahid Name

quran 

Question

sir ma ap se phyly b du bar puch chuka hu ye sawal lakin muje koi jawab nai mila sir is bar zaror jawab dena sawal ye ha k ma mushtzani chur di ha lakin phir b har char panch din bad rat ko sooty waqt nikal jata ha yani ehtelam huta ha ma is k bary ma buhat pareshan hu muje is hal btaye tafseel ma a  

Sonay say pehlay ba-wazoo halat mai surah e mea’rij(surah no. 70) ko aik martaba parhay aur surah e noor likh kar takiay(pillow)k nichay rakhay to ehtilam sai mehfooz rehay ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Rozay k ahkam



User Info.

Muhammed - getonline2@gmail.com - Dubai - UAE 

Question ID

15131 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

Ayatullah Sestani 

Question

AOA,ayam e Ramdhan mey husband & wife humbistari kertay hain aur neyat karain kay sehree say peghlay gusal etc. Laikin, neend ka galba honay ke waja say sehree may nahe uth sakhe aur jub uthay to waqt-e-sahar guzray 2 ghantay ho chukee thay, phir wo foree gusal kerlain aur khana turq kerain to ye roza sahee mana jaee ga? Jazakallah. 

1)Agar kohe sharks ramzan ki kise raat junub (ghusal janabat wajib )ho aur yaqeen ya itmenaan rakhta ho k agar sogaya to subah ki aazaan se phele bedaar ho jaay ga aur is ka musmam irada ho k bedaar hone k baad ghusal kare ga aur is irade k sath so jay aur aazaan tak sota rahe to is ka roza sahe hai . (ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1600) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Homoeopathic Medicine damaina pentarkan drops(Made in Germany Dr. wiilmar schwabe karlsruhe) subah, dopeher, raat 10 qatray aik ghoont pani main daal ker istemaal karain insha allah jald hi tamaam jinsi bimariyan khatam ho jay gi. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 



feed

User Info.

amjakarachid - amjad@pathfinder1.ae - - pakistan 

Question ID

18313 

Question Date

Friday, October 19, 2012 

Mujtahid Name

feed after intercousre without taking  

Question

can muslium lady feed her baby without taking bath after sex 




Halat e janabat main aurat k liay apny bachay ko doodh pilana jaiz hay or wajib nahi hay k ghusl e janabat krnay k baad ya wuzu ker k bachay ko doodh pilay(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 354,355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
Ahkam e nikah


S/no:822

d:\website questions\quran-o-itrat academy_files\hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

syed mehdi - syedmehdi508@yahoo.com - kargil - india 

Question ID

18393 

Question Date

Friday, October 19, 2012 

Mujtahid Name

ayatullah makarim sherazi 

Question

bapp ka ajazat bagair ladki shadi kar sakta hai ki nahi 

Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   32   33   34   35   36   37   38   39   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2025
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish