Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet37/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   33   34   35   36   37   38   39   40   ...   91




kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yaha kawari nah honay say murad sirf ye hay k aisi lerki jo talaq yafta ho ya baywah ho or oskay sohar nay oskay sath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zaroorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zaroori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna lazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

haaiz


S/no:823

d:\website questions\quran-o-itrat academy_files\hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

Naimuddin - Aarbazk@gmail.com - Kolkata - India 

Question ID

18422 

Question Date

Friday, October 19, 2012 

Mujtahid Name

Period 

Question

Assalam o alaikum sis ye question hum 2bar kar raha pls pls jawab de djea sis question ye hai kya ladki log period k waqt QURAN PAK K AYAT padh sakte hai? Ya phir apni zuban se dua mang sakte hai kya? Pls answer me sis hum majbur hai.. Jazakallah 

Answer




Topic

 Please specify in case of "Other" 




1)Haaiz(wo aurat jo periods mai ho) k lye quran majeed parhna baaz fuqha k nazdeeq makrooh hai. magar ayatollah sistani d.b. k mutabiq makrooh nhi hai.

2)Haaiz aurat par quran ki surah sajda ayat # 15, surah ha-meem sajda ki ayat # 37, surah najam ki ayat # 62, surah alaq ki ayat #19 ka perhna haram hai.


3)Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua aur salawat mai mashgool ho jae. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 448, 354, 466-67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

general



S/no:824

d:\website questions\quran-o-itrat academy_files\hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

hasan panjwani - hasan_pan@yahoo.co.in - Vapi - Gujarat - India  

Question ID

18248 

Question Date

Friday, October 19, 2012 

Mujtahid Name

male  

Question

I am a shemale i have boobs naturally my voice is like lady. doctor advise me to go to sex change operation. what should i do ?? people hate me because i am like lady type person .. if i go with sex change than i can get my life partner too. people laugh at me because i am like lady..i tried to be like gents but all vain..nothing worked....plz give me some solution and call me on 08000968806 or 09173567388 




Agar waqen insane k lie apni jins tabdeel karwana mumkin ho to bazat e khud ye haram nahi albetta doosri jehat sai jise chonay aur dekhnay k aitebar sai haram ho ga siway ye k ye amal zaroori ho jay. Aur is farz par k jins tabdeel ho jay to saray ahkam new jins ki bina par jari hon gay na k purani jins k mutabiq (maslan agar aurat ban jay to perda karna parega) laikin sirf zaheri tour par tabdeeli k aa jane ka matlab ye nahi hota hai k jins tabdeel ho jay hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 164). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Tarahat aur najasat

User Info.

Imran Haider - sihr_imran@hotmail.com - Karachi - Pakistan 

Question ID

32833 

Question Date

Friday, December 28, 2012 

Mujtahid Name

Ayat ullah Sistani 

Question

Salam - Kya plastic aur lakhri (wood) pak ho sakti hai aur kasay 

Agar plastic ya lakri par najasat lag gae ho to najasat ko hatanay k baad 1 dafa qaleel pani is par dala jae jab wo pani beh jae to wo pak ho jain gay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 156) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

ok



S/no:825

d:\website questions\quran-o-itrat academy_files\hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

MANNAN - ABBASIMANAN@YAHOO.COM - PAKISTAN - KARACHI 

Question ID

18227 

Question Date

Friday, October 19, 2012 

Mujtahid Name

ANY 

Question

ABOUT NIKAH 




Nikah k zarie aurat, mard par aur mard aura tar halal ho jatay hain aur Nikah ki 2 qismain hain 1. daimi(permanent marriage), 2. gair daimi (temporary marriage). Nikah e daimi osay kehtay hain jis mai izdiwaj ki muddat tay na ho aur wo hamisha k lie ho, aur gair daimi wo nikah hai jis mai izdiwaj ki muddat moiien (decide) ho maslan aurat k sath aik ghantay ya ya din ya aik mahinay ya aik sal ya is sai ziada muddat k lie aqad kia jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, nikah k ahkam) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ok


General

User Info.

sajid lai - mushtaq101@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

15132 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Assalam o Aliqum mmujhe yeh jannna hai ke ramdan sarif kon se hijri me farz howa <  

2 (doosri) hijri me rozay farz hoay.(Ref : 14 sitare ,Mulana Syed Najamul Hasan,pg no 66) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Jamat k ahkam



User Info.

shaz - Shazrais@gmail.com - Kanpur - India 

Question ID

15133 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Namaaz Ba-Jamaat ke liye kis waqt khade hona chaiye? 

Mustahab hai k qad qa’ma’tis salah khenay k baad muqtade (jamat k sate namaz perne wale) khare ho jain . (ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1465) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Na mehram



User Info.

Kanwal - nuzi_kh@yahoo.com - Karachi - Pakistan 

Question ID

15127 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

Kiss leyna  

Question

Meri mangani 2010 mn jis se mn love karti the us se ho gai hai, 2009 mn mn kisi or larkey k sath milney us ki gari mn bethi us ne mery hath pe kiss kia or mn gari se utar kar chali gai, mn ne 2 month tak us larkey se phone pe gap shap ki, Please batain islam k lehaz se mujy kia karna chaiye or ye baat jab mn ne apney mangetar ko bataee us k baad wo mujy tanz or shak ki nigah se dekhta hai is ka kia hal hai PLease must Replyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyy 

1)jins e mukhalif se dosti kerna aur baat cheet karna jaiz nhi q k ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).

2)Aur Mangiter bhi na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)



User Info.

SAIF - jr.er.saif@gmail.com - DELHI - INDIA 

Question ID

33514 

Question Date

Wednesday, January 23, 2013 

Mujtahid Name

HAIZ 

Question

assalamu alaikum... agar kisi ladki ko haiz zada hota matlab 7din se zada hota hai toh ussko rok ne ki liye plz kuch Dua bata e ye.... Allah Hafiz

Jis aurat ka khoon e haiz band na hota ho wo is ibarat ko likh kar bandhay khoon band ho jae ga. Ibarat ye hai “ ﺤﻮﻂﺎﺒﺤﻮﻂﺎﻂﻮﻂﺎﻤﻂﺎﻤﺘﺎﺍﺴﺋﻟﻚﺍﻠﺪﻢﺍﻘﻂﻊﺍﻠﺪﻢﺒﺤﻕﺁﺪﻢﺴﺨﻂﺎﺮﻮﺴﻦﻴﺼﻂﻠﻕ ” (Ref : Makhzan e amaliat pg # 112)

Khula


User Info.

zahida perveen - zahidam85@yahoo.com - - germany 

Question ID

15136 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

ager shohar galigloch karta ho sakhat mazaj ho uss kimojudgi se aurat ko tention hoti ho nafrat b karti ho saxualy satisfied na hoti ho bachun ke salook b bura ho to aurat khula le to gunnagar to nahin ho gi  

Talaq khula : Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na kerti ho) or apna meher ya koe raqam apnay shohar ko is liay day takeh woo os ko talaq e khula day, aisai talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main baat laazmi hay k zoja apnay shohar say itni nafrat kerti ho k hoqooq e zojiyat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2492). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Ghusl ahkam



User Info.

aadil - kpalan@yahoo.in - kutch - india 

Question ID

15120 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

sistani saheb 

Question

gushl tartibi me agar sar aur gardan se pehle sharmgah ko dhoya jay to gushl sahi he ya batil 

1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai.

2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Rozay k ahkam

User Info.

Muhammad Fazeel - Malikfazeel58@yahoo.com - Lodhran - Pakistan 

Question ID

15134 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

Suni 

Question

Sir me ny roza rkha aur fjr k namaz k bad so gya subha jb utha to ethlam a gya tha. kya me us wqt gusal kr skta hn ya kse aur wqt? 

Agar kise roze daar ko din me ehtelam hojaay to is per foran ghusal karna wajib nahe .(yane din me jab chai ghusal kar le. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1605 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Makroohat e roza



User Info.

Mirza - farhanmirza786@hotmail.com - Karachi - Pakistan  

Question ID

15126 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

rozy ki halat me kis karna kesa hy (BV , Mother & Child)  

Roze ki halat me makroo hai k mani nikalne k irade k beghair insaan apne biwi ka bosa(kiss) le. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Jamat k ahkam



User Info.

fawadmehfooz - fawadmehfooz77@gmail.com - rwp - pakistan 

Question ID

15124 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

kya nabena molvi ky pechy nemaz hote ha ager ni hote to kis waja sy aur molvi na alem ho aur na hafiz 

Agar in me imam jamat ki sharait mujood hai to in k peche namaz perhe jasakte hai. Imam e jamat ki shriat ye hain. 1)Balig ho 2)aaqil ho 3)shia isna ashri ho 4)aadil ho 5)halal zada ho 6)namaz sahi parh sakta ho.(ref tauze ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1434 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Akham rozay



User Info.

Quart - Ad.anmughal@gmail.com - Abu dhabi - UAE 

Question ID

15123 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

Hanfi 

Question

Rozay Mai bhool k dawai Mila pani p na 

Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Agar roze dar galte se kohe chease khale ya pi le to is ka raza batil nahe hota . (ref tauze ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1556 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

quran

User Info.

SAYED WAQAR HUSSAIN - SAYED.HUSSAIN09@GMAIL.COM - KANPUR - INDIA 

Question ID

15119 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

AYATULLAH SAYYED ALI SISTANI SB. 

Question

786 MASJIDE ZARER KOUN SI MASJID HY ? AUR QURAN ME KIS SURA AUR AYAT ME ISKA ZIKR HY ? 

1)Masjid e zerar ka tazkira Surah tuba surah #9 para #11 ayat #107 mai hua hai.

2)Ya masjid zerar(musalmano ko nuqsan pouchne k lye) musjid quba k qareeb munafiqeen k qile k tore per temeer hoi thi aur loqo ne pegambar e islam (s.w.a) se is ka ifteta karana chaha tha to qudrat ne is k inhedam(barbad) karne ka hukam diya . wazeh rahay k masjid e zerar ka jala dena aur kura ghar bana dena masjid k ehtram k manafi nahi hai bal k is baat ka elan hai k ye emarat masjid nahi hai aur har masjid ki shakal ka nam masjid ho skhta hai. (ref.allama zeeshan haider jawadi k quran ka tarjuma pg# 440, Surah tuba #9 para #11 ayat #107 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)


Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   33   34   35   36   37   38   39   40   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2025
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish