Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet45/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   41   42   43   44   45   46   47   48   ...   91


User Info.

usama - usama_rukh@yahoo.com - mumbai - india 

Question ID

16541 

Question Date

Tuesday, September 18, 2012 

Mujtahid Name

assalam walekum 

Question

mera sawal ye hai agar apne biwi ne hum bister karne nahi diya aur sharam gah me nahi daal ne diya toh kya karna chahiye dusri ladki se janabat kar chahiye 

1)Biwi k liay zaroori(wajib) hai k jab bhi sohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e : in periods) k baghair sohar ko hambistari say nah rokay.

2) Agar koi aurat hambistri aur jinsi lazzat k silsile me ki khowish puri na karay to sohar us ki roti , kapray aur makan ka zimadar nahi he. Agar chahe wo sohar k pas hi rahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376-77).

3)Biwi k akawa kisi na-mehram sai jinsi lazzat hasil krna zina hai aur haram hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 29)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

aulad



User Info.

Bushra - bushich@ymail.com - Lahore - Pakistan 

Question ID

16855 

Question Date

Monday, October 01, 2012 

Mujtahid Name

Dua/Wazifa >> Aulad Ke Liye 

Question

meri sis ha uski shadi ko 3 sal ho gae ha abi tak us k ulad nahi hui kabhi dr.khte ha k resolian ha kabhi kch khte ha plz koi wazaif bta de

Agar koi darj zail asmae husna ko talab e aulad ki niyat sai 40 roz tk har namaz k baad bila-nagah 40 martba prhay to wo sahib e aulad ho ga. Asma e husna ye hain “ ﯿﺎﺍﻭﻞ ﯿﺎﺑﺎﺮﺉ ﯿﺎﻤﺻﻮﺮ ﯿﺎﺨﺎﻟﻕ ﯿﺎﻤﺑﺪﺉ ” (Ref : Naway e Salaheen pg # 401)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok


User Info.

qudsia - gclmalik@yahoo.com - SARGODHA - pakistaN 

Question ID

16853 

Question Date

Monday, October 01, 2012 

Mujtahid Name

pregnency 

Question

aslamolukm khuda apko apni aman mn rkhy sir mn shadi k dosry mah prgnnt hoe the us sy phly mri bhabi shadi k phly mah he prgnent the to bhabi ka msgarige ho gya 2 mah bad r mera bhe us k msgarige k 1 mah bad ho gya,phr mn fauran agly mah prgnnt ho gye mger 2 mah bad phr mscarge r bhabi 3 normal mnsiz rhy phi bhai saudi chala gya r usko 2 mah mnsiz nhn aye hm nay khuda sy umed lgae k wh prgnet hn mger 2 mah bad wh bemar ho gye,bra e krm ap is msaly ko smjhein r koi hul btaein hm bht pryshan hayn bakhuda,k hmara msla same hay log khty k jado hay saya hay yh wh mger khuda sy dh k to koi chez nhn,plz khuda k lye hmari mdaad kejy  

Agar kisi aurat k bachay paida honay sai pehlay mar jatay hon to surah taariq, surah # 86 ki pehli 7 ayaat ( “ ﻮﺍﻠﺘﺮﺍﺌﺐ ” tak)likh kar kamar mai bandhay to bacha saqt(miscarriage) na ho ga aur sahi aur salim paida ho ga. (Ref : Naway e Salaheen pg # 344)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Khanay pinay ka ahkam



User Info.

Haania - missh1n1@yahoo.com - Hercules - United States 

Question ID

16769 

Question Date

Wednesday, September 26, 2012 

Mujtahid Name

Sastani 

Question

Gelatin being haram or halal is a frequent question that has never been properly answered. I dont eat it, to be on the safe side but I need some explanations telling me exactly if I can eat it or not, and why. So my question is, Is gelatin halal or haram? Does chemical change, (istahala) count towards making gelatin halal? Why is gelatin haram if so? 

Gelatine : This is a substance which is made up of plant or animal parts (organ). If it is made up of plants then there is no problem in that and if it is made up of animals and not slaughted according to the rules of islam, it is haram according to Ayatullah Sistani d.b. because according to Ayatullah Sistani d.b. Istehala is considered in the moteharaat if the basic organ of first thing (mustahala) are no more left. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 16 pg # 308)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Janabat k ahkam



User Info.

mazhar - mazhar.iqbal8011@gmail.com - narowal - pakistani 

Question ID

16768 

Question Date

Wednesday, September 26, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

kia bevi ham besteri k baad bechy ko dou d qela sakti he ya nahe 

Halat e janabat main aurat k liay apny bachay ko doodh pilana jaiz hay or wajib nahi hay k ghusl e janabat krnay k baad ya wuzu ker k bachay ko doodh pilay(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 354,355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

ok

Haiz



User Info.

saima - saima9832@gmail.com - mardan - Pakistan 

Question ID

16767 

Question Date

Wednesday, September 26, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

salam mera ques ye hy k periods hatm hone par ghusal karne k bad 2 rakat nafal parhna farz hy??? explain 

Ghusl krnay k baad koi namaz wajib nhi hoti hai aur jo namazain aurat nai haiz ki halat main nah parhi hon un ki qaza wajib nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 459)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Ahkam e nikah



User Info.

zia abass - ziaabass@yahoo.com - jeddah - saudi arabia 

Question ID

16766 

Question Date

Wednesday, September 26, 2012 

Mujtahid Name

shishtani saheb 

Question

kia mey apneee wife kee banjee say nikah kar saqtaa hun 

Insan apni biwi ki ijazat k bagair us ki bhanji sai shadi nhi kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2357)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Quran



User Info.

samiullah - samiullah_tech@yahoo.com - faisalabad - pakistan 

Question ID

16770 

Question Date

Thursday, September 27, 2012 

Mujtahid Name

al- hadiat 

Question

aslam-o-alaikum.. mera sawal ye ha k kia coft copy main QURAN MAJID parhnay k lie wazoo ki zarorat ha ? yani computer main PDF ya WORLD kay format main QURAN MAJID parhnay k lie wazoo ki zaorarat ha ? 

Baaz mujtahideen k nazdeeq quran majeed parhnay k lie wazoo krna mustahabb hai laikin ayatollah sistani d.b. k nazdeeq is ka mustahabb hona sabit nhi hai albetta agar koi shakhs mustahabb honay k ehtimal k sath wazoo karay to is ka wazoo sahi hai aur is wazoo k sath wo shakhs har wo kaam kar sakta hai jo ba-wazoo ho kar krna zaroori hai maslan is wazoo k sath namaz parh sakta hai. laikin mustahabb hai k agar insan ba-wazoo ho tab bhi har namaz k lie dobara wazoo karay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 321)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Shadi biah



User Info.

Numan - numanatta@hotmail.com - Muharraq - Bahrain (India) 

Question ID

16758 

Question Date

Wednesday, September 26, 2012 

Mujtahid Name

Ahl e sunat 

Question

mera swal ye hy k kya husband wife ko lick krny ka ya nafs ko munh mien dalnay ka kah skta hy plzzzzzzzzzz 

Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.

Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Shadi biah



User Info.

ali khan - sara.wilson22@yahoo.com - makkah - saudia arabia 

Question ID

16765 

Question Date

Wednesday, September 26, 2012 

Mujtahid Name

ek sawal 

Question

salam sir ji mujhe puchna hai k kya main apni biwi ki nicha se chaat sakhta hu ager us ki ijzat ho to or kya hum apni biwi ko picha se kar sakhty han ager hum dono ka dil kare to ? plzz mujhe jawab dai  

1)Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Albetta is ka koi kafarra nhi hai (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)

2)Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Ahkam e nikah



User Info.

Farhan - mah.ahm.khan@hotmail.com - karachi - pakistan 

Question ID

16764 

Question Date

Wednesday, September 26, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Kia 2 gawahon ki mojudgi me larka larki ek dusre ko qubul karlen aur meher pe bat nahin hui ho to kia nikah hojata hai? Kia wo larka larki ham bistari karsakte hain 

1)Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi(mutah) is main seeghah (nikah k bool) perhna zarori hay. Aurat aur mard ka faqat razi hona kafi nhi hai. Aur gawahoo ka hona zaroori nhi hai is k alawa mehar ko tay krna zaroori hai.

2) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). Shi nikah k bagair hambistri krna haram hai. q k wo zina ho jae ga aur zina gunah e kabeera mai shumar hota hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 29)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Shadi biah



User Info.

shabeer - Mohammedshabeer82@gmail.com - banglore - INDIA 

Question ID

16763 

Question Date

Wednesday, September 26, 2012 

Mujtahid Name

sawal 

Question

Asslamu alaikum hazrat mere sawal hai e hai kae ke jab mein apni biwi se hambistari karta hu tho meri sharmgah se mani jaldi kharij hojati hai aur aur pani jaise nikalti hai ....Iska koi ilaj hai kya plz batea bahutr pareshani ke halat mein hu,,, 

Imam a.s. farmatay hein k jis ka nutfa kam ho ya kamzoor ho os k chahaea k sab se pehlay khuda ki bargah me istegfar karay aur is k bad anday(egg) aur piaz kasrat se khaien. (ref : kitab tib e islam pg # 54) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)   Note : agar mard jaldi munzil ho jata ho to jab mard ko lazat mehsoos ho to wo apnay khayalaat ko bantain aur agar mani apni jigha sai harkat kar chuki ho to sans rokay ta k mani ruk jae aur inzal na ho.

ok


User Info.

Mian - hasi207@hotmail.com - Lahore - Pakistan 

Question ID

32630 

Question Date

Friday, December 21, 2012 

Mujtahid Name

ok , pta nahi yeh kia hai. 

Question

Zina ki definition kia hia? I mean Zina ki تعریف kia hai? 

Zina karna yani aurat k sath bagair nikah k jinsi khowaish puri karna. (Ref : Qamoosul waheed pg # 721)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

User Info.

waqar - sheikh_waqar_ali@live.com - karachi - pakistan 

Question ID

32539 

Question Date

Tuesday, December 18, 2012 

Mujtahid Name

none 

Question

salam mera sawal hai mene kafi bar ik kabira gunnah ko chordnay ki kafi bar allah ki kasam our 3 se 4 bar quran uthaya hai par mene phir say wohi kam kafi bar kia hai mujhay yae bataye k kia meray is gunnah ki mafi hai ya koi kafara hai  

Agar koi qasam khae k mai falan haram kaam nahi karoo ga laikin apni qasam par amal na karay to wo gunahgar hai aur zaroori hai k kaffara dai yani aik ghulam azad karay ya 10 faqeero ko pait bhar kar khana khalaye ya inhain kapray pehnay aur agar in ko baja na la sakhat ho to zaroori hai k 3 din musalsal roza rakhay.

Laikin ye os surat ma hai k jab qasam sahi ho q k qasam ki shariat mai sai hai k qasam khanay ki shriat mai sai hai k qasam khanay wala apnay ikhtiar sai qasam khae lehaza us shakhs ka qasam khana jisay mujboor kia gya ho durust nahi hai. aur qasam khatay waqt Allah ka nam lena bhi zaroori hota hai. Is k alawa qasam k alfaz zaban par lana zaroori hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2633-34)(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 696)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)



User Info.

Ahmed jamil - Ahmedjamil00523@yahoo.com - faisalabad - pakistan 

Question ID

32608 

Question Date

Friday, December 21, 2012 

Mujtahid Name

sunni. 

Question

aslamalekum. molana sahb maine suna hai k agar khala ya anti k sath zina karnay ka soch bhi lain laikan agar na karai to un ki bation sa nikkah haram ho ga.kia yeh drust hai? 

Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   41   42   43   44   45   46   47   48   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2025
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish