Check karnay hain k send huay hain ya nahi
Mubtilat roza
User Info.
|
adnan - adnanmirza17@gmail.com - muara - brunei
|
Question ID
|
50817
|
Question Date
|
Sunday, August 04, 2013
|
Mujtahid Name
|
yes
|
Question
|
Mai apni biwi se phone baat kar raha tha aur Mani khariz ho gai kya mera roja batil ho gaya mera koi irada nahi tha Mani khariz karne ka.
|
Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misal k taur per apni biwi sai hansi mazaq karay aur ose itminan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albetta agar ose etminan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1576)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Jamat namaz
User Info.
|
Muhammad Abdul Rahman - qazibadar92@gmail.com - Fateh Jang (Attock Punjab) - Pakistan
|
Question ID
|
50825
|
Question Date
|
Sunday, August 04, 2013
|
Mujtahid Name
|
Hanfiyat
|
Question
|
Assalam o alaikum Mara Bajamat namaz ka hawala sa ha aur woh yah kh ' Aqr imam na Zohar ki namaz ki sunatan ada nhn ki aur jamayat ka wqt ho jay to kia won namaz parha sakta ha ya nhn'
|
Nafla namazain alag mustahab hai in ka jamat namaz sai koi talluq nahi hota hai, is lie chahay imam e jamat nai nafal namazain na parhi hon jamat namaz parha sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1434)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
ok
fitra
User Info.
|
aqib - aqibnr28@gmail.com - faisalabad - pakistan
|
Question ID
|
50819
|
Question Date
|
Sunday, August 04, 2013
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Assalam O Alaikum.mera sawal hai k fitrana kitna wajib hai kitna diya jana chahiye?
|
Jo ghiza ap k shehr(city) me istemal hoti hain maslan gandum, jou, chawal wagira, in ka 3 kg (ya 3 kg ki qimat) dena hoti hai. Aur agar qimat dain to os jins ki niyat karni ho gi jis jins ki qimat day rajay hain. Maslan agar chawal ki qimat dai rehay hain to qimat detay waqt aap k zehn mai ho k ye fitra chawal ki qimat ka dai rehay hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1952) Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
rizq
User Info.
|
farah - jasmineuk@hotmail.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
50815
|
Question Date
|
Sunday, August 04, 2013
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Magrib k waqt sari lites q on kardi jati hain .islm me iski kia kia hesiat hhe he
|
Imam Jafar e Sadiq a.s. nai farmaya hain k garoob e aftaf(magrib) sai pehlay chirag roshan karna pareshani ko door karta hai aur rozi barhata hai. (Ref : Tehzeeb ul Islam pg # 489)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
ok
Zakat
User Info.
|
Mohammad Taufeeq - taufeeqbochia@yahoo.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
50814
|
Question Date
|
Sunday, August 04, 2013
|
Mujtahid Name
|
yes
|
Question
|
kishmish ki zakaat hoti hay ? ya kishmish ka fittra nikala jata hay ?
|
Kishmish par zakat wajib hai laikin os waqt wajib hoti hai jab wo takreeban 847 kilo ho. Albetta is k mazeed ahkam hain. Is k alawa fitra bhi zakat ki aik qism hai jo eid ul fitr ki rat ko niklta hai jis mai 3 kilo un ghiza mai sai jo alaqay mai istemal hoti hon maslan ghundum, kishmish , chawal wagira mustahiq shakhs ko dia jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1829, 1952)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Ok
janabat
User Info.
|
asfa - mmoinbhatti@gmail.com - bahawalpur - pakistan
|
Question ID
|
50822
|
Question Date
|
Sunday, August 04, 2013
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
sir.mere sath masla ye hai k main jb apne boy frnd se bat karti hun to mere mine nekalti hai.main 5 time namz bhe parhti hun bht try karte hun k galat bat bt phr bhe ho jate hai.mujhe hr waqt weham rehta hai k main napak hun.kuch asa btaen k mere soch se ye galat chez kahtm ho
|
1)Wo ratubat jo aurat sai shehwat k sath Kharij hoti hai Agar is Hadd tak ho kay usay Inzal Kaha ja sakay aur libas ko aloda kar day, jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intiha tak phounch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jae ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)
2)Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak phounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtilla honay ka khof moujood hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
Sajjad Rafique - sajjadr222@yahoo.com - Lahore - Pakistan
|
Question ID
|
50699
|
Question Date
|
Friday, August 02, 2013
|
Mujtahid Name
|
Sunni
|
Question
|
Aitikaf ke duran gusal (Bath) ke bare main kya hukm hai? Koi pabandi hai ya jab dil chahe gusal ker sakta hai?
|
Aitikaf ki shart ye hai k musalsal isi masjid mai rehna chaheay jis masjid mai aitikaf start kia tha. Lehaza agar koi shakhs masjid sai nahanay k lie bahir nikal jae to aitikaf batil ho jae ga laikin ghusl e janabat k lie agar masjid mai ghusl ka intezam nahi hai to ghusl e janabat k lie masjid sai nikl sakta hai aur ehtiyat e lazim ye hai k masjid sai niklay to qareeb taren rasta ikhtiar karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 5 aitikaf)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
Hassan - ghory4u@yahoo.com - lahore - ghory4u@yahoo.com
|
Question ID
|
50743
|
Question Date
|
Saturday, August 03, 2013
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
hazrat khadija (R.A) pehli wahi k baad hazoor pak (S.A.W) ko apne kis chacha zad bhai k paas lay gaein?
|
Nazool e wahi k silsilay mai hazrat jabriel a.s. ka pehli martaba aana, Hazoor s.a.w.w. par kap-kapi ka tari hona, surah e alaq ki ibtedai ayaat ko 3 bar israr k sath hazoor s.a.w.w. ko parhnay k lie kehna, aur hazoor s.a.w.w. ka itni hi bar “mai parhna parhna nahi janta” kehna, farishtay ka garift mai lai kar dabana, kaptey huay ghar ana, kapra aorhna, Hazrat khadija s.a. ka itminan dilana, apnay chacha zad bhai aur asmani kitab k aalim warqa bin nofal k pas lai jana, warqa ka aap s.a.w.w. ko nabuwat ka yaqeen dilana, aur nauzubillah ye bayan k aap s.a.w.w. apnay aap ko pahar ki choti sai ghira detna chehtay hain, jabriel a.s. k kehnay par ruk jatay hain, khabi nauzubillah nazool e wahi par bhi nabuwat ka yaqeen na ana aur jabriel a.s. ka bar bar yaqeen dilanay par bhi yaqeen na hona laikin warqa bin nofal k kehnay par mukammal aetibar karna, jaisay bayanat musalman k zahan mai uljhan paida kartay hain . aisa mehsoos hota hai k aisi riwayat bayan karnay walay shan e risalat s.a.w.w. hi nahi samajhtay aur is terah ki tareekh aur ahadees ka ikhtilaf aam logo mai hasi ka mauqa farahm karta hai. Laikin haqiqat is sai mukhtalif hai. (Ref : Kitab mohsinan e Islam pg # 38)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
ok
|
User Info.
|
salman khan - salmanahmadkhan60@yahoo.com - nowshera - pakistan
|
Question ID
|
48919
|
Question Date
|
Saturday, July 13, 2013
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
roza kis umar me rakhna farz he?
|
Do'stlaringiz bilan baham: |