Insan ko khayl rakhna chahea k namaz jaldi jaldi na perhay aur namaz ki halat mai khuda ki yad mai rehay aur khusho aur khuzoo aur waqar sai namaz perhay aur ye khayal rakhay k kis hasti sai kalam kar reha hai aur apnay aap ko khuda ki azmat aur buzrgi k moqablay mai haqeer aur na-cheez samjhay. Agar insan namaz k doran puri terh in batoo ki taraf motawajah rehay to wo apnay aap sai be-khabar ho jata hai jaisa k namaz ki halat mai Hazrat Ali a.s. k poun sai teer nikal lia gya aur imam a.s. ko khabr tk na hui. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, namaz k ahkam) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
User Info.
|
tooba - tooba_pu@yahoo.com - faisalabad - pakistan
|
Question ID
|
16208
|
Question Date
|
Monday, September 03, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
aoa.main ne sheikh sahab k btaye hue amal k mutabiq surat raeed ki ayat num 31 ko alag haroof mein likha aur pehlu mein bandha.isko bandhe one month ho gya but still good news ni.i have to ask k ye ayat mujhe khud hi likhni thi aur kia wajah ho sakti hai k result positive nhi
|
Surah e read ki ayat no 31 ayat ko shi terah sai khol kar likhain phir aurat k pehloo k sath bandh dain inshallah jald sahib e aulad ho jain gi. Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 94) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
User Info.
|
Ameena - Aliaaffi@yahoo.com.au - Perth - Australia
|
Question ID
|
16213
|
Question Date
|
Monday, September 03, 2012
|
Mujtahid Name
|
Ayetullah seestani
|
Question
|
Salam,ay pichley kahin sallon se moth or qaber ki haqiqat k khof main mubtilan hoon.ye khof amooman raath ko sotey me zia ho jata hai jis ki waja se mai neend se utt jati hoon or rona shoron ho jathi hoon k muje bhi marna hai or qaber mai akili hoongi.ye halat kuch der tak hoti hai.lakin din k waqt mai ziada ter normal hoti hoon.lakin aik do dafa main din k waqt bhi ye khof muje aya hai.plz muje iss khof ki waja batain ya koi hal ya wazifa.ye khof mai alfaaz mai bayan nahi ker sakti.plz help me.jazakallah.
|
Agar koi har juma ism e Mubarak AL BARIO “ ” 100 bar parhay to KHUDA is ko qabr mai tanha na rakhay ga aur is k lie aik monis qarar day ga. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
User Info.
|
MA Bangash - khanjunny@yahoo.com - Hangu - Pakistan
|
Question ID
|
16302
|
Question Date
|
Friday, September 07, 2012
|
Mujtahid Name
|
Sistani
|
Question
|
Salamun Alaikum ! Shamsi aur Qammeri 15 saloon ki dermyan 150 din ka farq hota hai. Mard per 15 qammeri saal pori honi per Nimaz roza farz ho jati hain. Mera sawal ye hai kih ager koi momin masla na janni ki waja se qammri saal ki bajai shamsi 15 saal pori honi ki baad wajib nimaz perha shuru keri to kya masli ka ilam honi ki baad 150 din ki Nimaz qaza ki neyyat se parhna zaroore hai ya nahin.
|
Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi hoon to zarori he k un ki qaza baja laay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
send
|
User Info.
|
salman - salman2@ymail.com - peshawar - pakistan
|
Question ID
|
16316
|
Question Date
|
Saturday, September 08, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
islam mein ek larki kitne mardo k sath shadi kar sakti hai
|
Jab aurat sohar dar ho yani kisi ki biwi ho to os k lie sohar k hotay huay doosri shadi krna haram hai leikin job sohar talaq day day ya sohar ki wafat ho jae to iddat k baad doosri shadi kr sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2366) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
send
|
pardah
|
User Info.
|
Sayed qayem - Sayedqayem@gmail.com - Mumbai - India
|
Question ID
|
16311
|
Question Date
|
Friday, September 07, 2012
|
Mujtahid Name
|
Aayattula shishtani
|
Question
|
Kisi b ladki ko hijab kis had tak wajib hai.jaise wo apne sister ke husband k samne bina parde ke ja sakti hai ke nahi.
|
Sister ka sohar na-mehram hai aur aurat ko caheay k sar k baal aur apna badan na-mehram mard sai chupay laikin na-mehram mard k samnay chahra aur kalaion tk hath khulay rakh saklti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khof ho yak is mard ko hath aut chehra dekhana haram mai mubtila krnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib ahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2399) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
send
Aulad k lie
|
S/no:5
|
|
Print me- Delete
|
User Info.
|
kazim raza shah - kazim_shah73@yahoo.com - thatta sindh - pakistan
|
Question ID
|
16309
|
Question Date
|
Friday, September 07, 2012
|
Mujtahid Name
|
aagha sistani
|
Question
|
salam mera sawal ye hai k shadi ki raat se lekar orat k sath ek bacha paida karna k liye kitne din orat ke sath hambistri kar sagta hai insan plz give me answar kazim_shah73@yahoo.com my maail
|
Bacha paida krna Allah k hath mai hai insan sirf koshish kar sakta hai kisi kisi ko aik hi bar intercourse krnay sai hamal ho jata hai aur kisi ko saloo intercourse krnay k baad bhi bacha paida nhi hota hai. aur hamal thr janay k baad mustahabb hai k intercourse krnay sai pehlay wazoo kar lia jae. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Shadi biah
|
S/no:6
|
|
Print me- Delete
|
User Info.
|
Attique Haider - chhaydir@yahoo.com - gujranwala - pakistan
|
Question ID
|
16308
|
Question Date
|
Friday, September 07, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
AOA, Sir mari shahdi abe hoye haa kuch din pahly mari bivi ko date the , or pahli raat maa nahe ker saka abe 10 din ho chuky hain maa nay abe teq nahe kea kyun k uss kay dil maa dar haa or wo der rahe haa mera ye sawal haa k kuch gulat to nahe ho raha haa k maa kuch din or saty kar sakoo tu .
|
Pehli raat mai aurat mai jhejk ya rokuwat ya dar ho sakta hai is lie is raat ka khali chala jana koi aib nhi hai biwi ki mowjoodgi mai bohat si raatain aisi aati hain jin ko pehli raat samjha ja sakta hai. (Ref : Kitab Islam aue Jinsiaat pg # 157) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
S/no:63
|
|
Print me- Delete
|
.User Info.
|
Mushahid - mohdmushahid99@yahoo.com - Delhi - India
|
Question ID
|
15561
|
Question Date
|
Monday, August 13, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Mujhe peshab karne ke kuch der baad katra aata he kya istanja karna zaroori he ya me ase hi namaz par sakta ho
|
1)Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai.
2)Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga.
3)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|
Ok
Bachooo k nam
User Info.
|
mrs.sabika abbas - abbasbadami@hotmail.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
16314
|
Question Date
|
Friday, September 07, 2012
|
Mujtahid Name
|
aqaii sistani
|
Question
|
Salam plz tell me Wht da meaning of tahiyah?its Quranic word? My daughter name is tahiyah batool Urdu may.kis taraha likhay gay tahiyah ko
|
Tahiyah(ﺍﻠﺘﱠﺤﯿﱠﺔ ) quran majeed mai 3 maqamaat mai akila istemal hua hai aur 3 maqamat par zameer(hum jo k pronoun hai) k sath istemal hua hai. jin 3 jigha par akila istemal hua hai os mai sai aik surah nissa, surah no 4 ki ayat no 86 mai zikr hua hai is k alawa surah noor, surah no 24 ki ayat no 61 mai bhi istemal hua hai aur surah furqan, surah no 25 ki ayat no 75 mai istemal hua hai. aur jahan par zameer k sath istemal hua hai un mai sai aik surah younus, surah no 10 ki ayat no 10 mai istemal hua hai aur surah Ibrahim, surah no 14 ki ayat no 23 aur aakhri mai surah ahzaab, surah no 33 ki ayat no 44 mai hua hai.(Ref : al mojum pg # 286)
Aur tahiyat ka matlab salam aur salami hai aur is ki jama tahiyaat( ﺘﺤﯿﱠﺎﺖ ) hai jaisay ﺍﻠﺘﱠﺤﯿﱠﺔﺍﻠﻌﺴﻜﺮﻰ yani fouj ki salami.(Ref :al qamoos waheed pg no 401) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|
ok
Shadi baiah
User Info.
|
umar - saeedumar34@yahoo.com - baku - aezbhican
|
Question ID
|
16814
|
Question Date
|
Saturday, September 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
asslamu alaikum sir ksy hu acha sir bat ye hai ky hum apni wife sey kis tariky se sex kr sagte hain hum or please
|
1)Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hai k jima k waqt mustahab hai k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab biwi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makrooh hain un main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena, 5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main , 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna, 8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9.berhana (naked) halat main jima kerna, 10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna, 11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 )
2)Hambistari ki dua: Mustahabb hai k hambistari say pehlay apna haath biwi ki peishani k baal (hair of forehead) par rakhay aur ye dua perhay: ﺍﻠﻠﻬﻢ ﻋﻠﻰ ﻛﺘﺎﺑﻙ ﺘﺰﻮﺠﺘﻬﺎ ﻮ ﻔﻰ ﺍﻤﺎﻨﺘﻙ ﺍﺨﺬﺘﻬﺎ ﻮ ﺑﻛﻠﻤﺎﺘﻙ ﺍﺴﺘﺤﻠﻠﺖ ﻔﺮﺠﻬﺎ ﻔﺎﻦ ﻘﻀﻴﺖ ﻠﻰ ﻔﻰ ﺮﺤﻤﻬﺎ ﺷﻴﺌﺎ ﻔﺎﺟﻌﻠﻪ ﻤﺴﻠﻤﺎ ﺴﻮﻴﺎ ﻮ ﻻﺘﺠﻌﻠﻪ ﺸﺮﻚ ﺍﻠﺸﻴﻄﺎﻦ (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa bekalematekastahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”) Tarjuma: “Yaa Allah main nay teri kitaab k mutabiq is say nikah kia or teri amanat mai is ko lia hai or teray kalimaat k zarie sai is ki sharam gaah ko halaal kia, pas agar tu nai is k raham mai meray lie koi cheez ka faisla kia hay to is ko musallam aur kaamil qarar dai aur is main shitan ki shrkat na qarar dai.” (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,maslah # 4)
Note : Hambistri knay ka tareeqa maloom krnay k lie aap kitab islam aur jinsiaat mai sai parh saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Nafrat paida honay ka mouqa is waqt aa jata hai jab mard jima k fan ko fan e phlwani sai tabeer krta hai aur apni aurat par puray zor o shor sai toot kar pay dar pay mubashrat k zarie aurat par apni mardangi ka roeb jamanay ki koshish krta hai jab k ye bulkul galat hai. (Ref: Islam aur jinsiaat pg # 157)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note : Hambistri knay ka tareeqa maloom krnay k lie aap kitab islam aur jinsiaat mai sai parh saktay hain.
User Info.
|
Imran - imkhan456@ymail.com - multan - pakistan
|
Question ID
|
16803
|
Question Date
|
Friday, September 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Agar koi larki apne nikah ke bad kisi na mehrum se jama karti hai tou kya nikah toot jata hai, aur wo apne shohar se khula kis tarah le sakti hai?
|
1)Agar sohar dar aurat zina kray to ehtiyat e wajib ki bina par wo zani par hamisha k lie haram ho jati hai laikin sohar par haram nhi hoti hai aur agar toba aur istegfar na karay aur apnay amal par baqi rahay (yani zina kari trk na karay) to behtr ye hai is ka sohar isay talaq day dai.
2)Talaq khula : Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2367, 2492). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
ok
Shadi biah
User Info.
|
ahmed - ahmed8z@msn.com - -
|
Question ID
|
16804
|
Question Date
|
Friday, September 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
haiz ki halat main kia biwi kay pass jana bi haram hay kia ya phir kiss waqera ya sex kay aza ko chosa ja sakta hay
|
Do'stlaringiz bilan baham: |