1) Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai hubtilla honay ka khof moujood hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)
2)Mard ko chahae k jis aurat se shadi karna chahta he os me on sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukravi muamilaat me sohar ki madad gar sabit ho. Mard k lie ye munasib nahi he k biwi k intikhab me is ka metmae nazar sirf is ka zaaheri husn o Jamaal aur maal o dulat ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 386 pg # 232). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ok
1)Mustahab hai k aurat bachay ko puray 21 mahinay doodh pilaya jae aue 2 saal sai ziada doodh pilana munasib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2454)2) Agar aurat chahay k os ka doodh ziada ho jae to surah nahal surah # 16 ki ayat # 66 ko pani par parhay aur pi jae inshallah doodh ziada ho jae ga. (Ref : Payam E Shifa pg # 284) note : wazeh rahay k bachay k lie maa ka doodh behtreen ghiza hai.
Wazoo
User Info.
|
Nazeer shaik - shaik_nazeer26@yahoo.com - Jeddah - Saudi Arabia
|
Question ID
|
17263
|
Question Date
|
Tuesday, October 16, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Sir, Vazu kaa paani, izajat key bagair vazu karey toh. woh namaz qabul hoti..hy.plz is maslye ko clear karey...
|
Aisay pani sai wazoo krna jo gasab kia gya ho ya jis k baray mai ye ilm na ho k is ka malik is k istemal par razi hai ya nhi haram aur batil hai. aur namaz bhi batil ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 266) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
adoption
User Info.
|
drziauddin - drziauddin31@gmail.com - Dubai - uae
|
Question ID
|
14628
|
Question Date
|
Thursday, June 21, 2012
|
Mujtahid Name
|
sunni
|
Question
|
Adoption of child in Islam
|
Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Yes adoption is allowed in islam. And If a woman suckles a child with the conditions which will be mentioned in rule 2438, that child becomes Mahram. (Ref : Ayatollah sistani d.b. masla # 2428) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
Sana - Sonikurri94@yahoo.com - Lahore - Pakistan
|
Question ID
|
14615
|
Question Date
|
Saturday, June 16, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Salam mera sawal ye hai k larki ki sharm gaa k sy jo pani nikalta hai kisi be time kia us jism napak ho jata hai means k daily aata hai thora thora
|
Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho k osay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kia jae ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Janabat
User Info.
|
adeeb - kashif.ali2012@yahoo.com - lahore - pakistan
|
Question ID
|
16977
|
Question Date
|
Saturday, October 06, 2012
|
Mujtahid Name
|
ayat u lah saistani
|
Question
|
A.O.A mera sawal ye ha k agar koi shaks in boray kamo say rukna chaehy or sotay wakht koi aisa khawab daikh liya jis say mani kharij ho gai to kia kerna chaeay or gusal janabat ki neat kaisi ki jai
|
Agar rat ko sotay huay mani kharij ho jae to os ko ehtilam kehtay hain aur is sai ghusl wajib ho jata hai. aur ghusl e janabat ki niyat k waqt niyat kray k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl janabat krta hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356-57)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
Ahkam e nikah
User Info.
|
Abdul rehman - ar.rehman645@yahoo.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
16976
|
Question Date
|
Saturday, October 06, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
mera sawal ye he k kia 15 sal ki larki k sath nikah jaiz he ??? larka 19 sal ka he or larki 15 sal ki & larka larki dono rai he to kia wo nikah kr sakte hen plz give me ansr Thanks.
|
Jee han nikah ho jae ga magar nikah mai shrt ye hai k kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
Ahkam e namaz
User Info.
|
Shams Zaheer - humdumbhai@yahoo.com - sialkot - pakistan
|
Question ID
|
16974
|
Question Date
|
Saturday, October 06, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
aslam-o-alikum main nay asar ki namaz k bad sajda kar k dua ki to mujy 1 admi nay kaha k Asar ki namaz k bad koi sajda nahi hota. ap mujy durast tarika bta dain.shukria
|
Mustahabb hai k har namaz k baad insan kuch dair k lie taqeebat yani zikr, dua aur quran majeed parhaya aur sajdah e shukr baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1109-10) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
Shadi k wazifa
User Info.
|
smawish - smawish_komi@yahoo.com - gujranwala - pakistan
|
Question ID
|
16963
|
Question Date
|
Friday, October 05, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
sir i m suuni and mujy koi wazifa bataen jis sy meri dua qubool hojaye or hm dono ki mohabt aik hojaye shadi me badal jae without any problems and causes...
|
Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Surah e ahzaab surah # 33 ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)
Wazifa batanay k sath aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak phounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtilla honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Darj zail ayaat e majeeda ko subah ki namaz k baad 11 martaba pani par dam kar k pi lain to qad lamba, baal ghanay aur nazar e bd sai mehfooz rahain gay. i: Surah e furqan surah # 25,ayat # 45 ka shru ka kuch hissa, ( ﺍﻠﻡﺘﺮﺍﻠﻰﺮﺑﻚﻜﻴﻑﻤﺪﱠﺍﻠﻆﻞﱠ ) ii: surah hajj surah # 22, ayat # 5 ka kuch hissa (ﻔﺎﺬﺍﺍﻨﺰﻠﻨﺎ…………ﻭﺭﺑﺖ), iii:surah e fateh surah # 48, ayat # 29 ka kuch hissa (ﻜﺰﺭﻉﺍﺨﺭﺝ……… ﺴﻮﻘﻪ), iv:surah e qalam surah 68 , ayat # 50 and 51 (ﻭﺍﻦﻴﻜﺎﺪﺍﻟﺬﻴﻦ………ﺬﻜﺭﻠﻠﻌﻟﻤﻴﻦ) (Ref : Naway e Salaheen pg # 327). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi.
1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. aur behtr ye hai k badan ko pehlay right side sai aur baad mai left side sai dhoya jae.
2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi.
1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai.
2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
zukam mai haldi ka istemal nehayat mufeed hai aur hakeemo ki mutabiq is tajerbay ki tasdeeq hui hai. 4 masha haldi garam pani k sath subah phir aisi hi khoorak sham ko lai lain. (Ref : Apna dawakhana pg 27)
ok
Talaq
User Info.
|
haleema - aaniakhanaaniakhan@yahoo.com - lahore - pakistan
|
Question ID
|
16958
|
Question Date
|
Friday, October 05, 2012
|
Mujtahid Name
|
talaaq
|
Question
|
agar nikah hua ho aur mard apnmi biwi ko yeh alfaz boly k 3 bartalaq deta hu to kia asi talaq ho jati hai jb k woh baqaida 3 dafa talaq nhi deta blky aik hi jumly ma bol deta hai k ma 3 bar tmha talaq deta hu to kia ac soorat ma talaq ho jati hai
|
Ye talaq sahi nahi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
Na mehram
User Info.
|
sehar - sasuis_can@hotmail.com - hyd - pakistan
|
Question ID
|
16957
|
Question Date
|
Friday, October 05, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
kya bade behun apne 35 saal k bhai ko nala sakti hai?
|
Behan apnay bhi ko os waqt nehla sakti hai jab lazzat ki niyat na ho aur haram mai mubtilla honay ka khof na ho aur is surat mai bhi sharamgah ko chupana wajib hai chahae lazzat ki niyat na ho aur haram mai mubtilla honay ka khof na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2401) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
Wazifa na farman bachay
User Info.
|
nasreen - sam_sw23@yahoo.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
16964
|
Question Date
|
Friday, October 05, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Mera naam nasreen fatima hai meray 3 bachay hain 2 betay or 1 beti..meray dono betay jis main se baray walay ka ek naam muhammad asad hai in ki age 25 saal hai or dosray betay ka naam muhammad saad hai or in ki age 19 saal hai dono bohat nafarman hotay ja rahay hain kuch bhi kaho suntay hi ni hain or na hi sahi se bat kertay hain.bara wala toh bohat hi budzuban hogaya hai..subah dukaan janay k bad raat ko gher ata hai phir khana kha ker doston k paas chala jata hai or raat ko 1 bje gher ata hai...ghar main bilkul waqt ni dayta main bat kernay ko sochti hi rehti hun mager wo bat kerta bhi hai toh cheekhna shuru kerdyta hai bilkul bhi sahi se bat ni kerta aysa lagta hai kay wo mera baap hai or main dekhti hun k apnay doston se khoob hanstay hue baat kerta hai..phir main sochti hun mujh se achay toh is kay dost hi hain..or namaz quraan main bhi dono bachon ka dil ni lagta hai..mere shohar ka intqaal ho chuka hai 6 saal hogaye hain or main bohat pareshaan hun...
|
Agar kisi ki aulad na farmaan ho to surah e ahkaaf surah # 46 ki ayat # 15 ( rabbi . . . . . . . .al muslimeen) ko rozana 3 martaba parh kar pounkhain inshallaha aulad farma bardar aur deen k rastay mai aa jae gi. (Ref : naeem ul aamal pg # 338) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
ok
TASHAD
3769
TASHAD MAIN ALI KA NAAM PADHANA KIA NAMAZ BATIL HO JATA HAY.
Ans: 1)Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz main shahadat e salisa perhna jaiz nahi hay.Or agar koi shakhs tashahud mai shahadat e salisa perhay to agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os par wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin mai shahadat e salisa perhi tha. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 , Mujtahid se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90)
2) Jahil e qasir yani wo shakhs jis nai kisi qabil e aetimad shakhs ki baat ya kisi motebar risalay ki tehreer par bharoosa kia ho aur baad mai maloom ho k is shakhs ya risalay sai galati hui thi.
3) jahil e moqassir yani wo na waqif shakhs jis k lie masail ka seekhna mumkin raha ho lakin is nai kotahi ki ho aur jan boojh kar masail maloom na kiay hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, fihi istehilaat ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ok
Ahkam e ghusl
User Info.
|
Abbas - mohdabbas@gmail.com - Karachi - Pakistan
|
Question ID
|
16875
|
Question Date
|
Tuesday, October 02, 2012
|
Mujtahid Name
|
Agha Sistani
|
Question
|
Salam, Agar ghusal karney ke kafi der baad badan par aik cheez nazar aaye, aur itmenan ho ke ghusal ke waqt bhi ye rukawat mojud thi magar us waqt malum nahi tha. Agha is baarey me kya farmate haen? aur agar shak ho ke aya ye rukawat us waqt mojud thi ya nahi us ke baare me bhi Agha ka fatwa kya hae?
|
1)Jo cheez badn k pani phounchnay tk rokawat ho zaroori hai k insan osay hata day aur agar is k hat janay ka yaqeen krnay sai pehlay ghusl kray to is ka ghusl batil hia.
2)Agar ghusl k waqt kisi shakhs ko aqlan ehtimal ghuzray k koi aisi cheez is k badn par hai ya nhi jo badn tk pani phounchnay mai rohuwat ho to zaroori hai k chan been kray yaha tk k mutmaen ho jae k koi aisi rokuwat nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 376,377)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
Ehtilam
User Info.
|
syed ali raza - saliraza33@gmail.com - khanewal - pakistan
|
Question ID
|
16885
|
Question Date
|
Wednesday, October 03, 2012
|
Mujtahid Name
|
ehtalam
|
Question
|
sir ma jb rat ko sota hn to rat ko zehan ma koi ganda khayal a jay to ma farik ho jata hn plz khuch batay mujhy plz
|
Do'stlaringiz bilan baham: |