Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet14/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   10   11   12   13   14   15   16   17   ...   91

ok

Shadi biah 16949 aur 16948 del



User Info.

hamza - msadaqat47@yahoo.com - multan - pakistan 

Question ID

16950 

Question Date

Friday, October 05, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

salam sr mra swal ya hy k mre bevi 7 ma ke hamla hy kya my os ky sat hm bestri kr skta hon ahgy ya pechy sy ya dono saide sy ya ksi ak seid sy plz jldi anser dny. 

1)Mustahabb hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5)

nikah


User Info.

uroojnasir - uroojnasir420@gmail.com - multan - pakistan 

Question ID

16953 

Question Date

Friday, October 05, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

nikah k liy aceptance and propsal ka huna lazmi hy gwah bhi hun to kia nikah phu gia hy cell py? jst larka and larki ki razamandi aur 2 gwah bhi hun ......answer plzzzzzzzzzzzzz 

1)Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi(yani muta) is main seeghah (nikah k bool) perhna zarori hay.aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi, or isi terah (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hay. Aqd e nikah ki khuch shara,it hain jin me se khuch ye hain k:- 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k Alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay. 2) sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3)Merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2328+2335) Agar merd or aurat khud ghair daimi nikah(muta) ka seegah perhna chahain to, nikah ki muddat aur meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (قبلت)(qabilt) tu nikah ho jaay ga. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2334).

User Info.

aneeq - ulfatkalyami@gmail.com - lahore - pakistan 

Question ID

16918 

Question Date

Thursday, October 04, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

meri biwi shadi se pehly kisi k sath sex karti rahi, us ne mujy bata dia, main ne usy maaf b kar dia, ab wo kehty hay k jis k sath wo sex karty thi uska penis boht big tha, mera to normal hay kia humain ed ko chor dena chahiy 

1)Mard ko chahae k jis aurat sai shadi karna chahta hai os me on sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukravi muamilaat me sohar ki madad gar sabit ho. Mard k lie ye munasib nahi he k biwi k intikhab me is ka metmae nazar sirf is ka zaaheri husn o Jamaal aur maal o dulat ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 386 pg # 232).

2)Jahan tk uzo e tanasul (penis) ka chota ya lamba hone ka sawaal hai, tu osay bs is qadar hona chahiay k Indaam e nihaani (yani aurat ki sharam gah) ko mutaharrik kar sakay or sub se ziyada hasaas(sensitive) sharam gah ka bahir ka hissa hota hai. Khaas tour per bazr(Clitoris) or os tk phochne k liay chota uzo(penis) bhi kafi hota hai. Laihaza penis ka chote bara(large) hone sai koi faraq nahi parta, albatta penis ka bohot hi ziyada bara(large) hona takleef ka sabab hota hai. (Ref: Tehqeeqi islami encyclopedia,mu,allif doctor sibt e shabbar zaidi,vakil e ayatollah muntazari, part#1, pg#110-111 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Toba


User Info.

khutbu - mkhutbu@yahoo.com - kolahpur - india 

Question ID

16926 

Question Date

Thursday, October 04, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

jina kane ke baad mene tuba karliya tho uska gunah haga ya iski puch hogi ya ham asa samaj sakte hain kya kiya hi nahi.  

Parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta hai. aur aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday par amal na karay. (Ref : website Ayatullah sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Shadi biah



User Info.

rahat ijaz ali - rahatijaznad@gmail.com - lahore - pakistan 

Question ID

16924 

Question Date

Thursday, October 04, 2012 

Mujtahid Name

aiyt ullah sastani 

Question

kya sex k dorran apni bv k peechy wali side may ungli dalna bbuurrra amal hai? 

Sohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se cho sakhtay hein. laikin jism k hissay k alawa koi aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi kr saktay.or shohar ka bivi ki sharamgaah main ungli daal sakta hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

ok

Qasar namaz



User Info.

Naushad - naushadansari37@gmail.com - Phagwara - India 

Question ID

16954 

Question Date

Friday, October 05, 2012 

Mujtahid Name

Qasar Nanaz 

Question

Asslamualaikum Warahmatullah main ek student hu aur main paancho waqt ki namaz padhta hu Alhumdulillah.Mera sawal hai k college wale humein 3 din ke liye industrial tour par le ja rahe hai shehar se bahar to mujhe ab namaz qasar karni hai par mujhe iska sahi tariqa nahi maloom.To main puchna chahta hu k qasar namaz ko kaise ,kis jagah padhenge kyunki wo jagah mere liye anjaan hai aur mere saath mere sabhi classmate bhi honge to main ab kya karu aap mujhe iska sahi hal batayein.Aapke jawab ke intejar me rahunga aur ho sake to jaldi jawab dijiyega,Khuda hafiz. 

1)Zaroori hai k musafir zohar, Asr aur isha ki namaz qasar baja laye yani 2 rakat parhay. Aur magrib ki 3 aur fajar ki 2 rakat namaz parhay. Yani zohar, Asr aur isha ki namaz ko doosri rakat par khatam kr dain.

2)Mustahabb hai k musafir har qasar namaz k baad 30 martaba “ ﺴﺒﺤﺎﻦﺍﷲﻮﺍﻠﺤﻤﺪﷲﻮﻻﺍﻠﻪﺍﻻﺍﷲﻮﺍﷲﺍﻜﺒﺮ ” kahay aur agarchah ye zikr har wajib namaz ki taqeeb mai mustahabb hai laikin is morid mai bohat ziada takeed ki gae hai bal k behtr hai k musafir in namazoo ki taqeeb mai yahi zikr 60 martaba parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1355) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Shadi biah



User Info.

Moiz Khan - moiz_su2002@yahoo.com - Karachi - Pakisatn 

Question ID

16956 

Question Date

Friday, October 05, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Kya mai apni biwi k sath rozzana hambistari kar sakhta hun? 

Waisay to jab bhi chahay mard apni biwi k sath jima kr sakta hai magar kuch ayym aurat pr aisay aatay hain jis mai apni aurat sai jima krna haram ho jata hai. un mai sai aik haiz hai, Halat e haiz mai jima krna mard aur aurat donoo k lie haram hai. aut dosra nifas hai yani bacha paida honay k 10 din tk jo khoon aurat ko ata hai os mai jima krna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 504)

Is k alawa kuch makrooh ayyam bhi hain jin mai jima krna makrooh hain. jin mai sai chand ye hain. 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena, 5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main , 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna, 8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9.berhana (naked) halat main jima kerna, 10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna, 11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Shadi biah



User Info.

IMRAN - imraniqbal_60@yahoo.com - lahore - pakistan 

Question ID

16916 

Question Date

Thursday, October 04, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

sir. ager ist raat aurut kah k mjy ya sex etc. pasand nhn. ma nhn karna chati. tu phir b zabar dasti kar shakta han 

Jis aurat ka daimi nikah hua ho os k lie zarori(wajib) hai k jab bhi sohar os say jinsi lazzat(sex) hasil krna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair sohar ko hambistari say nah rokay. 2) Agar koi aurat hambistri aur jinsi lazzat k silsile me sohar ki khowish puri na karay to sohar us ki roti , kapray aur makan ka zimadar nahi hai. Agar chahe wo sohar k pas hi rahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376-77). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

ok

Mutta



User Info.

ALI HUSSAIN - ALIHUSSIAN1990@YAHOO.COM - KARACHI - PAKISTAN 

Question ID

16927 

Question Date

Thursday, October 04, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

KYA TALAK SHUDA 2 MARD SE AIK SATH MUTA KER SAKTI HAI. DONO KE SATH LAZZAT K LIYE MUTA KARNA CHAHTI HAI 

Aik aurat aik waqt mai faqat aik mard k sath hi nikah kr sakti hai chahae wo daimi nikah ho ya mutah ho yaha tk k agar aurat iddat mai bhi ho os waqt bhi iddat ki muddat khatm krnay sai pehlay nikah nhi kr sakti hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 189)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Ok

Shadi biah



User Info.

shuaib - imsoebgns@yahoo.co.in - mumbai - india 

Question ID

17459 

Question Date

Wednesday, October 17, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

agr bivi apne shohar ke bolane par humbistari ko nahi ati hai to os ke liye kya hukum

Jis aurat ka daimi nikah hua ho os k lie zarori(wajib) hai k jab bhi sohar os say jinsi lazzat(sex) hasil krna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair sohar ko hambistari say nah rokay. 2) Agar koi aurat hambistri aur jinsi lazzat k silsile me sohar ki khowish puri na karay to sohar us ki roti , kapray aur makan ka zimadar nahi hai. Agar chahe wo sohar k pas hi rahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376-77). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

ok

Shadi biah



User Info.

rahat ijaz ali - rahatijaznad@gmail.com - lahore - pakistan 

Question ID

16925 

Question Date

Thursday, October 04, 2012 

Mujtahid Name

aiyt ullah sastani 

Question

kya marrd sex may apni wife ki breast ko chooos skta hai? or agr choosny k dorran bv ka doudh mard k muu may chala jaye to kya dooudh harramm ho ga? 

Sohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hay, laikin agar sohar biwi ki breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, to ehtiyaat wajib ye hay k biwi ka doodh nah pia jaay(yaani halaq say neechay nah utara jae).(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

ok

Shadi biah



User Info.

ali - sunny_roy26@yahoo.com - birmingham - u.k 

Question ID

17132 

Question Date

Thursday, October 11, 2012 

Mujtahid Name

ahmed 

Question

Anal sex is Haram or not?I just read some way its permitted if wife agree as well 

Anal intercourse with the wife if she is not agreed with this act it is forbidden obligatory precaution. And if she is agreed with this act it is highly abominable(makrooh). (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok


User Info.

abbasali - agjatniwala110@yahoo.com - - india 

Question ID

17122 

Question Date

Thursday, October 11, 2012 

Mujtahid Name

ayatullah sistani 

Question

asalamun alaikum mujhe waa ki bimaari hai(jisme sharir atak jaata hai)agar mei uska ilaaj karne jaati hu to acidity bad jaati muh me chaale padh jaate hai aur badan me jalan hoti hai aur agar mein chaale ka ilaj karne jaati hu to waa bad jaata koi dua ya ilaaj  

1)Rasool e Akram s.a.w.w. nai farmaya hai surah e al-humd mai har beemari k lie shifa hai. is lie mareez ko chaheay k surah e al-humd ko likh kar bandhay ya 70 martaba pani par parh kar piay to osay shifa naseeb ho gi. (Ref : Naway e Salaheen pg # 296)

2)Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

ok

Ahkam e nikah



User Info.

numan - big_flair@yahoo.com - sialkot - pakistan 

Question ID

18146 

Question Date

Friday, October 19, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

jo log jaan booj kr nikah nahi krna chahte Quran o sunnat ki roshni main kya hukam hai 

Shadi un mustahabbat mai sai hai jin ki islam mai bohat ziada takeed ki gae hai , Rasool e Khuda s.a.w.w. ka farman hai k : “jo shakhs shadi kar leta hai wo apna adha deen bacha leta hai”.

naiz aap s.a.w.w. nai farmaya : “Jo shakhs meri sunnat ki perwi krna chahta hai (osay maloom hona chahea k) meri sunnat mai sai aik shadi hai”.

Is k alawa jo shakhs shadi na krnay ki wajah sai apnay aap ko fail e haram sai na bacha sakay os par shadi krna wajib hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 385,397 pg # 231,234) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok


User Info.

- erum8673@yahoo.com - Larkana - Pakistan 

Question ID

17620 

Question Date

Wednesday, October 17, 2012 

Mujtahid Name

Shia 

Question

Asalam o alaikum meri age 27 hy or me khobsurat hu gharelu larki hn har khoobi Allah ne mujhy di hy phr be mere lye koi rishta nhe ata mujhy koi wazifa bataen aur kya koi rukawat ha mere rishte me? Plz help me 

1)Rishtay k lie chand ki 11 sai 20 tak k darmiani jumay ko bad namaz e asr surah e taha surah no20 ki ayat no 131,132 ko likh kar pas rakhain or doh kar pie to shadi ho jae gi. (Ref : Naway e Salaheen pg # 352) 2)Dua e tawassul ko har waqt perh saktay hain, laikin kisi khaas maqsad k lie is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad 2 rakat namaz e hajat ada kernay k baad perh kar dua mangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5)


Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   10   11   12   13   14   15   16   17   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2024
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish