Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet22/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   18   19   20   21   22   23   24   25   ...   91

Agar prize bond inaam k tour per dia jay to tamaam raqam aap k liay halaal hay or ye aap ki raqam per sood(profit) daitay hain tu agar bank muslman ka hay tu profit ka aadha deen daar faqeer ko daina hoga.(Ref:E-mail rcvd from farsi@alsistani.org, dated:18-02-2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Shadi k lie wazifa



User Info.

muyeed - muyeed786ahmed@rediffmail.com - basti - india 

Question ID

13869 

Question Date

Monday, March 12, 2012 

Mujtahid Name

payar 

Question

sir ji, mai ek ladki se payar karta hoon wo ladki bhee mere se payar karti hai . ye rista 8salo se masaallha chal raha hai . ab hum sadi karna chate hai magar ladki ki maa meri cast ki wajh se nahi maan rahi hai jab ki mai musalmaan hoon ,hum dono log ek dusare ke bina nahi rah pate hai.please koi wajifa bataye jisse unki ammy aur duniya wale maan jaye 

Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Jab dulhan dulhay k ghar mai aye to chaheay k donoo wazoo kar k 2 rakat namaz ada karain aur shab e zafaf ki niyat Karin aur fajar ki terah namaz ada karain is k baad khuda ki hamd karain aur Muhammad o Aal e Muhammad s.a.w.w. par durood bejhain. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 4)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).



User Info.

Faisal - faisalbashna@gmail.com - Ras Al Khaimah - U.A.E> 

Question ID

36824 

Question Date

Sunday, February 10, 2013 

Mujtahid Name

tree talaq 

Question

assalamu alaikum main apni biwi ko phone par ek saans main talaq talaq talaq kha kar phone band kar diya tha kiya ye talaq ho gai hai.baat karte karte 3se 4 martba sirf talaq ka lafz use kiya aur phone band kar diya. 

Talaq sahi honay ki chand shrait hain faqat 3 bar talaq kh denay sai talaq nahi ho jati hai talaq k lie 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si shrait hain jin ka talaq k waqt khayl rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-2508)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Nabi (s.aw.w) or imam e masoom (a.s) or digar muqaddas hastiyaan(persons) or Quran e kareem or kaba e muazzama or digar muqaddas maqamaat ka half(qasam) khana jaiz hay, laikin in k zerye half(qasam) qaaim nahi hoti or nah hi is terah ki qasam ki mukhalifat kerne se koe gunah zimmay aata hay or nah hi koe kaffara wajib hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#, maslah #691) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Hazrat Rasool e khuda s.a.w.w. irshad farmatay hain k surah haaqa surah # 69 ko likh kar hamila aurat ko bandh lia jae to Allah k hokum sai jo bacha os aurat k pait mai hai mehfooz rehay ga. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 100)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Sx


Agar marnay walay k faqat betay aur betiya hon aur koi bhi na ho to beta beti ka double hissa pata hai. maslan aap 3 behnain aur 2 bhai hain to warasat k 7 barabar k hissay hon gay. maslan agar aap k walaid 5 lakh chor kar gae hain to os k 7 sai taqseem karain to 71428.514 rupees hotay hain ab har behan ko aik hissa yani 71428.514 rupees milay gay aur har bhai ko dabal hissa yani 142854.142 rupees milain gay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2694)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

1)Agar app k walid ki wafat k waqt app ki behan zinda thi to un ko app ke walid ki wirasat mile gi aur un ka hissa un ki aulad ko melay ga laikin agar walid ki wafat sai pehlay wo fout ho chuki thi to os ko warasat nahi milay gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2691) .

2)Agar ye farz karain k ab waris faqat aap aur aap ki behan hain to wirasat you taqseem ho gi. Jitni bhi wirasat hai os k 3 hissay karain phir 2 hissay aap aur 1 hissa apni behan ko dai dain maslan agar aap k walid 3 lakh chor kar gae hain to 2 lakh aap k aur 1 lakh aap ki behn ka ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2691-94)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

iddat


User Info.

kashan - shaikh.kashan@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

13872 

Question Date

Monday, March 12, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

aik larki jiska nikah 3saal raha aur is doran mubasarat bhi hue to uske bad divorce hogae ab kya iddat kerni hogi ya nahin kerni hogi. 

Jis larki ki umar puray 9 saal ho chuki ho aur jo aurat ya’essa na ho (yani aisi aurat jis ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki umeed bhi nah ho), us ka sohar us se mujameat(hambistari) karey to agar wo usay talaq de to zarori he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 maah(month) se kam ho ye he jab is ka sohar usay paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Shadi biah



User Info.

Yasis irfat - Sunnyayan786@gmail.com - Jamshedpur;jharkhand - India 

Question ID

13840 

Question Date

Monday, March 12, 2012 

Mujtahid Name

Nikha se pahle 

Question

Assalamalaykum mera sawal ye hai k kay agar koi larka koi larki se peyar karta hai aur 5 sal k bad us se sadi karna chahatta hai to kay wo us k shat hambitari ka sakata hai 

(sharie )nikah k zariay aurat mard per aur mard aurat per halal ho jate hain.(nikah k begair aurat aur mard ka aik dosere se taalouq qaim karna maslan humbistari karna jaiz nahe hai). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # after 2327) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

2)Jo ratubat shewat anghese tasaworat k waqt insan apni sharamgha me mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahe hota hai aur na wazu batil hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Shadi biah google par dua

User Info.

alyas ahmad - alyas_ahmad007@yahoo.com - lahore - pakistan 

Question ID

13847 

Question Date

Monday, March 12, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

sir,mera yh sawal hey.islam k mutabik sohag raat ka kia tereeka hey. 

1)Shadi ki pehli raat hambistari kerna wajib nahi hay. (ref : E-mail rcvd from ssitani(d.b),dated:26. 05-2010).

2)Mustahib he k jima k waqt bismillah kaha jay,or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay,6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamgaah ki janib nazar kena,12.jima k doraan baat kerna siwaay Allah k zikr k. ye tamam kaam makrooh hain jin say perhayz kerna behtar hay.)Ref:Ayat ullah Seestani(D.B) minha jus saliheen Part #.1,maslah #.1).

3)Hambistari ki dua: Mustahab hay k hambistari say pehlay apna haath bivi ki paishani k baal (hair of forehead) par rakhay or ye dua perhay:

اللھم علی کتابک تزوجتھا و فی امانتک اخذتھا و بکلماتک استحللت فرجھا فان قضیت لی فی رحمھا شیئا فاجعلہ مسلما سویا ولا تجعلہ شرک الشیطان

(“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa bekalematekastahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”) Tarjuma: “Yaa Allah main nay tairi kitaab k mutabiq is say nikah kia or tairi amanat mian is ko liya hay or tairay kalimaat k zariye say is ki sharam gaah ko halaal kia, pas agar tu nay is k rehem me mairay liay koe cheez ka faisla kiya hay tu is ko muslam or kaamil qarar de or is main shaitaanki ki sharkat na qarar de.” (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

zina


User Info.

omar - macz22@ymail.com - - pakistan 

Question ID

14001 

Question Date

Saturday, March 17, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

agr shadi shoda aurat zina kary toh is gunah ki kia saza hai aur kia akhrat k din us ka ye amal us k shohar k samny aaye ga or isi tarhan agr mard shadi shoda kary toh kia hukam hai sunat k mutabiq ?nd plz tel in mn ye koi aik kar ly zina na mehram sth aur aik dusry ko na bataey aur toba kar ly toh kia akhrat mn samny aaye ga plz anz  

Agar sohardar aurat zina karay to ehtiyaat e wajib ki bina par wo zani par hamisha k lie haram ho jati hai. Lakin sohar pr haram nahi hoti .

Zaroori hai wo aurat toba karay. Sachay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada ia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)



Sajdah zameen par or on cheezo per kerna zarori hay k jo kaa,e or pehni nah jati hoon or zarmeen se ugti hoon, maslan lerkrhi{wood} or darakhto k pattoon, ghaas, bhosay, chone k paththar or jipsam par sajjad karay.or sajday k liay khaak e shifa sab se behtar hay os k baad matti, matti k baad paththar or paththar k baad ghaas hay. lakin taarkool ko majbore ki halat me dosere cheezo k mukaable me k jin cheezo per sajda sahi nahi. Laikin hath par sajda karna jaiz nahi hai. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1063,1065,1067,1070)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Qasam


User Info.

naeem ahamad - naeem_488@yahoo.com - lahore - pakistan 

Question ID

13997 

Question Date

Saturday, March 17, 2012 

Mujtahid Name

ahle hadees 

Question

kisi bi surat man allah ki qasam khana kaisa hy  

Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Qasam ki 2 aqsaam hain:1-kisi kaam k anjaam dainay ya terk kernay ki qasam khana. 2- Apni baat ko sahi sabit kerne k liay qasam khana. Agar kisi kaam k anjaam daine ya terk kerne ki qasam kha,e ho tu is Qasam ki shara,it hein. 1:baligh aur aaqil ho aur apnay iraday aur ikhtiyaar se qasam khay aur agar koi shakhs jazbaat me aa kar bila irada aur be-ikhtiar qasam khay to ye qasam sahi nahi he. 2: jis kam k anjam dane ki qasam khaye zurari he k wo haram ya makrooh na ho. 3: Allah ka aisa name le k kisi aur k lie istemaal na hota ho 4: qasam k alfaaz zaban per say laay jain. 5: qasam per amal karma mumkin ho. Or agar apni baat ko sahi sabit kernay k liay qasam khae ho tu agar sach keh reha ho to qasam khana makrooh hai aur agar jooth bool reha ho to haram hai balkeh muqadamat k fasile k waqt joothi qasam khana kabira ghunahoo me se he. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2634,2638).

Na mehram

User Info.

mehboob - mehboobsayyad786@gmail.com - panjim - indai 

Question ID

13968 

Question Date

Friday, March 16, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Kya hm apni girlfriend ko lips pe kiss kr skte hai 

Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k bagair.aur chahae baad mai shadi hi q na karni ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

niyat e nzamaz



User Info.

nida mirza - nidamirza_92@hotmail.com - gujrat - pakistan 

Question ID

13969 

Question Date

Friday, March 16, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

kiya niyat k bagair namaz ho jati hy mukammal?? 

1) Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 2 rakat namaz, fajr ki sunnat perhta hon qurbatan illal laah.

2)zaroori hai k insane shuru sai aakhir tk apni niyat par qaim rahay. Agar wo namaz mai is terha gafil ho jae k agar koi pouchay k wo kia kar reha hai to os ki samajh mai na aye k kia jawab dai to is ki namaz batil hai. .(Ref: seestani d.b, tauzeehul masail maslah # 930,932) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Ahkam e nikah

User Info.

abdul mannan - hanry21@gmail.com - mumbai - india 

Question ID

13980 

Question Date

Friday, March 16, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

assalamo alaikum,maine apne uncle ki ladki se zina kiya jo mujhse 6 saal umer main badi hai.pehle to mera irada nikah ka nahi tha par ab hai kya krun aur ladki bhi kisi aur se nikah nahi krna chahti.kya allah ne zina ki jo saza qayamat ke din aur jahannam main batayi hai.main uska mustahik hun.main ne hi behla phusla kr usse zina kiya tha ab is gunah se kaise maafi mangu,ladki k abba mere mamujan hai.maine unse kaise nikah ki baat krun aur kya mere nikah krnese ALLAH mujhe maaf krdenge?aur yeh gunah ka kaffara ho jayega? 

Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hay k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Ahkam e nikah



User Info.

samia - samiausman04@gmail.com - karachi - pakistan 

Question ID

13978 

Question Date

Friday, March 16, 2012 

Mujtahid Name

sunni 

Question

kitney arsey azdawaji talluqat na honey per nikkah khatam hojata hai? 

Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382).

Masjid

User Info.

Muhammad Ehsan - ehsanarshad786@yahoo.com - Rawalpindi - Pakistan 

Question ID

14969 

Question Date

Sunday, July 29, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Kya aurat ka masjid main namaz pahna jaez hy????? agr hy to AHADEES ka hawala zroor dyn.... 


Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   18   19   20   21   22   23   24   25   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2024
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish