1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho, is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain, baghair is k keh is maslay me mazeed koi justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)
2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1).
3)Zaroori hai k os mujtahid ki taqleed ki jae jo aalam ho yani apnay zamany k diger mujtahideen ki nisbat ahkam e ilahi ko samajhnay ki behtr slahiat rakhta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2)
4)Nifas yani bachay ka pehla juz maa k pait sai bahir aanay k waqt sai 10 din tk jo khoon aye wo khoon nifas hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 498)
5)janabat ya haiz ki halat mai kapray dhona shi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 354-5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
send
|
S/no:2
|
|
Print me- Delete
|
User Info.
|
Salman - Puredevil_jin@yahoo.com - Lahore - Pakistan
|
Question ID
|
16165
|
Question Date
|
Saturday, September 01, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Asalam o alaikum mera sawal ye hai k mai jitni mrzi ehtiyat sy peshaab karu , meray jism pe peshaab ki thori c cheentain girti hi hain , ma bht pareshan hu qk maine suna hai k peshaab ki cheentain jism pe grnay sy qabr ma bht bhaari azaab hota hai , ab ap mjey btaein k jahan cheentain giri houn us jaggah ko dho0 lia jaye ya phr ghusal wajib hojata hai plz jawab zro0r dejeye ga
|
Answer
|
|
Topic
|
Add a New Topic
|
Agar jism par peshab k qatray gir jae to 2 dafa qaleel pani ko os par bahana zaroori hai ta k wo pak ho jae aur ghusl krna wajib nhi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 154) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
send
Janabat k ahkam
|
S/no:3
|
|
Print me- Delete
|
User Info.
|
abbas ali - agjatniwala110@yahoo.com - - india
|
Question ID
|
16159
|
Question Date
|
Saturday, September 01, 2012
|
Mujtahid Name
|
sistani
|
Question
|
assalamun alaikum agar baligh hone ke thode saal baad ghusl janabat ka pata chale to kya sab wajib namaz phir se padhni padegi
|
Aap par sari namazoo ki qaza lazim hogi. Han , jo namazain aap nai ghusl k baad parhi hain chahae ghusl e janabat ko anjam na dia ho jaisay maslan khabi jummay ka ghusl kia ho to phir is k baad ki namazain shi ho gi.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 15,pg # 25-26)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
send
Shadi biah
|
S/no:4
|
|
Print me- Delete
|
User Info.
|
yasermakrani - yasermakrani@yahoo.com - rajasthan - india
|
Question ID
|
16145
|
Question Date
|
Saturday, September 01, 2012
|
Mujtahid Name
|
salam
|
Question
|
ASSALAMO ALAYKUM janab mera swal ye he k agar biwi pragnent he uske bad bhi kya kisi bhi tarike se sex kiya ja sakta he jese sidha leta k ya ghodi banake ya god me utha k kisi bhi tarike se kar sakte he ya nahi or kis mahine se lekar kis mahine tak nahi karna chahiye reply asap allah hafiz
|
Answer
|
|
Topic
|
1)Shariat e islami nai apni biwi say hambistri karnay k lie puri aazadi aur choot di hai k insan jis tarkeeb sai chahae apni pasand k mutabiq jima karay. (Ref : Kitab islam aur jinsiaat pg # 154)
2)Mustahabb hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5)
Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k bachay k lie nuqsan day to nahi hai (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
send
|
S/no:5
|
|
Print me- Delete
|
User Info.
|
muhammad raza - raazadairy@hotmail.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
16166
|
Question Date
|
Saturday, September 01, 2012
|
Mujtahid Name
|
sistani shab
|
Question
|
salam, 1)kiya namaze juma kay khutybhay kay doran koi mustahab namaz parhna jaiz hai. 2)karachi may juma namaz thu time per nahi hoti thu kiya may zoharain awal waqat parhna sahi ya phir juma 3)karachi may fajar ki jamat namaz awal waqat say half hour kay bad hoti hai thu kiya may farda awal waqat parhnay may ziada sawab hai ya phir jamat namaz may
|
1)Namaz batil nhi ho gi albetta ehtiyat ki bina par donoo khutboo ka sunna wajib hai.
2)Jume ki namaz wajib e takhyiri hai. is se muraad yeh he ke jume k din mukallaf ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki shara,it maujood ho to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 722, 720)
3)Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi upper uthti he jise fajar e aw’wal kaha jata he aur jab ye safaidi phail jae to wo fajar aur subah ki namaz ka aw’wal waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj niklnay taq hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 729).
4)Mustahabb hai k insan sabr kray ta k namaz jamat k sath parhay aur namaz e ba-jamat os namaz sai behtr jo aw’wal waqt mai furada parhu jaeyani tenha parhi jae aur fazilat k waqt k baad parhi janay wali jamat ka, fazilat k waqt mai parhi janay wali furada sai behtr hona maloom nhi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1383)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
User Info.
|
Reha - saeedkuird@hotmail.com - Kish Islnad - Iran
|
Question ID
|
17221
|
Question Date
|
Monday, October 15, 2012
|
Mujtahid Name
|
Seestani
|
Question
|
meyan bivi aaps m pyar b bohat krte hn ek dosre ko khona yani umar bhar shorna bhi nhi chahte lekin bar bar choti choti baton pr larai jaghra krte hn bara masila banate hn
|
Auratoo k hoqooq mai sai hai k mard isay aeziat aur aazar na pounchay aur kisi sharie wajah k bagair is k sath sakhti aur tarsh rawi sai pesh na aye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376) Aur aurat bhi koi aisa kaam na kray jo sohar k haq k manafi ho.
Wazifa : Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina surah # 60, ki ayat # 7, ko 7 martaba parha karain. Is se donoo me be’misal mohabbat qaim ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 404)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
Janabat
User Info.
|
Reha - saeedkuird@hotmail.com - Kish Islnad - Iran
|
Question ID
|
17220
|
Question Date
|
Monday, October 15, 2012
|
Mujtahid Name
|
Seestani
|
Question
|
agr aurat ne ghusal janabt nhi kya ar haiz shuro hojata h fr haiz m giusal janabt hosakta h
|
Ghusl e janabat wajib namaz aur is jaisi doosri ibadatoo ko anjam denay k lie wajib ho jata hai. lehaza agar mujnib honay k baad koi bhi wajib ibadat ka waqt phounch gya ho to ghusl krna wajib ho jae ga laikin agar janabat k foran baad haiz aa jae tab bhi ghusl janabat alag wajib ho ga aur ghusl e haiz alag wajib ho ga albetta haiz sai pak honay k baad in donoo ghusloo ko aik hi ghusl mai bhi kia ja sakta hai yani donoo ki niyat karain aur aik ghusl anjam dain. Aur haiz sai pak honay sai pehlay bhi ghusl e janabat kia ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356-456)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
Namaz eid
User Info.
|
Hussain - disert22@yahoo.com - islamabad - pakistan
|
Question ID
|
17224
|
Question Date
|
Monday, October 15, 2012
|
Mujtahid Name
|
shia
|
Question
|
MOULANA SAB NAMAZ EID OR NAMAZ JUMMA K BARAY MAIN BATAIN K GHAIBAT IMAM MAIN PARHNI CHAYEE ?
|
1)Imam a.s. k zamana e hozoor mai eid ul fitr aur eid e qurban ki namazain wajib hain aur in ka jamat k sath parhna zaroori hai. laikin hamaray zamanay mai jab k imam a.s. gaibat mai hain, ye namazain mustahabb hain aur ba-jamat aur furada donoo terh parhi ja sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1497)
2)Gaibat k zamanay mai namaz e juma wajib e eini nhi hai bal k wajib e takhyiri hai, is se muraad yeh he k jume k din mukallaf ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki shara,it maujood hon to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
Namaz k auqat
User Info.
|
JOYANAZ A. KHATRI - joyanazkhatri@gmail.com - BHUJ - BHUJ
|
Question ID
|
17168
|
Question Date
|
Friday, October 12, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
KYA SHAM KO ANDHERA HO JANE K BAD MAGRIB NAMAJ PAD SAKTE HAI JAISI ABHI AJAN KA TIME 6.45 HAI OR 7.30 YA 7.00 KO NAMAJ PADNI HO TO HO JATI HAI YA NAHI
|
Magrib ki namaz ka waqt mukhtar(aazaad) shakhs k lie guroob sai aadhi raat tk hota hai. yani is k darmian mai namaz parh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 724) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Shadi ka wazifa
User Info.
|
ALI RAZA - ALIRAZA@YAHOO.COM - KHANEWAL - PAKISTAN
|
Question ID
|
16554 ,3 del
|
Question Date
|
Wednesday, September 19, 2012
|
Mujtahid Name
|
SHADI WAZIFA
|
Question
|
HELO MERA NAME ALI RAZA HA MA AIK LARKI SA BOHAT PIYAR KARTA HON WO BHI BOHAT PIYAR KARTI HA MA SADAAD FAMLIY SA TAULQ RAKHTA HON OR WO ARRAI FAMLIY SA AB US KA MAA BAAP NI MANTA MERY RISHTY K LIY AAP PLZ KOI AISA WAZIFA DY JIS SA WO MAAN JAY PLZ MA BOHAT PARSHAN HON MARI HELP KARO AAP
|
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta dastiyab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)
Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (Ref : kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
Shadi k din
User Info.
|
Syed Zulfiqar Nazar Naqvi - sznnaqvi786@yahoo.com - Karachi - Pakistan
|
Question ID
|
16552, 16651 del
|
Question Date
|
Wednesday, September 19, 2012
|
Mujtahid Name
|
Agha Sistani Sahab
|
Question
|
salam agha mujhe ye puchna hai k shadi ki date nahas e akber ka din agaya hai to plz bataye k kia karain shadi hosakti hai ya nahin ya koie sadqa dena pare ga plz reply karain or meri problum solve kardain plz agha
|
Nikah k sighay perhna qamar dar aqrab ya jab chand mehaaq (chand ki akhri teen takeekhain jin main chand chup jata hay 27, 28, 29) me ho tu nikah karna makrooh he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
Shadi biah
User Info.
|
Javed - Jawadcooln@yahoo.com - Hyderabad - India
|
Question ID
|
16550
|
Question Date
|
Tuesday, September 18, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
.Mera sawaal yeh hai ki ...shaadi k din apni wife k saath sex kaise shuru karna chahiye..
|
1)Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hai k jima k waqt mustahab hai k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab biwi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makrooh hain un main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena, 5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main , 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna, 8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9.berhana (naked) halat main jima kerna, 10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna, 11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 )
2)Hambistari ki dua: Mustahabb hai k hambistari say pehlay apna haath biwi ki peishani k baal (hair of forehead) par rakhay aur ye dua perhay: ﺍﻠﻠﻬﻢ ﻋﻠﻰ ﻛﺘﺎﺑﻙ ﺘﺰﻮﺠﺘﻬﺎ ﻮ ﻔﻰ ﺍﻤﺎﻨﺘﻙ ﺍﺨﺬﺘﻬﺎ ﻮ ﺑﻛﻠﻤﺎﺘﻙ ﺍﺴﺘﺤﻠﻠﺖ ﻔﺮﺠﻬﺎ ﻔﺎﻦ ﻘﻀﻴﺖ ﻠﻰ ﻔﻰ ﺮﺤﻤﻬﺎ ﺷﻴﺌﺎ ﻔﺎﺟﻌﻠﻪ ﻤﺴﻠﻤﺎ ﺴﻮﻴﺎ ﻮ ﻻﺘﺠﻌﻠﻪ ﺸﺮﻚ ﺍﻠﺸﻴﻄﺎﻦ (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa bekalematekastahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”) Tarjuma: “Yaa Allah main nay teri kitaab k mutabiq is say nikah kia or teri amanat mai is ko lia hai or teray kalimaat k zarie sai is ki sharam gaah ko halaal kia, pas agar tu nai is k raham mai meray lie koi cheez ka faisla kia hay to is ko musallam aur kaamil qarar dai aur is main shitan ki shrkat na qarar dai.” (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,maslah # 4)
Note : Hambistri knay ka tareeqa maloom krnay k lie aap kitab islam aur jinsiaat mai sai parh saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
Zina
User Info.
|
Ali - C.h_ali@yahoo.com - Milan - Italy
|
Question ID
|
16544
|
Question Date
|
Tuesday, September 18, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Main apni chachi sy sex karna chahta hun koi wazefa bata dain
|
Do'stlaringiz bilan baham: |