User Info.
|
khawar abbas - khawarabbas132@gmail.com - lahore - pakistan
|
Question ID
|
13880
|
Question Date
|
Tuesday, March 13, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
AOA molana sahib hamari family aur meri aunty jo k meri ami ki behan hyn ki family k beech 4 saal pehlr larai hui aur abi tak dono families aapis me lari hui hyn. pls btain k kis tara sulah ho skti hy dono he families aik dosray se buhat nafrat karti hyn.
|
Qat e rehmi karna haram hai. Agarchah wo reham (qareebi ristedar) tarik us salat(namaz na parhta ho) aur sharab khor ho aur baaz deeni akham ko ehmiat na deta ho. Hamaray Nabi s.a.w.w. nai farmaya k fazail mai sab sai afzal ye hai k jot um sai qate reham karay tum os sai silah reham karo. Jo thumay mehroom karay osay ata karo aur jo tum par zulm karay osay moaf karo. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 296 pg # 173)
Wazifa :
Aap surah e taha ko parh kar sulah karain . doonoo aap ki baat qabool karain gay. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 256) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Shadi
User Info.
|
sajid khan - sajidkhn293@gmail.com - udaipur - india
|
Question ID
|
13889
|
Question Date
|
Tuesday, March 13, 2012
|
Mujtahid Name
|
pathan
|
Question
|
salam arj karne k baad meri age 21 ki ho gayi hai aur raat muje ehtlam hota hai aur bivi ki kami bhi bahot mehsus hoti hai to muje kya karna chahiye
|
1)Jo shak shadi karnay hone ki waja se fale haraam me mubtila hota ho is per wajib ha k shadi kar le. . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
2) Surah e al tariq k khawas me he k sotay waqt is ko parh k soye to ethilam nahi ho ga. (Ref : mukhzane amaliat pg # 64, 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
Adnan Khan - adnan.hpl@gmail.com - Karachi - Pakistan
|
Question ID
|
13890
|
Question Date
|
Tuesday, March 13, 2012
|
Mujtahid Name
|
Sunni
|
Question
|
Kay hum Bori, Khachi our ghar muslim ka diya huwa khana our Sweet kha sakta hai.
|
Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
(ghosh , charbi aur in se bani hohe cheaso k ilawa) musalman har wo khana khasakta hai jise tiyar karne wale ne khane k lea banaya ho agarche musalman is khana banana wale k aqide , deen aur nazrea k bare me khuch na jaanta ho . chai is banana wale ne khane ko tar hath lagaya ho ya nalagaya ho.(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 120 masla #154) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
MEHWISH - sonu.jan22@yahoo.com - riyadh - saudi arabia
|
Question ID
|
13898
|
Question Date
|
Tuesday, March 13, 2012
|
Mujtahid Name
|
AULAD
|
Question
|
ASSLAM O ALAIKUM MERA SAWAL YE HAI KI MERI SHADI KO 3 SAAL HO GAI HAIN MERI AUR MERE SHOHAR KI SHADEED KHWAISH HAI PAR MERE SHOHAR KE SPERMS NAHI HAIN AUR AULAD KI SHADEED KHWAISH HONE KE BAWAJOOD WO APNA ILAJ NAI KARWATE MAIN BHT PARESHAN HUN UNHEN AZOOSPERMIA HAI PLEASE APP HAMARE LIYE DUA KAREIN ALLAH KYA PATA APKI DUA HI SUN LE MAIN APKI BHT MEHERBAAN HONGI AP MJHE MERE MASAIL KA KUCH HAL BTAYE ALLAH APKO KHUSH RAKHEY
|
1)Agar koe shakhs laa aualad ho un k aulad nah hoti ho aur agar wo chahta ho k is ko naik aur aziz aulad ata ho to is k liay chahiay k wo mussalsal 3 din roza rakhay aur har raat sonay se pahley 21 bar surah e al furqaan ki ayat no 74 (wal’lazeena . . . . .imaa’maa) ko parhey. Aur Allaha say apni haajat talab karay aur so jaayy. Har mahinay(month) me aik bar kar lia jaay. (ref : kitab naeem ul aamal pg #331).
2) Imam a.s. farmatay hein k jis ka nutfa kam ho ya kamzoor ho os k chahaea k sab se pehlay khuda ki bargah me istegfar karay aur is k bad anday(egg) aur piaz kasrat se khaien. (ref : kitab tib e islam pg # 54) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
wazifa
User Info.
|
Hina Ali - Hinaali47@yahoo.com - Lahore - Pakistan
|
Question ID
|
13895
|
Question Date
|
Tuesday, March 13, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Sir mera sawal ye hai k kya shadi se phly musht zani jaez hai ya nai. Aur islam ka is k baray main kya hukm hai.
|
1)Mush zani karna (kise tariqe se mani kharij) karna haram hai.(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)
2) Jo shak shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le. . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
User Info.
|
Aneela - aneelamsums@yahoo.com - Lahore - Pakistan
|
Question ID
|
13852
|
Question Date
|
Monday, March 12, 2012
|
Mujtahid Name
|
ds
|
Question
|
Sir, Jo qawaliyan Hazrat Muhammad PBUH ke shan maiin parhee ya gai gain hon music kay saath to kia woh sunna aur parhna jaiz hay plz hadees ke roshni say batain?
|
Ginna haram hai, Is sai murad wo batil kalam hai jisay aisi lai k sath gaya jay jo lohv o laeb ki mehfiloo sai makhoos ho. Isi terha aisi lai k sath quran aur dua ya is jaisi cheezoo ka parhna bhi jaiz nahi. Aur mosooqi yani aalaat ko is terha bajana jo lohv o laeb ki mehfiloo sai mutabiqat rakhay haram hai is k alawa haram nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
mian biwi k masail
User Info.
|
Rrr - Www.bewafa20092000@yahoo.com - Lahore - Pakistan
|
Question ID
|
13854
|
Question Date
|
Monday, March 12, 2012
|
Mujtahid Name
|
3rt
|
Question
|
Meri bivi mujh se khush hai lekin us k ghar waly usy meri bat man,ny se rakty hain kia mujhy un se nafrat kani chahiye?main apni bivi ko un sy milny se rok sakta hun?
|
Agar shoar apne biwi ko is k ristedaro k ghar jane se roke to is masle me biwi per shoar ki ita’at (baat maana ) wajib hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 146 ques # 108 pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
Kashif - kgroup81@gmail.com - Multan - Pakistan
|
Question ID
|
13846
|
Question Date
|
Monday, March 12, 2012
|
Mujtahid Name
|
Kassaam
|
Question
|
sir main ye janna chahta ho ke main ne 1 larki ko tang kiya aur hamara afair bhi tha aur main usy khta tha ke ghar bata dete hain but wo na mani jb wo kisi tarha sy pakri gai us ke ghar walo ne pakar liya us ko to us ne mera nam le diya ke mera is ke sath chakar hy aur phir sb ikathy huye aur kha ke batao koi hy ya nai chakar aap ka main aur un logo ne quran ka kaha ke isy utha ka rkaho ke tumhara koi taluq nai ya bat nai ki ya kuch nai kiya jb quran uthaya to mere walid ne kaha main tumhare is kam main shareek nahi ho tum soch lo bohat gunah ho ga but main ne utha kar kh dya ke main ne kuch nai kiya main ne Quran utha kar ye alfaz kahe ke aap log apni tasali karwao jaisy ho aur main ne kuch nai kiya un logo ne kaha ke tum jhot bol rahy ho us wqt mere hath main quran mojood tha phir main ne rakh diya. is ke bad main tenshion main ho ke kiya karo toba astaghfar ya kiya karo aur kaisy karo mjy ahsas hy ke main ne shyd galat kam kya hy Allah Mujhe Hamesha Hamesha Muaf kare Aameen aur ainda nai karo ga main aisa kaam inshaa Allah ye main ne pata nai kio kiya smj nai aayi mjy plz help me plese.
|
1) Agar koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hoon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram he balke muqadamat k fasile k waqt joothi qasam khana kabira ghunahoo me se he. Lakin is k kaffara nahi hota he..
2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
3) Agar tawriyah karna mumkin ho to karay yani alfaaz ke zaheri mafhoom ko choor ker dosray mutlab ki niyat karey maslan agar koi zalim kisi kisi ko aziat dena chaea aur kisi dosray shakhs se pochey ke kia yum ne fullan shakhs ko dekha he? Aur is ne us shakhs ko aik minute qalal dacha ho to wo kahay ke mein ne use nahei dekha aur qasad (irada) ye karay ke us waqt se 5 minute pehlay me ne use nahei deckha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2638). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
tariq - jan_shahzada@yahoo.com - lahore - pakistan
|
Question ID
|
13891
|
Question Date
|
Tuesday, March 13, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
agar hme kisi ki bat per aitbar nahi ha.bat is had tak barh gai ha k qatal tak ki nobat aa gai ha ,to kya asy halat me us shaks se quran pak per hath rakhwa kar asal hakikat pochna ya wada lena jaiz ha...........plz jaldi jwab de jiye ga
|
Ye qasam sahi nahi ho gi q k qasam khanay ki shriat mai sai hai k qasam khanay wala apnay ikhtiar sai qasam khae lehaza us shakhs ka qasam khana jisay mujboor kia gya ho durust nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2634) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Mubtilat e roza
User Info.
|
afridi - said.ayazafridi@gmail.com - jeddah - pakistan live n saudi
|
Question ID
|
14879
|
Question Date
|
Friday, July 27, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Asslam u alikum. Mera swal ha kih kia ulti ane se roza toth jata ha jab kih ulti 2 ya 3 bar mouh bhar k aie. Plz reply me.
|
Agar shawan(iraday k bagair) ya be-ikhtiyar ulti ho jaay to roza batil nahe hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1618)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
User Info.
|
azam - azamshaikh53@yahoo.com - mumbai - indya
|
Question ID
|
14750
|
Question Date
|
Monday, July 16, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Salam alaikum ramzan me rat ko biwi se sauhbat ki sehri ki. Subah 11pm gusl kiya to roza makror ho y jayga?
|
1)Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay.
2)Agar koe shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1591,1630)
User Info.
|
juned mukadam - junedmukadam@hotmail.com - khaitan - kuwait
|
Question ID
|
14740
|
Question Date
|
Sunday, July 15, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
i want to knw the dua for ghusl e jannabat pls forward it to me.
|
Dua before Ghusl e janabat is not obligatory it is mustahabb .(Allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen)( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين) (Ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)
User Info.
|
Asma - asmakamal19@gmail.com - Bangalore - India
|
Question ID
|
14877
|
Question Date
|
Friday, July 27, 2012
|
Mujtahid Name
|
Shadhi
|
Question
|
Assalam Walakum,Mere mangater ne muj se narazgi main 1 dosri ladki se bath cheat kar liye aur uske sath zina bhe kiya hai, abhe wo ladki unse shadhi karna chate hai aur main bhe unse shadhi karna chate hoon, mere parents ko iske bare main pata nehe hai, uss dusri ladki ke liye rishata aya hai lakin wo use tukra rahe hai, mere mangater aur mera rishta 3 sal se hai, mere parents aur Ladke ke parents sab mere sath hain, ladka muj se bath nahe kar rahe hain lakin us ladki se bath kar rahe hain, mujhe aisa lagata hai ke wo dusri kadke ager shadi kar ke chale jayege to mere mangater muj se nikha karna chate hain, pata nahe main kya karoon, mere rahnumai kareen, mere parents ke izat ka sawal hai aur mere bhee. Please reply Mail main hi kareen. Jazak allaha
|
Aurat or os k wali(baap/dada)ke liay behter hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay.aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or buraeyoo or muhliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Thuk k a masla roza
User Info.
|
MUSTAQUEEM AHMAD - mustaqueem_2005@yahoo.co.in - NEW DELHI - INDIA
|
Question ID
|
14875
|
Question Date
|
Friday, July 27, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Asslam O Alaikum, Mera Question ki roze ki halat mein munh mein thuk bahut aata hai to mein ise andar le sakta hun(aur agar jyada ikattah ho to iska kiya rasta hai) iske masayal meharbani kerke btaye.
|
Moo(mouth) ka pani(thuk) niglnay sai roza batil nahi hota hay chahae kisi wajha say bhi moo mai aa jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1560 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
fatima - brainy_zehra13@hotmail.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
14985
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
Ayatullah sistani
|
Question
|
mera sawal yeh hai k islam mein pasand ki shadi ki kia ihmiat hei kio k jahan tak mujhe pata hai k bibi Khadija ne bhi Rasool ko pasand kr k un se nikah kia.. mujhe baatein k pasand ki shadi krna jayez hai ya nhi
|
1)kisi bhi gair ekhteri amal per shariat koi hukum nahi lagati laikin yaad rahey k shariat kisi bhi aisay irtebat ya mulaqaat ki ijazat nahi deti jo in’hain haram ki taraf le janey wala ho. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65)
2)Aurat or os k wali(baap/dada)ke liay behter hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay.aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or buraeyoo or muhliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Do'stlaringiz bilan baham: |