Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet27/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   23   24   25   26   27   28   29   30   ...   91

Qasam

User Info.

tasawwar - tasawwar.ks@hotmail.com - lahore - pakistan 

Question ID

15044 

Question Date

Monday, July 30, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

kisi nay mujh say kaha keh Quran ki kasam khana apkay ya apkay ghar walon per bhari hota hai.. chay kasam kisi ki gahal fehmi ko door kernay kay lye sachi hi khai ho. 

Agar koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hoon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram he balke muqadamat k fasile k waqt joothi qasam khana kabira ghunahoo me se he. Lakin is k kaffara nahi hota he. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2638) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Musafir ka roza



User Info.

shamimwali - shamimwali83@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

15045 

Question Date

Monday, July 30, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

safar mein roza farz hai ya nahi? 

1)Jis musafir k lie safar mai 4 rakati namaz k bajay 2 rakat parhna zaroori ho osay roza nahi rakhna chahaea lakin jo musafir puri namaz parhta ho maslan wo shakhs jis ka pasha hi safar ho ya jis ka safar kisi na-jaiz kaam k lie ho to zaroori hai k safar mai roza rakay.

2)Ramzan mai safar karnay mai koi haraj nahi hail akin rozay sai bachnay k lie safar karna makrooh hai.

3)koi shakhs jisay ye ilm na ho k musafir ka roza rakhna batil hai agar safar mai roza rakh lay aur din hi din mai osay masla maloom ho jay to is ka roza batil hail akin agar maghrib tak hokum maloom na ho to is ka roza sahi hai.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1685,86,90) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Namaz jamat

User Info.

M zeshan abid - mzeshanabid@yahoo.com - Burewala - Pakistan 

Question ID

15050 

Question Date

Monday, July 30, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

A.a main ap se ye pochna chahta hon ky ap mujhe pliz amam ky pichy namaz parny ka tariqa bta dain or agr jamat se late ho jaeen to masla pehli 2 raqat reh gai hom to baqi kis trah ada ki jatain hain? 

1)Namaz ki niyat karay, niyat kartay waqt zaroori hai k muqtaddi(namaz e jamat main shamil namazi) imam ko moean karay lakin imam ka nam jan’na zaroori nahi hai aur agar ye niyat karay k mai mojooda imam ki iqtida karta ho to is ki namaz sahi hai.

2)Zarori he k muqtadi(namaz e jamat main shamil namazi) Al-hamd or sorah k alawah namaz ki sab chezain khud perhay. Laikin agar iski pehli or dosri rakat, imam ki teesri or chothi rakat ho tu zarori he k Al-hamd or sorah bhi perhay.

3)Agar muqtadi namaz e subah, maghrib or isha ki pehli or doosri rakat main Imam e jama,at ki Al-hamd or sorah perhne ki awaaz sun raha ho tu chahay wo kalimaat(yani zikr) ko theek terah se nah samajh sakay zarori he k Al-hamd or sorah nah perhay or agar Imam e jama,at ki awaaz nah sun pay tu mustahab he k Al-hamd or sorah perhay, laikin zarori he k ahista perhay or agar sehwan(bholay se) buland awaaz perhay tu koe haraj nahi.

4)jo shakhs imam sai aik rakat pechay ho is k lie behtr ye hai k jab imam aakhri rakat ka tashahud parh raha ho to hathoon ki unglian(fingers) aur poun(leg) k talwoo ka agla hissa zameen par rakhay aur ghutnoo ko buland karay aur imam k salam parhnay tak intezar karay aur phir khara ho jae aur namaz ko mokummal karay.

(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1441-43, 1433). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Qaza


User Info.

ubaid - ubaidullah_1991@yahoo.com - Quetta - Pakistan 

Question ID

15047 

Question Date

Monday, July 30, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Asalam o alikum Mera sawal ye he ke agar kese se namaz qaza hojate he ya kese or kam me masroof ho ya soraha ho or namaz qaza hojaye to qaza namaz parhne ke bad os par koye azab he or agar qaza namaz bhe na parhe os par kya azab hoga? or qaza namazo ko thadad patha na hone ke sorat me kya keya jaye? agar ap muje jawab me koye hadess sharif bayan karna chahe to please ye bhe bata de ke wo hadess kesne bayan keya he! jazak allah 

1)Ada namaz ka tark karna kabeera ghunah mai shumar hota hai aur har wo kaam tark karna haram hai jo Allah ki taraf sai farz kia gya ho. Aur wo namaz jo kisi shakhs nay os k waqt par na parhi hoon un ki qaza wajib hai. Is lie qaza namaz ka chorna bhi ghunah e kabira mai shamil ho ga.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # abadaat masla # 29)

2)kisi shaks ko qaza namazo ki tadaat yaad nah ho k os nay kitni namazain nahi parhi hain maslan wo ye na janta ho k 3 thi 4 thi ya 5 thi to agar wo chotay adad k hisab say parh lay to kafi hai lakin behtr ye hai k itni namazain parhain k osay yaqeen ho jae k sari qaza namazain parh li hain maslan agar wo bhool gya ho k os ki kitni namazain qaza hui thi aur osay yaqeen ho k 10 sai ziada na thi to ehtiyatan 10 namazin parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1364)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Roza

User Info.

dua - sady8950@yahoo.com - lahore - pakistan 

Question ID

15046 

Question Date

Monday, July 30, 2012 

Mujtahid Name

suni 

Question

agar azan sun kr bhi roza late khola jaye kia roza makhroh hota hai? 

Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Rozay dar k lie mustahabb hay k roza iftar karnay sai pehlay maghrib aur isha ki namaz parhay lakin agar koi doosra shakhs os ka intezar kar raha ho ya osay itni bhook lagi ho k hozoor e qalb k sath namaz na parh sakta ho to behtr ye hay k pehlay roza iftar karay lakin jahan tk mumkin ho namaz fazilat k waqt may hi ada karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1720)

Nikah

User Info.

saira fatimah - saira.fatimah@hotmail.com - islamabad - pakistan 

Question ID

15051 

Question Date

Monday, July 30, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

kin kin halat main insan ko nikkah kr lyna cahye......???????  

1)Jo shak shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)

2)shadi un mustahabbaat mai sai hai jin ki islam mai bohat ziada taqeed ki gae hai. Razool e akram ka irshad hai k jo shakhs shadi kar leta hai wo apna adha deen bacha leta hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 385 pg # 231 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Shadi biah

User Info.

sania uroj - sania_uroj@yahoo.com - lahore - Pakistan 

Question ID

13989 

Question Date

Saturday, March 17, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Mera husband mujhe mubashret karne se pahle bolta hy monh me lo aur chooso, kabi kabi to wo me sir ko dubat hy to us wo mere haleq tak chala jata hy. Kia eisa jaiz hy? 

Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Qasam


User Info.

Omar - macz22@ymail.com - - pakistan 

Question ID

14000 

Question Date

Saturday, March 17, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

kisi ko kasam dyna kia hota hai k maslan hm kisi ho apni kasam dyn k ye kam na karna warna mera mara moun dheko gy  

Ye qasam sahi nahi ho gi q k qasam khanay ki shriat mai sai hai k qasam khanay wala apnay ikhtiar sai qasam khae lehaza us shakhs ka qasam khana jisay mujboor kia gya ho durust nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2634) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Wazifa qad



User Info.

Moiz ud din Arif - moiz.arif1@facebook.com - islamabad - pakistan 

Question ID

13991 

Question Date

Saturday, March 17, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Assalam o alaikud meri omar 16 sal hae mera qad 5.1 feet hae mein qad ki wajha sae bohat pareshan hoan jald kuch bataen jis sae qad bara ho? 

Agar kisi ka qad chota ho to 6 mahinay tk har roz 3 chini ki plato par surah yousuf ki ayat no 1 ko nichay diay huay Allah k nam k sath zafran sai likh kar subah, asr, isha piay to is ka qad daraz ho jae ga.Allah k nam ye hain ﺍﻠﺮﺤﻴﻡ ﺍﻠﺮﺤﻴﻡ ﺍﻠﺮﺤﻴﻡ ﻴﺎﺍﻠﻠﻪﻴﺎﻤﺮﻴﺪ (Ref : Naway e salaheen pg # 380) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

rauha - rauha920@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

14004 

Question Date

Saturday, March 17, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

mai ek larke se dil se mohabat karti hu ham 4 saal se sath thay or shadi karna chate thay magar wo ajeeb tabyat ka malik hai uska rawaya har kuch mahino bad badal jata hai. is bar b wo mujse alag hogaya r ab bahar mulk ja raha hai. meri mohabat sachi hai mai bohat wazaif azma chuki magar wo wapas na aya. khuda k liye meri madad karden. 

1)Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai hubtilla honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)

2) Aurat or os k wali(baap/dada)ke liay behter hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay.aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or buraeyoo or muhliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 )

Wazifa: Hazrat Imam jafar e Sadiq a.s. farmatay hain k surah e taha ko likh kar sabz rashmi libas may lepat kar apnay pas rakhay aur shadi k qasad say kisi k pass jay to osay na kaam nahi lotna paray ga aur wo shadi ho kar rahay gi. inshAllah (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18) (Kuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Yes it is permissible for husband to suck his wife breast but it is obligatory precaution to spit the milk when milk come into husband mouth. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org dated : 12 feb 2012) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

1)Hazrat imam jaffer sadiq a.s. se manqool he k jin pimples se pani ya peep niklne lagay to goya is ka pehla asar zail ho gya is lie shadat ki inguli un k gird pherta rehay aur 7 bar ye parhey (LAA ILLAAHA IL’LAL’LAHUL HALEE MUL KAREEM) aur inguli ko wahan zoor se dabein take wop hat jay. (Ref : kitab makhzane amaliat pg #31)

2-Moli k patto ka rus laganay se keel mohasay(pimples) 1 haftay main khatam ho jatay hain. 3- Naraggi ka chilka rigarhne se keel mohasay(pimples) mit jatay hain.(Ref: Ilaaj k asaan gharolo nuskhay, pg#13). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Shadi biah



User Info.

ali - ali@yaho.com - lahore - pakistan 

Question ID

14002 

Question Date

Saturday, March 17, 2012 

Mujtahid Name

ali 

Question

sex ka kon sa tarika hram hai 

1)Shariat e islami nai apni biwi say hambistri karnay k lie puri aazadi aur choot di hai k insan jis tarkeeb sai chahae apni pasand k mutabiq jima karay. (Ref : Kitab islam aur jinsiaat pg # 154)

Magar ye k Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). (Kuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Namaz k awaqat

User Info.

Talib - talibahmad09@gmail.com - Lucknow - India 

Question ID

13964 

Question Date

Friday, March 16, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

jume ki namaz se pahle ki sunnate agar choot jayen to kya unhe jume ki namaz ke bad padha ja sakta hai wo namaz sunnate-muaqqida hoti hai? 

1)Juma k din zohar aur asr ki 16 rakat nafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai behtr ye hai k ye puri 20 rakatain zawal sai pehlay perhi jae saway 2 rakat k jin ka zawal k waqt parha jana behtr hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 752)

Namaz Zohar , asar ki nafla (mustahab namaze) agar namaz zohar , asar k bad perhe jaay to qaza ki niyate se perhe jaay ghi. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part #2 ques # 57 pg # 36) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  



User Info.

Adnan - sagheer3001@yahoo.com - Lahore - Pakistan 

Question ID

14983 

Question Date

Sunday, July 29, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Rozay ki hallat mien kia mian bivi mani kharaj krnay ki neat k beghair jima(intercourse) kr saktay hain ? 

Jima rozay ko batil kar deta hai chahae mani bhi kharij na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Nigah dalnay k ahkam



User Info.

Sabeen Zaidi - sabxedi@gmail.com - Karachi - Pakistan 

Question ID

14873 

Question Date

Friday, July 27, 2012 

Mujtahid Name

Sistani 

Question

Maa Apne betay ko apne jism k kon kon se parts dikha sakti hay . baligh ya na balgh dono 

Maa apnay baitay ko agar lazzat ki niyat na ho aur haram mai mubtila honay ka khof na ho to sharamgah k alawa pura badan dikha sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2401) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

yasir hussain - ammaryassar@gmail.com - gujrat - pakisatn 

Question ID

14913 

Question Date

Saturday, July 28, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

rozay ki halat main apni bivi se mubashrat jaiz ha ya nai 

Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   23   24   25   26   27   28   29   30   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2024
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish