Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet24/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   20   21   22   23   24   25   26   27   ...   91

Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to os ki khareed o farookth ziada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye likha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Masjid ki tameer ya murmmat mai hissa lenay k lie kia fitra istemal kia ja sakta hai?

Ehtiyat e wajib ki bina par ye jaiz nhi hia. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # Roza, ques # 220, pg # 106)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Wazifa


User Info.

Tahir - Tahiratta01@gmail.Com - Luddan - Pakistan 

Question ID

15178 

Question Date

Thursday, August 02, 2012 

Mujtahid Name

Suni 

Question

Mera question hay k majh say ak gunah sarzad ho jata hay bohat koshaish k bawajod mujh say nahi chot raha. Koi aysa amal batin k muj say chot jay. 

Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Ghunnah say hifazat aur nafs ki pakisgi aur bulandi k lye zikr e younusia jo surah e ambia ki ayat no 87 hay parhna chahaea, wo zikr ye hay “لا اله الا انت سبحانک انی کنت من الظالمین ” Behtr hay k isay sijday may ziada say ziada tilawat kia jay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 42 )

Ahkam e roza

User Info.

izhar - shahzada_101@yahoo.com - Rawalpindi - Pakistan 

Question ID

15170 

Question Date

Thursday, August 02, 2012 

Mujtahid Name

Allama Sustiani Sb 

Question

Agar dant (tooth) sy khoon nikly ya gums main sy tu kia roza makrooh / batil ho jata hai? 

Dant (tooth) se khoon nikalne se roza batil nahe hota hai.(laikin is khoon ko bahar nikal deya jaay ). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553) (Khuda ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Khums


User Info.

Ghulam Ali - alibhai1433@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

15128 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

aqa sistani 

Question

may private company may job krta hou aur her month salary say kuch paisay bachata hou to kia saal guzarnay k bad un paiso per Khums wajib hai? 

(khums maal ki bachat ka (paanchwa hissa, 1/5) or twenty percent hota hai)

1) Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain. 2) Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain. Is hisab se 1000 rupay per 200 rupay aur 50000 per 10000 rupay khums dena ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722, 1804). 3) Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot se vakeel maujood hain.jin main se aik aqae Maulana Ali Raza Mehdavi hain.or ye Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Zina

User Info.

MOHAMMAD FAHEEM - faheemaslam100@hotmail.com - karachi - pakistan 

Question ID

15163 

Question Date

Thursday, August 02, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

me ek larki se sexy bt karta ho or hanth se zina karta ho muje kio wazifa btain ky me zina na karo 

1)Zina kerna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30),

2)Istimna (kise tariqe se mani kharij) karna haram hai.(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)

3) sub se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah kin a-fermani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon tab aap k liay zarori hay k shadi karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

User Info.

Gulraize amjad - chandu_01pk@hotmail.com - Lahore - Pakistan 

Question ID

15158 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

agar roze ki halat mein jan bojh kar sehri ke baad muth lag jaye to roza batil to ho jata hai, mera sawal hai ( is gunnah ko sar se utarne ka kya hal hai? 

1)Hand practice(kise tariqe se mani kharij) karna haram hai..(ref . jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)

2)Istimna(kise tariqe se mani kharij) karna roze ko batil kar de ta hai. (Ref : Tauzeeh e ul

3)Sub se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-farmani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon tab aap k liay zarori hay k shadi karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Shadi biah



User Info.

abdul shakur - abdulsakurghoshi@gmail.com - sujangarh - india 

Question ID

15176 

Question Date

Thursday, August 02, 2012 

Mujtahid Name

shadi  

Question

nek biwi ke liye koi amal bataye or jaldi se shadi ho jaye pahli biwi ko mene talak de di hai 

1) Mard ko chahae k jis aurat se shadi karna chahta he os me on sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukravi muamilaat me sohar ki madad gar sabit ho. Mard k lie ye munasib nahi he k biwi k intikhab me is ka metmae nazar sirf is ka zaaheri husn o Jamaal aur maal o dulat ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 386 pg # 232).

2)Surah e ahzaab surah # 33 ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)



User Info.

Muhammad Arham khan - arhamkhansherwani@yahoo.com - dgkhan - pakistan 

Question ID

15172 

Question Date

Thursday, August 02, 2012 

Mujtahid Name

rozay ki halat me mnni nikalna 

Question

llah se aglay din phir wohi gunha plz quran ki roshni me meri ishla kijye , Allah apko khush rkhay 







1)Istimna(kise tariqe se mani kharij) karna haram hai..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)

2)Masturbate(kise tariqe se mani kharij) karna roze ko batil kar de ta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553 )

3) mani kharij hone se ghusl janabat wajib ho jata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344 )

4) Jo shak shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).



5) jaan bouch kar roza torne k kaffara aik mahena aik din musalsal roze rakhna ya 60 sherhefaqeero ko pait bar kar khana khelana ya har faer ko 750 gram gandum , rote wagira de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1632,1633) (Khuda ki tawfiqaat mein izafa farmaye)



User Info.

yasir - tanhadilroya@yahoo.com - lahore - pakistan 

Question ID

15171 

Question Date

Thursday, August 02, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

kai rozay ki dowa na pharny say roza ho jata hai ? 

Rozay ki dua perna zarori nahe hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

User Info.

Firoz - firoz.mh.33@facebook.com - Dharwad - India 

Question ID

15179 

Question Date

Thursday, August 02, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Kya islam me ladka ek koi ladki ko pyar kar sakta hai 

Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai hubtilla honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)



User Info.

Aqsa - candycandy780@yahoo.com - lahore - pakistan 

Question ID

13979 

Question Date

Friday, March 16, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

ge main ak larke se bht pyar karti hn par usk shadi hogi hai main srf itna chti hn ke wo bt kar lya kare please help me please 

jins e mukhalif se dosti kerna aur baat cheet karna jaiz nhi q k ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Mujtahideen nai namaz mai kala libas pehannay ko makrooh shumar kia hai magar Ayatullah sistani k nazdeek namaz mai kalay kapray k pehanna ka makrooh hona sabit nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 853)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Qarar e nutfa k baad isqaat e hamal jaiz nahi hay magar ye khof ho k hamal ka baqi rakhna aurat ki zandigi k lie nuqsandah to hamal mai agar jan na pari ho to bachay ko zaya karna jaiz hai. laikin hamal mai jan parnay k baad bachay ka zaya karna hargiz jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, jaded masail, masla # 72)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

jis aurat ka daimi nikah ho jay is k lie haram he k sohar ki ijazat k begair ghar se bahir nikle chahae is ka nikalna sohar k haq k manafi nab hi ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2376)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Rasool e khuda s.a.w.w. aur imamoo a.s. ki riwayat mai momineen ko aik doosray ki ziarat , aik doosray sai mohabbat aur in sai hamdardio ki bohat ziada takeed ki gae hai. Imam Jaffar e Sadiq a.s. nai farmaya: Jo shakhs kisi imani bhai ki ziarat karay, Allah os sai fermata hai k tou nai meri ziarat ki hai.aur tera sawab meray zimmay hai aur teray lie jannat sai kam kisi sawab par razi nahi hon ga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 304 pg # 179)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Zaroori hai k aurat namaz mai apna tamam badn hatta k sar aur baal bhi dhapay albetta chehra, kalai tak hath aur takhnoo tak poun dhapna zaroori nahi hai laikin ye yaqeen karnay k lie k is nai badan ki wajib miqdar dhanp li hai zaroori hai k chehray k atraf ka kuch hissa aur kalai aur takhnoo sai nichay ka kuch hissa bhi dhapay laikin mozay(socks) pehanna wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 777)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).



Surah e alam nashrah surah # 94 ko likh kar dhoain aur hamila khatoon ko pila dain to bacha paida honay mai aasani ho gi. (Ref : Payam E Shifa pg # 283)

1)Aksar ahkam e sheri ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah # 6, kitab e meras, nashir maktab e naveed e islam, pg # 472).

2)Sajdah zameen par or on cheezo per kerna zarori hay k jo kaa,e or pehni nah jati hoon or zarmeen se ugti hoon, maslan lerkrhi{wood} or darakhto k pattoon, ghaas, bhosay, chone k paththar or jipsam par sajjad karay.or sajday k liay khaak e shifa sab se behtar hay os k baad matti, matti k baad paththar or paththar k baad ghaas hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1063,1065,1067,1070)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

shadi biah



User Info.

wajahat - wjht.jamil2003@gmail.com - multan - pakistan 

Question ID

13984 

Question Date

Friday, March 16, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

sir mera question hai keh kia jis laki ky sath zinah kia ho larky ny ur woh laka bad me kia us sy shadi kar sakta hai 

Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hay k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

Syed Asad Abbas Naqvi - Asad1a@yahoo.com - Taxila - Pakistan 

Question ID

13922 

Question Date

Thursday, March 15, 2012 

Mujtahid Name

Syed Ali hussaini sistani 

Question

Slam plz reply kre ma 4th time question kr ra ho pur koe reply ne aia 1) mry badan sa aksar shewat ke wja sa safeed pani yani mazi nikal ati ha kea wo pak ha,ma us k sath nimaz purh skta ho,plz give ma clear ans. 2) T.v daikhma ksa amal ha? Or tv pur gher mahrum orto ko lazt ke nigah sa daikhna or bagher lazt ke nigah sa daikhna ksa amal ha. Plz reply must jzakallah 

1)Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70)

2)TV drama dekhna lazzat kay baghair jaiz hay laikin agar TV dramay main kaam karnay wali na-mehram khawateen kay jism kay wo hissay jo aam toor say chupay hotay hain,dikhai dain ,ya dekhnay wala shehwat kay saath dekhay ya is kay Haram main parnay ka khouf ho to phir inhain dekhna Jaiz nahi hay.Ref: Istiftaat A.Sistani I-30.  (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)



User Info.

alia - ayeshaaftab2011@hotmail.com - islamabad - pakistan 

Question ID

13944 

Question Date

Thursday, March 15, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

please tell me wadifa or duas to avoid sins 

Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   20   21   22   23   24   25   26   27   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2024
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish