Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet32/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   28   29   30   31   32   33   34   35   ...   91

Istemna ka kaffara toba krna hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 200,pg # 82)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

send


Ghusl k atareeqa

User Info.

Munir - ahmedmunir06@rediffmail.com - korba - india 

Question ID

13708 

Question Date

Wednesday, March 07, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Gusle Janabat Ka sahi Tarika bataye? 

Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi.

1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360)

2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi.

1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai.

2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

send


Qasam

User Info.

khan - bushrakhan_gull@hotmail.com - rawa;pindi - pakistan 

Question ID

13721 

Question Date

Wednesday, March 07, 2012 

Mujtahid Name

qasam 

Question

insan ki sir ki qasam kha kar tornay ka kafara 3rozey ek sath rakhny hongy ya ek din chor kar rakh saktey hain?  

Ye qasam sahi nhi hai q k qasam khanay mai shrt hai k Allah ka nam lia jae. Aur kaffara bhi nhi ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2633-634) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

send


Ahkam e nikah

User Info.

sameer - sameer_khan39@yahoo.in - delhi - india 

Question ID

13703 

Question Date

Wednesday, March 07, 2012 

Mujtahid Name

nikah 

Question

asslamualekum mera sawal ye h ki me ek ladki se shadi karna chaa hu me 25 ka hu wo 21 saal ki h. uske maa baap ki ijajat k bina me usse phone par nikah kar skta hu.  

Jee nhi kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#,2341,2342)

send


Shadi

User Info.

Chandan kumar - Mailme.radhachandan@rediffmail.com - Muzaffarpur - India 

Question ID

13752 

Question Date

Thursday, March 08, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Mai ek larki se payar karta hu aur o mujh se payar karti hai ki nahi mujhe pata nahi uska sadi mere chacha ke larka se tay ho gaya hai. Keya mera usse sadi hoga 

1)Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)

Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

send



User Info.

ali raza shah - aliraza@yahoo.com - khanewal - pakistan 

Question ID

17489 

Question Date

Wednesday, October 17, 2012 

Mujtahid Name

nikah 

Question

helo sir mera name ali raza ha ma aik larki sa piyar karta hon thek wo larki arrai famliy sa taulq rakhti ha thek us ka maa baap nhi manta mery rishty k liy to ham na program banaya ha nikah karny ka adalat ki taraf sa wo larki pehly maan gai ha ab nhi manti nikah k liy plz aap khuch aisa batay k jo bhi bat ma usy kho wo meri bat many or wo nikah k liy tiyar ho jay plz khuch btao aap plz 

1) jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi koun k gunah mai mubtilla hone ka khof majood hai. ( Ref : Kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).

2)Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342)

Fiqhi maslay bayan karnay k sath aap ko wazifa bhi btaya jata hay k : Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

Sami khan - imhani2005@yahoo.com - lahore - pakistan 

Question ID

17266 

Question Date

Tuesday, October 16, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

aslam o alaikum.mara sawal yah ha k kia ALLAH OR US K RASOOL(un per darood).ko gawa bna kr nikah kr sakty han phne per.mara matlb ha agr me mulk sy bahr hun or larki apny ger ho.agr ham dono razi hun to kia wo nikah jaisa mahda ho jaye ga?Baqi rasmi nikah ham real me milny sy pahly zrur kran gay.plz mri tensin dor kr dain. 

1)Nikah main sigah (nikah k bool) perhna zarori hai (chahay phone par ho ya samnay beth kar)aurat aur mard ka faqat razi hona aur isi terh nikah nama likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nhi hai. Aqd e nikah ki kuch shrait hain jin mai sai kuch ye hain k:- 1). Ehtiyaat e wajib he nikah ka sigah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana lazmi nahi hay. 2. sigha parhne wala aqal mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he . 3. ye k merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada) rakhte hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2328+2335)

2)Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

User Info.

atifmehmood - atifmehmood244@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

16412 

Question Date

Wednesday, September 12, 2012 

Mujtahid Name

no 

Question

sir mai ap se poachna chahata ho ke mushtzani karte vakt jo ghara liquid nikalta hai vo kya hai or us ka nauqsan kya hai or money kitne saal ki umer mai paida hoti hai 

Istimna(Musht zani) karna haram hai.(Ref : jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Istemna / mubtilaat e roza



User Info.

Rehan - aminarizwi@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

14795 

Question Date

Sunday, July 22, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Roze ki haalat main Masturbate kerte kerte rukh jaen or main nikal aram se na ke uchal kr jaye tou roza tooth jata hai ? 

1)Istimna(Musht zani) karna haram hai..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)

2)Agar rozay dar istemna karay to os ka roza batil ho jata hai.

3)Agar koe shakhs ramzan k roze ko istimna ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1569,1630)

User Info.

Rizwan Mehdi Khan - rizwanmehdi78@yahoo.com - Layyah - Pakistan  

Question ID

36146 

Question Date

Thursday, February 07, 2013 

Mujtahid Name

Aqa Ali Sistani 

Question

Muta k woh seeghay jo boy aur girl apas me baghair ksi gawah ya molana k parhtay hain woh konsy hain? woh seeghay bta den.plz reply as soon as posible 

Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi is main seeghah (nikah k bool) perhna zarori hay.aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi, or isi terah (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hay. Aqd e nikah ki khuch shara,it hain jin me se khuch ye hain k:- 1). Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k Alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko wakeel banana laazimi nahi hay. 2. sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he . 3. ye k merd or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2328+2335) Agar merd or aurat khud ghair daimi nikah(muta) ka seegah perhna chahain to, nikah ki muddat aur meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (قبلت)(qabilt) tu nikah ho jaay ga. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2334). 2-Nikah main gawaho ka hona or nikah ka aylaan kerna wajib nahi hay balkeh mustahab hay.or nikah.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#3 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Dawai lagana



User Info.

rai jibran - rj.askari110@gmail.com - karachi - pakistan 

Question ID

14801 

Question Date

Sunday, July 22, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

A.O.A i want to ask during fast can we apply balm chap et etc on lips kiun k garmi k wjhaa say mere lips phat rhey hain  

Lips par dawai lagana jaiz hai lakin agar wo dawai halaq mai chali jae to roza batil ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1554-64) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

rozay k ehkam



User Info.

sarmad - sarmadtahir@ymail.com - islamabad - pakistan 

Question ID

14893 

Question Date

Friday, July 27, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

slam me ye pochan chahta hu agar ramzan me gunnah(musht zani) ho jae to maufi mil sakti ha or cigarete haram hai islam me ya nahi 

1)Istimna(Musht zani) karna haram hai..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)

2)Agar rozay dar istemna karay to os ka roza batil ho jata hai.

3)Agar koe shakhs ramzan k roze ko istimna ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1569,1630)

4)Sachchay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada ia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888 )

5) Ehtiyat e wajib ye hai k rozay dar cigratte ka dhoha(smoke) halaq tak na pounchae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1587 )

6)cigratte nooshi is surat me haram ho gi jab is se mustaqbil(future) me hi sahi, koe barha nuqsaan pounchta ho. Farq nahi parhta k is nuqsaan ka yaqeen ho, gumaan ho ya aisa eithmaal ho jis se uqlaa(ahl e ilm) khoof mah’soos karain. Laikin agar kisi baray nuqsaan ka khatra na ho, agar chahe kasrat se istemaal na karna ki wajah se ho , cigratte nooshi main koi haraj nahi.



7) Agar ba’qaidgee se cigratte nooshi se koi barha nuqsan pounchta ho to usa tark karna zurari he. Magar ye k cigratte nooshi tark karne se bhi itna hi barha nuqsaan pounchta ho ya is se barha bura nuqsaan pounchta ho ya cigratte nooshi tark karne se is qadar tang aa jaay jo aam halaat me na-qaabil e bardaasht ho. (ref : jadid faqhi masail , ques # 358 , pg # 218,219) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

idrish - idrish_82@yahoo.com - gujarat - india 

Question ID

13896 

Question Date

Tuesday, March 13, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

toobah kabul ho gai ya nahi kaise pata chalta hai?uski koi nishani pata chalti hai ya nahi?agar pata chalta hai to kaise chalta hai? 

Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   28   29   30   31   32   33   34   35   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2024
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish