Sachchay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada ia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888 )
User Info.
|
Ajmal qassem - Jan-sahar@yahoo.com - Sävsjö - Sweden
|
Question ID
|
14902
|
Question Date
|
Friday, July 27, 2012
|
Mujtahid Name
|
Assalam o alikum
|
Question
|
Jenab! Asha ki namaz kab qaza hoti hain?
|
Asha ki namaz ka waqt aik aam insan k lye aadhe raat tak rheta hai . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #724) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
User Info.
|
Abdul Saleem - saleem.npet@gmail.com - Hyderabad - INDIA
|
Question ID
|
14904
|
Question Date
|
Friday, July 27, 2012
|
Mujtahid Name
|
sohbat
|
Question
|
agar mard ko sohbat ki zarurat hai aur biwi ka irada sohbat ka nahi hai.to mard par kya lazim hai aur aurat par kya lazim hai............
|
1)Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay.
2) Agar koi aurat hambistri aur jinsi lazzat k silsile me ki khowish puri na karay to sohar us ki roti , kapray aur makan ka zimadar nahi he. Agar chahe wo sohar k pas hi rahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376-77). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
Sabeen Zaidi - sabxedi@gmail.com - Karachi - Pakistan
|
Question ID
|
14874
|
Question Date
|
Friday, July 27, 2012
|
Mujtahid Name
|
Sistani
|
Question
|
As salam o alaikum Sir ye mera dosra sawal hay aik request ha k dono sawal main mera nam shaya nhi kiya jaye sawal ye hay k mere husband jab mujh se sex kerte hain to mere breast bhi suck kartay hain. abhi mere breast mai doodh hay to main un ko mana ker deti hun k kahin woh pi na lain to main suck kerne se mana kar deti hun. kia main sahi karti hun q k woh mujh say naraz ho jatay hain
|
Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay, laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay(yaani halaq say neechay nah utara jaay.).(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)Note : wo suck kar saktay hain magar doodh halaq mai na jae.
User Info.
|
mahreenfatima - mahreenfatima93@yahoo.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
14885
|
Question Date
|
Friday, July 27, 2012
|
Mujtahid Name
|
ayatullah sistani
|
Question
|
namaz kitne saal mai wajib hy
|
Larki 9 qamari (chand waly) saal pyray karnay k baad balig hoti hai.
Larkay k baliq hone ki 3 elamatain hain.
-
Naaf k niche aur sharamgha k upper sakht baalo ka aana
-
Mani ka kharij hona
-
Mashoor ki bina per 15 chand wale saal ka poora hona . chahray aur hathoo per sakht baalo ka aana
(jab insaan baliq aur aaqil ho jaay to is per namaz aur dosray sherie ahkaam wajib ho jatay hain)
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2215,2216) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
User Info.
|
asma azeem - azeem.urrehman@ymail.com - lahore - pakistan
|
Question ID
|
14884
|
Question Date
|
Friday, July 27, 2012
|
Mujtahid Name
|
hanfia
|
Question
|
kia dorany rozy agr mancis hoo jay or roza kholny main taim bhi kam hoo to kia roza tot jay ga
|
Din me (roze ki halat me ) haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche ye khoon maghrib k kareeb q na aye is ka roza batil hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1612)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
User Info.
|
amena - mdzeba724@gmail.com - hyderabad - india
|
Question ID
|
14761
|
Question Date
|
Tuesday, July 17, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
mera question ye hai ki engagement ke bad bi agar mard kisi dusri ladki se najayaz samband rakhe to kya ye galat hai aur galat hai to kya uske mangetar ko kya karna chahiye plz iska answer jaldi bhejiye alhafiz
|
Aurat or os k wali(baap/dada)ke liay behter hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay.aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or buraeyoo or muhliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
Sayed Feroz - sayed_feroz2004@rediffmail.com - mumbai - india
|
Question ID
|
14745
|
Question Date
|
Monday, July 16, 2012
|
Mujtahid Name
|
sistani sahab
|
Question
|
me health aur rozi se pareshan hu qarz bhi hai suray Qaaf teen baar padhta ho dua wagerah bhi padhta ho lekin koi raasta nahi nikalta hai strong hal batai
|
Health k lye :
Sehat o aafiat k lie dua hazrat sajjad a.s. say marwi hai. “ Allah humma inni as’aa’loo’kal aa’fi’ya’to wsh shukra alal aa’fi’ya’te ” (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 211)
Rizq k lye:
Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )
Qarz k lye :
Agar surah kahf qarz ada karnay k iraday say parhain to inshAllah qarz ada ho jae ga.
Ya maqrooz adami har namaz k baad ba-qa’edgi say surah muzammil ki tilawat karay to qarz ada ho jae ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
muhammad yasin - mohdali29393@gmail.com - ludhiana - india
|
Question ID
|
14746
|
Question Date
|
Monday, July 16, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Assalam walekum.hamila aurat se kitne mahine tak sohbat kiya ja sakta hai.shariat ke mutabik.
|
Mustahabb hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5)
Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k bachay k lie nuqsan day to nahi hai (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
Muhammadsabir - Muhammadsabir20@yahoo.com - Dera Ghazi Khan - Pakistan
|
Question ID
|
14747
|
Question Date
|
Monday, July 16, 2012
|
Mujtahid Name
|
Jafari
|
Question
|
Main ek larki se piar karta hon ap mujhe aisy dua btain jis ke parhne se woh bhi mujh ko piar karne lage ?
|
Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai hubtilla honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
Misbah ul Hassan - misbahulhassan@mail.com - Dunya Pur - Pakistan
|
Question ID
|
14809
|
Question Date
|
Monday, July 23, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
agr rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu kya roza toot jaye ga? Aur kya agr raat ko ehtalaam ho jaye tu sbha bghair ghusal k roza rakh saktay hain?
|
1)Rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahe hota hai.
2)Aazaan subah tak jaan boogh kar ghusl e janabat na karna roze ko batil kardeta hai. (agar raat me ghusl janabt wajib ho jaay fajar k waqt se phele tak ghusl karna zaroori hai,).
3)Agar koe shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab keh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga.
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571, 1553, 1630)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Pregnancy /ya rozay
User Info.
|
Anwar - khanank321@gmail.com - Sultanpur - India
|
Question ID
|
14816
|
Question Date
|
Monday, July 23, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Aurat pregnent hai 8mahina chal raha hai to is halat me roja rakhna chahiye k nahi
|
Jis aurat k hamal ka waqt qareeb ho, is ka roza rakhna khud is k lie ya is k honay walay bachay k lie muzr(taqleef day) ho to to is aurat par roza rakhna wajib nahi hai. Aur zaroori hai k har din k badlay aik mudd toam(gundum, aata wagira) faqeer ko day. Aur zaroori hai k donoo suratoo(khud k lie roza rakhna muzr ho ya bachay k lie muzr ho) mai jo rozay na rakhain ho un ki qaza baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1699 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Mubtilaat e roza
User Info.
|
Roman Khan - romankhan2008@gmail.com - Peshawar - pakistan
|
Question ID
|
14813
|
Question Date
|
Monday, July 23, 2012
|
Mujtahid Name
|
hanifia
|
Question
|
kya rozay kay waqt may shohar bewi kay sat forplay kar sakta ha k ni.is say roza toota hai k ni.
|
Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
1)For play se muraad agar jima(intercourse) karna ha to jima karne se roza batil hojata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1565)
2)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he.
3)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga.
4)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576)
Mubtilaat e roza
User Info.
|
AHSAN AJAZ - hsn_ajaz@yahoo.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
14812
|
Question Date
|
Monday, July 23, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
kia mian bivi rozay kay duraan aik dosary ko touch kar sakhty hain? sirf bahoon main lay sakhty hain?
|
1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he. 2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. 3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
jia - siza_qadeer@yahoo.com - rahim yar khan - pakistan
|
Question ID
|
14828
|
Question Date
|
Tuesday, July 24, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
AOA. mere ghar walay shadi k liye nahin maan rahay kiun k unko wo lerka nahi pasand kia mai us k sath bhaag ker shadi ker lu gunah to nahi hota... ku k mai kisi or say shadi ker k khush nahi reh sku gi. plz give me solution?
|
kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342)
User Info.
|
hasan verani - hasanverani@yahoo.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
14829
|
Question Date
|
Tuesday, July 24, 2012
|
Mujtahid Name
|
aqa e sistani
|
Question
|
bachon ko kis had tk namaz aur dusre shareeat e islam k ahkamat prr amal krne ka kha jai agr vo un prrr amal na krte hon to...?maan baap ko..!
|
Do'stlaringiz bilan baham: |