Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Albetta is ka koi kafarra nhi hai (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Mubtilat /makroohat e roza
User Info.
|
ijaz ahmed farooqi - ijaz_farooqi@yahoo.com - Dubai - UAE
|
Question ID
|
14790
|
Question Date
|
Saturday, July 21, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
kiya rozy ki halat main nakhun(nail) katna jaiz hay na nahe iss say roza mukrooh to nahe hota hay
|
Jee nahi rozay ki halat mai nail katnay sai na hi roza batil hota hai aur na hi roza makrooh hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553,1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
abdullah mirza - sammarbattery@gmail.com - attock - pakistan
|
Question ID
|
16407
|
Question Date
|
Wednesday, September 12, 2012
|
Mujtahid Name
|
seestani sab
|
Question
|
mera maslak shia hai aur ma syed family sa hoon namaz sunny tarz per perta hoon maray 3 bachay hain aur mery wife meray tamam haqooq pooray kerti hai mujay is k bawjood irani syed girl say shaadi ki khaish hai jab k meri wife is baat ki sakht khilaf hai mujay jawab zaroo dain ap ki boht mehrabani hogi.
|
1)Aik sai ziada shadi krna riwiyat ki roshni mai mustahabb hai aur pehli biwi sai ijazat lena zaroori nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 105,pg # 53)
2)Sunni tareeqay sai namaz parhna sahi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1113)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Muta
User Info.
|
Kazim - kazimlilani@yahoo.com - Kinshasa - Congo
|
Question ID
|
17854
|
Question Date
|
Thursday, October 18, 2012
|
Mujtahid Name
|
Ayatullah Sestani
|
Question
|
Asalam o Alaikum. Mera sawaal hai kay kia aik balig ghair shadi shuda larka kisi ghair shadi shuda larki se mutah kar sakta hai? aur agar wo larki shadi shuda ho tw us k liye kia hukum hai? Kindly Reply. Thanks
|
1)Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342)
2)Shadi shuda aurat sai shadi krna haram hai, chahae daimi ho ya mutah ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2366)
3)Mard ka aik sai ziada shadi(daimi / mutah)krna riwayat ki roshni mai mustahabb hai aur pehli biwi sai ijazat lena zaroori nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 105,pg # 53) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Muslman mardoo ka ahl e kitab(yahoodi aur christian) auratoo sai mutah krnay mai koi haraj nhi hai. albetta kafir auratoo sai mutah nhi ho sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2362)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Mutah
User Info.
|
M.Sohail - kool_dude_91@live.com - Kinshasa - Congo
|
Question ID
|
17935
|
Question Date
|
Thursday, October 18, 2012
|
Mujtahid Name
|
Ayatullah Seestani
|
Question
|
Asalam o Alaikum, Agah sahab mera sawal hai k kia aik un married larka(BOY) jo k balig hai.. kia wo muslim unmarried (virgin) larki (girl) se mutah kar sakta hai.. please reply.. w.salaam.
|
Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ahkam e nikah
User Info.
|
irfan - irfan2khan44@yahoo.com - delhi - india
|
Question ID
|
17878
|
Question Date
|
Thursday, October 18, 2012
|
Mujtahid Name
|
sunni
|
Question
|
assalamu alekum mera sawal he kya apni sagi bhatiji se nikah hosakta he
|
Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Agar sagi bhetaji sai aap ki murad aap k bhai ki bahan hai to q k wo aap ki mehram hai is lie nikah haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
Mubtilaat e roza
User Info.
|
Adnan - sagheer@alshatrain.com - Lahore - Pakistan
|
Question ID
|
14788
|
Question Date
|
Saturday, July 21, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Rozay ki hallat mien mian bivi k taluqat ki kis had tk ajazat hai.
|
1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he.
2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga.
3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye.
4)Jima (intercourse) rozay ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576, 1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
janabat
User Info.
|
aqeela - aqeela.1987@hotmail.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
14791
|
Question Date
|
Saturday, July 21, 2012
|
Mujtahid Name
|
aqa-e-sistani
|
Question
|
Salam..mera sawal ye haii k mere jism se hameshaa mani khareej hote rehtee haii...is k liye mujhe per ghusal wajib hai ya nhi..? jab k mani k nikalne ka koi time nhi haii..or kabhi kabar mani kharij hone k bare mein pata nhi chalta k kis waqt kharij howee..to mujhe per is k liyee kiya huqam haii...
|
Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
sameer - sziya45@yahoo.com - mumbai - india
|
Question ID
|
14965
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
taqleed
|
Question
|
assalam alaikum ramzan me biwi ke sath kya mubashrat karne se roza toot jata hai ya bat karne se jo mizi yani jo pani ata hai us se roza toot jata hai ya nahi
|
1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he.
2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga.
3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye.
4)Jima (intercourse) rozay ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576, 1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
zeshan kashif - pak_pia@yahoo.com - islamabad - pakistan
|
Question ID
|
14977
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
janabat kay ghusal kay faraiz
|
Question
|
asalam.o.alikum mera ap sy sawal hai k ramzan mei agar mei biwi sy janabat karta hon aur ghusal nai karta bs wazu kar k roza rakh leta hon aur subha naha nai pata tau kia mera roza ho ga ya makroh ho ga plz answer me shukriya
|
Jo shakhs ramzan ki raat mai junub ho jae to zaroori hai k fajar k waqt sai pehlay ghusl karay. Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1591) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
urooj - uroojwaseem91@yahoo.com - pakistan - karachi
|
Question ID
|
14966
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
rozay me mehandi, oil,or cosmatic use krsakty han?
|
Jee han ye tamaam cheezain istemal kar saktay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
User Info.
|
jawad - syedrehmani56@hotmail.com - dg khan - pakistan
|
Question ID
|
14967
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
sunni dewbandi
|
Question
|
kia khud ba khud vomit any se se roza toot jata ha
|
Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Agar sehwan ya be-ikhtiar vomit ho jae to is sai roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1618)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
User Info.
|
ahmad - ahmad24412@yahoo.com - rawalpindi - pakistan
|
Question ID
|
14964
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
kiya ramzan mein bwivi se sohbat kar sakten hain ya nehi
|
jima(intercourse) karnay se roza batil hojata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1565) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Roza k mubtilaat
User Info.
|
fahad ehsani - fahadehsani@gmail.com - muzaffarpur - india
|
Question ID
|
14962
|
Question Date
|
Saturday, July 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
ahle hadees
|
Question
|
kya mazi nakalne se aadmi napak hojata hai aur gusul wajib hojata hai kya isse raza par koi fark padta hai
|
1)Mazi kharij hone se roza batil nahe hota hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat roza ques # 40 pg # 33) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
2) mazi pak hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ahkam e roza
User Info.
|
parvez shaikh - parvezahmed50@gmail.com - mumbai - india
|
Question ID
|
14957
|
Question Date
|
Saturday, July 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Ramza main hambestri ka baad gusal subah kab tak kry.
|
Ramzan mai roza rakhnay k lie waqt namaz fajar se phele ghusl janabat karna zaroori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1591)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
haiz
User Info.
|
zeeshan - stylishstyle0067@yahoo.com - dammam - saudia arabia
|
Question ID
|
14954
|
Question Date
|
Saturday, July 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
kiya agar kise larki ko menses ho tu woh raza rakh sakti ha ya nahe detail ma batae
|
1)Din me (roze ki halat me ) haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche ye khoon maghrib k kareeb hi q na aaye is ka roza batil hai.
2)Is halat me wo roza nahe rakh sakte hai.
3)Ramzan k wo rozay jo kisi aurat nai haiz ki wajah sai na rakhay hoon zaroori hai k un ki qaza karay . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1612, 448, 459 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Mubtilaat e roza
User Info.
|
kashif - kashlovingparson@yahoo.com - lahore - pkistan
|
Question ID
|
14952
|
Question Date
|
Saturday, July 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
muslman
|
Question
|
sir iam kashif mera ap se sawal ye hai k apni bivfi se roze ki halat mein sex karna matlab k andar dahil na ho sirf upar hi touch karne se roza toot jaye ga or kya roze ki halat mein aisa karna jaiz hai
|
Jima rozay ko batil kar deta hai chahae peshab ki nail supari tak hi dhakil ho aur mani bhi kharij na ho. Lakin srif touch karnay sai roza batil nahi ho ga . aur agar mani kharij ho jay to roza batil ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565-67) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Do'stlaringiz bilan baham: |