Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet28/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   24   25   26   27   28   29   30   31   ...   91

Mubasharat roze ko batil kar de te hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1553) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

User Info.

Anwar - national2india@gmail.com - Mumbai - India 

Question ID

14956 

Question Date

Saturday, July 28, 2012 

Mujtahid Name

Assalam Alay Kum 

Question

Assalam Alay Kum. Mera sawal hai ke Kya Masterbate karne se Gusul Tootata Hai. Kya uske baad guzul karna zaruri hai. Ya sirf nahana kaafi hai. 

1)Istimna(kise tariqe se mani kharij) karna haram hai..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)

2)Istimna(kise tariqe se mani kharij) karna roze ko batil kar de ta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553 )

3) Mani kharij hone se ghusl janabat wajib ho jata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344 )

4) Jo shak shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le. . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).



User Info.

Sidra - sidra.agha@yahoo.com - Karachi - Pakistan 

Question ID

14776 

Question Date

Thursday, July 19, 2012 

Mujtahid Name

Ayat ullah Seestani 

Question

Kia husband ko biwi apnay haath sy discharge karay tou yeh haram hai?aur auraten bagair intercourse k discharge ho jaen tou un per gusul wajib hota hai? 

1)Biwi mard ki sharmgah(penis) hathon main lay kar musht zani(masturbation/hand practice) kar sakti hai.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)

2)Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  



User Info.

Syed Farhan - farhan.9075@live.com - Islamabad - Pakistan 

Question ID

14742 

Question Date

Sunday, July 15, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Meri walida bemaar hain aur roza nahi rakh sakti. Please mujhay bataain keh roza tarak karanay ka fidya kia hay? 

Agar aap ki walda waqti tour par beemar hain to unhain chahae k aglay saal say pehlay(aainda ramzan) is rozay ki qaza kar lain aur fidya wajib nhi hota hai lakin beemari door honay k bawajood jan booj kar rozay na rakhain to phir fidya wajib hota hai lakin agar beemari ki wajah say ramzan k rozay na rakhay aur beemari aainda ramzan tak lambi ho jae to jo rozay unhonay na rakhain ho un ki qaza wajib nahi ho gai lakin zaroori hai k har din k badlay (jitney rozay na rakhain ho ) aik mudd toam(gandum, roti wagira) faqeer ko dain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1674-78) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

Shaz - say_shah@hotmail.com - Birmingham - UK 

Question ID

14737 

Question Date

Saturday, July 14, 2012 

Mujtahid Name

Ayatullah Sistani 

Question

Sir, My Mrs is pregnant and she is under her 2months pregnancy period. Her doctor recommended her to take meal and drink after every few hours. So she still has to observe fast? Or she has option to leave her fast for now and do kazah later? Please reply to this on your earliest possible time. Jazakallah Khair.  

Fasting is not obligatory on a woman in advanced stage of pregnancy, for whom fasting is harmful or for the child she carries. For every day, however, she should give one mudd of food to poor. In both the cases, she has to give qadha for the fasts which are left out. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1699) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

zain ul abidin - zain_sahib3000@ymail.com - lahore - pakistan 

Question ID

14736 

Question Date

Saturday, July 14, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

sir mera sawal ye hai k are kise chader ko mani lag jae tu wo khushak (dry) ho jae tu pher agr kesi ka hath us chader ko lag jae tu kia haath napak ho jae ga ya nhi 

Agar hath tar (geela) ho aur osi jigha touch ho jis jigha mani lagi thi to wo hath bhi najis ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

Faiz qamar - Littlenadeem@yahoo.com - New york - London 

Question ID

14735 

Question Date

Saturday, July 14, 2012 

Mujtahid Name

Mujtahid 

Question

My age is 24 years..Meri aik larki se mangni hoi ...aaj muj se galti ho gai ha... Ma uske ghar gaya aur wo ghar me akeli thi ma ne usko kiss ki,,,shirt uttari aur uske kapray uttar kar uske sath sex kiya aur apni sharamgah us ke peeche dali ,,,,,,,ab muje kiya karna chahiye? Please batain ...ma apne aap par control na kar saka tha 

Q k aap nai apni mengeter say zina kia hay is lie ehtiyat e wajib ye hay k aap apni mengeter say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235)

User Info.

azeem - rao.azeem@rocketmail.com - shujabad - pakistan 

Question ID

14890 

Question Date

Friday, July 27, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Insorance islami lihaz say falahey insaniat ha ya haram? Ilm hasil karo khua tumey chin hi ku na jana paray kol hay ya hades? 

1)Musalman ko ya haq pouchta hai k wo muktalif insurance companies se apny zindagi,maal, grag hone aur chori k bima(insurance) kara lay.(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 146 masla #221)

User Info.

Muhammad Zubair Mirza - jharapyara@gmail.com - Rawalpindi - Pakistan 

Question ID

14892 

Question Date

Friday, July 27, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

agr jamaat ho chuki ho aur kuch log masjid mein late hazir huwy ho to wo dobara apni jamaat kra sakty hain. chahy wo musafir na b ho. 

Jee han doosri namaz e jamat qaim ho sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 911) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

shaikh - muskan.muskan57@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

14958 

Question Date

Saturday, July 28, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

narena aulad k lea wazeefa batae mera 7 month h 

Agar kisi ka baita(narina aulad) na ho to mian aur biwi aik din roza rakhain aur iftar k waqt ghusl karain aik bar surah e muzzammil pani par parh kar pi lain inshallah beta ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 287) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

farhat shahnaz - shahnaz_ali01@yahoo.co.in - india - row kela 

Question ID

14942 

Question Date

Saturday, July 28, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

salam meri sadi ko ten yers ho gya hai abhi teen month hamal hua tha lekin hamal bahra hi nhi iske koi wazeefa bathey 

Agar koe shakhs laa aualad ho un k aulad nah hoti ho aur agar wo chahta ho k is ko naik aur aziz aulad ata ho to is k liay chahiay k wo mussalsal 3 din roza rakhay aur har raat sonay se pahley 21 bar surah e al furqaan ki ayat no 74 (wal’lazeena . . . . .imaa’maa) ko parhey. Aur Allaha say apni haajat talab karay aur so jaayy. Har mahinay(month) me aik bar kar lia jaay. (ref : kitab naeem ul aamal pg #331). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

asif - stranger_asif1980@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

14845 

Question Date

Wednesday, July 25, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

kya janabat ki halat men roza rakha ja sakta hai ya nahi 

1)Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay.

2)Agar koi shakhs ramzan ki raat me junub ho jay to agar wo jaan bojh ker ghusl na karay yahan tak k waqt tang ho jay to zarori he k tayammum karey aur roza rakhe , is ka roza sahi he.

3)Agar koe shakhs ramzan k roze ko khana(food), peenay (drink),jima(hambistari), istimna, ya jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day.

4) Ramzan ka roza torne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulam azad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1591 , 1594, 1630 , 1632). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)



User Info.

shahid - shahidssj@gmail.com - Karachi - Pakistan 

Question ID

14929 

Question Date

Saturday, July 28, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Assalam 0 Alikum ager rat main bivi ky sath janabt ki jay ramazan main to kia sahri kar ky roza rakh sakty hain please tafseel sy bataye ga 

1)Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay.

2)Agar koi shakhs ramzan ki raat me junub ho jay to agar wo jaan bojh ker ghusl na karay yahan tak k waqt tang ho jay to zarori he k tayammum karey aur roza rakhe , is ka roza sahi he. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1591 , 1594)



User Info.

Mohammed - Mohammedshabeer82@gmail.com - BELLARY - INDIA 

Question ID

14823 

Question Date

Tuesday, July 24, 2012 

Mujtahid Name

HAIZ 

Question

Dear sir Asslamu alaikum Mera sawal e hai ke Kya aurat haiz ki hallat mein ho aur woh bimar ho us waqt uska shohar ki nappaki ki jagah ko pak karna jaiz hai kya 

1)Sohar aur biwi aik dosray ka poora badan(sharamgha bhi) dekh sakte hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2400)

2)Sohar ya biwi aik dosray ki nijasat ki jagah ko pak kar sakte hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2404) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Mubtilat e roza

User Info.

Hamayun anwar khan - Hamayun@c2.hu - Okara - Pakistan 

Question ID

14872 

Question Date

Friday, July 27, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Aslam o alikum. Kia roze ki halat me clean shave ya phir jism se hair cut kr sakty hae k nhi. 

1)Clean shave karna ehtiyate wajib ki bina per jaiz nahe hai . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2042)

2) Clean shave karna aur jism k baal katne se roza batil nahe hota hai(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Shadi biah k ahkam

User Info.

Umair - uhshaikh@gmail.com - malkapur - India 

Question ID

14794 

Question Date

Saturday, July 21, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Assalamu aalekum wa rahmatullahe wa barakatu mufti sahab mera sawal ye hai ke ramzan me raat me bivi ke sath humbistar ho sakte hai ya nahi 

Ramzan ki ratoo mai jima karna jaiz hai lakin Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main biwi sai jima karna mustahabb hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Shadi biah k ahkam



User Info.

AD - MMKUSA1979@YAHOO.COM - KL - MALAYSIA 

Question ID

14792 

Question Date

Saturday, July 21, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

SALAM KIYA ISLAM ORAL SEX JAIZE HIA? KIYA WIFE KI VIGINA KO CHAT SAKTA HAI? HARAM HAI YA HALAL? 

Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   24   25   26   27   28   29   30   31   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2024
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish