Islam ki muqadas shriat mai bohat taqeed ki gae hai k namaz masjid mai parhi jae. Auratoo k lie behtr hai k namaz aisi jigha parhain jo na mehram sai mehfoos honay k lehaz sai doosri jagha sai behtr ho chahe wo jigha makan ho ya masjid ho ya koi aur jigha. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 880-81 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Masah taqiyah
User Info.
|
Syed Mohammad Haider - mohdhaider58@yahoo.com - saudi Arabia - Saudi Arabia
|
Question ID
|
14978
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
ssstani saheb
|
Question
|
Asalamwalequm janab mai ye janna chahta hu ki mai saudi arab me job kar raha hu waha sab sunni h isliye mai masjid ko nhi jata aur mai office me namaz padhta hu kya wazu shoes pahen kar kiya ja sakta
|
Taqiyae ki surat mai joutay aur mozay par masah karna kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 258) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
kishwar Ali - kishwar_a@yahoo.com - Mardan - Pakistan
|
Question ID
|
14748
|
Question Date
|
Monday, July 16, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
sir roza kon konse chezon par tot ta ha
|
8 chezain rozay ko batil kar deti hain:
1)khana aur pina 2)Jima karna 3)istemna karna 4)Allah, pegambar e akram S.A.W.W aur in k janashino sai ehtiyat e wajib ki bina par koi jhoti baat mansoob karna 5)gubar halaq tak pounchana ehtiyat e wajib ki bina par 6)azan e subah tak janabat , haiz, ya nifas ki halat mai baqi rehna 7)kisi liquid cheez sai huqna(anima) karna 8)ulti karna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553)
User Info.
|
Naazneen Sultana Khan - rnk@bhelhyd.co.in - HYDARABAD - INDIA
|
Question ID
|
15165
|
Question Date
|
Thursday, August 02, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Assalam 0 Alikum. Mufhti sahab hum bohot badi pareshani me hum handicapt hai hame baitne nahi ata kya aap hame bata sakte hai ke es halat me roza rakh na zaroori hai.Plz rpy.
|
Agar roza rakhna aap k lie shaded taqleef ka ba’is ho to aap par roza rakhna wajib nahi hai lakin zaroori hai k har rozay k badlay aik mudd toam yani gandum kisi faqeer ko dain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1696) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
mahrukh ahmed - shahidashafi_66@yahoo.com - peshawar - pakistan
|
Question ID
|
14974
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
sir kya roze ki halat mein nakhun(nails)kat sakte hain
|
Jee haan is say roza batil nahi hota hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Shadi biah
User Info.
|
Shehzad - shezi2009@hotmai.it - brescia - italy
|
Question ID
|
14907
|
Question Date
|
Saturday, July 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Salaam;mera sawal hai,ke agar husband ramzan ki raat mai apni wife se mubashrat karta hai,ISHA ke baad aur sehri se pehle ghusal bi kar lete hain,to koi haraj to nahi Islam ke nazriye se.Shukriya
|
Ramzan ki ratoo mai jima karna jaiz hai lakin Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main biwi sai jima karna mustahabb hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
Abdul Azeem - azeemkhanazeem455@gmail.com - hyderabad.sangareddy.town - india
|
Question ID
|
14976
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
Azeem
|
Question
|
assalamualykum.mera nam abdul azeem hai mai andhra pradesh.sangareddy.town se hun well iam student mere sawal ye hai ki mujhe bure qayalat ate hai jaise ki namaz ke liye rakat bandta hun use namaz mein mujhe bure qayalat ate hai aur jab bhi main kise ko dekhta hun tab bhi meri nazar buri hoti hai.ap mujhe kuch istarah ka wazifa bateye ki mujhe mein ki buraiya katam hogaye.plz reply me.Azeem
|
Ghunnah say hifazat aur nafs ki pakisgi aur bulandi k lye zikr e younusia jo surah e ambia ki ayat no 87 hay parhna chahaea, wo zikr ye hay “لا اله الا انت سبحانک انی کنت من الظالمین ” Behtr hay k isay sijday may ziada say ziada tilawat kia jay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 42 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Mubtilat e roza
User Info.
|
Muhammad Raza - m.raza89@ymail.com - Karachi - Pakistan
|
Question ID
|
14936
|
Question Date
|
Saturday, July 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
Syed Sistani
|
Question
|
Salam kia rozay main inhelair use kar sakte hai plz reply me fast?
|
Dame ki bimari me istemal hone wala spray(inhaler) agar dawa ko sirf phephoro(lungs) tak pounchae( yane dawa ko sirf saas ki nali tak pounchae, na k khane ki nali tak) to is se roza batil nahe hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1557) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Toba ka wazifa
User Info.
|
samia zafar - sam_zafar98@yahoo.com - - pakistan
|
Question ID
|
14926
|
Question Date
|
Saturday, July 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Allah pak bar bar gunah kr k bar bar toba krny pe maf ker dety hain?
|
1)Hazrat Rasool e Khuda irshad farmatay hain k: Jo shakhs surah e talaq surah no 65 ki tilawat karay ga Khuda os ki toba qabool karay ga jis mai ghunnah ki taraf dubara lotna na ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37)
2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Mubtilaat e roza
User Info.
|
Iqra - Bhaisahab40@yahoo.com - Karachi - Pakistan
|
Question ID
|
14927
|
Question Date
|
Saturday, July 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Agr rozay m sexs kia h r mani nkal jy to roza hoga ya ni
|
1)Jima aur istmna (kise zaria se mani kharij karna )karne se roza batil hojata hai.
2)Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker jima aur janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565,1569,1630) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Mubtilate roza
User Info.
|
NOMAN - farhan650_18@yahoo.com - KARACHI - PAKISTAN
|
Question ID
|
14928
|
Question Date
|
Saturday, July 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
AGAR KOE APNI BIVI K SAT RAMZAN ME HUMBISTARI KARLAY TO US KA KAYA KUFFARA HOGA YA SACCHI TOBA KARNA SA ALLAH PAK UNKO MAFF KARDAINAGAY, PLZ ADIVSE????
|
1)Jima karna se roza batil ho jata hai.
2)Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker jima aur janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565, 1630) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Mubtilat e roza
User Info.
|
Aqib - aaqibikram1@gmail.com - Lodhran - Pakistan
|
Question ID
|
14908
|
Question Date
|
Saturday, July 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
mery sawal ye hai k agar rozy hi halat main kisi larki sy sirf baat krny sy katry ya mani aa jy tou roza batil ho ga ya ni? agr waisy hi zehn main koi khiyal aany ki waja sy katry ya mani nikal aaye tou roza batil ho ga ya ni?
|
1)Agar ye qatray wo hain wo khabi khabi shewat ubharnay par mard ki peshab ki nail mai aa jatay hain to ye pak hai aur is sai roza bail nahi hota hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat roza ques # 40 pg # 33)
2)Agar yaqeen ho k ye qatray mani hain to roza batil ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Wazifa
User Info.
|
Ali - aliraza.93@live.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
14963
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
ayatullah sistani
|
Question
|
mere baal kafi gamzur hogaye hain aur musalsal thore thore gir rahe hain doctor ko bhi dikhaya par kch arsey mai phr girne lagte hain ..
|
Agar sar k baal bohat girtay hoon to har namaz k baad 313 martaba haathoon per (Allaa’hol baa’riol kabeer) parh kar baalon me haath phair lein to baal girnay band ho jain gay. (ref : kitab naway salaheen pg # 385) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Namaz e jamat k ahkam
User Info.
|
Mubashar Hussain - bassi_88@yahoo.com - faisalabad - Pakistan
|
Question ID
|
13771
|
Question Date
|
Friday, March 09, 2012
|
Mujtahid Name
|
imam azam
|
Question
|
Assalamo-Alaikum Jnb mera sawal ha k. imam k peshay namaz may qurat(twelevet) karnay ka kia hukam ha.
|
Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rak’at main ehiyaat e wajib ki bina per al-hamd or sorah nahi perhna chahiay or mustahab or afzal ye hay k on k bajaay Zikr e ilahi or dorood perhay.or isi terah zarori hay k muqtadi namaz e fajr,maghrib or isha ki pehli or dosri rak’at main al-hamd or sorah nah perh’hay(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1443,1447 & Minhaajus saliheen,Part#1,maslah#812) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Mubtilaat e roza
User Info.
|
mahrukh ahmed - shahidashafi_66@yahoo.com - peshawar - pakistan
|
Question ID
|
14974
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
sir kya roze ki halat mein nakhun(nails)kat sakte hain
|
Rozay ki halat mai nails katnay sai roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Mubtil roza
User Info.
|
Md jawed - Jawed092@gmail.com - Kolkata - India
|
Question ID
|
15161
|
Question Date
|
Thursday, August 02, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Ramzan me apni bivi ke sath hambistari kar sakta ya nahi
|
Mubasharat (intercourse)roze ko batil kar de te hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Fitra
User Info.
|
Naazneen Sultana Khan - rnk@bhelhyd.co.in - HYDARABAD - INDIA
|
Question ID
|
15162
|
Question Date
|
Thursday, August 02, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Assalam 0 Alikum. Mufti sahab hamara Q ye hai ke eas saal ka fitra kitna hoga. our kahete hai ke hamari salary me se bhi kitna persantejh nikal na hoga. Please hame bataye.
|
Jo gheza aap k shr(city) me istemal hote hai maslan gandum , jou in ka 3 kg (ya 3 kg ki qimat)dena hota hai. Aur agar qimat dain to os jins ki niyat karni ho gi jis jins ki qimat day rajay hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1952) Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
rizq
User Info.
|
abdul shakur - abdulsakurghoshi@gmail.com - sujangarh - india
|
Question ID
|
15177
|
Question Date
|
Thursday, August 02, 2012
|
Mujtahid Name
|
rizq
|
Question
|
meri biwi or sasur ne mere rozi par tala laga diya hai me koi kam karta hu lakin usme mughe niksan hota hai kya karu.
|
Do'stlaringiz bilan baham: |