Balig honay k baad tamam ibadatain wajib ho jati hain aur larka jab chand k hisab sai 15 saal puray karay balig ho jata hai is k alawa jab bhi mani kharij ho jae gi larka balig ho jata hai aur naaf k nichay sakht baa lug jain to bhi larka balig ho jata hai laikin larki k balig honay ki nishani ye hai k wo chand k hisab sai jab 9 saal puray kar lai balig ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2215)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Amar bil maroof aur nahi anil munkar ka wojoob mukallaf(yani Baligh merd or aurat) per apnay ghar walooo aur rishtay daroon ki nisbat shaded tar he. Is buniyaad per agar koe apnay ghar waloon , rishtay daroon aur deeni ehbaab se namaz aur roza aur khums k silsilay me be’tawajahi daikhay aur wo muharamaat k murtakib hotay hoon maslan gheebat aur jhoot wagirah. Be’ehtiyaati aur be’ baaqi ko daikhay to amar bil maroof aur nahi anil munkar k tinoo darjoo ki ria’yat kartay huay agay barhay aur in ko bura’i se rokay aur inko achay kamoo ki daa’wat de. Lakin baap aur maa ki nisbat ehtiyaat e wajib he k narmi se un ki rahnuma’e karay aur kisi bhi waqt un k saamnay sakhti se pesh nah aay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2011)
1)Darhi ka moondna Aihtiyat ki bina par jaiz nahi hay. Aur is per koi kaffar nahi he.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2038.)
2) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba)
3) Aap apnay dost ko amar bil maroof karain. Amar bil maroof wa nahi anil munkar main laazmi hay k khata kaar ki haisiyat o shaksiyat ko mad e nazar raka jaay keh osay aziyat or ihanat mehsoos nah ho or isi terah laazmi hay keh itni sakhti or dushwari say oski girift nah ki jay keh osay deen or deeni programe say nafrat paida ho jaay.
Amar bil maroof wa nahi anil munkar k chand darjay(steps) hain:
1) gunahgaar say dili azhaar e bayzari maslan rukh morh laina or baat nah kerna.
2) Zabaan say waaz o nasihat kerna
3) Amali iqdaam maslan maarna or qaid kerna
Or laazim hay keh ibtida pehlay ya dosray darjay say ki jay or pehlay oska intekhab karain jis main aziyat kam or asar ziyada ho.or agar natija hasil nah ho tu bil tadreej sakhti or dushwari ikhtiyaar karain or agar dili or zabani azhaar e nafrat asar andaaz nah ho tu naubat amali darjay tak pohanch jati hay or ehtiyaat e wajib hay k teesray darjay k intekhaab k liay hakim e shara say ijazat lain. (ref: a.sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2008,2010).
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
3)Dosray afraad k liay os shaks ko jo shadi nah ker raha ho amar bil maroof or nahi anil munkar kerna mustahab hay.Q keh amar bil maroof kerna mustahab hay is osrat main jab keh maroof ki anjaamdahi mustahab ho.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masayl, Maslah# 2008) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Amar bil maroof(naikiyo ka hokum daina) or nahi anil munkar(bura,eyo se rookna) 5 sharait k saath wajib hay.layhaza aap par wajib he k sharait ki maujodgi main on ko is gunah se rokain.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2009). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
- Agar koe shaks islaam k sahi aqaid per yaqeen rakhta ho or oska izhaar kerta ho agarchah ye izhaar marifat o basirat k saath nah bhi ho tab bhi wo musalmaan or momin hay or os par emaan or islam k tamaam ehkaam jari hoongay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah#1)
2- Amar bil maroof(naikiyo ka hokum daina) or nahi anil munkar(bura,eyo se rookna) 5 sharait k saath wajib hay.or ye aik aisa azeem deeni fariza hay k quran e kareem main Allah ne irshad ferya hay k “ tum main se aik garouh(group) aisa ho jo khair ki taraf daawat day or buraa,eyo se mana karay or yehi loog falah pane walay hain.” Or amar bil maroof or nahi anil munkar ki 5 sharait main se aik ye bhi he k khata kaar par amar bil maroof or nahi anil munkar k asar ka ehtemaal ho, is bunyaad par k koe shaks jaanta ho k oska kehna asar nahi karay ga tu fuqaha main mash,hoor he k is sorat main oska koe fariza nahi he, or amar bil maroof or nahi anil munkar os par wajib nahi he laikin ehtiyaat e wajib ye he k karahat or naraazgi ka izhaar khata kaar k is kaam par karay chahay jaanta ho k wo asar nahi lay ga.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2009)
3- Namaz deeni aamal main se behtareen amal he.Agar ye baargah e ilaahi main qabool ho gae tu doosri ibadaat bhi qabool hojain gi or agar ye qabool nah hoe tu doosray aamal bhi qabool nahi hoongay.
Huzoor nabi e kareem (s.a.w.w) ka irshad hay k “ jo shaks namaz ko ehmiyat nah day or osay mamooli cheez samjhay wo aakhirat main azaab ka mustahiq hay.( Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, pg# 121 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Amar bil maroof aur nahi anil munkar ka wojoob mukallaf(yani Baligh merd or aurat) per apnay ghar walooo aur rishtay daroon ki nisbat shadeed tar hai. Is buniyaad per agar koi apnay ghar waloon , rishtay daroon aur deeni ehbaab se namaz aur roza aur khums k silsilay me be’tawajahi daikhay aur wo muharamaat k murtakib hotay hoon maslan gheebat aur jhoot wagirah. Be’ehtiyaati aur be’ baaqi ko daikhay to amar bil maroof aur nahi anil munkar k tinoo darjoo ki ria’yat kartay huay agay barhay aur in ko bura’i se rokay aur inko achay kamoo ki daa’wat dain. Aur Amar bil maroof wa nahi anil munkar k chand darjay(steps) hain: 1)Gunahgaar say dili azhaar e bayzari maslan rukh morh laina or baat nah kerna. 2)Zabaan say waaz o nasihat kerna 3)Amali iqdaam maslan maarna or qaid kerna Or laazim hay keh abtida pehlay ya dosray darjay say ki jay or pehlay oska intekhab karain jis main aziyat kam or asar ziyada ho.or agar natija hasil nah ho tu bil tadreej sakhti or dushwari ikhtiyaar karain or agar dili or zabani azhaar e nafrat asar andaaz nah ho tu naubat amali darjay tak pohanch jati hay or ehtiyaat e wajib hay k teesray darjay k intekhaab k liay hakim e shara say ijazat lain. (ref: Ayatullah Sistani (d.b.), Tauzee hul masail, maslah # 2008-11). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
-ma na ap se pehle bhi sawal pocha tha magar jawab nahi mila, sawal ya ha k mare husband aksar muje ya bachon ko dante ha ya ma bhi late han, ma un ki dant ya marne par bhi khamoosh rehte hon to kia muje khamoosh rehna chaye ya amar bil maroof nahi anal munkir ke ehkam wife or bacho par bhi ho te ha maslan agar aik aurat apne shohar ki izat na kare ya bad tameeze kar , ya bache apne walid ya walda se bad tameezi karen to kia shohar apni wife par or walden bachon par aml bil maroof or nahi anal munkir ka process istemal kar sakete han . yani pehle samjhain or phir sakhte karen ya physical punishment den
Tertibi ghusal ka tareeqa aik hi hai chahay rozay ki halat mai kia jae ya aam dino mai kia jae aur tareeqa ye hai k ehtiyat-e-lazim ki bi per gusal ki niyat k bad phele pura sar o gardan aur bad me badan dhona zarori hai. Aur behtr ye hai k badn ko dhotay waqt badn k do hissay kiay jain pehlay right side sai dhoya jae phir left side sai.
Del
|
User Info.
|
MSDN Download - tbypfk@gmail.com - MSDN Download - http://www.facealive.com/
|
Question ID
|
48564
|
Question Date
|
Friday, June 07, 2013
|
Mujtahid Name
|
MSDN Download
|
Question
|
优质资æºåˆ†äº« 翱翔 , æµ·ç›—æ¹¾. MSDN Download http://www.facealive.com/
|
S/no:2
|
|
Print me- Delete
|
User Info.
|
sana - heenafarooqui89@gmail.com - bandra - india
|
Question ID
|
48566
|
Question Date
|
Friday, June 07, 2013
|
Mujtahid Name
|
wazifa shadi
|
Question
|
assalam alikum mene kafi din pehle kch.sawal kiya tha mjhe abhi tk jawab nai aaya me.intezar me hu plz jaldi mjhe mere sawalo ka jawab bhej diye apki meherbani hogi shukriya
|
User Info.
|
SHAKIR - shakir.butt@rocketmail.com - RAWALPINDI - Pakistan
|
Question ID
|
47479
|
Question Date
|
Tuesday, May 21, 2013
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
NBI PAAK PAI AKHRI AYAT KAB, konsi, kis halat mai nazil hui?
|
email
User Info.
|
M.A.MAJEED KHAN - mfizakhan68@gmail.com - HYDERABAD - INDIA
|
Question ID
|
46737
|
Question Date
|
Thursday, May 09, 2013
|
Mujtahid Name
|
Regarding Nikah
|
Question
|
Is Nikah jayaaz in masjid?
|
User Info.
|
Aamir Abbas - aamirkhan514@yahoo.com - Bhakkar - Pakistan
|
Question ID
|
32989
|
Question Date
|
Wednesday, January 02, 2013
|
Mujtahid Name
|
Syed Sadiq Sherazi
|
Question
|
mera Q ye hy ka Quran pak main lika hwa ha shadtain mean 3 shadatin. aur ye b lika hwa ha k Allah ki atat karo us Rasool saw ki aur us k Ule Ammar mean Mola Ali as ki? ab bnda namz ma b to phar skta ALi un wali yulha ?Quran ma ye to ni lika hwa k ye 3 shadatin namz, Azan,Kalma ma do is liye Jahn Rasool pak saw ki ghwai do whan Mola as ki b do?
|
User Info.
|
Ishrat Rizvi - ishrat.rizvi@unic.org - Islamabad - Pakistan
|
Question ID
|
32985
|
Question Date
|
Wednesday, January 02, 2013
|
Mujtahid Name
|
Sistani
|
Question
|
Situation: I am a salaried person. I spend my monthly salary for my normal living household, re-payment of bank loans and kifaalat of a widow sister, studies of orphan nephew and niece and care of my old father (as they are un able to earn). I do not live a levish life. I do not have a single rupee left over at the end of the month. Question: Kindly advise if I have to keep some money to pay khums ? If yes, what amount and how? In that case I will have to stop kifaalat of my above sadaat relatives - would it be adviseable? With best regards, Syyeda Ishrat Rizvi
|
User Info.
|
batool - batooljaffri@yahoo.com - nwb - pakistan
|
Question ID
|
34785
|
Question Date
|
Thursday, January 31, 2013
|
Mujtahid Name
|
Aya tullah Sistani
|
Question
|
aoa...agar koi muslim kisi kafir ki mushabehat ikhteyar kary (like jeans pehanna) to kia wo qayamat me usi qom k sath uthaya jae ga??
|
User Info.
|
abbas ali - agjatniwala110@yahoo.in - - india
|
Question ID
|
46769
|
Question Date
|
Friday, May 10, 2013
|
Mujtahid Name
|
sistani
|
Question
|
s.a kya imam zaamin ,sadqa ,imame zamana ka sadqa, aur niyaaz ke paise se kisiko sayed /non sayed ko ziarat par bhej sakte hai?
|
Agha khan mai job
|
User Info.
|
Zehra - szehra3088@gmail.com - Karachi - Pakistan
|
Question ID
|
46775
|
Question Date
|
Friday, May 10, 2013
|
Mujtahid Name
|
Sisitani SB
|
Question
|
Assalam Alikum sir, Dua Ap Hamesha Theak rahe. 1 sir mai ek syed hn kya mai agah khan board k school mai job karsakti hn. 2 mai ksi ap logo ki tanzeem ko join karna chati hn. 3 meri ek dost hai us ko ek suni lrka pasnd karta hai or mgr ab wo shia hogya or tamam kam karta hai mean majlis matam hr niaz nazar, mgr wo lrki mana krahe hai k syed log suni sy shadi nahe krty. wo khta hai k ab mai shia hn tm shadi kro ya na karo. ap btae kya meri dost ko us lrky sy shadi krni chae ya nahe.
|
1)Aisi school mai job karna jaiz hai. Ref nahi hai.
2)Quran o Itrat academy ladies section: Agar aap QIA mai admission lena chahti hain to is phone # par rabta karain: 021 32226948
3)Syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. Q k wo sunni shakhs abhi shia ho gya hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Ok
|
Agar koi talib e ilm surah e aaraaf surah # 7 ki ayat # 171 ko ko likh kar kitab mai os jigha rakh dai jahan sabaq yaad karna ho. Inshallah sabaq is terah yaad ho ga jaisay yaad karnay ka haq hai is k alawa ilm o fehm mai bhi ziadti ho gi. (Ref : Tajalliyat e quran pg # 56)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Namaz ki har rakat mai ruku k baad 2 sajday wajib hotay hain aur ye aur os ka tareeqa ye hai. sajda ye hai k khas shakl mai peshani ko khozu ki niyat sai zameen par rakhay aur namaz k sajday ki halat mai wajib hai k donoo hathalian , dono ghutnay aur donoo poun k aunghatay zameen par rakhay jain. Aur mustahab hai k namazi naak ko sajdagah ya kisi aisi cheez par rakhay jis par sajda karna durust ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1032-78)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note : Mazeed tafseelat k lie tauzeeh ki janib ruju karain.
Surah surah e aal e imran surah # 3 ki ayat # 73 ko agar koi shakhs bazoo par bandh kar kisi k zarie kisi aurat ko nikah ka paigam bejhay to qasid kamiabi k sath lotay ga. (Ref : Tajalliyat e quran pg # 34)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
er Info.
|
anam - anam.14starz@hotmail.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
31368
|
Question Date
|
Wednesday, November 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
aqae sistani
|
Question
|
salam..mera do sawaal h: 1) kia agr asar aur isha ki namaz se pehle aqamat ada kr di jae o sahi hoga ya phir usse pehle zuhr ya maghrib mai azan aur aqamat dno dena zaroori h? 2)kia aap mjhe wajib hijaab ki sharait bata skte h? agr koi aurat abaya ya coat na pehne lekin apne aap ko dupatta se mukamal dhanp le to kia yeh jaiz h? aur agr uska libas colored ho to kia hukm h? kia hijab mai jagah k hisaab se uska andaaz badla jaskta h? maslan market area mai abaya pehn li jae aur ksi k ghr jana hot dupatta pehn lia jae....pls mjhe iska answer zaroor de ga
|
Answer
|
|
Topic
|
Please specify in case of "Other"
|
Ehtiyat e wajib ye hai k quran majeed k wajib sajday mai insan apni peshani sijdagah ye kisi aisi cheez par rakhay jis par sajda karna sahi ho aur ehtiyat e mustahab ki bina par badan k doosray hissay zameen par isi terah rakhay jis terah namaz mai bataya gya hai. koi zikr na parhay tab bhi kafi hai aur zikr ka parhna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1085)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ok
Imam raza a.s. farmatay hain k kisi bhi kaam ko start karnay sai pehlay khuda ka nam “ ﺍﻠﻤﺒﺪﺉ ” parhay to wo kaam apnay anjam ko pouchay ga. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
1)Zaroori hai k aurat namaz mai apna tamam badn hatta k sar aur baal bhi dhapay albetta chehra, kalai tak hath aur takhnoo tak poun dhapna zaroori nahi hai laikin ye yaqeen karnay k lie k is nai badan ki wajib miqdar dhanp li hai zaroori hai k chehray k atraf ka kuch hissa aur kalai aur takhnoo sai nichay ka kuch hissa bhi dhapay laikin mozay(socks) pehanna wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 777)
2)Agar koi shakhs namaz k baad shak karay k doran e namaz is nai koi aisa kaam kia hai ya nahi jo namaz ko batil karta hai to o ski namaz sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1143)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Phone par nikah ho sakta hai q k nikah mai sigah parhna zaroori hai chahae phone par parhain ya samnay parhain laikin likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-2335)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Namaz ghar mai bhi parhi ja sakti hai magar Islam ki muqadas shriat mai bohat taqeed ki gae hai k namaz masjid mai parhi jae. Is k alawa masjid mai ziada jana chaheay aur os masjid mai jana jahan log kam aatay hon mustahab hai aur agar koi shakhs masjid k paroos mai rehta ho aur koi wajah bhi na ho to os k lie masjid k alawa kisi aur jigha namaz parhna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 880-884)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
1)Imam a.s. farmatay hein k jis ka nutfa kam ho ya kamzoor ho os k chahaea k sab se pehlay khuda ki bargah me istegfar karay aur is k bad anday(egg) aur piaz kasrat se khaien. (ref : kitab tib e islam pg # 54)
2)dar cheeni ko achi terah bareek pees kar rakh lain aur subah aur sham neem garam doodh k sath 2 masha (aik chutki) istemal karain inshallah behtreen ilaj hai. (Ref : apna dawakhana pg # 35)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Zaroori hai k isha ki nafal ehtiyat e wajib ki bina par beth kar 2 rakat parhi jae aur isha k baad parhi jae laikin q k nafal parhna mustahab hai is lie nafal ko chor bhi saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 752-755)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Do'stlaringiz bilan baham: |