Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet53/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   49   50   51   52   53   54   55   56   ...   91




1)Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. is lie ko chahea k istebra karain.

2)Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga.

3)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).


Ok

Bachooo k nam



S/no:19

http://qoitrat.org/qa/hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

mrs.sabika abbas - abbasbadami@hotmail.com - karachi - pakistan 

Question ID

16314 

Question Date

Friday, September 07, 2012 

Mujtahid Name

aqaii sistani 

Question

Salam plz tell me Wht da meaning of tahiyah?its Quranic word? My daughter name is tahiyah batool Urdu may.kis taraha likhay gay tahiyah ko 

Answer




Topic

 Please specify in case of "Other" 




Tahiyah(ﺍﻠﺘﱠﺤﯿﱠﺔ ) quran majeed mai 3 maqamaat mai akila istemal hua hai aur 3 maqamat par zameer(hum jo k pronoun hai) k sath istemal hua hai. jin 3 jigha par akila istemal hua hai os mai sai aik surah nissa, surah no 4 ki ayat no 86 mai zikr hua hai is k alawa surah noor, surah no 24 ki ayat no 61 mai bhi istemal hua hai aur surah furqan, surah no 25 ki ayat no 75 mai istemal hua hai. aur jahan par zameer k sath istemal hua hai un mai sai aik surah younus, surah no 10 ki ayat no 10 mai istemal hua hai aur surah Ibrahim, surah no 14 ki ayat no 23 aur aakhri mai surah ahzaab, surah no 33 ki ayat no 44 mai hua hai.(Ref : al mojum pg # 286)

Aur tahiyat ka matlab salam aur salami hai aur is ki jama tahiyaat( ﺘﺤﯿﱠﺎﺖ ) hai jaisay ﺍﻠﺘﱠﺤﯿﱠﺔﺍﻠﻌﺴﻜﺮﻰ yani fouj ki salami.(Ref :al qamoos waheed pg no 401) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).



ok

Shadi baiah



User Info.

umar - saeedumar34@yahoo.com - baku - aezbhican 

Question ID

16814 

Question Date

Saturday, September 29, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

asslamu alaikum sir ksy hu acha sir bat ye hai ky hum apni wife sey kis tariky se sex kr sagte hain hum or please 

1)Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hai k jima k waqt mustahab hai k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab biwi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makrooh hain un main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena, 5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main , 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna, 8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9.berhana (naked) halat main jima kerna, 10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna, 11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 )

2)Hambistari ki dua: Mustahabb hai k hambistari say pehlay apna haath biwi ki peishani k baal (hair of forehead) par rakhay aur ye dua perhay: ﺍﻠﻠﻬﻢ ﻋﻠﻰ ﻛﺘﺎﺑﻙ ﺘﺰﻮﺠﺘﻬﺎ ﻮ ﻔﻰ ﺍﻤﺎﻨﺘﻙ ﺍﺨﺬﺘﻬﺎ ﻮ ﺑﻛﻠﻤﺎﺘﻙ ﺍﺴﺘﺤﻠﻠﺖ ﻔﺮﺠﻬﺎ ﻔﺎﻦ ﻘﻀﻴﺖ ﻠﻰ ﻔﻰ ﺮﺤﻤﻬﺎ ﺷﻴﺌﺎ ﻔﺎﺟﻌﻠﻪ ﻤﺴﻠﻤﺎ ﺴﻮﻴﺎ ﻮ ﻻﺘﺠﻌﻠﻪ ﺸﺮﻚ ﺍﻠﺸﻴﻄﺎﻦ (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa bekalematekastahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”) Tarjuma: “Yaa Allah main nay teri kitaab k mutabiq is say nikah kia or teri amanat mai is ko lia hai or teray kalimaat k zarie sai is ki sharam gaah ko halaal kia, pas agar tu nai is k raham mai meray lie koi cheez ka faisla kia hay to is ko musallam aur kaamil qarar dai aur is main shitan ki shrkat na qarar dai.” (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,maslah # 4)

Note : Hambistri knay ka tareeqa maloom krnay k lie aap kitab islam aur jinsiaat mai sai parh saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok


User Info.

irfan - irf787@gmail.com - ajmer - india 

Question ID

16800 

Question Date

Friday, September 28, 2012 

Mujtahid Name

mubasarat 

Question

bivi ke sat hambistari kitne kitne dino me kr sakte h ? Hum bistari ka sahi islamic tarika konsa h ? 

1)Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi karsakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kartay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382).

2)Nafrat paida honay ka mouqa is waqt aa jata hai jab mard jima k fan ko fan e phlwani sai tabeer krta hai aur apni aurat par puray zor o shor sai toot kar pay dar pay mubashrat k zarie aurat par apni mardangi ka roeb jamanay ki koshish krta hai jab k ye bulkul galat hai. (Ref: Islam aur jinsiaat pg # 157)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note : Hambistri knay ka tareeqa maloom krnay k lie aap kitab islam aur jinsiaat mai sai parh saktay hain.

ok

User Info.

Imran - imkhan456@ymail.com - multan - pakistan 

Question ID

16803 

Question Date

Friday, September 28, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Agar koi larki apne nikah ke bad kisi na mehrum se jama karti hai tou kya nikah toot jata hai, aur wo apne shohar se khula kis tarah le sakti hai? 

1)Agar sohar dar aurat zina kray to ehtiyat e wajib ki bina par wo zani par hamisha k lie haram ho jati hai laikin sohar par haram nhi hoti hai aur agar toba aur istegfar na karay aur apnay amal par baqi rahay (yani zina kari trk na karay) to behtr ye hai is ka sohar isay talaq day dai.

2)Talaq khula : Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2367, 2492). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

ok

Shadi biah



User Info.

ahmed - ahmed8z@msn.com - -  

Question ID

16804 

Question Date

Friday, September 28, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

haiz ki halat main kia biwi kay pass jana bi haram hay kia ya phir kiss waqera ya sex kay aza ko chosa ja sakta hay 

1)Haiz k ayyaam (days) main aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono k liay haram hai, chahay dukhool sirf supari(paishab ki nali ka shuru ka chikna hissa) ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkah ehtiyaat-e-wajib yeh hai k supari se kam miqdar main bhi dukhool na kia jae. Albetta ye hokum aurat sai dubr mai jima k lie nhi hai laikin dubr mai jima, aurat k razi na honay ki surat mai ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nhi hai chahae wo haa’iz ho ya na ho.

2)Wo aurat jo haiz ki halat mai ho os sai jima k alawa doosri lutf-andozio maslan bas o kinar ki mumaneat nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448-451)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Na mehram sai batyain



User Info.

Gulrez Farooqui - Gulfarooqui09@gmail.com - Bihar - India 

Question ID

16807 

Question Date

Saturday, September 29, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Kya kisi gair mahrem se baat karna gunaah hai..  

Jins e mukhalif (na-mehram) sai batain krna jab fasad, burai aur gunah mai mubtilla honay ka khof ho to jaiz nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 58)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok


User Info.

sarah - raheelarohie@hotmail.co.uk - london - uk 

Question ID

16874 

Question Date

Tuesday, October 02, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

agar job na mile toh ka karna chaye? 

Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chnd martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Prize bond



S/no:64

http://qoitrat.org/qa/hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

majid laghari - majidbaloch110@gmail.com - sindh dadu - pakistan 

Question ID

15560 

Question Date

Monday, August 13, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

aakra prize band jaiz hai ya najaiz? plz ans 

Answer




Topic

 Please specify in case of "Other" 




1)Agar prize bond inaam k tour per dia jay to tamaam raqam aap k liay halaal hay or ye aap ki raqam per sood(profit) daitay hain tu agar bank muslman ka hay tu profit ka aadha deen daar faqeer ko daina hoga.(Ref:E-mail rcvd from farsi@alsistani.org, dated:18-02-2011)
2)Aakra sai aap ki murad agar lottery k ticket hain k in ticket k badlay mai aap paisay daitay hain ta k quran dazi main am niklay aur nam hasil karain to ye haram aur batil hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, jaded maslah lottery k ticket pg # 471)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Aulad ka nam



User Info.

abdul hamid - hwkhaleed1@hotmail.com - sagwara - india 

Question ID

16859 

Question Date

Monday, October 01, 2012 

Mujtahid Name

naam 

Question

kya hum baccho ka naam ruhul amin rakha sakte hai ya nahi. aur agar rakha sakte hai to is naam ka matlab bhi bataye. aur baccho ka naam taha aur yasin rakha sakte hai ki nahi kuran aur hadis ki roshni mai is ka jawab de. 

Mustahabb hai k bachay ka acha nam rakha jae chunke yeh bachay ka bap par haq hai, or riwayat me aya hai k "sab se acha nam wo hai k jis mai Allah jall shanohu ki ubudiyyat shamil ho or namo me sab se acha ambiya salwatullahe alyhim k nam hain" or inhi k sath aeema alyhemusslam k namo ko bhi mulhiq qiya jaye ga. or nabi salllaho alyhe wa aalehi wasllam se marawi he k aap ne farmaya: jis k yaha char awlad ho or usne un me se ek ka nam bhi mere nam se nahi rakha to usne nai mujh par jafa ki" or makrooh hai agar bachay ka nam Muhammad ho to us ki kuniyyat abul qasim rakhi jae or isi tarh makrooh hai ke aemma salwatullah alyhim ajmaeen k dushmano k nam se bachay ka nam rakha jae. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 387)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Shadi biah



User Info.

zohaib - zohaiblilani_786@hotmail.com - karachi - pakistan 

Question ID

16869 

Question Date

Monday, October 01, 2012 

Mujtahid Name

sistani 

Question

shadi ky baat biwi sy kab tak zina karna hota hai aur yeh amal roz karna hota hai yeh weak par hota hai ? aur jab preganent hojai tu zina hosakta hai  

Shadi k baad biwi sai hambistri ki jati hai na k zina aur jab biwi hamila ho jae to mustahabb hai k jima krnay sai pehlay wazoo kia jae. Aur jima krna kuch ayyam mai makrooh hai jin mai sai chand ye hain. 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena, 5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main , 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna, 8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9.berhana (naked) halat main jima kerna, 10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna, 11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 )

Is k alawa chand ayyam mai jima krna haram hai os mai sai aik ye hai k jab aurat haiz ki halat mai ho to os sai jima krna haram hai aur is k alawa bacha paida honay k 10 din tk jo khoon ata hai os mai jima krna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448,504) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

User Info.

ritesh - riteshtandel12@gmail.cow - valsad - india 

Question ID

38499 

Question Date

Thursday, February 21, 2013 

Mujtahid Name

 

Question

muje pimpal ki problam he muje koi raasata batae ge 


Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   49   50   51   52   53   54   55   56   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2025
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish