Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet49/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   45   46   47   48   49   50   51   52   ...   91

Jhoot bolna kabeera gunahoo mai sai hai laikin is sai wazoo batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Sheikh behai farmatay hein jis aurat ko hamal na hota tu wo surah e ra’ead ayat # 31 ko haroof e mo’qat’te’aat ki sorat main likh kar(yani ayat# 31 k tamaam alfaaz ko alag alag ker k likahin maslan ول و ان ق رآن ا س ی رت بہ ال ج ب ا ل او ق ط ع ت ب ہ ال ل ر ض او ک ل م ب ہ ال م و ت ی ب ل ل ل ہ ال ام ر ج م ی ع م ا) aurat k pehlu(pait) per bandhein hamila ho jay gi. Sheikh bahai farmatay hein k me ne ye ayat 900 auratoon ko likh kar de sab hamila ho gi. surah e ra’ead ayat # 31 (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 283) ۔ (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi.

1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360)

2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi.

1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai.

2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).




Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nail may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga. 4)Agar wo ratubat k peshab ya mani honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
tashahud

Jab koi shakhs Allah sai ahad karay k jab oski hajat puri ho jae gi to koi kaam karay ga. to jab hajat puri ho jae to zaroori hai k wo kaam anjam dai. Laikin ahad mai sigah parhna zaroori hai maslan kahay k “mai khuda sai ahad krta hon k mai ye kaam karo ga.”

Agar koi shakhs apnay ahad par amal na karay to wo ghunahgar hai aur zaroori hai k kaffara dai yani 60 faqeero ko pait bhar kar khana khelay ya 2 mahinay musalsal rozay rakhay ya aik ghulam ko aazad karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2630-2)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).




Shadi ki pehli rat aurat ko khoon ana zaroori nahi hai q k ho sakta hai k wo aurat kisi accident ki wajah sai apna kunwara pan khatm kar chuki ho. Laikin agar aap nai nikah k aqad mai shrt rakhi thi k larki virgin ho aur baad mai pta chalay k wo virgin nahi hai to aap nikah ko khatam kar saktay hain. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : April 21, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  



istemna

1)Istemna krna haram hai chahae kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253)

2)Ethiat e wajib k toor per fahash filmoo(porn movies) aur tasveeron(porn pictures) ko dekhna haram he agar chahah shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254)

3) Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi.

1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360)

2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi.

1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai.

2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370)

4)Jis shakhs nai apni yomia namazain in k waqt main a parhi hon to zarori hai k in ki qaza baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

qasam


1)Agar qasam tamam shriat k sath khai jae to agar baad mai jan boojh kar is qasam k khilaf amal kray to wo gunahgar hai aur zaroori hai k kaffara dai yani aik ghulam azad karay ya 10 faqeero ko pait bhar kar khana khalaye ya inhain kapray pehnay aur agar in ko baja na la sakhat ho to zaroori hai k 3 din musalsal roza rakhay.

2)Qasam khanay ki shriat mai sai hai k qasam khanay wala apnay ikhtiar sai qasam khae lehaza us shakhs ka qasam khana jisay mujboor kia gya ho durust nahi hai. aur qasam khatay waqt Allah ka nam lena bhi zaroori hota hai. Is k alawa qasam k alfaz zaban par lana zaroori hain.

3)Sharab pina haram hai aur baaz hadees mai osay gunah e kabeera bataya gya hai.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2633-34, 2596)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Qaza namaz

Jis shakhs nai apni yomia namazain in k waqt main a parhi hon to zarori hai k in ki qaza baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1356)Note: is hadees par bohat saray ishkal hain jin mai sai aik ye hai k hadees mai ye hai k os namaz k parhnay sai qaza namazoo ka kaffara ada ho jata hai, is sai ye sabit hua k kaffara to ada ho gya magar phir bhi qaza to apni jigha rahi jis terah rozay mai hota hai k qaza k sath kaffara bhi hota hai agar koi kaffara ada kar dai to phir bhi osay qaza roza rahkna parta hai. is k alawa ye hadees aik zaeef shakhs k hawalay sai hai k wo mola Ali a.s. k pas aya aur kaha k meri bohat sari qaza namazain hai aur un ko ada karnay ki taqat nahi hai to mola Ali a.s. nai kaha k tum ye parh lo, is sai ye sabit hua k wo zaeef honay ki wajah sai namaz ada nahi kar sakta tha. Aur bhi bohat sari batain hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Khanay pinay k ahkam

Parindoo ko on ki parwaz ki kaifiat dekh kar pechana jata hai, Har wo parindah jo urtay waqt paroo ko marta ziada aur be harkat kam rakhta ho, halal hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2587)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

rizq

Surah yaseem ki 1 martaba tilawat karain. (Ref : Payam E Shifa pg # 236)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).



Mubtilat e roza




Jee han istemna krnay sai roza batil ho jata hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok




Darhi




Ehtiyat e wajib ki bina par darhi mundwana jaiz nahi hai chaye ramzan Mubarak ho ya na ho. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 2042 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok


Roza


1)Istemna krna haram hai chahae kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253)

2)Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay.

3)Jo shakhs ramzan ki kisi raat junub ho jae aur janta ho k agar soe ga to subah tk bedar na ho ga ehtiyat e wajib ki bina par osay begair ghusl kiay nhi sona chahea aur agar wo ghusl krnay sai pehlay apni marzi sai so jae aur subah tk bedar na ho to is ka roza batil hai aur qaza aur kaffara donoo wajib hai.

4)Jo shakhs ramzan ki kisi raat junub ho jae aur yaqeen ya etminan rakhta ho agar wo so gya to subah ki azan sai pehlay bedar ho jae ga aur is ka pakka irada ho k bedar honay k baad ghusl kray ga aur is iraday k sath so jae aur azan tk sota rahay to is ka roza sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1591-1600)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok


Mubtilat e roza


Jee haan ramzan mai mai sar k baal katwa saktay hain.(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1553 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok





Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain.(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok


1)There are certain acts which are Mustahab while drinking water, they are as follows:

  1. Water should be drunk slowly as if it were sucked.

  2. During daytime, one should drink water while standing.

  3. One should say Bismillah, before drinking water and Al-hamdulillah after drinking.

  4. One should drink water in three sips.

  5. One should drink water when one feels thirsty.

  6. After drinking water, one should remember Imam Husain (A.S.) and his Ahlul Bayt (A.S.), and curse the enemies who slew him.

2)It is unworthy to drink too much water, to drink water after eating fatty food, and to drink water while standing during the night. It is also unworthy to drink water with one’s left hand, to drink water from the side of a container which is cracked or chipped off, or from the side of its handle. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2601-02)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).






















Baqra eid k din(hajj k ilawa dosere jaghao me) qurbani kerna mustahab e maukadah hay.or is qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main ka’e aafraad(many persons) ki shirkat jaiz hay.(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4).

Hajj me jo qurbani wajib hote hai is me ye sharait hain:wajib hai k qurbani me oot(camel) ho ya ghay(cow) behr ho ya baqre(goat). oot(camel) ki omer me zaroore hai k wo 5 saal pure kar k 6 saal me dakil ho chuka ho , ghay(cow) ho ya baqre(goat)me ehtiyat wajib ki bina per 2saal mukamal kar chuke ho aur 3saal me dakil ho chuke ho aur goosfan me 7 month(mahene) mukamal kar k 8 month me dakil ho chuka ho . qurbani me ye bhi zaroore hai k is k aza salim ho pas kana,lanra,kaan kata aur sink tota waghaira kafi nahe hai aur khase bhi na ho makar ya k kohe dosera na milraha ho .ye bhi zaroore hai k louqo k ahtebaar se kamzoor na ho .(ref.manasiq hajj ,aqa sistani ,masla 384)


Mustahab qurbani me wo sharait hona zaroore nahe jo wajib qurbani me beaan kiye ghaye hai siwaye umer wali shart k yani ehtiyate wajib ki bina per oot(camel) ki omer me zaroore hai k wo 5 saal pure kar k 6 saal me dakil ho chuka ho , ghay(cow) ho ya baqre(goat)me ehtiyat wajib ki bina per 2saal mukamal kar chuke ho aur 3saal me dakil ho chuke ho aur goosfan me 7 month(mahene) mukamal kar k 8 month me dakil ho chuka ho .(sistani .org arbi porstion, topic azha) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 






Mard k leye namehram aurat k badan ya baal ko maas karna haram hai.(laikin agar dokhul na hoa ho yani mard ne apna penis (ala tanasul) aurat ki sharam gha me dakhil na kiya ho to ye zina nahe hai) (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 16) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).


Islam baqi asmani adian ki terah iffat aur pakisgi ki hifazat ka alambardar hai. Allah nai quran mai zina ki muzammat krtay huay surah bani israil surah # 17 ki ayat # 32 mai kaha hai k tum zina k qareeb mat jao yaqeenan wo qabil e nafrat burai aur bura rasta hai. Is k alawa hadees mai bhi is gunah ki bohat muzammat ki gae hai, Hazrat imam Jaffar e Sadiq a.s. farmatay hain k “zina krnay walay k lie 6 qism ki saza hain 3 dunya ki aur 3 aakhirat ki. Dunya ki sazain: 1)Zina sai chehray ka noor khatm ho jata hai 2)zina sai faqr o iflas ata hai 3)zina sai mout jaldi ati hai. Aakhirat ki sazain: 1)Zina sai Allah naraz hota hai 2)zina hisab ki sakhti ka sabab banta hai 3) zina hamisha ki dozakh ka sabab hai. mazeed farmaya k qayamat k din sab sai ziada azab mai wo shakhs ho ga jis nai apna nutfa haram rehm mai dala ho ga yani zina kia ho ga.” (Ref : Moharammat e Islam pg # 318-19)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  


“ ﺍﻨﺎﷲﻭﺍﻨﺎﺍﻠﻳﻪﺮﺍﺟﻌﻭﻦ ”Ye ayat parh kar gunshuda cheez o talash kia jae to jald mil jae gi aur agar na milay to Allah is sai behtr cheez ata karay ga. (Ref : Tajalliyat e quran pg # 26) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
1)Istimna (kise tariqe se mani kharij) karna haram hai.(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)

2)Abu Baseer bayan kartay hain k imam jafar e sadiq a.s. nai farmaya k qayamat k din khuda 3 qism k afrad sai kalam nahi karay ga aur inhain ghunahoo sai paak nahi karay ga aur inhain dardnak azab ho ga un mai sai aik wo shakhs hai jo istemna karay. (Ref : Moharammat e islam pg # 337)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Wazan barhanay k lie: 1-Khajoor ka 1 dana ublay hoay chawal k pani k sath khoob achi terah pees lain phir is main thorha sa pani mila ker chotay bachcho ko 2, 3 mertaba dainay se kamzoor bacahy tandrust or tawana ho jatay hain. 2-Pakay hoay timataro ka taza rus chotay bacho ko din main 2, 3 baar dainay se bachchay sheet mand o tawana hotay hain. (Ref: Book, Tandurusti aap k hath main,published by aalamgeer welfare turust, pg#39). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  


Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)

Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (Ref : kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

1)Nikah ki 2 qismain hain 1- daimi nikah yani puri zindagi ka nikah 2-mutaa yani time period ka nikah. Ashari mazhab k imam nai apni kitab mai likha hai k hazrat umar nai mimbar par ye ailan kia tha k “3 batain rasool e khuda k dour mai jaiz thi. Mai in sai rook raha honaur in ko haram qarar deta hon aur jo in 3 batoo par amal karay ga mai osay saza don ga aur wo batain jinhain mumnooe kar raha hon wo ye hain 1-hajj e tamattu 2-mutaa 3- azan sai ﺤﻰﻋﻠﻰﺨﻴﺮﺍﻠﻌﻤﻞ”. (Ref : Muharammaat e islam pg # 96)

2)Kisi aurat k saath mutaa karna agarchah lazzat haasil karnay k lie na ho tab bhi sahi he. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2385) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Waldain chahay kaisay hi ho un k sath naiki hi karni ho gi imam Jafar e Sadiq a.s. nai farmaya hai k : “ jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghazab sai ghooray jab wo is par zulm kar rahay hon to khuda is ki namaz qabool nahi karta.” Is k alawa waldain sai naiki karna un tamam aamal sai afzal hai jin k zarie Allah ka qurb hasil kia ja sakta hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 298-9 pg # 175-6)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).


Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.

Jab Ruku k baad uthay aur sidhay kharay ho to badan k sukoon ki halat mai hotay huay “ﺴﻤﻊ ﺍﷲ ﻠﻤﻦ ﺤﻤﺪﻩ ” kehna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1030)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

send



Islami shriat mai jumma k din gusal krna mustahab shumar kia gya hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 634)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ok

SEND







Musalman aurat kafir mard sai shadi nahi kar sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2362)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Ok

SEND


qasam




Qasam sahi honay ki shriat mai sai hai k qasam khanay walay k lie qasam par amal krna mumkin ho. Yani qasam khatay waqt amal krna mumkin ho aur bad mai is par amal krnay sai aajiz ho jae to qasam batil ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2634)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok


SEND

Bijli ka ghair qanooni istemal jaiz nahi hay or aisa kam kernay wala zamin hay laikin is chori ki bijli say hasil honay walay pani say wazu or ghusal durust hain or namazain bhi sahi rahain gi.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Jaded fiqhi masail, maslah #229,Mujtahid say pochay gay sawalaat, part#3,maslah#186 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).




khums








Eid ul azah ki qurbani me wajib hai k qurbani me oot(camel) ho ya ghay(cow) behr ho ya baqre(goat).(ref.manasiq hajj ,aqa sistani ,masla 384) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.

Aurat ka qabaristan mai jana jaiz hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 202,pg # 85)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).








Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67 )


Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   45   46   47   48   49   50   51   52   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2024
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish