nikah main larkay or larki k kitnay wakeel hony chaheyain,or agar wakeel pooray na hoon to kya nikah ho sakta hai?
Nikah k waqt ghawaoo ka mujood hona wajib nahe hai balke mustahab hai.(ref. minhajus salaheen #3 aqa sistani masla#3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Mera Swaal yeh hai k quran pak ki wo konsi ayat hai jis main insanu aur jinnu ko ALLAH PAK ne apni makhlooq kaha hai. please answer mje mere mail kar dijiye ga.
1)Surah zaariyaat surah no. 51 , ayat no .56 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Rozay ki halat mai mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Ahkam e nikah
User Info.
ali rizvi - rizvis60@gmail.com - karachi - pakistan
Question ID
14961
Question Date
Saturday, July 28, 2012
Mujtahid Name
ayatullah sistani
Question
ek khatoon ne 2 shadian ki,pahle ek admi se or phir unki death k bad us admi k bhai se phr 2nd shohar ki b death hugai.dono shohron se ek ek larki hy.kya in dono larkio ki shadi ek he larkay se ho sakti hy?ya phr soteli behno ka b ek admi k nikah me jama hona jaiz nahi hy?
Q k wo donoo behn ban chuki hain is lie aik shakhs aik waqt mai in donoo sai shadi nahi kar sakta hai chahae daimi nikah karay ya gair daimi(mutaa). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2355 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
hess ki halat mein quran majeed ki tilawat jaiz hai ya nehi???
1)Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay on Ayaat ka halat e janabat or halat haiz main parhna haraam hay.wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fassulat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain.Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
kiya aurat ka haiz k dino me QURAN majeed perhna jaiz hai agar wo quran majeed ko kapray ya digital quran k zareye perrhay to es k baray me kiya hukam hai?
Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay on Ayaat ka halat e janabat or halat haiz main parhna haraam hay.wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fassulat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain.Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
ehtilam / roza
User Info.
HAFIZ SAMI - HAFIZSAMI15@YAHOO.COM - FAISLABAD - PAKISTAN
Question ID
14803
Question Date
Sunday, July 22, 2012
Mujtahid Name
Question
SLAM AP KO MERA SAWAL YE HAI KY ROZY KI HALAT MAIN EHTLAM
Agar rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Agar rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahe hota hai.. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Sadi biah
User Info.
Ch anwer - ch.anwer992@yahoo.com - - Pakistan
Question ID
15062
Question Date
Monday, July 30, 2012
Mujtahid Name
Question
Mera swal ye hai ky kiya orat ky pichy sex krny se bucha paida ho jata hai or ik pragnet ort ky sth agy 8th month tk sex kr skty hain bagair condom ky.pliz jaldi reply kari
Mustahabb hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5)
Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k bachay k lie nuqsan day to nahi hai (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Asa mard ki satar doosray mard k samnay Khul janay ki soorat main wadu toot jata hay ??
1) Is se wuzu batil nahi hota he. Sirif 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas)(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq’ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakain tu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istehaza 7)janabat.
2)Balig musalman ki sharamgah dekhna haram hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322, 2400) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Janabat
User Info.
Somia - Javed.somia@yahoo.it - Genova - Italy
Question ID
15058
Question Date
Monday, July 30, 2012
Mujtahid Name
Question
Mera sawal yeh hai ke kiya jis tarah ladhko ko ahtlam hota hai aur un par ghusl wajib hojata hai is tarah ladhkion ko bhi hota hai or un per ghusl wajib hojata hai. Plzz mujhe puri tafseel bataen ke woh pani kis had tak hota hai kuin ke main bohat arse se is masle se pareshan hun jaldi jawab dijiye
Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Mubtilat e roza
User Info.
khan - hadeem_khan@yahoo.com - kotli azad kashmir - pakistan
Question ID
15057
Question Date
Monday, July 30, 2012
Mujtahid Name
Question
sir mera sawal ye ha k me rozy me tha r ak larki sy chat kr raha tha us sy koi sex related bt b ni ki lekn mjhe bilkul thore c mani nikal gai. Kya mera roza tot gya ha! R me bagar gusal k namaz ada kr sakta hu! R rozy k alawa is tarah ho jae to bagar gusal k namaz ho sakti ha!
1)wo ratoobat jo khabi khabar shewat ubharnay par mard ki peshab ki nail sai kharij hoti hay wo pak hai aur ghusl bhi wajib nahi hota hai. Aur namaz bhi parh saktay hain aur wazoo bhi batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70,72)
2)Mazi kharij hone sai roza batil nahe hota hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat roza ques # 40 pg # 33)
3)agar yaqeen ho k mani hi nikli hai to phir roza batil ho jae ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
4)jins e mukhalif sai chatting karnay mai jab fasad, burai aur ghunnah mai mubtila honay ka khof ho to jaiz nai hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 79 pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Mbtilat e roza
User Info.
arif zaidi - arizzaidi2000@yahoo.com - lucknow - india
Question ID
15056
Question Date
Monday, July 30, 2012
Mujtahid Name
janab sestani sb.
Question
agar roze ki halat me ho aur sote waqt apne aap mani nikal jae toh kya roza toot jata hain
Agar rozay ki halat me ehtalam(neend mai mani ka kharij hona) ho jaye tu roza batil nahe hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
agar aek ladki kisi ko pasand karti ho aur us se shadi karna chahati ho likin aghar walon mai tanazah ho toh kya kiya jiye ,,,,
1)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342)
2) Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway ef salaheen pg # 352)
Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Qamar dar akrab mai jima karna makrooh nahi hai. (Ref : E-mail rec from sistani d.b. dated 2 - oct -2010)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Quran Majeed ki takreeban 40 surtain alif sai shru hoti hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Gunahon sai bachnay k bohat sai tariqay hain jin mai sai chand yai hain k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 5)khaas tor par namaz e shab ki pabandi karain. 6)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Jo shakhs surah e hood (surah no. 11) ko zafran sai likh kar 3 din tak subah wa sham piay ga to is ka dil qawi aur taqat-war ho jae ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 87)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
1-Enjeer ko doodh or jow k aaty main milakar lep karein . 2-Chehrey par chayon ki jaga ungliyan phertey hoay sorah e hijr ayat # 21(Sorah # 15) or sorah e shuraa(Sorah # 26) ki ayat # 72-73, 3 martabah parhain tu chand dino main chehra nikhar ker saaf o shafaaf hojaay ga.(Ref : Naway e salheen pg 338). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Aqiqay ka ghost hindu kha to sakta hai magar momineen ki jamat ko dawat di jay aur afzal hai k 10 afrad ko dawat di jae. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 394-5)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).