Mustahabb hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5)
Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k bachay k lie nuqsan day to nahi hai (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Mubtilate wazoo
User Info.
|
Abdul basit - Bakhoo76@hotmail.com - London - Uk
|
Question ID
|
15066
|
Question Date
|
Monday, July 30, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Asa mard ki satar doosray mard k samnay Khul janay ki soorat main wadu toot jata hay ??
|
1) Is se wuzu batil nahi hota he. Sirif 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas)(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq’ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakain tu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istehaza 7)janabat.
2)Balig musalman ki sharamgah dekhna haram hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322, 2400) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Janabat
User Info.
|
Somia - Javed.somia@yahoo.it - Genova - Italy
|
Question ID
|
15058
|
Question Date
|
Monday, July 30, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Mera sawal yeh hai ke kiya jis tarah ladhko ko ahtlam hota hai aur un par ghusl wajib hojata hai is tarah ladhkion ko bhi hota hai or un per ghusl wajib hojata hai. Plzz mujhe puri tafseel bataen ke woh pani kis had tak hota hai kuin ke main bohat arse se is masle se pareshan hun jaldi jawab dijiye
|
Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Mubtilat e roza
User Info.
|
khan - hadeem_khan@yahoo.com - kotli azad kashmir - pakistan
|
Question ID
|
15057
|
Question Date
|
Monday, July 30, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
sir mera sawal ye ha k me rozy me tha r ak larki sy chat kr raha tha us sy koi sex related bt b ni ki lekn mjhe bilkul thore c mani nikal gai. Kya mera roza tot gya ha! R me bagar gusal k namaz ada kr sakta hu! R rozy k alawa is tarah ho jae to bagar gusal k namaz ho sakti ha!
|
1)wo ratoobat jo khabi khabar shewat ubharnay par mard ki peshab ki nail sai kharij hoti hay wo pak hai aur ghusl bhi wajib nahi hota hai. Aur namaz bhi parh saktay hain aur wazoo bhi batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70,72)
2)Mazi kharij hone sai roza batil nahe hota hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat roza ques # 40 pg # 33)
3)agar yaqeen ho k mani hi nikli hai to phir roza batil ho jae ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
4)jins e mukhalif sai chatting karnay mai jab fasad, burai aur ghunnah mai mubtila honay ka khof ho to jaiz nai hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 79 pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Mbtilat e roza
User Info.
|
arif zaidi - arizzaidi2000@yahoo.com - lucknow - india
|
Question ID
|
15056
|
Question Date
|
Monday, July 30, 2012
|
Mujtahid Name
|
janab sestani sb.
|
Question
|
agar roze ki halat me ho aur sote waqt apne aap mani nikal jae toh kya roza toot jata hain
|
Agar rozay ki halat me ehtalam(neend mai mani ka kharij hona) ho jaye tu roza batil nahe hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Ahkam e nikah
User Info.
|
Raheen - raheenullah99@gmail.com - srinagar - india
|
Question ID
|
14796
|
Question Date
|
Sunday, July 22, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
agar aek ladki kisi ko pasand karti ho aur us se shadi karna chahati ho likin aghar walon mai tanazah ho toh kya kiya jiye ,,,,
|
1)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342)
2
)
User Info.
|
mohammad irfan - irfan.pandith123@gmail.com - srinagar - india
|
Question ID
|
16408
|
Question Date
|
Wednesday, September 12, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
salam alikum mera savaal yeh ke mai aik shai hoon or or mai aik sunni ladke sa shade karan chahta hoon magar us ka ghar vala ejazat nahe data hai kya main os ka gharvaloon ka bagar nikha kar sakhta hoon
|
1)Kisi gair shia sai shadi krna agar gumrahi ka khof na ho to sahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 134,pg # 70)
2)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Mustahab hay k namaz ki pehli takbeer or namaz ki dermiyaan digar takbain kehtay waqt haatho ko kano k baraber tak lay jain(yani rafa yadain karain).(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 942 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
khatna mai wajib had us hissay ka katna hai jo hashfa ko dhak leta hai jis ko gulfa kaha jata hai, is tarh sai k hashfa ka surakh aur us ki jild zahir ho jay, agar che us hissay ki tamam jild ko na kata jay aur tamam hashfa ko zahir na kiya jaye, bahar hal itni miqdar me kata jay k khatna kaha ja sake. (Ref : www.sistani.org/urdu/khatna/q1) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Namaz mai roku
User Info.
|
Aijaz Ali - aijazalibaloch786@gmail.com - Karachi - Pakistan
|
Question ID
|
14682
|
Question Date
|
Tuesday, July 03, 2012
|
Mujtahid Name
|
Ayatullah Sistani sahab
|
Question
|
ruku me nazar kahan rakhni chahye sajde gah pe ya tango ke darmian?
|
Ruku mai mustahabb hai k namazi donoo poun k darmian dekhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1030) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
Nigah dalnay k ahkam
User Info.
|
arsalan ali - ali.arsalan@rocketmail.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
14680
|
Question Date
|
Tuesday, July 03, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
AoA.agar accidentally behen ki upper body without cloth per nazar pargai lekin koi shahwat mehsoos na ho tou kia ye gunah hoga?aur kya behen say mujhay mafi mangni chahiay?
|
Jo mard aur aurat apas mai mehram hon agar wo lazat ki niyat na rakhtay hon aur haram mai mubtila honay ka khof na ho to sharamgah k alawa aik doosray ka pura badan dekh sakay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2401)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
Shadi biah
User Info.
|
saif - quadri76@yahoo.com - hyderabad - india
|
Question ID
|
14681
|
Question Date
|
Tuesday, July 03, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
assalamualaikum mera sawaal yeh hai ke kya condom kagane se gunaah nahi hoga
|
Ehtiyate wajib ya hai k ( comdom ) istemal karne se phele sohar apni biwi se ijazat lai .(aqa sistani jaded fiqhe masail ,masla 465,pg # 254)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ok
10622
kay shoher apni biwi ka jisam dakh sakta ha?or kay biwi apny shoher ka jisam dakh sakti ha?
Sohar aur biwi aik doosray ka pura badan dekh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2400)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ahkam e niakh
User Info.
|
YOUSUF RAZA - SYEDYOUSUFRAZAG@YAHOO.COM - MAHMOOD KOT - PAKISTAN
|
Question ID
|
14671
|
Question Date
|
Sunday, July 01, 2012
|
Mujtahid Name
|
AYYAT ULLAH SISTANI
|
Question
|
SIR,MERA QUESTION HY KY MAIN NY PEHLAY EK LARKI SY BURA KAM ZINHA KEA HY PHR US SY SHADI KR RHA HN TO KEA MERI SHADI HO SKTI HY KEA.US KA KEA KAFARA DENA PARY GA
|
1)Zina krna gunah e kabira hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 29)
2)Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hay k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
ok
Zina
User Info.
|
Amer - Sdameer786@gmail.com - Parbhani - India
|
Question ID
|
14670
|
Question Date
|
Sunday, July 01, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Agar koi ladki mere sath janabat ke liye raji ho to kya mai kar sakta hun
|
Jee nahi ye zina hai aur zina krna gunah e kabira hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 29)
send
Namaz e shab
User Info.
|
syed sarfaraz hussain - sarfarazh@gmail.com - Karachi - Pakistan
|
Question ID
|
14678
|
Question Date
|
Monday, July 02, 2012
|
Mujtahid Name
|
Aayat-ul-Allah Seestani
|
Question
|
AOA kia namaz-e-shab ko chalty/phirty huway bagher Qibla ruk k ada ki jasakti hia jissay nafala namaz ada ki jasakti hia
|
Namaz e shab mustahabb hai aur mustahabb namaz rasta chaltay huay parhi ja sakti hai aur agar insan is halat mai namaz parhay to to zaroori nhi k is ka monh qiblay ki taraf ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 769) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
send
shadfi
User Info.
|
Alvira kazmi - Ali16@live.in - Delhi - India
|
Question ID
|
14668
|
Question Date
|
Saturday, June 30, 2012
|
Mujtahid Name
|
Marriage
|
Question
|
I am a shia syed girl. Can i marry with sunni syed boy His name is Nadir Hasan Rizvi
|
If you fear that you will go astray, and this is a possibility, then wedding is Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Allowed. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 136,pg # 62) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
send
aulads
User Info.
|
sanaibrar - sana_khan5375@yahoo.com - lahore - pakistan
|
Question ID
|
13754
|
Question Date
|
Thursday, March 08, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
sallam mari shadi ko 2 saal hony waly hn likn mari aluad nai hn ma na doctor sa b check karwaya koi faida nai howa aap plz mjy koi wazeefa batye k mari alud ho jay aap ki bri maherbani ho gi thankx
|
Agar koi darj zail asmae husna ko talab e aulad ki niyat sai 40 roz tk har namaz k baad bila-nagah 40 martba prhay to wo sahib e aulad ho ga. Asma e husna ye hain “ ﯿﺎﺍﻭﻞ ﯿﺎﺑﺎﺮﺉ ﯿﺎﻤﺻﻮﺮ ﯿﺎﺨﺎﻟﻕ ﯿﺎﻤﺑﺪﺉ ” (Ref : Naway e Salaheen pg # 401) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
send
Ilaj
User Info.
|
Khalid baloch burewala - Khalid.Baloch76@yahoo.Com - Burewala - Pakistan
|
Question ID
|
13755
|
Question Date
|
Thursday, March 08, 2012
|
Mujtahid Name
|
Shadi kar loon kya
|
Question
|
Molvi Sahib Mera Azzu Khaas Chota Or Patla Hai 3" Ka Hai Shadi Kar Loon Ya Koi Elaaj Btaye
|
Nojawaan jab ghair mutabir afraad ki taraf ruju kertay hain tu wo onhain ghalat mashwara daite hain, maslan merdo main aam taur se yehi baat bayaan ki jati hay k merdo k aala e tanasul (penis) main 3 khososiyaat hona zarori hain: 1- Lamba or seedha ho. (Large & straight), 2- Mota ho. (thick), 3- Sakht ho. (hard). Or aam tabeeb (doctors) bhi yehi taleem merdo ko daite hain laikin jahaan tak uzo e tanasul (penis) ka chota ya lamba hone ka sawaal he, tu osay bas is qadar hona chahiay k Indaam e nihaani (yani sharam gaah) ko mutaharrik ker sakay or sub se ziyada hassaas(sensitive) sharam gaah ka baahar ka hissa hota he. Khaas taur per bazr (Clitoris) or os tak pohanchne k liay chota uzo bhi kafi hota he. Laihaza penis k chote berhe hone se koe faraq nahi perhta, albatta penis ka bohot hi ziyada bera hona takleef ka sabab hota he. Or penis k te,rha(crookedness) hone se bhi koe faraq nahi perhta Q k wo sharam gaah main jane k baad khud hi seedha ho jata he. Penis k mota or patla honay se bhi koe faraq nahi hota, Q k aurat ki sharam gaah k naram or lachak-daar raysho main phailne or sokarhne (Shrinkage) ki salahiyat hoti he. Or itna sakht hona zarori he k aurat ki sharam gaah main asaani k saath dakhil ho sake. Ghalat tabeeb ghalat raey day ker nujawaan nasal ko mayoos ker daite hain. {Laihaza aise tabeebo (doctors) se bacha jaay}.(Ref: Tehqeeqi islami encyclopedia,mu,allif doctor sibt e shabbar zaidi,wakeel e ayatollah muntazari, part#1, pg#110-111 ).
Arnica + Lycopodium + Olive.ye oil Penis k massage k liay behter hay laikin massasge bohot ehtiyaat se karain k kaheen mushtzani nah ker baithain. mushtzani(Handprctice) se bachain Q k hay harm hay or mushtzani kisi bhi sorat main jaiz nahi hay. (Ref http:/h/abchomeopathy.com/forum2.php/124370/ + http://sistani.org/index.php?p=616687&id=1213 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Do'stlaringiz bilan baham: |