User Info.
|
sameer - sziya45@yahoo.com - mumbai - india
|
Question ID
|
14965
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
taqleed
|
Question
|
assalam alaikum ramzan me biwi ke sath kya mubashrat karne se roza toot jata hai ya bat karne se jo mizi yani jo pani ata hai us se roza toot jata hai ya nahi
|
1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he.
2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga.
3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye.
4)Jima (intercourse) rozay ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576, 1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
zeshan kashif - pak_pia@yahoo.com - islamabad - pakistan
|
Question ID
|
14977
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
janabat kay ghusal kay faraiz
|
Question
|
asalam.o.alikum mera ap sy sawal hai k ramzan mei agar mei biwi sy janabat karta hon aur ghusal nai karta bs wazu kar k roza rakh leta hon aur subha naha nai pata tau kia mera roza ho ga ya makroh ho ga plz answer me shukriya
|
Jo shakhs ramzan ki raat mai junub ho jae to zaroori hai k fajar k waqt sai pehlay ghusl karay. Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1591) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
urooj - uroojwaseem91@yahoo.com - pakistan - karachi
|
Question ID
|
14966
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
rozay me mehandi, oil,or cosmatic use krsakty han?
|
Jee han ye tamaam cheezain istemal kar saktay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
User Info.
|
jawad - syedrehmani56@hotmail.com - dg khan - pakistan
|
Question ID
|
14967
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
sunni dewbandi
|
Question
|
kia khud ba khud vomit any se se roza toot jata ha
|
Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Agar sehwan ya be-ikhtiar vomit ho jae to is sai roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1618)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
User Info.
|
ahmad - ahmad24412@yahoo.com - rawalpindi - pakistan
|
Question ID
|
14964
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
kiya ramzan mein bwivi se sohbat kar sakten hain ya nehi
|
jima(intercourse) karnay se roza batil hojata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1565) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Roza k mubtilaat
User Info.
|
fahad ehsani - fahadehsani@gmail.com - muzaffarpur - india
|
Question ID
|
14962
|
Question Date
|
Saturday, July 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
ahle hadees
|
Question
|
kya mazi nakalne se aadmi napak hojata hai aur gusul wajib hojata hai kya isse raza par koi fark padta hai
|
1)Mazi kharij hone se roza batil nahe hota hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat roza ques # 40 pg # 33) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
2) mazi pak hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ahkam e roza
User Info.
|
parvez shaikh - parvezahmed50@gmail.com - mumbai - india
|
Question ID
|
14957
|
Question Date
|
Saturday, July 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Ramza main hambestri ka baad gusal subah kab tak kry.
|
Ramzan mai roza rakhnay k lie waqt namaz fajar se phele ghusl janabat karna zaroori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1591)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
haiz
User Info.
|
zeeshan - stylishstyle0067@yahoo.com - dammam - saudia arabia
|
Question ID
|
14954
|
Question Date
|
Saturday, July 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
kiya agar kise larki ko menses ho tu woh raza rakh sakti ha ya nahe detail ma batae
|
1)Din me (roze ki halat me ) haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche ye khoon maghrib k kareeb hi q na aaye is ka roza batil hai.
2)Is halat me wo roza nahe rakh sakte hai.
3)Ramzan k wo rozay jo kisi aurat nai haiz ki wajah sai na rakhay hoon zaroori hai k un ki qaza karay . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1612, 448, 459 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Mubtilaat e roza
User Info.
|
kashif - kashlovingparson@yahoo.com - lahore - pkistan
|
Question ID
|
14952
|
Question Date
|
Saturday, July 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
muslman
|
Question
|
sir iam kashif mera ap se sawal ye hai k apni bivfi se roze ki halat mein sex karna matlab k andar dahil na ho sirf upar hi touch karne se roza toot jaye ga or kya roze ki halat mein aisa karna jaiz hai
|
Jima rozay ko batil kar deta hai chahae peshab ki nail supari tak hi dhakil ho aur mani bhi kharij na ho. Lakin srif touch karnay sai roza batil nahi ho ga . aur agar mani kharij ho jay to roza batil ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565-67) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
shah - muqaddas.s@mail.com - london - u.k
|
Question ID
|
13796
|
Question Date
|
Saturday, March 10, 2012
|
Mujtahid Name
|
aayat ul allah sistani
|
Question
|
nikah main larkay or larki k kitnay wakeel hony chaheyain,or agar wakeel pooray na hoon to kya nikah ho sakta hai?
| -
Nikah k waqt ghawaoo ka mujood hona wajib nahe hai balke mustahab hai.(ref. minhajus salaheen #3 aqa sistani masla#3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
Kashif Raza - crazysid786@yahoo.com - Sialkot - Pakistan
|
Question ID
|
13795
|
Question Date
|
Saturday, March 10, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Mera Swaal yeh hai k quran pak ki wo konsi ayat hai jis main insanu aur jinnu ko ALLAH PAK ne apni makhlooq kaha hai. please answer mje mere mail kar dijiye ga.
| -
1)Surah zaariyaat surah no. 51 , ayat no .56 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Makroohat e roza
User Info.
|
ubaid - afzal.ubaid@yahoo.com - rawalpindi - pakistan
|
Question ID
|
14951
|
Question Date
|
Saturday, July 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
ky ramzan ka rozay ka doran apne wife ko kis kr saktay haan
|
Rozay ki halat mai mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Ahkam e nikah
User Info.
|
ali rizvi - rizvis60@gmail.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
14961
|
Question Date
|
Saturday, July 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
ayatullah sistani
|
Question
|
ek khatoon ne 2 shadian ki,pahle ek admi se or phir unki death k bad us admi k bhai se phr 2nd shohar ki b death hugai.dono shohron se ek ek larki hy.kya in dono larkio ki shadi ek he larkay se ho sakti hy?ya phr soteli behno ka b ek admi k nikah me jama hona jaiz nahi hy?
|
Q k wo donoo behn ban chuki hain is lie aik shakhs aik waqt mai in donoo sai shadi nahi kar sakta hai chahae daimi nikah karay ya gair daimi(mutaa). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2355 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
amjad - ali.shams56@yahoo.com - kedah - malaysia
|
Question ID
|
14808
|
Question Date
|
Sunday, July 22, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
hess ki halat mein quran majeed ki tilawat jaiz hai ya nehi???
|
1)Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay on Ayaat ka halat e janabat or halat haiz main parhna haraam hay.wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fassulat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain.Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
aamna - aamna_sajjad2090@yahoo.com - makkah - saudia arabia
|
Question ID
|
14805
|
Question Date
|
Sunday, July 22, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
kiya aurat ka haiz k dino me QURAN majeed perhna jaiz hai agar wo quran majeed ko kapray ya digital quran k zareye perrhay to es k baray me kiya hukam hai?
|
Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay on Ayaat ka halat e janabat or halat haiz main parhna haraam hay.wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fassulat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain.Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
ehtilam / roza
User Info.
|
HAFIZ SAMI - HAFIZSAMI15@YAHOO.COM - FAISLABAD - PAKISTAN
|
Question ID
|
14803
|
Question Date
|
Sunday, July 22, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
SLAM AP KO MERA SAWAL YE HAI KY ROZY KI HALAT MAIN EHTLAM
|
Agar rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahe hota hai.. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Rozay k ahkam
User Info.
|
ali - aliraza4020@yahoo.com - lhr - pak
|
Question ID
|
14798
|
Question Date
|
Sunday, July 22, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
kya ahtlam hone sa roza tot jata ha
|
Agar rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahe hota hai.. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Sadi biah
User Info.
|
Ch anwer - ch.anwer992@yahoo.com - - Pakistan
|
Question ID
|
15062
|
Question Date
|
Monday, July 30, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Mera swal ye hai ky kiya orat ky pichy sex krny se bucha paida ho jata hai or ik pragnet ort ky sth agy 8th month tk sex kr skty hain bagair condom ky.pliz jaldi reply kari
|
Do'stlaringiz bilan baham: |