Refn: Cd on Dars e Islam by Moulana Sadiq Hassan



Download 50 Kb.
Sana25.06.2017
Hajmi50 Kb.
#15105

NIKAH


Refn: Cd on Dars e Islam by Moulana Sadiq Hassan.

Quran nay kaha hai kay Rasul is liye aaya hai kay woh bojh ko tumhaari gardan par say hata sakay jo tum par pehlay zamaany may daali gayi thi..

Quran yeh keh raha hai kay : “Unhi logo ko najaat milegi jo is Rasool par a.} Eimaan laayega, b.}Uski izzat karega, c.}Uski madad karega, d.}Us noor {Quran/Ahlaybait} ki pairawi karega jo Rasool kay saath utaara gaya.”

Is ka amali matlab yeh hai kay jitna ho sakay utna deen ko maasharay may phailaao lekin is kay liye humaaray paas fiqh ki mukammal maalumaat zaruri hai.

Rasul farmatay hai “Aurato ki mohabbat meri sunnat may shaamil hai aur jo meri sunnat ki pairawi karna chaahta hai, baghair shaadi kay zindagi na guzaaray.”

Rasul s.a.w.s ki aur ek hadeeth jis may woh farmaatay hai” Nikaah meri sunnat may say hai. Aur jo Nikah say doori ikhtiyaar karay woh mujh may say nahi.”

Aur aap nay yeh bhi farmaaya kay, “Tum may say badtareen marnay wala woh hai jo baghair shareek e hayaat kay maray.”

Sure Room ki aayat may irshaad ho raha hai kay Khuda ki nishaaniyo may say ek nishaani {7 ayatay nishaani sooraj ko paida, hawaako chalaanay ka, qaainaat ki takhleeq} kay Khuda nay tum may say tumhaari hi jaisi biwiyo ko paida kiya aur in biwiyo ki paidaaish ka maqsad yeh hai kay tumhay sukoon haasil ho aur Khuda nay tumhaaray darmiyaan mohaabaat aur meherbaani ka jasba ek doosray ki dil may rakha hai.Yeh koyi maamuli nishaani nahi. Agar parwardigaar e aalam is tarah say aurato ko paida kar de aur nikaah ka hukum nahi deta to insaan kay liye duniya may rehna kitna mushkil ho jaata

Tamaam marajaye yeh likhtay hai kay nikaah bhi paanch qismo ka hota hai:

Wajib: Eg:Agar koyi {sahi aur halaal tareeqay say} nazar, ehad ya qasam kar/kha lay nikaah karnay kay liye to us par nikaah wajib ho jaayega.

Agar koyi aisi aurat{ not a married lady} ho kay shaadi na honay ki wajah say usay nuksaan/zarar pahuch raha ho{ Aisa zarar jo Islam may haraam ki manzil par ho} eg koyi aisi beemari kay shaadi nahi ho to woh aurat mar jaayegi or for eg in some communist states if an unmarried lady ki jaan aur izzat ko nuksaan pahuch raha ho to us aurat say shaadi karna wajib hoga. {This is wajib e kifaayi}

Agar nikaah na karnay ki wajah say aadmi zina may mubtela ho jaayega ya aur koyi haraam may mubtela ho jaayega {yeh buri nigaaho say aurato ko dekhayga, ya aisi haraam films dekhega jo Islam may haraam, ya istimna karega, ya khayaalo may jinsi lazzat haasil karega}{Therefore humaaray maashray may jald shaadi karna….}

Mustahab: Nikah e Saani bhi mustahab hai. “Aurat agar ghairat karay to kufr hai aur agar mard ghairat karay to yeh eimaan ki nishaani hai.” {Nahjul Balagha}

Mubah: Jab do cheezay takra rahi ho. Ek taraf shaadi ka sawaab doosri taraf koyi aur kaam jiska sawaab bhi itna hi ho. Eg ilmay deen haasil karna mustahab aur shaadi karna bhi mustahab but here mubah bec doosray mustahab say takra rahi hai.

Makrooh: Jab shaadi ki wajah say koyi makrooh kaam karna padhay.

Haraam Agar koyi admi nikah karnay say koyi aur wajib us say choot raha hai to nikah karna haraam eg kisi aadmi par ilmay deen haasil karna waajib ho jaaye aur agar woh nikaah karay to ilmay deen haasil na kar paayega to is kay liye haraam ho jaayega. Ya koyi aur wajib haq eg jehaad waajib ho gaya aur agar nikah karega to jehaad may na jaa sakay ga to kyu jihaad wajib then here nikaah haraam. Or for eg Hajj wajib ho gaya aur agar usay pata hai kay agar shaadi kar lay to Hajj na kar payega {bec of kharcha aur zimmedari}

Nikaah Islam may mustahab hai lekin kabhi unwaanay saanawi ki wajah Nikah wajib, kabhi haraam, kabhi makrooh
Rasul e Khuda par eitraaz kay bahut shaadiya to is baat par gaur karay kay unhonay pehlay 35 saal un ki zouja Bibi Khadija kay saath guzaaray aur phir 10 saal may baaqi shadiya ki aur in 10 saalo may woh itnay masroof thay kay 80 jungay ladi in 10 saalo may. Ab in jungo ki wajah say bahut auratay bewa ho gayi aur Rasul e Khuda nay is ka hal doosri shaadi bataaya. Taakay maashray may zina na ho. Rasul e Khuda ko pata tha kay maashray may is baat ko phailana mushkil hoga is liye unhonay nay khud hi aur shaadiya ki aur yeh baat bhi zehan may rakhi jaaye kay unhonay ziyaadatr shaadiya bewa aurato say ki aur kuch to aisi bewa auratay jin kay do teen bachchay bhi thay. Humaaray upar chaar {4} shaadiyo kay baad paabandi hai

Baaz logo kay liye doosri shaadi bhi makrooh aur haraam ho sakti hai.


Acc to Aga Khoei and Imam Khomeini.

Islam kay aitbaar say Nikaah mustahab. It is saabit from Quran hadeeth e mutawaatira and ijmaa. Quran kehta hai kay tum apnay may say jo be shouharo ki auratay hai un ka nikaah karaao aur jo tum may say ghulam aur kaneezay hai un ka bhi nikah karaao aur agar yeh log faqeer aur ghareeb hongay Allah apnay fazal say inhay ghani karega. Allah wusat bhi rakhta hai aur ilm bhi rakhta hai.

Momin kay eimaan may izaafa kar hi nahi sakta jab tak woh nikaah na karay.

Paigambar ki sunnat hai Nikah aur faqat shaadi hi nahi balki saath saath aurato say mohabbat bhi Rasul ki sunnat may hai. “Ambiya kay akhlaaq may say ek hai aurat say mohabbat karna. {halaal waali mohabbat – Shaadi kay kay baad.}yaani nikaah aur nikaah kay baad biwi kay saath mohabbat kay saath rehna Islam kay mustahabaat may say hai.

Paigambar s.a.w.s. “Tumhaari duniya say mainay do hi cheezo ko li hai, ek khushboo aur ek aurat ki mohabbat aur namaz meri aankho ki thandak hai.”

Nikah kay fawaaid

1. Rizq ki Barkat: Rizq aurato aur bachcho kay saath aata hai. Tum shaadi karo Allah tumhay ghani karega.

2. Deen ki hifaazat Paigambar nay kaha, Jis nay shaadi karli usnay apnay aadhay deen ko bacha liya baaqi aadhay deen ko bachany kay liye taqway ki zarurat hogi

Riwaayato may intehaayi qaraahiyat hai kay bagair shareek e hayaat kay zindagi guzaarnay ki. Jahaanum waalo ki aksariyat unki jinhonay shaadi na ki hogi.

Nikah faqat usi kay liye mustahab nahi hai kay jis ko uskay nafs pay qaabu paana mushkil ho raha ho balki uskay liye bhi mustahab hai jiska nafs usay bikul pareshaan na kar raha ho. Kyukay nikaah kay lazzat kay alaawa bhi Islam nay bahut saaray faayeday bataaye hai.

Maasum ka irshaad “Momin ko kya ho gaya kay woh shaadi kyu nahi kar raha taakay yeh zameen bhaari ho jaaye lailaaha illallah kehnay waalo say.”

Paigambar ka yeh kehna kay qayaamat kay din tamaam ambiya ki ummato kay saamnay mai ay musalmaano tumko pesh karkay fakhr karunga kay dekhiye meray maannay waalay kitnay ziyaada hai.

Ek hi nikaah mustahab nahi balki ek say ziyada mustahab hai. Ismay aarzi nikaah bhi aa jaata hai aur kaneez kay zariye bhi sawaab haasil kiya jaa sakta hai.

Aisa aadmi jis ki khwaahish hai magar uskay liye nikaah mumkin nahi haalat ki wajah say us kay liye mustahab hai kay woh ziyaada say ziyaada rozay rakhay aur apnay baalo ko badha lay.

Mustahab yeh hai kay betiyo ki shaadi jitni jald as jald ki jaaye woh behtar hai. Maasum ki hadeeth kay Kis bhi baap ki khushqismat hai woh baap jiski beti apna pehla ghusl shouhar kay ghar may karay. Ladkiya ba manzilaa phal kay hai kay jab pak jaata hai to agar aur pakaa nay kay liye darkht par chod day to woh aur nahi pakta balki gal sad kay gir jaata hai.

Makrooh hai bahut chotay bachcho ki shaadi karna khususan baaligh honay say pehlay. Jaaez hai par sawaab kho detay hai.

Mustahab yeh hai kay shaadi ka kharcha jitna kum say kum ho behtar hai aur aurat ka meher jitna kum say kum ho behtar hai.

Islam kay intehaayi mustahabaat may say ek hai shaadi biyaah kay liye bhaag dour karna, zariya banna, waasta banna, aur sifaarish karkay ladkay waalay aur ladki waalo ko raazi karna. Khayaal rahay kay kisi taraf dhoka nahi hona chaahiye. Yeh gunaahaanay kabeera may say hai.

Moula e Qainaat nay farmaaya kay Islam may shaadi kay moukay par ladkay ya ladki ko raazi karnay ki zimmedaari lena ho is say badi/achchi koyi zimmedaari hai hi nahi.

7th Imam jis din maidaan qayaamat may har aadmi dhoop aur pareshani aur sooraj kay neechay khaday honay ki zahmat may mubtela hoga teen aaadmiya ko khuda apanay arsh kjay saaye may jagah dega.

1.} Woh aadmi kay jisnay ek momin ladkay aur ek momin ladki ka rishta karaany kay liye bhaag doud ki ho

2.} Woh aadami kay jis nay kisi momin ko kisi pareshaani say bachaaya hoga.

3.} Woh aadmi kay jis nay kisi momin kay raaz ko chupaaya hoga.

Paigambar s.a.w.s nay irshaad farmaaya kay, “Jis waqt koyi momin ek shaadi tay karaanay kay kiye apnay ghar say baahar nikalta hai to parwardigaar usay 1000 aisi hoor ata karta hai jo doore yaaqqot kay mehal may rehti hai aur har ek qadam aur har saas kay liye ek saal mukammal ibaadat ka sawaab milta hai chaahay shaadi na ho sakay. Aur sab say boora ghar say nikalna kisi shouhar aur biwi kay beech judaayi/tafarqa daalnay kay liye nikalna. Jahummum may 1000 kuwway tayyar kiye jaayengay aur har qadam aur har saas kay liye 1 saal ka azaab milega jaha usnay koyi ibaadat na ki ho aur musalsal khuda ki nafarmaani ki ho chahay shouhar aur biwi may ikhtelaaf na ho sakay.”


Nikah Islam may mustahab hai lekin agar qasday qurbat kay baghair agar kiya jaaye to usay sawaab nahi milega. Nikah ho to jaayega magar sawaab say mehroom rahega agar niyyat na ho qasday qurbat.


Class 2

NIKAH


Ref: Moulana Sadiq Hassan

Darse Islam CD 3 Dars 404

Jab bhi insaan kabhi qurbat karay to mustahab yeh hai kay niyyat, iraada, koshish yeh ho kay usay aualaad zarur paida ho.

In the hadeeth also – Insaan jab bhi kurbat ikhtiyaar karay wajib to nahi balki intehaayi mustahab{Taaqeed waala mustahab} hai kay woh aulaad honay ka tasawwur karay.

Nikah ek mustahab amal hai aur ek shakhs jo nikah karta hai usay us waqt yeh hi niyyat karni chaahiye ki yeh amal A…. ka hukum hai aur A…. issay raazi aur khush hoga. To isay sawaab milega aur yeh ek ibaadat hai.

Haalaat ki wajah say kabhi kabhi nikah haraam, mubah, makrooh ya wajib bhi ho jaata hai.

Khud nikah mustahab hai lekin yeh zaruri nahi us ka jitna tareeqa e kaar hai woh sab mustahab rahega. For eg umrah mustahab hai but to go by bus or train or by air has no relation to mustahab. Similarly yeh zaruri nahi kay jo aurat bhi nikah kay qaabil nazar aaye woh mustahab hai. Jis aurat say nikah kiya jaaye us ki bhi paach {5} qismay hai.


  • Baaz auratay hai jin say nikah haraam hai.

  • Zaatan haraam hai: {Humesha say haraam hai humesha rahegi.} Due to relation – Jo mehram hai aur uspar pardah saakit hai.eg. maa, beti, nani, dadi, bhatiji.

  • Sababan haraam hai: For eg saali say nikah haraam hai jab tak uski behan us shakhs kay saath hai. {Due to a situation}{agar ek shadi shuda aurat say ek shakhs zina karay to phir woh aurat us kay liye humesha haraam ho jaayegi, ek shadi shuda aurat.}

  • Jam’an haraam hai For eg Do behno ka jamaa karna.

Eg: saali, bhawaj, jis ki shadi jo gayi ho.

Jo aurat kisi doosray kay niqah may hai- jab tak sahi talaq jari nahi ho. {Court/government talaq agar ho gaya to bhi niqah nahi ho sakta.

Jis aurat ka shouhar gaayab ho gaya ho.

Jis say zina huwa hai.

{Sauteli beti say bhi nikah haraam}

Har woh aurat jissay humesha niqah haraam tha aur humesha haraam rahega woh aurat mehram hai aur usko parday ki zaroorat nahi.




  • Woh auratay jinsay nikah karna mustahab hai. E.g. Jo deendaar ho, jiskay baal baday ho etc.




  • Woh auratay jinsay nikah karna makrooh hai. E.g. Daaee {midwife}Woh aurat kay jisnay is mard ki paidaaish kay waqt is ki maa ki madad ki thi.




  • Woh auratay jinsay nikah karna wajib hai. Suppose you don’t marry this lady then it will be a nuqsaan for this lady then it will become wajib on us to marry this woman, agar koyi aur shaadi kay qaabil nahi hai.




  • Woh auratay jinsay nikah karna mubaah hai. Agar ek aurat hai jissay niqah karna mustahab hai aur aap nay kisi aisi aurat say niqah kiya jissay nikah karna mubah hai to aap ko woh mustahab aurat say nikah ka sawaab nahi milega.

Nikah karnay ka tareeqa:

Islam may nikah ka tareeqa bada aasaan hai.Insaan jis khaandaan may rishta karna chaahay chalaa jaaye kahay mai nikaah karna chaahta hu. Woh log raazi ho jaaye. Wahi baithay baithay nikah ka khutba padh lay. Baap nay beti ka haath thama diya daamaad kay haath may. Moulavi ki bhi zaroorat nahi, khud ladki/ladka bhi seeghah e nikah padh saktay hai. Yeh Nikah bikul sahi hai. Lekin in may kuch mustahabaat hai jiska khayal rakhna achchi baat hai, taakay sawaab badhta jaaye. Wajib sirf itna hai kay ladkay aur ladki may pehlay say koyi mehram ka rishta na ho. Ladki shadi kay qaabil ho. Ladki sigaah padhay aur ladka haa kahay.


  • Mustahab hai kay pehlay payaam diya jaaye phir wahaa say qubool ho us kay kuch arsay kay baad shadi ho.

  • Shaadi ka iraada kar liya, abhi kahi rishta nahi bheja mustahab kay do rakat namaz padhay {like fajr.} Intehaayi taaqeed yeh namaz kisi aurat ko muayyan karkay na padhi jaaye. If already decided also pray before sending payaam.

  • After 2 rakat namaz ek khaas dua padhay. Dua may yeh hai kay “A… jismay meri behtari ho duniya aur aakherat may aisi aurat say mera rishta ho jaaye.” Apnay alfaaz may padhnay say achcha hai kay maasumeen ki dua mil jaaye. {Available in Tehzibul Islam} Yehi dua wohi istekhara hai jo shaadi say pehlay karna chahiye. {Humaaray paas jo istekhara jaaez hai us ki bhi apni ehmiyat hai.}

  • Nikah say pehlay khutba zarur padha jaaye. Khutbay may paach cheezay hona chahiye. A…. ki taareef ho, phir shahaadatayn yaani Khuda ki touheed ka aur Rasul ki risaalat ka iqraar, phir durood on Rasul and aale Rasul {Many aulama kay agar durood padh lay to no need , kuch nikah ki fazeelat bataayi jaaye, kuch taqway ki naseehat ki jaaye and last shouhar aur biwi kay haq may dua ki jaaye. Behtareen khutba woh jo 9th Imam a.s. nay apni shadi kay waqt Mamun Rasheed kay darbaar may diya tha.

  • Gawah rakhay jaaye kum say kum 2: Agar gawaah na ho to bhi nikah sahi hoga. {Ahl- e- sunnat kay nazdeeq agar gawah nahi to shadi batil hai. In talaq we require a gawah, without which talaq will not take place but in Ahl-e- sunnat no gawah is required for talaq. Humaaray eitbaar say Islam nay nikah{daimi} ko aasaan say aasaan banaaya hai aur talaq ko mushkil say mushkil banaya.}

  • Insaan nikah ka elaan karay : Nikah ko chup kar nahi karna chahiye.{Only 2 gawaah, shouhar biwi parents will not fulfill this mustahab} Nikah alal elaan karna chahiye. Logo tak ittela pahuch jaaye.{Nikah e daaimi}

  • Nikah raat kay waqt kiya jaaye. Din kay waqt na kiya jaaye.{ Namaz e maghribain kay baad.}Raat ka matlab sooraj doobnay kay baad.

  • Nikah kay baad walima kiya jaaye. Rasul e Khuda s.a.w.s farmaatay hai, “Nikah kiya karo raat kay waqt aur walima kiya karo din kay waqt. Imam Reza a.s. “Jo shouhar aur biwi kay darmiyaan pehli martaba taaluqaat qaayam ho woh raat ko qaayam karo aur walima karo din kay waqt.”

Waleemay kay paach {5} mustahabaat.



    1. Walima ya usi din kiya jaaye jis din nikah huwa hai ya us din kiya jaaye jis din rukhsati { jis din shouhar biwiw kay taaluqaat qaayam huwe ho} huwi hai.Nikah say pehlay bhi walima kar saktay hai.

    2. Walima ek din karay to mustahab hai, 2 din karay tab bhi theek hai/ jaiz hai aur gar teen din karay to makrooh hai. Rasul e Khuda s.a.w.s. “Walima pehlay din tum par haq hai aur do din – woh bhi jaaez hai aur teen din – woh riya hai, dhoka hai, dikhawa hai. A…. ko chodkar logo kay saamnay apni izzat banaana hai.”

    3. Insaan walimay may momeneen ko zarur bulaaye: Gair e momin/kafir ko bhi bulaya jaa sakta hai. Lekin momin ko bulaaya jaaye to ziyada sawaab hai.

    4. Jab koyi momin walimay ki daawat day to us daawat ko qubool karna mustahab hai. Sirf jaana nahi, khana bhi mustahab hai.

    5. Jin momeneen ko aap bulaaye un may kuch faqeer bhi hona chahiye. Faqeer e sharayi hona chahiye faqeer e urfi nahi. Jin ki aamdani kum aur jaaiz kharcha ziyada hai. Chahe woh aap kay rishtedaar, padosi, community, etc. Hadeeth of Rasul e Khuda s.a.w.s. “Kya mai na bataau kayu sabsay badtareen walima kounsa hai? - Woh walima jis may sirf agniya ko bulaaya jaaye.” {Khaatay peetay logo ko bulaaya jaata hai.}Baaz riwayato may hai kum as kum 10 logo ko bulaya jaaye.

5 waleemay Islam may mustahab hai.

3 ka taaluk insaan ki istawaaji zindagi say hai, 1 ka taaluq insaan ki maasharati zindagi say hai, 1 ka taaluq kisi ibaadat say hai.

Hajj say waapasi kay baad.

Shaadi ka walima

Makaan kharednay ka waleema

Bachchay ki wilaadat ka walima wilaadat kay 10 din kay andar

Bachchay kay khatnay ka waleema.

Yeh waleemay A… kay liye honay chahiye A.. ki ibaadat kay liye. {Aur yeh moukay woh hai jab insaan takabbur may mubtela ho sakta hai






Download 50 Kb.

Do'stlaringiz bilan baham:




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2024
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish