1)Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan pernay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 72)
2)Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hai k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235)
3)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. Note : agar zina sai kisi larki ka kawara pan khatam hua ho tu ye kawari hi kehlay gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341-42)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Wazoo
User Info.
|
Ahmed ali - Sonuahmed_72@yahoo.com - Azad Kashmir - Pakistan
|
Question ID
|
32684
|
Question Date
|
Sunday, December 23, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Kia istanja k bagair wuzu ho jata hai? Aur shaadi ki pehli raat ko tareeka
|
1)Jee han agar aza e wazoo pak hon to wazoo ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 275-278)
2)Biwi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hai k jima k waqt mustahab hai k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab biwi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makrooh hain un main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena, 5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main , 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna, 8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9.berhana (naked) halat main jima kerna, 10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna, 11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 )
3)Hambistari ki dua: Mustahab hay k hambistari say pehlay apna haath bivi ki paishani k baal (hair of forehead) par rakhay or ye dua perhay: (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa bekalematekastahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”) Tarjuma: “Yaa Allah main nay tairi kitaab k mutabiq is say nikah kia or tairi amanat mian is ko liya hay or tairay kalimaat k zariye say is ki sharam gaah ko halaal kia, pas agar tu nay is k rehem me mairay liay koe cheez ka faisla kiya hay tu is ko muslam or kaamil qarar de or is main shaitaanki ki sharkat na qarar de.” (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, maslah # 4) Note : Hambistri knay ka tareeqa maloom krnay k lie aap kitab islam aur jinsiaat mai sai parh saktay hain.
Hokumat ki chori
User Info.
|
jawaiD abbas - jawaiD_abbas50@hotmail.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
32679
|
Question Date
|
Sunday, December 23, 2012
|
Mujtahid Name
|
ayatulah sistani
|
Question
|
sir salam, sir mera question yeh hai ke mere ghaar me light k 2 lines hai aik mere khuD apne meter ke or Dosre kese se le hoe hai us line ka me per month Rs .200 pay karta hoo. mujes itna pata hai k woh line jo muje mill rahi hai who banDa chore ke line chalaa rah ahi per me us ke kemat aDa kar rahia hon . or mere apne light ka bill b pay karta hoo . 1- keya woh line rite hai 2- agar rite hai to keya me us light se nemaz aDa kar sakta hoo
|
Bijli ka ghair qanooni istemal jaiz nahi hay or aisa kam kernay wala zamin hay laikin is chori ki bijli say hasil honay walay pani say wazu or ghusal durust hain or namazain bhi sahi rahain gi.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Jaded fiqhi masail, maslah #229,Mujtahid say pochay gay sawalaat, part#3,maslah#186 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
send
ilaj
User Info.
|
- - - Faisalabad Pakistan
|
Question ID
|
32680
|
Question Date
|
Sunday, December 23, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Aslam-o-Alikum. Sir mera question hai k ek question me ap ny Arnica+Lycopodium+Olive ka azo tanasul per massage ka zikar kiya tha mujy ye btayen ye kea chezen han en ko kesy prepair kiya ja sakta hai? Ya ye market sy teyar shuda mil sakti han kisi mehlol ki sorat me? Our dosri bat ye k ap ny ek sawal k jowb me ap ny IMAM A.S sy mansob kaha ha k egg our piaz khaen ye khacha khana ha ya paka kr.
|
1)Ye items aap ko homoeopathic ki shop par mil jae gi.
2) Wazifa : Aik shakhs nai Imam jaffer sadiq(a.s) ki khidmat main arz kia k main chahta hoon k jinsi lazzat se bohot ziyada luft uthaon laikin aisa nahi hota, mujahy koe aisa hal batain k jis se meri ye tamanna pori ho jay tu Imam(a.s) ne fermaya k “ safaid piyaz kat kar ghee main tal lo, os k bad aik bertan main anda(egg) dal kar thora sa namak dalo or phir osi anday ko surukh ki hui piyaz main dal do or kuch dair pakne do. ye ghiza khane se aap ko jinsi lazzat hasil ho jay gi.” Os shaks ka kehna hay k main ne imam(a.s) k kehne k mutabiq amal kia or is ghiza ki barkat se apni murad ko pa lia.( Ref : tib be islami or jaded medical science , pg # 54). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
send
haiz
User Info.
|
arooj - aliza_princess18@yahoo.com - lahore - pakistan
|
Question ID
|
32699
|
Question Date
|
Monday, December 24, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
asalamalikum...mujhe apse pochna hai k jasey hum koi wazifa karte hein 40 days ka toh woh har namaz k baad 4 example humein ya rahimo ki tasbi karni hai 40 days tak toh kya hum periods k din mein yei wazifa nai phar sakte kya yei din hum baad mein purey karein ya hum periods mein b phar sakti hein plz reply .........
|
Periods k dinoo mai aurat un abadatoo ko anjam dai sakti hai jin k lie wazoo, ghusl ya tayammum krna zaroori nhi hai. yani aap in dinoo mai asma e ilahi ka wird kar sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448) note : Periods k doran wazifay par amal kia ja sakta hai.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
send
User Info.
|
Aneela - aneelamsums@yahoo.com - Lahore - Pakistan
|
Question ID
|
13852
|
Question Date
|
Monday, March 12, 2012
|
Mujtahid Name
|
ds
|
Question
|
Sir, Jo qawaliyan Hazrat Muhammad PBUH ke shan maiin parhee ya gai gain hon music kay saath to kia woh sunna aur parhna jaiz hay plz hadees ke roshni say batain?
|
Ginna haram hai, Is sai murad wo batil kalam hai jisay aisi lai k sath gaya jay jo lohv o laeb ki mehfiloo sai makhoos ho. Isi terha aisi lai k sath quran aur dua ya is jaisi cheezoo ka parhna bhi jaiz nahi. Aur mosooqi yani aalaat ko is terha bajana jo lohv o laeb ki mehfiloo sai mutabiqat rakhay haram hai is k alawa haram nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
mian biwi k masail
User Info.
|
Rrr - Www.bewafa20092000@yahoo.com - Lahore - Pakistan
|
Question ID
|
13854
|
Question Date
|
Monday, March 12, 2012
|
Mujtahid Name
|
3rt
|
Question
|
Meri bivi mujh se khush hai lekin us k ghar waly usy meri bat man,ny se rakty hain kia mujhy un se nafrat kani chahiye?main apni bivi ko un sy milny se rok sakta hun?
|
Agar shoar apne biwi ko is k ristedaro k ghar jane se roke to is masle me biwi per shoar ki ita’at (baat maana ) wajib hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 146 ques # 108 pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
Kashif - kgroup81@gmail.com - Multan - Pakistan
|
Question ID
|
13846
|
Question Date
|
Monday, March 12, 2012
|
Mujtahid Name
|
Kassaam
|
Question
|
sir main ye janna chahta ho ke main ne 1 larki ko tang kiya aur hamara afair bhi tha aur main usy khta tha ke ghar bata dete hain but wo na mani jb wo kisi tarha sy pakri gai us ke ghar walo ne pakar liya us ko to us ne mera nam le diya ke mera is ke sath chakar hy aur phir sb ikathy huye aur kha ke batao koi hy ya nai chakar aap ka main aur un logo ne quran ka kaha ke isy utha ka rkaho ke tumhara koi taluq nai ya bat nai ki ya kuch nai kiya jb quran uthaya to mere walid ne kaha main tumhare is kam main shareek nahi ho tum soch lo bohat gunah ho ga but main ne utha kar kh dya ke main ne kuch nai kiya main ne Quran utha kar ye alfaz kahe ke aap log apni tasali karwao jaisy ho aur main ne kuch nai kiya un logo ne kaha ke tum jhot bol rahy ho us wqt mere hath main quran mojood tha phir main ne rakh diya. is ke bad main tenshion main ho ke kiya karo toba astaghfar ya kiya karo aur kaisy karo mjy ahsas hy ke main ne shyd galat kam kya hy Allah Mujhe Hamesha Hamesha Muaf kare Aameen aur ainda nai karo ga main aisa kaam inshaa Allah ye main ne pata nai kio kiya smj nai aayi mjy plz help me plese.
|
1) Agar koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hoon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram he balke muqadamat k fasile k waqt joothi qasam khana kabira ghunahoo me se he. Lakin is k kaffara nahi hota he..
2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
3) Agar tawriyah karna mumkin ho to karay yani alfaaz ke zaheri mafhoom ko choor ker dosray mutlab ki niyat karey maslan agar koi zalim kisi kisi ko aziat dena chaea aur kisi dosray shakhs se pochey ke kia yum ne fullan shakhs ko dekha he? Aur is ne us shakhs ko aik minute qalal dacha ho to wo kahay ke mein ne use nahei dekha aur qasad (irada) ye karay ke us waqt se 5 minute pehlay me ne use nahei deckha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2638). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
saba - sab10@live.com - lahore - Pakistan
|
Question ID
|
40639
|
Question Date
|
Friday, March 08, 2013
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
kya wada todny ka kafara ada kerny k bad hame hamare gunah ki mafi mil jati hai Allah ki taraf se ??
|
1)Kisi insan k sath waday kar k is ki mukhalifat krna ehtiyat e lazim ki bina par jaiz nahi hai. (Ref : Masail e muntikhaba masla # 23)
2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
1)Gussay ka ilaj chand cheezo par moqoof hai jis mai sai kuch aap ki khidmat mai tehreer krtay hain. 1: un hadeeso ko parhain k jo gussay ki muzammat mai warid hui hain. 2: un hadeeso ko parhain jo gussa na krnay k sawab mai warid hui hain. Jaisa k hazrat paigambar s.a.w.w. sai marvi hadees hai k jo shakhs kisi par gussa na karay khuda roz e qayamat is par azab na karay ga. 3: jis shakhs par insan gussa krta hai to osay gor(ﻏﻮﺭ) krna chaheay (ﭽﺎﮩﻴﮱ) k os kamzor par jo qudrat osay hasil hui hai, os sai bohat ziada khuda gussa krnay wala hai pas halat e gussa mai itna khayal krna chaheay k khuda kahin isi terah apna gazab aap par jari na karay. 4: ye tas’sa’wur(ﺘﺼﻮﺭ) karain k gussay k waqt aap ki kis qism ki buri surat aur aap k ﺍﻋﺿﺎﺀ(body parts) kis terah mutaharik aur aap k afaal(ﺍﻔﻌﺎﻞ) kis qadar ﺒﮯڈﻫﻨﮕﮯ aur aap ki guftugoo kis qadar ﺒﮯﺠﺎ ho jati hai.
2)Gussay k waqt shaitan sai panah leni chaheay aur “ ﺍﻋﻮﺫﺒﺎﷲﻤﻦﺍﻠﺷﻴﻂﺎﻦﺍﻠﺮﺟﻴﻢ ” parhni chaheay, agar kharay hon to beth jana chaheay, agar bethay hon to so jana chaheay, thanday pani sai wazoo krna chaheay aur ghusl krna gussay ki halat mai mufeed hai is sai gussa khatam ho jata hai aur hadees mai aya hai k agar kisi aisay shakhs par gussa aye jis sai khooni rishta rakhta ho to is k badan par hath rakhnay sai gussa khatam ho jata hai. (Ref : Urooj us Sadaat pg # 348-52)
Gussay ko door karnay k lie surah e aal e imran ki ayat no 134 ko chini(sugar) per 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur pe lain inshallaha faida ho ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 369) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Dua ki qabooliat maslihat e khuda sai wabista hai to jaha maslihat ho gi waha dua qabool ho gi aur jaha maslihat nahi ho gi waha dua radd kar di jae gi. Aur is ki bohat sari wajoohat hain maslan khabi maslihat is lie nahi hoti hai k agar dua mangnay walay ki dua qabool kar li jae to wo is k kisi aur ahm maqsad mai rukawat paida kar dai ga, aur khabi afal e na sha’is’hta jaisay jhoot, zulm, haram khana, wajibat ka tark karna wagira dua ko qabool honay mai rukawat ka sabab bantay hain aur bilah-shuba amal k bagair dua karna aisa hai jaisay koi mareez dawa to istemal karay magar is k sath aisi cheezain bhi khata rahay jo is dawa k asr ko zail kardai. Ya aik zameen mai fasal ugaye aur sath mai is zameen par janwar bhi chor dai jo is zameen ko rond dai. Is lie koshish karain k dua k sath buray amal sai bachay bhi rahain. (Ref : Sahifa e kamla pg # 37-8)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Islam ki ibteda mai musalman BAIT UL MUQADDAS ki taraf rukh kar k namaz parha kartay thay jo roz e awal sai yahoodio ka qibla tha aur yahoodi in par tanz kartay thay k inhain koi qibla bhi naseeb nahi hua hai laikin maslehat e ILAHI ye hi thi k mushrikeen k muqabilay mai yahoodio ko khush rakha jae. Is k baad jab rasool e akram s.a.w.w. nai hijrat ki aur madina mai islam mustekhm ho gya to aik din NAMAZ E ZOHAR ki 2 rakat k baad hokum e ilahi nazil hua k baqi namaz KHANA KABA ki taraf rukh kar k mukammal ki jae aur is masjid ko MASJIDUL QIBLATAIN kaha jata hai. Qiblay ki tabdeeli ka hokum quran majeed ki surah Baqra surah # 2 ki ayat # 142 mai hua hai. (Ref :Anwarul Quran pg # 77)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
danish - basitali2499@yahoo.com - attock - pakistan
|
Question ID
|
40610
|
Question Date
|
Friday, March 08, 2013
|
Mujtahid Name
|
agha sistani
|
Question
|
SLAM. mera sawal yeh hy ky hum shia jo 2 nimazen mila kar parhtey kia iska zikar quran mujeed mein majood hy aur agar hy tu reference dy kar btaen aur kia agha sistani ky nazdeek 5 nimazen alag alag bhi kar ky parh sakty hain? men sunni sy convert hua hon shia pe islaiy mery ghar walay iteraz karty han mujh pe 2 nimazen mila kar parhney pe tu mery liay kia hukam hy?
|
Ayatullah Sistani d.b. k nazdeek zohar Asr aur maghrib isha ki namaz alag alag kar k parhna mustahab hai. (Ref : website sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1774) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|
User Info.
|
tariq - jan_shahzada@yahoo.com - lahore - pakistan
|
Question ID
|
13891
|
Question Date
|
Tuesday, March 13, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
agar hme kisi ki bat per aitbar nahi ha.bat is had tak barh gai ha k qatal tak ki nobat aa gai ha ,to kya asy halat me us shaks se quran pak per hath rakhwa kar asal hakikat pochna ya wada lena jaiz ha...........plz jaldi jwab de jiye ga
|
Ye qasam sahi nahi ho gi q k qasam khanay ki shriat mai sai hai k qasam khanay wala apnay ikhtiar sai qasam khae lehaza us shakhs ka qasam khana jisay mujboor kia gya ho durust nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2634) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Mubtilat e roza
User Info.
|
afridi - said.ayazafridi@gmail.com - jeddah - pakistan live n saudi
|
Question ID
|
14879
|
Question Date
|
Friday, July 27, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Asslam u alikum. Mera swal ha kih kia ulti ane se roza toth jata ha jab kih ulti 2 ya 3 bar mouh bhar k aie. Plz reply me.
|
Do'stlaringiz bilan baham: |