1)Shadi ki pehli raat hambistari kerna wajib nahi hay. (ref : E-mail rcvd from ssitani(d.b),dated:26. 05-2010).
2)Mustahib he k jima k waqt bismillah kaha jay,or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay,6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamgaah ki janib nazar kena,12.jima k doraan baat kerna siwaay Allah k zikr k. ye tamam kaam makrooh hain jin say perhayz kerna behtar hay.)Ref:Ayat ullah Seestani(D.B) minha jus saliheen Part #.1,maslah #.1).
3)Hambistari ki dua: Mustahab hay k hambistari say pehlay apna haath bivi ki paishani k baal (hair of forehead) par rakhay or ye dua perhay:
اللھم علی کتابک تزوجتھا و فی امانتک اخذتھا و بکلماتک استحللت فرجھا فان قضیت لی فی رحمھا شیئا فاجعلہ مسلما سویا ولا تجعلہ شرک الشیطان
(“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa bekalematekastahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”) Tarjuma: “Yaa Allah main nay tairi kitaab k mutabiq is say nikah kia or tairi amanat mian is ko liya hay or tairay kalimaat k zariye say is ki sharam gaah ko halaal kia, pas agar tu nay is k rehem me mairay liay koe cheez ka faisla kiya hay tu is ko muslam or kaamil qarar de or is main shaitaanki ki sharkat na qarar de.” (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
zina
User Info.
|
omar - macz22@ymail.com - - pakistan
|
Question ID
|
14001
|
Question Date
|
Saturday, March 17, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
agr shadi shoda aurat zina kary toh is gunah ki kia saza hai aur kia akhrat k din us ka ye amal us k shohar k samny aaye ga or isi tarhan agr mard shadi shoda kary toh kia hukam hai sunat k mutabiq ?nd plz tel in mn ye koi aik kar ly zina na mehram sth aur aik dusry ko na bataey aur toba kar ly toh kia akhrat mn samny aaye ga plz anz
|
Agar sohardar aurat zina karay to ehtiyaat e wajib ki bina par wo zani par hamisha k lie haram ho jati hai. Lakin sohar pr haram nahi hoti .
Zaroori hai wo aurat toba karay. Sachay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada ia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Qasam
User Info.
|
naeem ahamad - naeem_488@yahoo.com - lahore - pakistan
|
Question ID
|
13997
|
Question Date
|
Saturday, March 17, 2012
|
Mujtahid Name
|
ahle hadees
|
Question
|
kisi bi surat man allah ki qasam khana kaisa hy
|
Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Qasam ki 2 aqsaam hain:1-kisi kaam k anjaam dainay ya terk kernay ki qasam khana. 2- Apni baat ko sahi sabit kerne k liay qasam khana. Agar kisi kaam k anjaam daine ya terk kerne ki qasam khai ho tu is Qasam ki shara,it hein. 1:baligh aur aaqil ho aur apnay iraday aur ikhtiyaar se qasam khay aur agar koi shakhs jazbaat me aa kar bila irada aur be-ikhtiar qasam khay to ye qasam sahi nahi he. 2: jis kam k anjam dane ki qasam khaye zurari he k wo haram ya makrooh na ho. 3: Allah ka aisa name le k kisi aur k lie istemaal na hota ho 4: qasam k alfaaz zaban per say laay jain. 5: qasam per amal karma mumkin ho. Or agar apni baat ko sahi sabit kernay k liay qasam khae ho tu agar sach keh reha ho to qasam khana makrooh hai aur agar jooth bool reha ho to haram hai balkeh muqadamat k fasile k waqt joothi qasam khana kabira ghunahoo me se he. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2634,2638).
Na mehram
User Info.
|
mehboob - mehboobsayyad786@gmail.com - panjim - indai
|
Question ID
|
13968
|
Question Date
|
Friday, March 16, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Kya hm apni girlfriend ko lips pe kiss kr skte hai
|
Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k bagair.aur chahae baad mai shadi hi q na karni ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
niyat e nzamaz
User Info.
|
nida mirza - nidamirza_92@hotmail.com - gujrat - pakistan
|
Question ID
|
13969
|
Question Date
|
Friday, March 16, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
kiya niyat k bagair namaz ho jati hy mukammal??
|
1) Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 2 rakat namaz, fajr ki sunnat perhta hon qurbatan illal laah.
2)zaroori hai k insane shuru sai aakhir tk apni niyat par qaim rahay. Agar wo namaz mai is terha gafil ho jae k agar koi pouchay k wo kia kar reha hai to os ki samajh mai na aye k kia jawab dai to is ki namaz batil hai. .(Ref: seestani d.b, tauzeehul masail maslah # 930,932) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Ahkam e nikah
User Info.
|
abdul mannan - hanry21@gmail.com - mumbai - india
|
Question ID
|
13980
|
Question Date
|
Friday, March 16, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
assalamo alaikum,maine apne uncle ki ladki se zina kiya jo mujhse 6 saal umer main badi hai.pehle to mera irada nikah ka nahi tha par ab hai kya krun aur ladki bhi kisi aur se nikah nahi krna chahti.kya allah ne zina ki jo saza qayamat ke din aur jahannam main batayi hai.main uska mustahik hun.main ne hi behla phusla kr usse zina kiya tha ab is gunah se kaise maafi mangu,ladki k abba mere mamujan hai.maine unse kaise nikah ki baat krun aur kya mere nikah krnese ALLAH mujhe maaf krdenge?aur yeh gunah ka kaffara ho jayega?
|
Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hay k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Ahkam e nikah
User Info.
|
samia - samiausman04@gmail.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
13978
|
Question Date
|
Friday, March 16, 2012
|
Mujtahid Name
|
sunni
|
Question
|
kitney arsey azdawaji talluqat na honey per nikkah khatam hojata hai?
|
Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382).
Masjid
User Info.
|
Muhammad Ehsan - ehsanarshad786@yahoo.com - Rawalpindi - Pakistan
|
Question ID
|
14969
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Kya aurat ka masjid main namaz pahna jaez hy????? agr hy to AHADEES ka hawala zroor dyn....
|
Islam ki muqadas shriat mai bohat taqeed ki gae hai k namaz masjid mai parhi jae. Auratoo k lie behtr hai k namaz aisi jigha parhain jo na mehram sai mehfoos honay k lehaz sai doosri jagha sai behtr ho chahe wo jigha makan ho ya masjid ho ya koi aur jigha. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 880-81 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Nikah k sighay perhna qamar dar aqrab ya jab chand mehaaq (chand ki akhri teen takeekhain jin main chand chup jata hay 27, 28, 29) me ho tu nikah karna makrooh he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
1-Aulaad main se baaz ko baaz per tohfa(gift) dainay main fazeelat daina jaiz hay laikin makhrooh hay.or kabhi kabhaar aisa kerna haram bhi hojata hay jab ye amal aisay fitnay, jhagrahy or bughz ka sabab ban jay jo fasaad ki janib lay janay wala ho.jaisa k baaz auqaat sahib e fazilat ko fasaad se aman ki sorat main fazeelat di jaati hay, or aulaad main se baaz ko onki khososi yaat ki bina per bertari wala solooqk kia jata hay. (Ref : Minhajus Saliheen, part#2,Ayatullah Sistani d.b. masla #1336 ) Note: Baap nay jo maal apni zindagi main apni aulaad ko day diya wo tohfa(gift) shumaar hota hay nah k meraas. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Namaz e fajar k baad 360 martaba “ ﻴﺎﺘﻭﺍﺐ ” parhnay sai bacha rah e rast par aa jata hai. (Ref : Naway e Salaheen pg # 354)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
“ﻄ” waqf e mutlaq ki alamat hai, yaha kalam ko rok kar baad sai ibteda ki ja sakti hai. (Ref : Anwar e quran Allama Zeeshan Haider Jawadi pg # 26-7)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Agar pani ka istemal kisi shakhs k lie mojooda marz k toolani ya shaded ho janay ka sabab ho to to zaroori hai k tayammum kar k namaz parhain.
Is k alawa jo shakhs pani k istemal sai darta ho aur jan boojh kar apnay aap ko junub kar lia ho aur tayammum kar k namaz parhi ho to behtr ye hai k jo namazain insan nai tayammum k sath parhi ho in ki qaza karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 659-716)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Meeras taqseem karnay k lie zaroori hai k pehlay ye dekha jae k wo kis tabqay mai hai q k jo shakhs meeras pata hai un k 3 tabqay hain aur q k pehlay tabqay mai marnay walay ka bhai nahi hai is lie sari meeras os ki ikloti beti ko mil jae gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2694)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
1)Jab bhi mard or aurat aik sath namaz perhna chahain tou ehtiyat e lazim ki bina par zarori hay k aurat mard se kam se kam itna pechay khari ho k os k sajda kerne ki jagah, sajday ki halat main mard k dono guthno k baraber ho.2) Agar koi aurat mard k barabar ya aagay khari ho or dono aik waqt main namaz perhne lagain tu ehtiyat e wajib ki bina per zarori hay k namaz ko dobara perhain , yehi hokum hay agar aik, dosray se pehlay namaz shuru ker day.3) Agar mard aur aurat aik dosray k baraber kharay hon ya aurat aagay kheri ho or dono namaz perh rahay hon laikin dono k dermiyan diwar ya pardah ya koi aisi cheez haa’il(maujood) ho k aik dosray ko nah daikh sakain ya on k dermiyan 10 hath se ziada ka fasla ho tu dono ki namaz sahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 874 and 875) note : Is mai farq nahi parta k wo mard aur aurat bhai behan hon ya maa beta ho ya koi aur hon. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Namaz ka kaam burai sai rokna hai aur ye is k afaal aur wajibat sai saaf wazeh hai ab is k baad insan rukay ya na rukay wo is ka apna amal hai jis terah k nabi, imam aur quran ka kaam hidayat karna hai is k baad koi hidayat hasil kar leta hai aur koi gumrah reh jata hai. (Ref : Anwar e Quram Allama Zeeshan Haider Jawadi pg # 835)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Masah taqiyah
User Info.
|
Syed Mohammad Haider - mohdhaider58@yahoo.com - saudi Arabia - Saudi Arabia
|
Question ID
|
14978
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
ssstani saheb
|
Question
|
Asalamwalequm janab mai ye janna chahta hu ki mai saudi arab me job kar raha hu waha sab sunni h isliye mai masjid ko nhi jata aur mai office me namaz padhta hu kya wazu shoes pahen kar kiya ja sakta
|
Taqiyae ki surat mai joutay aur mozay par masah karna kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 258) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Zikr e ruku mai mustahab hai k isay 3 ya 5 ya 7 dafa bal k is sai bhi ziada parha jae. Behtr hai ikhtiar ki halat mai ruku mai 3 dafa “ ﺴﺑﺤﺎﻦﺍﷲ ” ya 1 dafa “ ﺴﺑﺤﺎﻦﺮﺑﻰﺍﻠﻌﻆﻴﻡﻮﺑﺤﻤﺪﻩ ” kahay laikin ehtiyat-e-wajib ki bina par zaroori hai itni hi miqdar mai ho laikin waqt ki tangi aur majboori ki halat mai 1 dafa “ﺴﺑﺤﺎﻦﺍﷲ ” kehna kafi hai. isi terah zikr e sajdah ka bhi ye masla hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1016)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
User Info.
|
kishwar Ali - kishwar_a@yahoo.com - Mardan - Pakistan
|
Question ID
|
14748
|
Question Date
|
Monday, July 16, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
sir roza kon konse chezon par tot ta ha
|
8 chezain rozay ko batil kar deti hain:
1)khana aur pina 2)Jima karna 3)istemna karna 4)Allah, pegambar e akram S.A.W.W aur in k janashino sai ehtiyat e wajib ki bina par koi jhoti baat mansoob karna 5)gubar halaq tak pounchana ehtiyat e wajib ki bina par 6)azan e subah tak janabat , haiz, ya nifas ki halat mai baqi rehna 7)kisi liquid cheez sai huqna(anima) karna 8)ulti karna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553)
User Info.
|
Naazneen Sultana Khan - rnk@bhelhyd.co.in - HYDARABAD - INDIA
|
Question ID
|
15165
|
Question Date
|
Thursday, August 02, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Assalam 0 Alikum. Mufhti sahab hum bohot badi pareshani me hum handicapt hai hame baitne nahi ata kya aap hame bata sakte hai ke es halat me roza rakh na zaroori hai.Plz rpy.
|
Agar roza rakhna aap k lie shaded taqleef ka ba’is ho to aap par roza rakhna wajib nahi hai lakin zaroori hai k har rozay k badlay aik mudd toam yani gandum kisi faqeer ko dain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1696) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
User Info.
|
mahrukh ahmed - shahidashafi_66@yahoo.com - peshawar - pakistan
|
Question ID
|
14974
|
Question Date
|
Sunday, July 29, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
sir kya roze ki halat mein nakhun(nails)kat sakte hain
|
Jee haan is say roza batil nahi hota hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Shadi biah
User Info.
|
Shehzad - shezi2009@hotmai.it - brescia - italy
|
Question ID
|
14907
|
Question Date
|
Saturday, July 28, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Salaam;mera sawal hai,ke agar husband ramzan ki raat mai apni wife se mubashrat karta hai,ISHA ke baad aur sehri se pehle ghusal bi kar lete hain,to koi haraj to nahi Islam ke nazriye se.Shukriya
|
Do'stlaringiz bilan baham: |