Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet71/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   67   68   69   70   71   72   73   74   ...   91

Ye qasam sahi nahi ho gi q k qasam khanay ki shriat mai sai hai k qasam khanay wala apnay ikhtiar sai qasam khae lehaza us shakhs ka qasam khana jisay mujboor kia gya ho durust nahi hai. aur qasam khatay waqt Allah ka nam lena bhi zaroori hota hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2634) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Bachoo k nam



User Info.

jawad peshawer - jawad_ulhuda@yahoo.com - peshawer - pakistan 

Question ID

13808 

Question Date

Sunday, March 11, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

bache ki pedaish pe naam kese rakhain sahi islamic tareka kia hay. 

Allah ki ubudiyat k mafoom per mustamil asmaa(naam) (maslan abdur rehman) k mutabiq naam rakhna mustahab hai. Baqi ambiya karam ,hazrat ali (a.s) , hazrat hasan(a.s) , hazrat hussain(a.s) , hazrat jafar tiyar ,talib ,hamza , aur hazrat Fatima (a.s) k asma k mutabiq naam rakhna mustahabb hai aur islam aur ahle bait (a.s) k dusmano k naam k mutabiq naam rakhna makroo hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 573 pg # 287) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Nikah k ahkam



User Info.

ikhalas ahmed - ikhalas_ccna@yahoo.com - karnataka hubli - india 

Question ID

13814 

Question Date

Sunday, March 11, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

assalamalaikum mera sawal ye hai ki mere ammi ke 8 chachajan hai unme 8 ve chacha ki choti beti jo mere se 9 saal umar me choti hai meri umar 25 hai aur ladki ki 16 sal hai kya usse mera nikah jaiz hai  

Ammi k chacha ki beti sai nikah sahi hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Shadi biah



User Info.

marium - imallalq@yahoo.com - Karachi - Pakistan 

Question ID

13809 

Question Date

Sunday, March 11, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

main apne shohar se buhaat piyar kerty hon aur isi baat ko jatanay k lia main nay unki sharam gah ko moun lagaya aur unko satisfy kia aur mani apney moun main bhi li bad main mujhay pata chala k yeh aik nazeba aur bad faili hay aur qoom-e-loot k loog aisa kya kertay thay jo gunah-e-kabeera k zimray main ata hay mujhay iski haqeqat se wazay karain aur agar aisa gunah hay to iska kaffara kia hoga? 

Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Prize bond



User Info.

sana - sweetkillertokill@yahoo.com - lahore - pakistan 

Question ID

13853 

Question Date

Monday, March 12, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

kiya prize bond rakhna ya use karna jaiz hai islam main? 

Agar prize bond inaam k tour per dia jay to tamaam raqam aap k liay halaal hay or ye aap ki raqam per sood(profit) daitay hain tu agar bank muslman ka hay tu profit ka aadha deen daar faqeer ko daina hoga.(Ref:E-mail rcvd from farsi@alsistani.org, dated:18-02-2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Shadi k lie wazifa



User Info.

muyeed - muyeed786ahmed@rediffmail.com - basti - india 

Question ID

13869 

Question Date

Monday, March 12, 2012 

Mujtahid Name

payar 

Question

sir ji, mai ek ladki se payar karta hoon wo ladki bhee mere se payar karti hai . ye rista 8salo se masaallha chal raha hai . ab hum sadi karna chate hai magar ladki ki maa meri cast ki wajh se nahi maan rahi hai jab ki mai musalmaan hoon ,hum dono log ek dusare ke bina nahi rah pate hai.please koi wajifa bataye jisse unki ammy aur duniya wale maan jaye 

Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)



User Info.

muhammad saleem - msaleem78@hotmail.com - aberdeen scotland - united kingdom 

Question ID

33517 

Question Date

Wednesday, January 23, 2013 

Mujtahid Name

 

Question

assalamo alaikum sir mera sawal yeh hy k kya jub pehla baby peda hota hy uske sir k bal utar kr kya krna chahye ?? kuch logon ka kehna hy k bal rakh lena chahye or kuch ka kehna hy k phank dena chahye ,, kya ap meharban kr k quran ki roshni mein bta saktey hein k kya tareeka hy ,,bal rakhney chahye ya phank dena chahye ??? assalamo alaikum ..thanks ..ALLAH HAFIZ 

Mustahab hai k bachay ki wiladat k satway din(7) os k sar k baal katway jain yani ganja karwaya jae aur os k baal k wazan k barabar sona ya chandi sadqa karain. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 387)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Ahkam e nikah



User Info.

sania - goodlucksani@yahoo.com - islamabad - pakistan 

Question ID

19486 

Question Date

Tuesday, October 23, 2012 

Mujtahid Name

shia 

Question

mera ap sy swal ye hy k main syed hu lakin ghair syed larky sy shadi krna chahti hu lakin ghr waly nae man rhy ap btaen mjy kya krna chahye please zaroor btaeye ga or sath koi aesa wazifa b btaen jis sy mery ghr waly maan jaen.plz mjy zaroor jawab dijeay ga. 

1)Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342)

2)wazifa : Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)

Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

iddat


User Info.

kashan - shaikh.kashan@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

13872 

Question Date

Monday, March 12, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

aik larki jiska nikah 3saal raha aur is doran mubasarat bhi hue to uske bad divorce hogae ab kya iddat kerni hogi ya nahin kerni hogi. 

Jis larki ki umar puray 9 saal ho chuki ho aur jo aurat ya’essa na ho (yani aisi aurat jis ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki umeed bhi nah ho), us ka sohar us se mujameat(hambistari) karey to agar wo usay talaq de to zarori he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 maah(month) se kam ho ye he jab is ka sohar usay paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Wazoo ka tareeqa ye hai: wazoo mai wajib hai kniyat k baad chehra aur donoo hath dhoain jae aur sar k aglay hissay aur donoo poun k samnay walay hissay ka masah kia jae. Chehray ko lambai mai peshani k upper is jigah sai lai kar jahan sar k baal ugtay hain thori k aakhri kinaray tak dhona zaroori hai aur chorai mai bech ki ungli aur anghutay k phelao mai jitni jigah aa jae osay dhona zaroori hai. chehra dhonay k baad pehlay right hath aur phir left hath ko kohni sai lai kar ungli k siroo tak dhona zaroori hai. Donoo hath dhonay k baad sar k aglay hissay ka masah wazoo k pani ki os tari sai krna chahea jo hathoo ko lagi reh gae ho aur ehtiyat e mustahabb ye hai k masah dain(right) hathili sai kia jae aur upper sai nichay ki taraf ho.Sar k 4 hisso mai sai peshani sai mila hua aik hissa wo maqam hai jahan masah karna chahea. Ye zaroori nahi hai k sar ka masa jild par kiya jaay balke sar k agle hisso k baalo per karna bhi sahi hai laikin agar kise k sar k baal itne lambay hon k maslan agar kangha kare to baal chehray par aa jain, ya dosere hissay tak ja pouche to zaroore hai k wo balo ki jaro par masah kare.  Sar ka masah karnay k baad Donoo pair k samnay walay hissay ka masa karna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 235-259)Note : Mazeed tafseelat k lie doosray sawaloo ko bhi parhain is k alawa mujtahid ki kitab tauzeehul masail ka bhi mutalla karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Agar koi shakhs apni biwi ko 2 dafa talaq dai kar o ski taraf roju kar lai ya osay 2 dafa talaq dai kar os sai nikah kar lai ya aik talaq k baad roju kar lai aur aik talaq k baad nikah kar lai to teesri talaq k baad wo aurat is mard par haram ho jae gi. laikin agar choti bar bhi nikah karna chahay to halala karna parta hai. aur halala ki 5 shartain hai. jin ki pabindi zaroori hai.

Halala osi surat mai sahi ho ga jab tak k doosra shohar jima na karay aur jima bhi faraj mai karay aur jima kartay waqt balig bhi ho, agar jima na karay aur talaq dai dai chahay apni marzi sai hi aisa karay wo aurat apnay pehlay shohar par halal nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2491)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).



User Info.

MOHAMMED AMJAD ALI - amjad_uae786@yahoo.com - MAKKAH - SAUDI ARABIA 

Question ID

19279 

Question Date

Monday, October 22, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

ASSALAMUALIKUM MERE SAWAL YA HAI SAB KI AURAT LOG APNE EYEBROWS BANSAKTI HAI KYA 

Eyebrows banwana (Pluking kerna) or inko shape dena jaaiz hay. (Ayat Ullah Seestani(d.b), nigah or libaas,sawaal#163). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

User Info.

najmaimran - najmaimran11@yahoo.com - lahore - pakistan 

Question ID

19169 

Question Date

Monday, October 22, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

mjy 8 month chal raha hai plz mjy beta hony ka koi wazffea ya dua batye plz

Agar surah e marium surah # 19 ki ayat no 5 aur 6 likh kar aurat ki qamar mai bandhain to baita paida ho ho. (Ref : Naway e Salaheen pg # 344)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Shadi biah



User Info.

Yasis irfat - Sunnyayan786@gmail.com - Jamshedpur;jharkhand - India 

Question ID

13840 

Question Date

Monday, March 12, 2012 

Mujtahid Name

Nikha se pahle 

Question

Assalamalaykum mera sawal ye hai k kay agar koi larka koi larki se peyar karta hai aur 5 sal k bad us se sadi karna chahatta hai to kay wo us k shat hambitari ka sakata hai 

(sharie )nikah k zariay aurat mard per aur mard aurat per halal ho jate hain.(nikah k begair aurat aur mard ka aik dosere se taalouq qaim karna maslan humbistari karna jaiz nahe hai). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # after 2327) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Film


User Info.

atif - atifmasoom08@yahoo.com - lahore - pakistan 

Question ID

13870 

Question Date

Monday, March 12, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

salaam.... sir mera sawaal yeh ha k .....agar hum film dakh rahy hun or kuch dar bad ,lasehvat halat ma kuck aptli mani k qetray nickal ayb tu ghusal karna ho ga ya nai... 

2)Jo ratubat shewat anghese tasaworat k waqt insan apni sharamgha me mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahe hota hai aur na wazu batil hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Shadi biah google par dua



User Info.

alyas ahmad - alyas_ahmad007@yahoo.com - lahore - pakistan 

Question ID

13847 

Question Date

Monday, March 12, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

sir,mera yh sawal hey.islam k mutabik sohag raat ka kia tereeka hey. 

Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   67   68   69   70   71   72   73   74   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2025
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish