Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet69/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   65   66   67   68   69   70   71   72   ...   91

Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai hubtilla honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Noora zeenat



User Info.

A. Naushad - naushadybx@yahoo.com - bangalore - india 

Question ID

15113 

Question Date

Tuesday, July 31, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

assalam wa alaikum kya mard apne jism ke baal kaatsakta hai? agar kaatsakta hai toh kis kis jagah ke baal kaatsakta hai 

1)Riwayat k mutabiq puray badan par noora(Badan k baal katna) lagana mustahabb hai. 2)Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tk noora karey (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Namaz k ahkam



User Info.

awais - awais.nestlepk@gmail.com - Gujranwala - Pakistan 

Question ID

15116 

Question Date

Tuesday, July 31, 2012 

Mujtahid Name

Bimari  

Question

Asalam-o-Alikom , sir,ager kisi bemari se yani peshab bar bar ana chalty phirty thore thore qatrey behtey rehein.yahan tak k din mein 10 bar kaprey napak ho jatey hein.job k doran ghar aa kar kaprey change b nai saktey to kiya un hi kapron mein nimaz kesy ho sakti he.....

1)Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day.

2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.

3)jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Mubtilat e roza



User Info.

ahmad siddiq - ahmadsiddiq9@gmail.com - multan - pakistan 

Question ID

15106 

Question Date

Tuesday, July 31, 2012 

Mujtahid Name

ahmad 

Question

mera sawal yh ha ke agr rozay main aap kisi larki se bt kr rhy hain and wo batain bilkul bi sexy ni yani paak saaf batain lakn un batain krne se aapki mazee nikal aaye yani mani ni mazee tou kya iska rozay pe farq parey ga plz reply me soon....and iske bd ghussal wajib hai? 

Mazi kharij hone se roza batil nahe hota hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat ,roza , ques # 40 pg # 33) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

a google par urdu likhni hai



User Info.

sadaf - rehanasadaf200@hotmail.com - rawalpindi - pakistan 

Question ID

15077 

Question Date

Tuesday, July 31, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Meri shadi ko 2sal ho gye hain aulad nae ha koi wazifa bta dayen 

1)Hamila honay k lie rehaan k 7 pattoo (leaves) par surah mominoon surah # 23 ki ayat # 14 ko likhain aur aik aik kar k 7 martaba kha lain is terha 7 din karain inshallah hamal qaim ho ga. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 188)

2)Sheikh behai farmatay hein jis aurat ko hamal na hota tu wo surah e ra’ead ayat # 31 ko haroof e mo’qat’te’aat ki sorat main likh kar(yani ayat# 31 k tamaam alfaaz ko alag alag ker k likahin maslan ول و ان ق رآن ا س ی رت بہ ال ج ب ا ل او ق ط ع ت ب ہ ال ل ر ض او ک ل م ب ہ ال م و ت ی ب ل ل ل ہ ال ام ر ج م ی ع م ا) aurat k pehlu(pait) per bandhein hamila ho jay gi. Sheikh bahai farmatay hein k me ne ye ayat 900 auratoon ko likh kar de sab hamila ho gi. surah e ra’ead ayat # 31 (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 283) ۔ (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Haiz

User Info.

annie - annie_uzzma2006@yahoo.com - pakistan - Pakistan 

Question ID

15140 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

heez 

Question

plz tell me heez k dino mai kya namaz padh skty hain quran ka kya hukum hy  

1)namaz aur is jaisi doosri abadatain jinhain wozoo, ghusl ya tayummum k sath anjam dena zaroori hai agar is niyat sai anjam dain k sahi amal anjam dai rahi hoon, jaiz nahi hai.

2)Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay on Ayaat ka halat haiz main parhna haraam hay.wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fus’si’lat Ayat No.37,Sora Wan najm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain.Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Aulad

User Info.

Waseem - qureshije786@hotmail.com - Abbottabad - Pakistan 

Question ID

15083 

Question Date

Tuesday, July 31, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Aslam o alikum hzrt mari shadi ko 1 sal 2 month ho gy han olad nahi hui plz mujhy koi asa wzifa dy jo mae kru to Allah ki zaat olad sy nawazy shukria  

1)Agar koe shakhs laa aualad ho un k aulad nah hoti ho aur agar wo chahta ho k is ko naik aur aziz aulad ata ho to is k liay chahiay k wo mussalsal 3 din roza rakhay aur har raat sonay se pahley 21 bar surah e al furqaan ki ayat no 74 (wal’lazeena . . . . .imaa’maa) ko parhey. Aur Allaha say apni haajat talab karay aur so jaayy. Har mahinay(month) me aik bar kar lia jaay. (ref : kitab naeem ul aamal pg #331). 2) Imam a.s. farmatay hein k jis ka nutfa kam ho ya kamzoor ho os k chahaea k sab se pehlay khuda ki bargah me istegfar karay aur is k bad anday(egg) aur piaz kasrat se khaien. (ref : kitab tib e islam pg # 54) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Aulad


User Info.

uzma naeem - uzma_1011@yahoo.com - Rawalpindi - pakistan 

Question ID

15082 

Question Date

Tuesday, July 31, 2012 

Mujtahid Name

sunni 

Question

meri shadi ko 2 years ho gai hain.mera miscarrag ho gya tha 5 month ka.uss k baad dubara hamal nhi thehra.Dr ko bi check kerwaya per koi result nhi mila.plz mujay koi wazifa btain k Allah mujay bi oulaad ata farma dain.  

1. Agar koe shakhs laa aualad ho un k aulad nah hoti ho aur agar wo chahta ho k is ko naik aur aziz aulad ata ho to is k liay chahiay k wo mussalsal 3 din roza rakhay aur har raat sonay se pahley 21 bar surah e al furqaan ki ayat no 74 (wal’lazeena . . . . .imaa’maa) ko parhey. Aur Allaha say apni haajat talab karay aur so jaayy. Har mahinay(month) me aik bar kar lia jaay. (ref : kitab naeem ul aamal pg #331). 2. Sheikh bahai farmatay hein jis aurat ko hamal na hota ho ye ayat haroof e mo’qat’te’aat likh kar aurat k pahlu me bandhein hamila ho jay gi. Sheikh bahai farmatay hein k me ne ye ayat 900 auratoon ko likh kar de sab hamila ho gi. surah e ra’ead ayat # 31 (wa lou an’na . . . . . . . .jamee’un) (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 283). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Bijli ki chori



User Info.

BAQER - mbaqer110@yahoo.com - Karachi - Pakistan 

Question ID

15086 

Question Date

Tuesday, July 31, 2012 

Mujtahid Name

Sistani Shab 

Question

Salam,Agha electricity ka chori karna tu najaiz hai magar kia yeh sahi hai kai aap ka namaz waghera sahi shumar hogi 

Kise bhi jagha bijli ka gair qanooni istemal jaiz nahi aur aisa kaam karne wala zamin bhi hai albata namaz sahi hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 186 pg # 80) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Makroohat e roza



User Info.

md - nlygold@rediffmail.com - pune - india 

Question ID

15089 

Question Date

Tuesday, July 31, 2012 

Mujtahid Name

both 

Question

roze ki halat me gosol wajib ho to ...roza macro ho jayega ya nahin? 

Agar roze dar ko din me ehtelam ho jay to is per fouran ghusal karna wajib nahe hai. Aur ghusal wajib hone se roza makroo nahe hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1605,1629) (Khuda ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Mubtilat e roza



User Info.

shakeel - muhammadshakeel9556@gmail.com - bhakkar - pakistan 

Question ID

15087 

Question Date

Tuesday, July 31, 2012 

Mujtahid Name

ehtelam 

Question

sir g agar men ko ehtelam ho jay raat ko sotay huway os ko pata bhi na chalay aur subha roza bhi ho tu kaya kary ga? 

Agar koi ramzan me subah ki azan k baad jaghe aur ye dekhay k ise ehtelam hogaya hai to agarche ise maloom ho k ya ehtelam azan se phele hua hai is ka roza sahe hai .(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1606) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

----------------------------------------------------------------------------------

Makrooh roza

User Info.

md obydullah - mdgulamsarwer@yahoo.com - ranchi - india 

Question ID

15073 

Question Date

Tuesday, July 31, 2012 

Mujtahid Name

mujtahid -e-taqleed 

Question

kya roze ke halat me bal katwana saving krna makrooh hai 

1)Dhari k moudna(shaving karna ) ehtiyate wajib ki bina per jaiz nahe hai.

2)Bal katwane aur shaving karne se roza makrooh nahe hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2042,1553) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

wazifa

User Info.

muhammad akram - makram847@gmail.com - mansehra buttal kund bala - pakistan 

Question ID

15072 

Question Date

Tuesday, July 31, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

main 1 lakri s 7 sal sy mohabat kar raha houn muj ko us sy itni mohabat h kh jub us k swa main nhi rh skta muj ko both parishani ho rahi h kh us k ghar waly nhi manty us ka rashta ksi dosri jgha ty kr dia h wo be dosri jgha rashty sy razi nhi h main jub tak us sy bat nah kryoun muj k skoon nhi ata main 5 time namaz be parta houn allaha s dua be mangata houn main us sirf lamit k hander rahata houn hath tak us ko nhi lagia plz help me mara nomber h 03219576847 plz help me  

1)Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai hubtilla honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)

2) Hazrat Imam jaffar e sadiq a.s. farmatay hain k jo surah e taha ko likh kar sabz rashmi kapray mai lepait kar apnay pas rakhay aur shadi k qasad say kisi k pas jae to osi nakaam nahi lotna paray ga aur wo shadi ho kar rehay gi. (Ref : Dunya aur aakhirat ki 100 perashanion ka hal pg # 18) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

itikaf

User Info.

asad - asad.leo11@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

15071 

Question Date

Tuesday, July 31, 2012 

Mujtahid Name

yes 

Question

pls agar aitakaf ki halat ma ehtalam hojay toh us ka process btay pls 

1)Ghusal janabat karne k lye masjid se bahar jaya ja sakta hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # before 1073)

2)jis isaan per ghusal janabat wajib ho is k musjid me therna haram hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #354) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Shadi biah

User Info.

sahil - unique_things80@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

15067 

Question Date

Tuesday, July 31, 2012 

Mujtahid Name




Question

mai nay sirf yeh puchnaa tha k azu tanasul ko bara karnay ka tarika kya hai plz btaennnn 

1) Arnica + Lycopodium + Olive.ye oil Penis k massage k liay behter hay laikin massasge bohot ehtiyaat se karain k kaheen mushtzani nah ker baithain. mushtzani(Handprctice) se bachain Q k hay harm hay or mushtzani kisi bhi sorat main jaiz nahi hay. (Ref http:/h/abchomeopathy.com/forum2.php/124370/ + http://sistani.org/index.php?p=616687&id=1213 ) 2) Note: Nojawaan jab ghair mutabir afraad ki taraf ruju kertay hain tu wo onhain ghalat mashwara daite hain, maslan merdo main aam taur se yehi baat bayaan ki jati hay k merdo k aala e tanasul (penis) main 3 khososiyaat hona zarori hain: 1- Lamba or seedha ho. (Large & straight), 2- Mota ho. (thick), 3- Sakht ho. (hard). Or aam tabeeb (doctors) bhi yehi taleem merdo ko daite hain laikin jahaan tak uzo e tanasul (penis) ka chota ya lamba hone ka sawaal he, tu osay bas is qadar hona chahiay k Indaam e nihaani (yani sharam gaah) ko mutaharrik ker sakay or sub se ziyada hassaas(sensitive) sharam gaah ka baahar ka hissa hota he. Khaas taur per bazr (Clitoris) or os tak pohanchne k liay chota uzo bhi kafi hota he. Laihaza penis k chote berhe hone se koe faraq nahi perhta, albatta penis ka bohot hi ziyada berha hona takleef ka sabab hota he. Or penis k te,rha(crookedness) hone se bhi koe faraq nahi perhta Q k wo sharam gaah main jane k baad khud hi seedha ho jata he. Penis k mota or patla honay se bhi koe faraq nahi hota, Q k aurat ki sharam gaah k naram or lachak-daar raysho main phailne or sokarhne (Shrinkage) ki salahiyat hoti he. Or itna sakht hona zarori he k aurat ki sharam gaah main asaani k saath dakhil ho sake. Ghalat tabeeb ghalat ray day ker nujawaan nasal ko mayoos ker daite hain. {Laihaza aise tabeebo (doctors) se bacha jaay}.(Ref: Tehqeeqi islami encyclopedia,mu,allif doctor sibt e shabbar zaidi,wakeel e ayatollah muntazari, part#1, pg#110-111 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Ilaj


User Info.

Yasermakrani - yasermakrani@yahoo.com - Rajasthan - India 

Question ID

15090 

Question Date

Tuesday, July 31, 2012 

Mujtahid Name

About discharge 

Question

Assalamo alaykum janab mera sawal ye he k me jab humbistari karta hu to jaldi discharge ho jata hu long time humbistari karne ka rooha 

Aik shaks ne Imam a.s ke kidmat main Arz kia k main chahata hon k Jinse lazzat se bahut ziada luft uthaon lakin aisa nahe hota muje koe aisa tariqa bataye jis se mere tamana pori ho jaye,Imam a.s ne farmaya!Sufiad Piyaaz kat kar Geeh main tal lo es k bad aik bartan main Anda Daal kar thora sa namak cherak lo or phir Andey ko surkh ke hoe Piyaaz main dal kar do or kuch deer pakne do ye Gaza khane se tumhain jinse Qoowat hasil ho jaye ge, os shaks ka kehna hai k main ne Imam a.s k kehne k mutabiq Aamal kia or os ghiza ke barkat se apni dile muraad ko pa liya. (Ref : (Ref : Kitab Tib-e-islami Pg # 54). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)  

Roaz k ahkam


Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   65   66   67   68   69   70   71   72   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2025
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish