Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet67/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   63   64   65   66   67   68   69   70   ...   91




S/no:5

http://qoitrat.org/qa/hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

Muhammad HAroon - haroonchanna57@yahoo.com - uthal - pakistan 

Question ID

16141 

Question Date

Saturday, September 01, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

bar bar Humbistri krny pr gusal bhi bar bar krna hoga ya akhir me aik bar krna he  



Bagair ghusl k jima ki taqrar krna makrooh nhi hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Send






S/no:4

http://qoitrat.org/qa/hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

naina - n.naina9@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

16161 

Question Date

Saturday, September 01, 2012 

Mujtahid Name

muslim 

Question

mre umar 26 sal hai main 1 sal say apny say bary hindo mard kay sath sex relationship main hon hum donu bhot payar or izat krty hain ek dosray ki per hm main sex ki adat par gae hai phly to ye bataen k as a muslim girl mujy kitna gunah mila hai hai mre qayamat kay roz saza kay h or mujy koi wazefa ya kuch aisa bataen kay main or wo is kam s toba kr len or ainda na karen plz plz reply degeyega 

Topic

1)Zina karna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30). 2)Osay sachay dil se toba karni chahea. Parverdigar ne quran majeed me wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karay. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
send





S/no:5

http://qoitrat.org/qa/hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

USMAN - WAITING.EYES717@YAHOO.COM - GUJRAT - PAKISTAN 

Question ID

16144 

Question Date

Saturday, September 01, 2012 

Mujtahid Name

MUSLIM 

Question

MYRA SAWAL YEH HAI K AGER GUSAL KR K TALAM WALI SHALWAR KO HATH LAGAYA JAYE AOR TALAM HATH MAI PHR LAG JAYE TO KIA PHR GUSAL FARZ HO JAYE GA 

Ghusl wajib nhi ho ga albetta agar wo shalwar najis ho aur shalwar ya aap k hath mai sai koi aik ya donoo is qadr tar(gilay) hon k aik ki tari doosray tk phonch jae to aap ka hath najis ho jae ga. Aur hath ko pak krnay k lie 2 dafa qaleel pani hath par dalain. To hath pak ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 119-156)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

send


taqleed

User Info.

shah - zaidiabbasshah@yahoo.com - dubai - uae 

Question ID

16138 

Question Date

Saturday, September 01, 2012 

Mujtahid Name

sistani 

Question

asalam o allikum - talqleed kis tarha ki jati ha , kia sirf nyat kar lena kafi ha, ya is ka koi khas tareeqa ha. - agar hum kisi mujtahid ki taqleed karete han or taqleed change karna chate han to kia hum kar sakte han - ya nifas kia ha - agar janabat (mard orat dono) ya orat haiz or janabat ki halat ma kapre dhoye to sahi ha  

Topic

Add a New Topic




1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)

2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1).

3)Zaroori hai k os mujtahid ki taqleed ki jae jo aalam ho yani apnay zamany k diger mujtahideen ki nisbat ahkam e ilahi ko samajhnay ki behtr slahiat rakhta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2)

4)Nifas yani bachay ka pehla juz maa k pait sai bahir aanay k waqt sai 10 din tk jo khoon aye wo khoon nifas hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 498)

5)janabat ya haiz ki halat mai kapray dhona shi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 354-5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
send


S/no:2

http://qoitrat.org/qa/hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

Salman - Puredevil_jin@yahoo.com - Lahore - Pakistan 

Question ID

16165 

Question Date

Saturday, September 01, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Asalam o alaikum mera sawal ye hai k mai jitni mrzi ehtiyat sy peshaab karu , meray jism pe peshaab ki thori c cheentain girti hi hain , ma bht pareshan hu qk maine suna hai k peshaab ki cheentain jism pe grnay sy qabr ma bht bhaari azaab hota hai , ab ap mjey btaein k jahan cheentain giri houn us jaggah ko dho0 lia jaye ya phr ghusal wajib hojata hai plz jawab zro0r dejeye ga  

Answer




Topic

Add a New Topic




Agar jism par peshab k qatray gir jae to 2 dafa qaleel pani ko os par bahana zaroori hai ta k wo pak ho jae aur ghusl krna wajib nhi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 154) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
send

Janabat k ahkam



S/no:3

http://qoitrat.org/qa/hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

abbas ali - agjatniwala110@yahoo.com - - india 

Question ID

16159 

Question Date

Saturday, September 01, 2012 

Mujtahid Name

sistani 

Question

assalamun alaikum agar baligh hone ke thode saal baad ghusl janabat ka pata chale to kya sab wajib namaz phir se padhni padegi 




Aap par sari namazoo ki qaza lazim hogi. Han , jo namazain aap nai ghusl k baad parhi hain chahae ghusl e janabat ko anjam na dia ho jaisay maslan khabi jummay ka ghusl kia ho to phir is k baad ki namazain shi ho gi.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 15,pg # 25-26)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

send


Shadi biah

S/no:4

http://qoitrat.org/qa/hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

yasermakrani - yasermakrani@yahoo.com - rajasthan - india 

Question ID

16145 

Question Date

Saturday, September 01, 2012 

Mujtahid Name

salam 

Question

ASSALAMO ALAYKUM janab mera swal ye he k agar biwi pragnent he uske bad bhi kya kisi bhi tarike se sex kiya ja sakta he jese sidha leta k ya ghodi banake ya god me utha k kisi bhi tarike se kar sakte he ya nahi or kis mahine se lekar kis mahine tak nahi karna chahiye reply asap allah hafiz 

Answer




Topic

1)Shariat e islami nai apni biwi say hambistri karnay k lie puri aazadi aur choot di hai k insan jis tarkeeb sai chahae apni pasand k mutabiq jima karay. (Ref : Kitab islam aur jinsiaat pg # 154)

2)Mustahabb hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5)

Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k bachay k lie nuqsan day to nahi hai (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
send





S/no:5

http://qoitrat.org/qa/hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

muhammad raza - raazadairy@hotmail.com - karachi - pakistan 

Question ID

16166 

Question Date

Saturday, September 01, 2012 

Mujtahid Name

sistani shab 

Question

salam, 1)kiya namaze juma kay khutybhay kay doran koi mustahab namaz parhna jaiz hai. 2)karachi may juma namaz thu time per nahi hoti thu kiya may zoharain awal waqat parhna sahi ya phir juma 3)karachi may fajar ki jamat namaz awal waqat say half hour kay bad hoti hai thu kiya may farda awal waqat parhnay may ziada sawab hai ya phir jamat namaz may  

1)Namaz batil nhi ho gi albetta ehtiyat ki bina par donoo khutboo ka sunna wajib hai.

2)Jume ki namaz wajib e takhyiri hai. is se muraad yeh he ke jume k din mukallaf ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki shara,it maujood ho to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 722, 720)

3)Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi upper uthti he jise fajar e aw’wal kaha jata he aur jab ye safaidi phail jae to wo fajar aur subah ki namaz ka aw’wal waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj niklnay taq hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 729).

4)Mustahabb hai k insan sabr kray ta k namaz jamat k sath parhay aur namaz e ba-jamat os namaz sai behtr jo aw’wal waqt mai furada parhu jaeyani tenha parhi jae aur fazilat k waqt k baad parhi janay wali jamat ka, fazilat k waqt mai parhi janay wali furada sai behtr hona maloom nhi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1383)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).



User Info.

Reha - saeedkuird@hotmail.com - Kish Islnad - Iran 

Question ID

17221 

Question Date

Monday, October 15, 2012 

Mujtahid Name

Seestani  

Question

meyan bivi aaps m pyar b bohat krte hn ek dosre ko khona yani umar bhar shorna bhi nhi chahte lekin bar bar choti choti baton pr larai jaghra krte hn bara masila banate hn 

Auratoo k hoqooq mai sai hai k mard isay aeziat aur aazar na pounchay aur kisi sharie wajah k bagair is k sath sakhti aur tarsh rawi sai pesh na aye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376) Aur aurat bhi koi aisa kaam na kray jo sohar k haq k manafi ho.

Wazifa : Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina surah # 60, ki ayat # 7, ko 7 martaba parha karain. Is se donoo me be’misal mohabbat qaim ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 404)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Janabat


User Info.

Reha - saeedkuird@hotmail.com - Kish Islnad - Iran 

Question ID

17220 

Question Date

Monday, October 15, 2012 

Mujtahid Name

Seestani  

Question

agr aurat ne ghusal janabt nhi kya ar haiz shuro hojata h fr haiz m giusal janabt hosakta h

Ghusl e janabat wajib namaz aur is jaisi doosri ibadatoo ko anjam denay k lie wajib ho jata hai. lehaza agar mujnib honay k baad koi bhi wajib ibadat ka waqt phounch gya ho to ghusl krna wajib ho jae ga laikin agar janabat k foran baad haiz aa jae tab bhi ghusl janabat alag wajib ho ga aur ghusl e haiz alag wajib ho ga albetta haiz sai pak honay k baad in donoo ghusloo ko aik hi ghusl mai bhi kia ja sakta hai yani donoo ki niyat karain aur aik ghusl anjam dain. Aur haiz sai pak honay sai pehlay bhi ghusl e janabat kia ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356-456)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Namaz eid



User Info.

Hussain - disert22@yahoo.com - islamabad - pakistan 

Question ID

17224 

Question Date

Monday, October 15, 2012 

Mujtahid Name

shia 

Question

MOULANA SAB NAMAZ EID OR NAMAZ JUMMA K BARAY MAIN BATAIN K GHAIBAT IMAM MAIN PARHNI CHAYEE ?

1)Imam a.s. k zamana e hozoor mai eid ul fitr aur eid e qurban ki namazain wajib hain aur in ka jamat k sath parhna zaroori hai. laikin hamaray zamanay mai jab k imam a.s. gaibat mai hain, ye namazain mustahabb hain aur ba-jamat aur furada donoo terh parhi ja sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1497)

2)Gaibat k zamanay mai namaz e juma wajib e eini nhi hai bal k wajib e takhyiri hai, is se muraad yeh he k jume k din mukallaf ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki shara,it maujood hon to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Namaz k auqat



User Info.

JOYANAZ A. KHATRI - joyanazkhatri@gmail.com - BHUJ - BHUJ 

Question ID

17168 

Question Date

Friday, October 12, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

KYA SHAM KO ANDHERA HO JANE K BAD MAGRIB NAMAJ PAD SAKTE HAI JAISI ABHI AJAN KA TIME 6.45 HAI OR 7.30 YA 7.00 KO NAMAJ PADNI HO TO HO JATI HAI YA NAHI 

Magrib ki namaz ka waqt mukhtar(aazaad) shakhs k lie guroob sai aadhi raat tk hota hai. yani is k darmian mai namaz parh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 724) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).


Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   63   64   65   66   67   68   69   70   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2025
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish