Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet79/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   75   76   77   78   79   80   81   82   ...   91

Q k aap nai apni mengeter say zina kia hay is lie ehtiyat e wajib ye hay k aap apni mengeter say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235)

User Info.

azeem - rao.azeem@rocketmail.com - shujabad - pakistan 

Question ID

14890 

Question Date

Friday, July 27, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Insorance islami lihaz say falahey insaniat ha ya haram? Ilm hasil karo khua tumey chin hi ku na jana paray kol hay ya hades? 

1)Musalman ko ya haq pouchta hai k wo muktalif insurance companies se apny zindagi,maal, grag hone aur chori k bima(insurance) kara lay.(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 146 masla #221)

User Info.

Muhammad Zubair Mirza - jharapyara@gmail.com - Rawalpindi - Pakistan 

Question ID

14892 

Question Date

Friday, July 27, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

agr jamaat ho chuki ho aur kuch log masjid mein late hazir huwy ho to wo dobara apni jamaat kra sakty hain. chahy wo musafir na b ho. 

Jee han doosri namaz e jamat qaim ho sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 911) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

shaikh - muskan.muskan57@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

14958 

Question Date

Saturday, July 28, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

narena aulad k lea wazeefa batae mera 7 month h 

Agar kisi ka baita(narina aulad) na ho to mian aur biwi aik din roza rakhain aur iftar k waqt ghusl karain aik bar surah e muzzammil pani par parh kar pi lain inshallah beta ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 287) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

farhat shahnaz - shahnaz_ali01@yahoo.co.in - india - row kela 

Question ID

14942 

Question Date

Saturday, July 28, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

salam meri sadi ko ten yers ho gya hai abhi teen month hamal hua tha lekin hamal bahra hi nhi iske koi wazeefa bathey 

Agar koe shakhs laa aualad ho un k aulad nah hoti ho aur agar wo chahta ho k is ko naik aur aziz aulad ata ho to is k liay chahiay k wo mussalsal 3 din roza rakhay aur har raat sonay se pahley 21 bar surah e al furqaan ki ayat no 74 (wal’lazeena . . . . .imaa’maa) ko parhey. Aur Allaha say apni haajat talab karay aur so jaayy. Har mahinay(month) me aik bar kar lia jaay. (ref : kitab naeem ul aamal pg #331). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

asif - stranger_asif1980@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

14845 

Question Date

Wednesday, July 25, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

kya janabat ki halat men roza rakha ja sakta hai ya nahi 

1)Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay.

2)Agar koi shakhs ramzan ki raat me junub ho jay to agar wo jaan bojh ker ghusl na karay yahan tak k waqt tang ho jay to zarori he k tayammum karey aur roza rakhe , is ka roza sahi he.

3)Agar koe shakhs ramzan k roze ko khana(food), peenay (drink),jima(hambistari), istimna, ya jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day.

4) Ramzan ka roza torhne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1591 , 1594, 1630 , 1632). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)



User Info.

shahid - shahidssj@gmail.com - Karachi - Pakistan 

Question ID

14929 

Question Date

Saturday, July 28, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Assalam 0 Alikum ager rat main bivi ky sath janabt ki jay ramazan main to kia sahri kar ky roza rakh sakty hain please tafseel sy bataye ga 

1)Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay.

2)Agar koi shakhs ramzan ki raat me junub ho jay to agar wo jaan bojh ker ghusl na karay yahan tak k waqt tang ho jay to zarori he k tayammum karey aur roza rakhe , is ka roza sahi he. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1591 , 1594)



User Info.

Mohammed - Mohammedshabeer82@gmail.com - BELLARY - INDIA 

Question ID

14823 

Question Date

Tuesday, July 24, 2012 

Mujtahid Name

HAIZ 

Question

Dear sir Asslamu alaikum Mera sawal e hai ke Kya aurat haiz ki hallat mein ho aur woh bimar ho us waqt uska shohar ki nappaki ki jagah ko pak karna jaiz hai kya 

1)Sohar aur biwi aik dosray ka poora badan(sharamgha bhi) dekh sakte hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2400)

2)Sohar ya biwi aik dosray ki nijasat ki jagah ko pak kar sakte hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2404) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Mubtilat e roza

User Info.

Hamayun anwar khan - Hamayun@c2.hu - Okara - Pakistan 

Question ID

14872 

Question Date

Friday, July 27, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Aslam o alikum. Kia roze ki halat me clean shave ya phir jism se hair cut kr sakty hae k nhi. 

1)Clean shave karna ehtiyate wajib ki bina per jaiz nahe hai . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2042)

2) Clean shave karna aur jism k baal katne se roza batil nahe hota hai(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Shadi biah k ahkam

User Info.

Umair - uhshaikh@gmail.com - malkapur - India 

Question ID

14794 

Question Date

Saturday, July 21, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Assalamu aalekum wa rahmatullahe wa barakatu mufti sahab mera sawal ye hai ke ramzan me raat me bivi ke sath humbistar ho sakte hai ya nahi 

Ramzan ki ratoo mai jima karna jaiz hai lakin Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main biwi sai jima karna mustahabb hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Shadi biah k ahkam



User Info.

AD - MMKUSA1979@YAHOO.COM - KL - MALAYSIA 

Question ID

14792 

Question Date

Saturday, July 21, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

SALAM KIYA ISLAM ORAL SEX JAIZE HIA? KIYA WIFE KI VIGINA KO CHAT SAKTA HAI? HARAM HAI YA HALAL? 

Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Albetta is ka koi kafarra nhi hai (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Mubtilat /makroohat e roza



User Info.

ijaz ahmed farooqi - ijaz_farooqi@yahoo.com - Dubai - UAE 

Question ID

14790 

Question Date

Saturday, July 21, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

kiya rozy ki halat main nakhun(nail) katna jaiz hay na nahe iss say roza mukrooh to nahe hota hay  

Jee nahi rozay ki halat mai nail katnay sai na hi roza batil hota hai aur na hi roza makrooh hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553,1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

abdullah mirza - sammarbattery@gmail.com - attock - pakistan 

Question ID

16407 

Question Date

Wednesday, September 12, 2012 

Mujtahid Name

seestani sab 

Question

mera maslak shia hai aur ma syed family sa hoon namaz sunny tarz per perta hoon maray 3 bachay hain aur mery wife meray tamam haqooq pooray kerti hai mujay is k bawjood irani syed girl say shaadi ki khaish hai jab k meri wife is baat ki sakht khilaf hai mujay jawab zaroo dain ap ki boht mehrabani hogi. 

1)Aik sai ziada shadi krna riwiyat ki roshni mai mustahabb hai aur pehli biwi sai ijazat lena zaroori nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 105,pg # 53)

2)Sunni tareeqay sai namaz parhna sahi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1113)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Muta

User Info.

Kazim - kazimlilani@yahoo.com - Kinshasa - Congo 

Question ID

17854 

Question Date

Thursday, October 18, 2012 

Mujtahid Name

Ayatullah Sestani 

Question

Asalam o Alaikum. Mera sawaal hai kay kia aik balig ghair shadi shuda larka kisi ghair shadi shuda larki se mutah kar sakta hai? aur agar wo larki shadi shuda ho tw us k liye kia hukum hai? Kindly Reply. Thanks 

1)Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirf ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342)

2)Shadi shuda aurat sai shadi krna haram hai, chahae daimi ho ya mutah ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2366)

3)Mard ka aik sai ziada shadi(daimi / mutah)krna riwayat ki roshni mai mustahabb hai aur pehli biwi sai ijazat lena zaroori nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 105,pg # 53) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Mubtilaat e roza



User Info.

Adnan - sagheer@alshatrain.com - Lahore - Pakistan 

Question ID

14788 

Question Date

Saturday, July 21, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Rozay ki hallat mien mian bivi k taluqat ki kis had tk ajazat hai. 

1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he.

2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga.

3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye.

4)Jima (intercourse) rozay ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576, 1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

janabat

User Info.

aqeela - aqeela.1987@hotmail.com - karachi - pakistan 

Question ID

14791 

Question Date

Saturday, July 21, 2012 

Mujtahid Name

aqa-e-sistani 

Question

Salam..mera sawal ye haii k mere jism se hameshaa mani khareej hote rehtee haii...is k liye mujhe per ghusal wajib hai ya nhi..? jab k mani k nikalne ka koi time nhi haii..or kabhi kabar mani kharij hone k bare mein pata nhi chalta k kis waqt kharij howee..to mujhe per is k liyee kiya huqam haii... 

Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Doctor tejani samawi jo sunni mazhab sai shia mazhab mai convert huay hain wo ye kehtay hain k jis baat sai mujhay aur bhi yaqeen ho gya k shia hi nijat panay walay wala firqa hai, wo ye hai k shia aqaid farakh dilana, aasan aur har hoosh mand aur ba-zauq shakhs k lie qabil e qabool hain shio k yaha har maslay aur har aqeeday ki munasibat aur itminan bakhs wazahat moujood hai jo ahl e bait a.s mai sai kisi na kisi sai mansoob hai jab k mumkin hai k aisi kafi o shafi wazahat ahl e sunnat aur doosray firqon k yaha na mil sakay. (Ref : Book hokum e azan pg 31)note : mazeed wazahat k lie is kitab ko parhain jo kisi bhi shia Islamic book store ya libray par aasani sai available hai. aur ye kitab English mai bhi tarjuma ho chuki hai. ya aap is link ko copy kar k address bar par paste karain. http://www.ziyaraat.net/books/HukmeAzaan.pdf (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).


Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   75   76   77   78   79   80   81   82   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2024
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish