Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet84/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   80   81   82   83   84   85   86   87   ...   91

Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay(yaani halaq say neechay nah utara jaay.).(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)Note : wo suck kar saktay hain magar doodh halaq mai na jae.  

User Info.

shazia arshad - thshazia@yahoo.com - lahore - pakistan 

Question ID

23143 

Question Date

Saturday, November 03, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

meri umer 33 saal hai.shadi main bohat rukawat hai.koi rishta be nahi ata .meri ami ka naam jameela akhtar hai.please koi istikhara se rahnumai farmae.shukria 

Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

NABILA FATIMA - nabilafatima87@yahoo.com - Rawalpindi - pakistan 

Question ID

23152 

Question Date

Saturday, November 03, 2012 

Mujtahid Name

Agha Ali Seestani 

Question

meri dusri bar pregnancy ha pahli bar misscarriage ho gaya tha pregnancy weak hony ki waja se ab dobara b doctors yahe keh rahe han k pregnancy weak ha to miscarriage se bachny k lia mje Quraan pak se ya (AYIMA- S.A) k farameen se koi sura ya duayn btyn jo ma parh sakun. Please dua for me & my baby  







Surah e Marium surah # 19 ki ayat # 12 ko 2 martaba likhain un mai sai aik aurat ko pila dain aur dusra right bazoo par bandh dain. (Ref : Payam E Shifa pg # 283)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

User Info.

zia abass - ziaabass@yahoo.com - jeddah - saudi arabia 

Question ID

23597 

Question Date

Sunday, November 04, 2012 

Mujtahid Name

shishtani saheb 

Question

sawaal ya hey key non shia koo sadqaa o kharaat dey saqtaa hu iss lia key woo syster in low hey our talaaq yaftaa hey 

Mustahab sadqa non shia ko diya jasakta hai.(laikin jis ko sadqa diya jaay wo dushmane ahlebait aur dushmane deen na ho) (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2, masla # 1607) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

fatiha padhne ka sahi tarika keya hai?

Ans : Fatiha parhnay k lie aik dafa surah e al hamd parhain aur teen martaba surah e ikhlaas parhain. Os k baad ye kahain “in suratoo ko parhnay ka sawab aaima a.s. ki khidmat mai hadya ho kar jo un sai sawab milay wo hamaray marhoom ki rooh ko phonchay, aameen ” (Ref : takeebat e namaz) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). http://www.qoitrat.org/Fateha/Default.asp

User Info.

mahreenfatima - mahreenfatima93@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

14885 

Question Date

Friday, July 27, 2012 

Mujtahid Name

ayatullah sistani 

Question

namaz kitne saal mai wajib hy 

Larki 9 qamari (chand waly) saal pyray karnay k baad balig hoti hai.

Larkay k baliq hone ki 3 elamatain hain.



  1. Naaf k niche aur sharamgha k upper sakht baalo ka aana

  2. Mani ka kharij hona

  3. Mashoor ki bina per 15 chand wale saal ka poora hona . chahray aur hathoo per sakht baalo ka aana

(jab insaan baliq aur aaqil ho jaay to is per namaz aur dosray sherie ahkaam wajib ho jatay hain)

(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2215,2216) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Aulad ka wazifa

User Info.

khalida - j_msalam@yahoo.com - multan - pakistan 

Question ID

22448 

Question Date

Thursday, November 01, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

kia more(pecook) kai khanay sa larka peda hota hai pls answer me

Mor(peacock) k khanay mai bohat saray mujtahideen ka fatwa alag alag hua hai, ayatollah sistani d.b. k nazdeek mor khana jaiz hai albetta ayatollah khoei (r.a) k nazdeek mor haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2587) (Ref: Ayatullah Khoei(r.a),Tauzee hul masail, maslah # 2633)

Wazifa : Hazrat Imam Jafar e Sadiq a.s sai marwi hai k aulad e Narnia(beta) k lie mard apna hath biwi ki naaf par daein taraf(right side) rakh kar 7 martaba is surah ki tilawat krnay k baad mubashrat karay to murad puri ho gi aur jab hamal zahir ho jae to phir isi terh 7 bar tilawat karay. (Ref : Payam E Shifa pg # 93) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Ahkam e nikah



User Info.

sumit - rakeshkriplani06@gmail.com - agra - india 

Question ID

22411 

Question Date

Thursday, November 01, 2012 

Mujtahid Name

Al-sistani 

Question

assalam-aley kum kya agar koi hindu apna mazhab change kar dey to vo ek syed ladki se shadi kar sakta ladki k liye kya sharah hogi aise condition mai agar ladki bhi usse pasand karti ho par ma bap na raazi ho.  

Hindu jab muslman ho jae to os k sath shadi jaiz ho gi albetta Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-42)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok


User Info.

asma azeem - azeem.urrehman@ymail.com - lahore - pakistan 

Question ID

14884 

Question Date

Friday, July 27, 2012 

Mujtahid Name

hanfia 

Question

kia dorany rozy agr mancis hoo jay or roza kholny main taim bhi kam hoo to kia roza tot jay ga 

Din me (roze ki halat me ) haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche ye khoon maghrib k kareeb q na aye is ka roza batil hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1612)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

User Info.

Sayed Feroz - sayed_feroz2004@rediffmail.com - mumbai - india 

Question ID

14745 

Question Date

Monday, July 16, 2012 

Mujtahid Name

sistani sahab 

Question

me health aur rozi se pareshan hu qarz bhi hai suray Qaaf teen baar padhta ho dua wagerah bhi padhta ho lekin koi raasta nahi nikalta hai strong hal batai 

Health k lye :

Sehat o aafiat k lie dua hazrat sajjad a.s. say marwi hai. “ Allah humma inni as’aa’loo’kal aa’fi’ya’to wsh shukra alal aa’fi’ya’te ” (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 211)

Rizq k lye:

Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab’ban’a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )

It is permissible to have a tattoo if: 1. The tattoo allows the water of wudhu and ghusl to reach the skin while performing wudhu or ghusl. 2. Having a tattoo does not involve forbidden touch or look. 3. The tattoo does not encourage corruption or corrupted ideas or beliefs. 4. The tattoo does not have the names of Allah his almighty or Quran script. e. for woman, if that is considered as a beauty item then it must be concealed from non-mehram man ref : email rec from ayatollah sistani d.b. dated July 9, 2012) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Agar likoria hai to ﻜﭽﺎﻜﻴﻼﺍﻭﺮﮔﻭﻠﺮﻜﻭﭽﮭﻠﻜﮯﻜﮯﺴﺎﺘﮫﻣﻼﻜﺮﭙﻴﺲﻠﻴﮞﺍﻭﺮﺼﺒﺢﺍﻭﺮﺸﺎﻢﺍﺴﺘﻌﻤﺎﻞﻜﺮﻨﮯﺴﮯﻠﻴﻜﻴﻭﺮﻴﺎﻜﻭﻔﺎﺌﺪﻩﻫﻭﺘﺎﻫﮯ (Ref : Apna dawakhana pg # 68)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

1-Nihaar moonh khajoor k saath dhoodh peenay se khoon saaf hota hay or wazan(weight) main izafa hota hay. 2- Hara dhaniyah (Green Coriander) ka taza ras or lemoo(Lemon) ka ras mila ker rozana subah peenay se khoon saaf hota hay or wazan(weight) bertha hay. 3- Raat ko bhens(buffalo) k dhoodh main sabut chanay bhigo dain or subah kha lain, is se qoowat aati hay or wazan main izafa hota hay. 4- Khajoor(dates) 10 tola or khishmish( raisin) 5 tola rozana khanay se bilkul sookhay hoay aadmi k jism main naya khoon paida hota hay or bohot faida hota hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Hamal ruknay k baad os ko zaya karna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai. aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray. Rooh phoknay k baad agar larka ho to 5250 miskal chandi hai aur agar larki ho to is ki adhi ho gi. rooh pookhnay sai pehlay ki diyat agar nutfa ho to 105 misqal chandi hai agar khoon jama hua ho to diyat 210 misqal chandi hai agar ghost ka tukra ho to diyat 315 misqal chandi hai agr haddi ban gae ho to diyat 420 misqal chandi hai aur agar azah e badn mukammal hon to diyat 525 misqal chandi kafi hai aur ehtiyat e wajib ki bina par janeen mai jaan na parnay ki surat mai larkay ya larki honay mai koi faraq nahi hai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #72 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  


Agar souteli khala se muraad wo auraat hai jo aap ki maah ki bahn ho aur donoo k baap aur maa(waldain) same hon , ya baap same aur maa alag ho, ya maa same aur baap alag ho to in teenoo suratoo mai wo aap ki khala hai aur in se shadi karna haraam hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Qarz k lye :

Agar surah kahf qarz ada karnay k iraday say parhain to inshAllah qarz ada ho jae ga.

Ya maqrooz adami har namaz k baad ba-qa’edgi say surah muzammil ki tilawat karay to qarz ada ho jae ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)



User Info.

muhammad yasin - mohdali29393@gmail.com - ludhiana - india 

Question ID

14746 

Question Date

Monday, July 16, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Assalam walekum.hamila aurat se kitne mahine tak sohbat kiya ja sakta hai.shariat ke mutabik. 

Mustahabb hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5)

Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k bachay k lie nuqsan day to nahi hai (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)



User Info.

Muhammadsabir - Muhammadsabir20@yahoo.com - Dera Ghazi Khan - Pakistan 

Question ID

14747 

Question Date

Monday, July 16, 2012 

Mujtahid Name

Jafari 

Question

Main ek larki se piar karta hon ap mujhe aisy dua btain jis ke parhne se woh bhi mujh ko piar karne lage ? 

Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai hubtilla honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

Misbah ul Hassan - misbahulhassan@mail.com - Dunya Pur - Pakistan 

Question ID

14809 

Question Date

Monday, July 23, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

agr rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu kya roza toot jaye ga? Aur kya agr raat ko ehtalaam ho jaye tu sbha bghair ghusal k roza rakh saktay hain? 

1)Rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahe hota hai.

2)Aazaan subah tak jaan boogh kar ghusl e janabat na karna roze ko batil kardeta hai. (agar raat me ghusl janabt wajib ho jaay fajar k waqt se phele tak ghusl karna zaroori hai,).

3)Agar koe shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab keh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga.

(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571, 1553, 1630)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Pregnancy /ya rozay

User Info.

Anwar - khanank321@gmail.com - Sultanpur - India 

Question ID

14816 

Question Date

Monday, July 23, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Aurat pregnent hai 8mahina chal raha hai to is halat me roja rakhna chahiye k nahi 

Jis aurat k hamal ka waqt qareeb ho, is ka roza rakhna khud is k lie ya is k honay walay bachay k lie muzr(taqleef day) ho to to is aurat par roza rakhna wajib nahi hai. Aur zaroori hai k har din k badlay aik mudd toam(gundum, aata wagira) faqeer ko day. Aur zaroori hai k donoo suratoo(khud k lie roza rakhna muzr ho ya bachay k lie muzr ho) mai jo rozay na rakhain ho un ki qaza baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1699 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Mubtilaat e roza



User Info.

Roman Khan - romankhan2008@gmail.com - Peshawar - pakistan 

Question ID

14813 

Question Date

Monday, July 23, 2012 

Mujtahid Name

hanifia 

Question

kya rozay kay waqt may shohar bewi kay sat forplay kar sakta ha k ni.is say roza toota hai k ni. 

Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   80   81   82   83   84   85   86   87   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2024
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish