1)Istimna(kise tariqe se mani kharij) karna haram hai..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)
2) mani kharij hone se ghusl janabat wajib ho jata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344 )
3) Jo shak shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
sub se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
Agar qasam tamam shriat k sath khai jae to agar baad mai jan boojh kar is qasam k khilaf amal kray to wo gunahgar hai aur zaroori hai k kaffara dai. Yani 10 faqeero ko pait bher kar khana khelaye ya ine libas pinay aur agar in amaal ko na kar sakta ho to zaroore hai k 3 din musalsal roze rakhe. Lakin agar qasam khanay walay k lie qasam khatay waqt amal krna mumkin ho aur baad mai is par amal krnay sai aajiz ho jae to jis waqt sai aajiz ho ga is waqt sai is ki qasam khatm ho jae gi.ya qasam par amal krnay sai itni mushaqat uthani pray jo is ki bardashat sai bahir ho to bhi ye hi hokum hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2633-34)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|
Hiza aurat per quran ki surah sajda ayat no: 15, surah haa meem sajda ki ayat no:37, surah najam ki ayat no:62, surah alaq ki ayat no:19 ka perhna haram hai.(in k ilawa koi dosri surah ya dua perhna haram nahi hai) (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 448,354). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|
Agar waqeyan aisa(jinse tabdeel hona) mumkin hai to bazaate khud ye haram nahe albata dosere jehate jise chone aur dhekhne k ahtebaar se haram hogha siwahe ye k ye amal zaroore ho jaay. Aur is farz per k jinse tabdeel ho jaay to sare ahkam new jinse ki bina per jare ho ghe na k porane jinse k mutabiq (maslan agar aurat ban jaay ghe to perda karna paregha) laikin sirf zahere
Tour per tabdeele k aajane ka matlab ye nahe hota hai k jinse tabdeel hoghe hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 164). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
-
Zina kerna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30),
-
Agar kohe shaks kise aise aurat se zina kare jo be shoar ho maker iddat me na ho to ehteyate wajib ki bina per tuba karne se phele is se shadi nahe kar sakta. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2364). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|
Mian , biwi aik dosere ki sharamgha ko mas(touch) kar sakta hai. . (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 11)
|
apni sagi bhatiji se nikah karna haram hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2349). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|
Khana khane k baad nahe balke murgan khane k baad pani pina mazmoon( yani adaab k khelaf shumaar kiya ghaya hai laikin phir bhi pani pina jaaz . . (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2602) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|
Mustahabb hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5)
Note : Is ki aur maloomaat k lie aap doctor ki taraf rajoo karain k bachay k lie nuqsan day to nahi hai (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
Agar kohe mar jaay jis per zime hija tul islam ho yani wajib hajj ho to hajj ki qaza is k asal meras (maal) se ki jaay ghi agarchi is ne is ki wasiyat na ki ho .(ref.manasiq hajj , aqa sistani,masla no :73) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
1) Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay.Aur is sai nikah batil nhi hota hai.(ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2335)
2)Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.(Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
na mehram aurat ka jism dekhna aur isi terah in k baloo ko dekhna chahae lazzat k iraday sai ho ya is k bagair, haram mai mubtila honay ka khof ho ya na ho, haram hai.in k chere per nigha dalna aur hatho ko kalayo tak dekhena agar laszat k irade se ho ya haram me mubtela hone ka khof ho to haram hai balke ehteyate mustahab(is ehteyate per amal karna wajib nahe hai) ye hai k laszat k irade k beghair aur haram me mubtela hone ka khof na ho tb bhi na dekheis he tara aurat k leye namehram mard k jism per nazar dalna laszat k irade se aur haram me mubtela hone k sath haram hai balke ehteyat wajib ki bina per laszat ka irada aur haram me mubtela hone ka khof nab hi ho tab bhi nigha nahe dalne chaiay laikin agar aurat mard k jisam k in hisso maslan sar, dono hath aur dono pinliyo per jine omoman mard nahe chupate ,laszat k irade k beghair nazar dale aur haram me mubtela hone ka khof na ho to kohe ishkal nahe hai. aur aurat ko chahaea k wo sar k baal aur aur apna badan na-mehram mard sai chopae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
jins e mukhalif se dosti kerna (mohabbat) jaiz nahi koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Quran majeed mai namaz ka tazkira bohat saray maqamaat par hua hai jis mai sai aik surah nissa surah # 4 ki ayat # 103 mai namaz ka hokum is andaz mai dia gaya hai. k mominoo par namaz ko likh dia gya hai yani namaz wajib qarar di gae hai. is k alawa aur bhi be-shumar maqamaat par namaz k wajib honay ka tazkira hua hai.
ok
1)Aurat ko bacha paida honay k 10 din tk jo khoon ata hay osay nifaas kehtay hain. Aur jo aurat nifaas ki halat may ho os say jima karna haram hay lakin os par koi kaffara nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 504) note : Behtr hay k is baray mai doctor sai roju karain k bacha paida honay k 10 din k baad kab intercourse kar saktay hai ya nhi ya kitnay din tk intercourse nhi krna chaheay.
1)Ji haan sadqa jama kar sakhtay hain lakin aap ko chahaea k kisi khas faqeer ka vakil ban kar is ki janib say apnay pas rakhay, albetta phir wo sadqa osi faqeer ki milkiat ho ga jis k lye jama kia tha. (Ref : Mujtahid se pochay gaay sawalaat, part # 1 , sawal # 185).
2) Sadqay may zaroori hay k qasd e qurbat ki niyat ki jay aur agar os may qasd e qurbat ki niyat na ki jay to to sadqa nahi ho ga.
3)Mustahabb sadqay may afzal hay k chupa k dia jay magar ye k jab touhmat ko door karnay k lye, ya doosro ko targeeb dilanay k lye dia jay to sadqa zahir kar k dia jay. (Ref : Minhaj-us-Salaheen part # 2, Masla # 1608) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ok
Ghunnah e kabeera
User Info.
|
Abdul Majid - amajid5513@gmail.com - Islamabad - Pakistan
|
Question ID
|
17804
|
Question Date
|
Thursday, October 18, 2012
|
Mujtahid Name
|
Any Hanfi Aalim
|
Question
|
Assalam o alai kum. Islam mai bohtan ki kya saza hay agr bohtan b zina ka ho?
|
Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Momin par bohtan lagana gunnah e kabeera mai sai hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 39)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Istebra
User Info.
|
Iqbal Haider - haiderlko@gmail.com - Delhi - India
|
Question ID
|
17562
|
Question Date
|
Wednesday, October 17, 2012
|
Mujtahid Name
|
Ayatullah Sistani
|
Question
|
Salaam Alaiku Janab, Kabhi Kabhi jab mujko kabz(constipation)hota hai aur me zoor laga kar stool pass karta hu to pesaab ke saath kuch mani jaisa dikhane wala fluid pass ho jata hai. Mujko Please batae ki is halat me gusl wajib hai ya nahi.Iski wajah se mujko Namaz parne me and Imambargah jaane me bahut shak hota hai.
|
Wo ratoobat jo baaz awqat peshab k baad niklti hai agar peshab os sai mila hua na ho to wo pak hai aur os ko wida kaha jata hai. wo mani nhi hai aur ghusl bhi wajib nhi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
Nifas
User Info.
|
Imran - prince_maani@yahoo.com - Sukkur - Pakistan
|
Question ID
|
17566
|
Question Date
|
Wednesday, October 17, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
bachy ki delivery ke bad aurat se kitne arsay bad hambistri jaiz hai? quran o sunnat ki roshni me jawab dein apki bari meharbani hogi
|
1)Aurat ko bacha paida honay k 10 din tk jo khoon ata hay osay nifaas kehtay hain. Aur jo aurat nifaas ki halat may ho os say jima karna haram hay lakin os par koi kaffara nahi hay. Yani bacha paida honay k baad 10 din tk intercourse nhi krna chahea. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 504) Note : Behtr hay k is baray mai doctor sai roju karain k bacha paida honay k 10 din k baad kab sai intercourse kar saktay hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
ok
Kharay ho kar peshab karna makrooh hai yani agar na karain to sawab milay ga aur agar karain gai to koi gunah nahi ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 77)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Tasweer ki 3 qismain hain. 1)Ze rooh maslan insan aur hewan ka moujasma banana. Ye mutlaqan ehtiyaat e wajib ki bina par haram hay chahay mokammal ho ya naqis(incomplete). 2)Zee rooh (insan aur janwar) ki tasweer (painting) banana. Ye jaiz hay. 3)Gair e zee rooh (maslan darakht) ki tasweer (painting) banana. Ye mutlaqan jaiz hay chahay mujasma hi q na ho.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2 masla # 18) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Jab aurat nifas ki halat mai ho os par namaz parhna haram hai aur Nifas yani bachay ka pehla juz maa k pait sai bahir aanay k waqt sai 10 din tk jo khoon aye wo khoon nifas hai. ye zaroori nahi hai k bachay ki khilqat mukammil ho bal k agar is ki khilqat na mukammal ho laikin ( ﻋﻠﻗﻪ ) yani khoon ka lothra ya ( ﻤﺿﻐﻪ ) yani ghosht ka tukra honay ki halat sai ghuzr chuka ho aur phir gir jae to bhi 10 din tak jo khoon aye os ko nifas kehtay hain. Laikin 10 dino k bad aanay walay khoon ko nifas nahi kehtay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 498-501)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
User Info.
|
khan g - aamir5533@yahoo.com - rawalpindi - pakistan
|
Question ID
|
16399
|
Question Date
|
Tuesday, September 11, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
sir meri bhen ki omar 25 saal hai wokhubsorat hai mera us ke sath sex karne ko dil karta hai aksar us ke bare mein mere zain mein galat khayalat aate hai or aksar main us ko galat nazar se b dekhta hoon to kya apne bhen ke bare mein galat sochna ya galat nazar se dekhna b gunnah hai sir plz jawab lazmi dain main pehle b 4 5 dafa poch chuka hoon
|
Jo mard aur aurat aapas mai mehram hon agar wo lazzat ki niyat rakhtay hon aur haram mai parhnay ka khof ho to un k jism ko dekhna jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2401)
ser Info.
|
misbah - muskanali45@ymail.com - multan - multan
|
Question ID
|
16368
|
Question Date
|
Monday, September 10, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
kia sms py nikah pssible hy gwah mauqy py tu ni thy bt muqy py unhain msg dikhaya gya plzzzz gve answer
|
SMS par nikah sahi nahi hai q k nikah mai nikah k sighay k bool parhna zaroori hai. aur nikah likhna ehtiyat e wajib ki bina kafi nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2328)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
User Info.
|
Rehan - samisameer118@gmail.com - Karachi - Pakistan
|
Question ID
|
16366
|
Question Date
|
Monday, September 10, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
meri umer 25 sal he or me unmarried hon me rat me jab sota hon to mujhe bohat ajeeb feel hota he or mera hath khud hi age ki tarf ajata he or is tarha me haton se mani nikal jati he plz baten me kia karon or mujhe is se bachne ka tareeka bhi baten hala k me namaz bhi parhta hon or me is se bachna chata hon
|
1)Istemna krna haram hai chahae kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253)
2)Jo shakhs shadi na krnay ki wajah sai fail e haram mai mubtila hota ho os par shadi krna wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2407)
3)Sub se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-farmani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon tab aap k liay zarori hay k shadi karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Agar sohar aurat sai jima krnay sai pehlay talaq dai dai to is k lie koi iddat nahi hoti hai yani aurat talaq k baad foran doosra sohar kar sakti hai laikin agra sohar ki mani is ki sharamgah mai dhakil hoi ho to is surat mai zaroori hai k wo aurat iddat rakhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2475) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Send
User Info.
|
shoaib alam - shoaib_alam1987@yahoo.com - kolkata - india
|
Question ID
|
16246
|
Question Date
|
Tuesday, September 04, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
wazu men masah kis tarah kiya jay.
|
Answer
|
|
Topic
|
Add a New Topic
|
1)Donoo hath dhonay k baad sar k aglay hissay ka masah wazoo k pani ki os tari sai krna chahea jo hathoo ko lagi reh gae ho aur ehtiyat e mustahabb ye hai k masah dain(right) hathili sai kia jae aur upper sai nichay ki taraf ho.
2)Sar k 4 hisso mai sai peshani sai mila hua aik hissa wo maqam hai jahan masah krna chahea is hissay mai jahan bhi aur jis andazay sai bhi masah karain kafi hai. agar cheh ehtiyat e mustahabb ye hai k lambai mai aik ungli k lag bhag aur chorai mai 3 milli hui unglioon k lag bhag jigha par masah kia jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 248-249)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|
Do'stlaringiz bilan baham: |