1)Istimna(kise tariqe se mani kharij) karna haram hai..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)
2) mani kharij hone se ghusl janabat wajib ho jata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344 )
3) Jo shak shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
sub se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Na mehram k sath jinsi lams (begair inytercourse k) zina nhi hai laikin haram hai. is lie toba karain. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ok
|
Baqra eid k din(hajj k ilawa dosere jaghao me) qurbani kerna mustahab e maukadah hay.or is qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf sai or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 janwar ko qurban karay, isi terah qurbani main ka’e afrad(many persons) ki shirkat jaiz hai.(Ref : Sistani(d.b), Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah # 27, sawal # 4).
Hajj me jo qurbani wajib hoti hai is me ye sharait hain : wajib hai k qurbani me camel ho ya cow, bhair ho ya baqri(goat). Camel os waqt tak kafi na ho ga jab tak 5 sal puray kar k 6 sal me dakil na ho chuka ho, cow aur baqri bina bar ahwat jab tak 2 sal mukammal kar k teesray sal dhakil na ho aur goosfan jab tak 7 month ko mukamal kar k 8 month me dakil na ho. Qurbani mai ye bhi zaroore hai k is k aza salim ho pas kana,lanra,kaan kata aur sink tota waghaira kafi nahe hai aur khase bhi na ho makar ya k kohe dosera na milraha ho .ye bhi zaroore hai k louqo k ahtebaar se kamzoor na ho .(ref.manasiq hajj ,aqa sistani ,masla 384)
Mustahab qurbani me wo sharait hona zaroori naha jo wajib qurbani me bayan ki gae hain siwaye umer(age) wali shart k yani ehtiyat e wajib ki bina per ount(camel) ki umer me zaroori hai k wo 5 sal pure kar k 6 sal me dakil ho chuka ho , ghay(cow) ho ya baqre(goat)me ehtiyat e wajib ki bina par 2 sal mukammal kar chuke ho aur 3 sal me dakil ho chuke ho aur goosfan me 7 month(mahene) mukamal kar k 8 month me dakil ho chuka ho .(Ref : Sistani.org Arabi topic azha) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
ok
|
Agar aap nai abhi tak khums nahi mikala tha aur chahtay hain k aik date fix karain to aap Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot sai vakeel maujood hain, un sai rabta karain. jin main se aik Maulana Ali Raza Mehdavi hain. aur Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). address: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
ok
1)Aurato k samne aurato ka aur mardo k samnay mardo ka raqs(dance) karna ehtiyat e wajib ki bina per jaiz nahi hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 283, pg # 570)
2)Haram mosiqi wo hai jo lho wa lahab ki mahafil sai munasibat rakti ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 570, 555 pg # 283, 280) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
|
|
1)Aurto k samne aurto ka aur mardo k saamne mardo ka raks(dance) karna ehteyate wajib ki bina per jaiz nahe hai.(ref.jadeed fiqhe masail, aqa sistani , masla no 570)
2) haram mosiqe wo hai jo lho wa lahab (ghunagaro) ki mahafil se munasbat rakte ho . .(ref.jadeed fiqhe masail, aqa sistani , masla no 555) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
1)Mah ya baab , beta ya bete ko shadi per majboor nahe kar sakte.(ref.jadeed masail, aqa sistani, pg no: 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
2)nikah k sahe hone ki sharait me aik ya hai k aurat aur mard nikah per razi ho.ha agar bazahir napasadeedghe ka ishaar kare aur malooom ho k dil se raze hai to nikah sahe hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2335 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
Hazrat ali (a.s) ne aap k ghusal o kafan ka intezaam kiya aur rasool pak(s.w.a) ko apne hatho se dafan kiya jab k bakar, umar shareeq bhi nahe hoay aur saqefa sazi me masroof rahe.(ref.chuda sitare , allama zeeshan haider jawade, pg no 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
Ye zarore nahe hai k sar ka masa jild par kiya jaay balke sar k agle hisso k baalo per karna bhi dorus hai laikin agar kise k sar k baal itne lambhe ho k maslan agar kangha kare to chere per aghere ya dosere hisse tak ja pouche to zaroore hai k wo balo ki jaro par masa kare aur agar wo chere per aghirne wale ya dosere hisso k baalo ko sar k agle hise me jama kar k in par masa kare to aisa masa batil hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 250 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
1)Ehtiyaat e wajib ki bina per namaz main shahadat e salisa(moula ali(a.s) ki gawahe dena) perhna jaiz nahi hay.Or agar koe shaks tashahud main shahadat e salisa perhay tu agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os per wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin main shahadat e salisa perha tha. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 , Mujtahid se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90)
Agar koi talib e ilm Surah e aaraf surah # 7 ki ayat # 171 ko likh kar kitab mai os jigha rakh dai jahan osay sabaq yaad karna hai, inshallah sabaq yaad ho jae ga jaisa yaad karnay ka haq hai. (Ref : Tajaliyat e quran pg # 56)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) Wazifa batanay k sath aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai hubtilla honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
1)Mard k lye aik se ziyada shadi karna jaiz hai.(aurat ki ijazat ki zaroorat nahe hai) (ref.minhajus sauleheen aqa sistani, masla no: 200)
2) Biwi k liay zaroori(wajib) hai k jab bhi sohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e : in periods) k baghair sohar ko hambistari say nah rokay.
Agar koi aurat hambistri aur jinsi lazzat k silsile me ki khowish puri na karay to sohar us ki roti , kapray aur makan ka zimadar nahi he. Agar chahe wo sohar k pas hi rahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376-77) .
3) biwiyo k sath jis adalat k lazme tur per rawa rakne ka hukam diya ghaya hai is se muraad rato ki taqseem me adalat hai .yani agar aik shab aik biwi k pass suya ho to char rato me se aik raat kise dosere biwi k pass bhi soye .jo adalat sharhe nuqte nigha se mustahab hai is se murad naan wa nafqa aur in ki taraf tawaju dene , chere ko hashah bashash rakne aur jinse khaiash pure karne me barabare hai.
(ref. jaded fiqe masail, aqa sistani,masla no 434) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
Do cheezoo sai insan mujnib ho jata hai jis mai sai aik jima (intercourse) aur dosera mani ka kharij hona hai chahae neend ki halat mai hi niklay aur ghusal e janabat wajib namaz prhnay k lie aur aisi hi doosri ebddat k lie wajib ho jata hai. (Ref : Tauzeeh ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344,356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Shohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hay lekin shohar biwi ki breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, to ehtiyat wajib ye hay k biwi ka doodh nah pia jay(yaani halaq say neechay nah utara jae.) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
Imam jafar e Sadiq a.s. farmatay hain k : Jo shakhs namaz sai ghafil rehta ho wo 7 martaba surah e mominoon surah # 23 ji tilawat karay to ba-qaidgi sai namazain parhnay lagay ga. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 05)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|
|
|
janabat
1:Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360)
2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi.
1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai.
2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho.
2:Ghusl e janabat ki niyat k waqt niyat kray k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl janabat krta hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
1,2)Sharab pina haram hai aur baz hadees mai sharab ko gunah e kabeera bataya gya hai. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. nai farmaya sai riwayat hai k aap a.s. nai farmaya “Sharab buraio ki jr aur gunahoo ka mumba hai. jo shakhs sharab piay wo apni aql kho bethta hai, wo is waqt khuda ko nahi pechanta, koi bhi gunah karnay sai nahi chokta, . . . . .aur 40 din tk is ki namaz qabool nahi hoti hai.” (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2596)
3)Sohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k zahari aur batani hisso ko yaha tk k sharamgah ko bhi dekh saktay hain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236)
4)Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Laikin nikah batil nahi hota hai.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67)
5,6,7)Sohar aur biwi dono aik doosray k badan k kisi bhi hissay ko dosray k badan k kisi bhi hissay sai mas kar saktay hain ya choo saktay hain chahaey lazzat se ho ya baghair lazzat k. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masail masla # 406 pg # 236) Shohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hay lekin shohar biwi ki breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, to ehtiyat wajib ye hay k biwi ka doodh nah pia jay(yaani halaq say neechay nah utara jae) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org)
8,9)Hadees e Rasool s.a.w.w. hai k jima kartay waqt koi shakhs batain na karay q k ajab nahi k wo bacha goonga paida ho aur aurat ki sharamgah na dekhay bal k is halat mai aankhain band rakhay q k is waqt sharamgah ki taraf dekhna aulad k andhay honay ka bais hai. (Ref : Islam aur jinsiat pg # 138)
10)Istemna krna haram hai chahae kisi bhi zarie sai ho. Aur is ka kaffara toba karna hai.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253) (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 200,pg # 82) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Shohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hay lekin shohar biwi ki breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, to ehtiyat wajib ye hay k biwi ka doodh nah pia jay(yaani halaq say neechay nah utara jae.) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
Baqra eid k din qurbani kerna(Hajj tamato,hajj qiran, me qurbani karna k ilawa dosere jaghayo me)mustahab e maukadah(yani bahat ziyada taqeed ki ghey ) hay.or is qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main ka’e aafraad(many persons) ki shirkat jaiz hay.(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4).
Hajj tamato,hajj qiran, me qurbani karna wajib hai.(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj , masla no:before 382) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
Hajj me eid k din me Ehteyate ola ya hai k baal katna ya ganja hona qurbani karne k baad ho. .(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj , masla no:before 403) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
Hajj me eid k din me Ehteyate ola ya hai k baal katna ya ganja hona qurbani karne k baad ho. .(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj , masla no:before 403) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
Hajj me baal kaatna ya ganja hona wajib hai. .(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj , masla no:before 403) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (Ref : kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)
2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1).
3)Zaroori hai k os mujtahid ki taqleed ki jae jo aalam ho yani apnay zamany k diger mujtahideen ki nisbat ahkam e ilahi ko samajhnay ki behtr slahiat rakhta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi.
) Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
1)Istimna(kise tariqe se mani kharij) karna haram hai..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)
2) mani kharij hone se ghusl janabat wajib ho jata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344 )
3) Jo shak shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
sub se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|
Agar sonay ko sonay sai aur chandi ko chandi sai becha jae to chahae wo sicka ho ya na ho agar in mai sai aik ka wazan doosray sai ziada ho to aisa soda haram aur batil hai. aur agar sonay ko chandi sai ya chandi ko sonay k badlay naqad becha jae to soda sahi hai aur zaroori nahi hai k donoo ka wazn barabar ho. Laikin agar udhar ho to batil hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2082-83)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|
Do'stlaringiz bilan baham: |