Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet62/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   58   59   60   61   62   63   64   65   ...   91

Daimi nikah k baad biwi ki ghiza, libas, rehaish aur zandigi ki baqi zarooriat ka intezam shohar par wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

send


Edit ques and edit ques wazifa



User Info.

Mohammad Naim Makhdoomi - mohdnaimraza@gmail.com - New Delhi - India 

Question ID

16177 

Question Date

Sunday, September 02, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Assalamo alaikum Allah azza wa jallah ke fazlo karam se aur peero murshid ki nisbat se sarkar ke sadke mein mere chehre par dadi_e_mubarak saji hai lekin mujh qameen se apni nafs par control nahin ho pa raha hai nafs mujh se jab bhi jo chahti hai kara leti hai aur is waqt to mere sir par film dekhne ka junoon is kadar habi hai ke 1 din mein 3-4filme dekh le rahan hoon lekin main isse bachna chahta hoon main kya karoon jisse apni nafs par fatah pa sakoo mujh qameen ko dua mein bhi yaad rakhna  

Answer




Topic

Add a New Topic




Sarkash nafs ki sarkoobi k lie har roz ye dua perhna bohat faiday mand hai. (Ref : Payam E Shifa pg # 249)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

send



S/no:2

http://qoitrat.org/qa/hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

yasir - yash_khan12@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

16178 

Question Date

Sunday, September 02, 2012 

Mujtahid Name

kya bivi k dood pene se nikah toot jata  

Question

a\salam .mera sawal ya he k kya bivi ka dood pene se nikah toot jata hai..or jab k bivi razi ho pilane main apna dood to piya ja sakta hai? 




Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay, Is say nikah batil nahi hota hay laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, to ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah pia jay(yaani halaq say neechay nah utara jaay.) albetta is sai nikah batil nhi hota.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2335). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

send


qasam

S/no:3

http://qoitrat.org/qa/hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

smawish - smawish_komi@yahoo.com - gujranwala - pakistan 

Question ID

16179 

Question Date

Sunday, September 02, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

mera swal hai k meny aj sy takreeban 2 sal pahly smoking chor di thi par ab mera dil karta h phir sy smoking karny ka .. tb mery gar walo ny mujsy zabardasti quran uthwaya or kaha k ab tume qasam hai k ab cigret nai pio gy. par meny quran par hath rakh kar sirf (ACHA) kaha..na meny Allah ka name lia qasam khaty huwe..to kya ye meri qasam hogai h? plz reply me..  




1)Ye qasam sahi nahi ho gi q k qasam khanay ki shriat mai sai hai k qasam khanay wala apnay ikhtiar sai qasam khae lehaza us shakhs ka qasam khana jisay mujboor kia gya ho durust nahi hai. aur qasam khatay waqt Allah ka nam lena bhi zaroori hota hai. Is k alawa qasam k alfaz zaban par lana zaroori hain

2)Jab bhi waldain ki taraf sai koi hokum ya rok tok mohabbat ki wajah sai ho aur is ki mukhalifat sai inhain aziet hoti ho to aulad k lie in ki mukhalifat krna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2634, 1387) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

send
Shadi biah


S/no:4

http://qoitrat.org/qa/hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

Fatima riaz - Fatima.riaz@gmail.com - Karachi - Pakistan 

Question ID

16188 

Question Date

Sunday, September 02, 2012 

Mujtahid Name

Biwi ka shohar k sath sex krna 

Question

Kia biwi ko apne shohar k samnay apne sary kaprey utara hote han ap us ka sohar us ko kahe 

Answer







Berhena (naked) halat main jima kerna makrooh hai.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
send

Shadi biah






S/no:5

http://qoitrat.org/qa/hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

sattar - sh434@hotmail.com - kachi - pk 

Question ID

16191 

Question Date

Sunday, September 02, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

biwi ka mall khana islam main jaiz hay yah nahi.  

Daimi nikah k baad biwi ki ghiza, libas, rehaish aur zandigi ki baqi zarooriat ka intezam shohar par wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

send


S/no:2

http://qoitrat.org/qa/hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

mohammad zakir - hamidaaligul@yahoo.de - hamburg - germany 

Question ID

16189 

Question Date

Sunday, September 02, 2012 

Mujtahid Name

ayatullah sistani 

Question

mera meat factory main kam karna kaisa hain jahan halal aur haram meat ko charby se alag karna mera kam hai magar hum ghosht ko direkt toch naheen kartey hathon main dastaney hotey hain aur munh per mask ugley maheeny se pork bhi shroo hu ga pleas merey sawal ka jabab zaroor deejiye. 

Answer




Topic

Add a New Topic




Khanzeer ka ghosht un logo k hath bhi bechna jaiz nhi hai jo isay halal samajtay hon farq nhi prta k dukan mai insane apnay hath sai khanzeer ka ghosht bechay ya is amal ka sabab banay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 279 pg # 163-64)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
send

qasam


S/no:3

http://qoitrat.org/qa/hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

smawish - smawish_komi@yahoo.com - gujranwala - pakistan 

Question ID

16180 

Question Date

Sunday, September 02, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

agar kisi be qism ki qasam khai ho to kya wo khatam ho skti h? 

Answer




Topic

Add a New Topic




Agar qasam tamam shriat k sath khai jae to agar baad mai jan boojh kar is qasam k khilaf amal kray to wo gunahgar hai aur zaroori hai k kaffara dai. Lakin agar qasam khanay walay k lie qasam khatay waqt amal krna mumkin ho aur baad mai is par amal krnay sai aajiz ho jae to jis waqt sai aajiz ho ga is waqt sai is ki qasam khatm ho jae gi.ya qasam par amal krnay sai itni mushaqat uthani pray jo is ki bardashat sai bahir ho to bhi ye hi hokum hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2633-34)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

send




S/no:4

http://qoitrat.org/qa/hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

Ahtsham Ali - jalilnawaz@ymail.com - Lahore - Pakistan 

Question ID

16187 

Question Date

Sunday, September 02, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Mein ye pochna chahta hon k mery nikah k baad meri biwi n mujy ye bataya k wo kisi mard k sath shadi s phly hambasrti kar chuki, ab m ye pochna chahta ho k kia us k liye m kuch kar skta hon ? wo shrminda hai or toba karti hai hr waqt par disturb rhti hai kia m us k sath us k gunah ka hisadar hon ab ? yaa us k lie koi kafara hai ? 




1)Zina karna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30). 2)Osay sachay dil se toba karni chahea. Parverdigar ne quran majeed me wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karay. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

send
talaq






S/no:5

http://qoitrat.org/qa/hr_sep.gif

Print me- Delete

User Info.

bazgha - bazghahina@yahoo.com - tucson - usa 

Question ID

16186 

Question Date

Sunday, September 02, 2012 

Mujtahid Name

pls sir is ka answer serf mujy email ker 

Question

Jab husban ek dafa talaq de dane tu kya 2 years bad apni wife k pass a sakta hai Or mera 2nd question hai k ager ek dafa talaq day de or us k 4month bad us ki girlfriend us ki wife se khey k us nay devorice paper tayer hai or mere pass hai tu kya talaq ho jati hai competley 

1)Talaq e bayan wo talaq hai jis k baad mard apni aurat ki taraf rajoo krnay ka haq nhi rakhta yani begair nikah k dobara isay apni biwi nhi bna sakta. Is k alawa aik talaq hai wo talaq e rajei hai jis ka matlab ye hai k jab tk aurat iddat ai ho shohar is sai rajoo kr sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2486)

2)Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Send

Qasam


User Info.

Aira - my_friend00@yahoo.com - Layyah - Pakistan 

Question ID

17843 

Question Date

Thursday, October 18, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

agar mein khud ko koi kasam doun ke me ye kaam nahi krou n gi aur phr me wo kasam toor doun tu kya kafara huga?

1)Qasam ki chand shrait hain : 1:qasam khanay wala baligh aur aaqil ho aur apnay iraday aur ikhtiyaar se qasam khay aur agar koi shakhs jazbaat me aa kar bila irada aur be-ikhtiar qasam khay to ye qasam sahi nahi he. 2: jis kam k anjam dane ki qasam khaye zurari he k wo haram ya makrooh na ho. 3: Allah ka aisa name le k qasam khae jo kisi aur k lie istemaal na hota ho 4: qasam k alfaaz zaban par laay jain. 5: qasam per amal karma mumkin ho.

2)Agar qasam tamam shriat k sath khai jae to agar baad mai jan boojh kar is qasam k khilaf amal kray to wo gunahgar hai aur zaroori hai k kaffara dai. Lakin agar qasam khanay walay k lie qasam khatay waqt amal krna mumkin ho aur baad mai is par amal krnay sai aajiz ho jae to jis waqt sai aajiz ho ga is waqt sai is ki qasam khatm ho jae gi.ya qasam par amal krnay sai itni mushaqat uthani pray jo is ki bardashat sai bahir ho to bhi ye hi hokum hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2633-34)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

qaasam

User Info.

Zani khan - Zani.mughlk@yahoo.com - Islamabad - Pakistan 

Question ID

16214 

Question Date

Monday, September 03, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Hm do mn jgra hva ...mn nay Quran utha k kaha k mn nay ye bt nahn kahi ...jb k agay us dosray nay b quran utha k kaha k mn nay jo tm kh rai ho wo nahn kuch r sna...hm mn ghlt fhmi hoi mn nay nay kuch kaha r us nay kuch kaha ...ab mjhay bhhht tnshn ha k may b mn nay jo mn kh rai hn wo na kaha ho q k us nay ghlt kasay sna fr apnay ap ko yaqeen dilaty hn n k mn nay sai kaha r us nay ghlt sna ab mjhay bhht tnshn ha k Quran q uthaya ...ap plzzz mjhay koi hl btahn ...abi rply krn plzzzz 


Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   58   59   60   61   62   63   64   65   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2025
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish