Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet73/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   69   70   71   72   73   74   75   76   ...   91

Ramzan ki ratoo mai jima karna jaiz hai lakin Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main biwi sai jima karna mustahabb hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

Abdul Azeem - azeemkhanazeem455@gmail.com - hyderabad.sangareddy.town - india 

Question ID

14976 

Question Date

Sunday, July 29, 2012 

Mujtahid Name

Azeem 

Question

assalamualykum.mera nam abdul azeem hai mai andhra pradesh.sangareddy.town se hun well iam student mere sawal ye hai ki mujhe bure qayalat ate hai jaise ki namaz ke liye rakat bandta hun use namaz mein mujhe bure qayalat ate hai aur jab bhi main kise ko dekhta hun tab bhi meri nazar buri hoti hai.ap mujhe kuch istarah ka wazifa bateye ki mujhe mein ki buraiya katam hogaye.plz reply me.Azeem 

Ghunnah say hifazat aur nafs ki pakisgi aur bulandi k lye zikr e younusia jo surah e ambia ki ayat no 87 hay parhna chahaea, wo zikr ye hay “لا اله الا انت سبحانک انی کنت من الظالمین ” Behtr hay k isay sijday may ziada say ziada tilawat kia jay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 42 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Mubtilat e roza



User Info.

Muhammad Raza - m.raza89@ymail.com - Karachi - Pakistan 

Question ID

14936 

Question Date

Saturday, July 28, 2012 

Mujtahid Name

Syed Sistani 

Question

Salam kia rozay main inhelair use kar sakte hai plz reply me fast? 

Dame ki bimari me istemal hone wala spray(inhaler) agar dawa ko sirf phephoro(lungs) tak pounchae( yane dawa ko sirf saas ki nali tak pounchae, na k khane ki nali tak) to is se roza batil nahe hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1557) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Toba ka wazifa



User Info.

samia zafar - sam_zafar98@yahoo.com - - pakistan 

Question ID

14926 

Question Date

Saturday, July 28, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Allah pak bar bar gunah kr k bar bar toba krny pe maf ker dety hain? 

1)Hazrat Rasool e Khuda irshad farmatay hain k: Jo shakhs surah e talaq surah no 65 ki tilawat karay ga Khuda os ki toba qabool karay ga jis mai ghunnah ki taraf dubara lotna na ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37)

2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Mubtilaat e roza

User Info.

Iqra - Bhaisahab40@yahoo.com - Karachi - Pakistan 

Question ID

14927 

Question Date

Saturday, July 28, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Agr rozay m sexs kia h r mani nkal jy to roza hoga ya ni 

1)Jima aur istmna (kise zaria se mani kharij karna )karne se roza batil hojata hai.

2)Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker jima aur janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565,1569,1630) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Mubtilate roza

User Info.

NOMAN - farhan650_18@yahoo.com - KARACHI - PAKISTAN 

Question ID

14928 

Question Date

Saturday, July 28, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

AGAR KOE APNI BIVI K SAT RAMZAN ME HUMBISTARI KARLAY TO US KA KAYA KUFFARA HOGA YA SACCHI TOBA KARNA SA ALLAH PAK UNKO MAFF KARDAINAGAY, PLZ ADIVSE???? 

1)Jima karna se roza batil ho jata hai.

2)Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker jima aur janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565, 1630) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Mubtilat e roza

User Info.

Aqib - aaqibikram1@gmail.com - Lodhran - Pakistan 

Question ID

14908 

Question Date

Saturday, July 28, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

mery sawal ye hai k agar rozy hi halat main kisi larki sy sirf baat krny sy katry ya mani aa jy tou roza batil ho ga ya ni? agr waisy hi zehn main koi khiyal aany ki waja sy katry ya mani nikal aaye tou roza batil ho ga ya ni?  

1)Agar ye qatray wo hain wo khabi khabi shewat ubharnay par mard ki peshab ki nail mai aa jatay hain to ye pak hai aur is sai roza bail nahi hota hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat roza ques # 40 pg # 33)

2)Agar yaqeen ho k ye qatray mani hain to roza batil ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Wazifa

User Info.

Ali - aliraza.93@live.com - karachi - pakistan 

Question ID

14963 

Question Date

Sunday, July 29, 2012 

Mujtahid Name

ayatullah sistani 

Question

mere baal kafi gamzur hogaye hain aur musalsal thore thore gir rahe hain doctor ko bhi dikhaya par kch arsey mai phr girne lagte hain .. 

Agar sar k baal bohat girtay hoon to har namaz k baad 313 martaba haathoon per (Allaa’hol baa’riol kabeer) parh kar baalon me haath phair lein to baal girnay band ho jain gay. (ref : kitab naway salaheen pg # 385) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Namaz e jamat k ahkam



User Info.

Mubashar Hussain - bassi_88@yahoo.com - faisalabad - Pakistan 

Question ID

13771 

Question Date

Friday, March 09, 2012 

Mujtahid Name

imam azam  

Question

Assalamo-Alaikum Jnb mera sawal ha k. imam k peshay namaz may qurat(twelevet) karnay ka kia hukam ha. 

Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rak’at main ehiyaat e wajib ki bina per al-hamd or sorah nahi perhna chahiay or mustahab or afzal ye hay k on k bajaay Zikr e ilahi or dorood perhay.or isi terah zarori hay k muqtadi namaz e fajr,maghrib or isha ki pehli or dosri rak’at main al-hamd or sorah nah perh’hay(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1443,1447 & Minhaajus saliheen,Part#1,maslah#812) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Mubtilaat e roza



User Info.

mahrukh ahmed - shahidashafi_66@yahoo.com - peshawar - pakistan 

Question ID

14974 

Question Date

Sunday, July 29, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

sir kya roze ki halat mein nakhun(nails)kat sakte hain  

Rozay ki halat mai nails katnay sai roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Mubtil roza



User Info.

Md jawed - Jawed092@gmail.com - Kolkata - India 

Question ID

15161 

Question Date

Thursday, August 02, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Ramzan me apni bivi ke sath hambistari kar sakta ya nahi 

Mubasharat (intercourse)roze ko batil kar de te hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Fitra


User Info.

Naazneen Sultana Khan - rnk@bhelhyd.co.in - HYDARABAD - INDIA 

Question ID

15162 

Question Date

Thursday, August 02, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Assalam 0 Alikum. Mufti sahab hamara Q ye hai ke eas saal ka fitra kitna hoga. our kahete hai ke hamari salary me se bhi kitna persantejh nikal na hoga. Please hame bataye. 

Jo gheza aap k shr(city) me istemal hote hai maslan gandum , jou in ka 3 kg (ya 3 kg ki qimat)dena hota hai. Aur agar qimat dain to os jins ki niyat karni ho gi jis jins ki qimat day rajay hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1952) Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

rizq


User Info.

abdul shakur - abdulsakurghoshi@gmail.com - sujangarh - india 

Question ID

15177 

Question Date

Thursday, August 02, 2012 

Mujtahid Name

rizq 

Question

meri biwi or sasur ne mere rozi par tala laga diya hai me koi kam karta hu lakin usme mughe niksan hota hai kya karu.

Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to oski khareed o farookth ziada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye likha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Wazifa


User Info.

Tahir - Tahiratta01@gmail.Com - Luddan - Pakistan 

Question ID

15178 

Question Date

Thursday, August 02, 2012 

Mujtahid Name

Suni 

Question

Mera question hay k majh say ak gunah sarzad ho jata hay bohat koshaish k bawajod mujh say nahi chot raha. Koi aysa amal batin k muj say chot jay. 

Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Ghunnah say hifazat aur nafs ki pakisgi aur bulandi k lye zikr e younusia jo surah e ambia ki ayat no 87 hay parhna chahaea, wo zikr ye hay “لا اله الا انت سبحانک انی کنت من الظالمین ” Behtr hay k isay sijday may ziada say ziada tilawat kia jay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 42 )

Ahkam e roza

User Info.

izhar - shahzada_101@yahoo.com - Rawalpindi - Pakistan 

Question ID

15170 

Question Date

Thursday, August 02, 2012 

Mujtahid Name

Allama Sustiani Sb 

Question

Agar dant (tooth) sy khoon nikly ya gums main sy tu kia roza makrooh / batil ho jata hai? 

Dant (tooth) se khoon nikalne se roza batil nahe hota hai.(laikin is khoon ko bahar nikal deya jaay ). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553) (Khuda ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Khums


User Info.

Ghulam Ali - alibhai1433@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

15128 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

aqa sistani 

Question

may private company may job krta hou aur her month salary say kuch paisay bachata hou to kia saal guzarnay k bad un paiso per Khums wajib hai? 

(khums maal ki bachat ka (paanchwa hissa, 1/5) or twenty percent hota hai)

1) Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain. 2) Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain. Is hisab se 1000 rupay per 200 rupay aur 50000 per 10000 rupay khums dena ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722, 1804). 3) Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot se vakeel maujood hain.jin main se aik aqae Maulana Ali Raza Mehdavi hain.or ye Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Zina

User Info.

MOHAMMAD FAHEEM - faheemaslam100@hotmail.com - karachi - pakistan 

Question ID

15163 

Question Date

Thursday, August 02, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

me ek larki se sexy bt karta ho or hanth se zina karta ho muje kio wazifa btain ky me zina na karo 


Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   69   70   71   72   73   74   75   76   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2025
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish