Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet10/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   6   7   8   9   10   11   12   13   ...   91

1)Haiz k ayyaam (days) main aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono k liay haram hai, chahay dukhool sirf supari(paishab ki nali ka shuru ka chikna hissa) ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkah ehtiyaat-e-wajib yeh hai k supari se kam miqdar main bhi dukhool na kia jae. Albetta ye hokum aurat sai dubr mai jima k lie nhi hai laikin dubr mai jima, aurat k razi na honay ki surat mai ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nhi hai chahae wo haa’iz ho ya na ho.

2)Wo aurat jo haiz ki halat mai ho os sai jima k alawa doosri lutf-andozio maslan bas o kinar ki mumaneat nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448-451)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

User Info.

sarah - raheelarohie@hotmail.co.uk - london - uk 

Question ID

16874 

Question Date

Tuesday, October 02, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

agar job na mile toh ka karna chaye? 

Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Prize bond



User Info.

majid laghari - majidbaloch110@gmail.com - sindh dadu - pakistan 

Question ID

15560 

Question Date

Monday, August 13, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

aakra prize band jaiz hai ya najaiz? plz ans 




1)Agar prize bond inaam k tour per dia jay to tamaam raqam aap k liay halaal hay or ye aap ki raqam per sood(profit) daitay hain tu agar bank muslman ka hay tu profit ka aadha deen daar faqeer ko daina hoga.(Ref:E-mail rcvd from farsi@alsistani.org, dated:18-02-2011)
2)Aakra sai aap ki murad agar lottery k ticket hain k in ticket k badlay mai aap paisay daitay hain ta k quran dazi main am niklay aur nam hasil karain to ye haram aur batil hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, jaded maslah lottery k ticket pg # 471)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Aulad ka nam



User Info.

abdul hamid - hwkhaleed1@hotmail.com - sagwara - india 

Question ID

16859 

Question Date

Monday, October 01, 2012 

Mujtahid Name

naam 

Question

kya hum baccho ka naam ruhul amin rakha sakte hai ya nahi. aur agar rakha sakte hai to is naam ka matlab bhi bataye. aur baccho ka naam taha aur yasin rakha sakte hai ki nahi kuran aur hadis ki roshni mai is ka jawab de. 

Mustahabb hai k bachay ka acha nam rakha jae chunke yeh bachay ka bap par haq hai, or riwayat me aya hai k "sab se acha nam wo hai k jis mai Allah jall shanohu ki ubudiyyat shamil ho or namo me sab se acha ambiya salwatullahe alyhim k nam hain" or inhi k sath aeema alyhemusslam k namo ko bhi mulhiq qiya jaye ga. or nabi salllaho alyhe wa aalehi wasllam se marawi he k aap ne farmaya: jis k yaha char awlad ho or usne un me se ek ka nam bhi mere nam se nahi rakha to usne nai mujh par jafa ki" or makrooh hai agar bachay ka nam Muhammad ho to us ki kuniyyat abul qasim rakhi jae or isi tarh makrooh hai ke aemma salwatullah alyhim ajmaeen k dushmano k nam se bachay ka nam rakha jae. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 387)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

User Info.

asad khan - masadkhan4444@yahoo.com - aurangabad mh - india 

Question ID

32697 

Question Date

Monday, December 24, 2012 

Mujtahid Name

sunni 

Question

mera sir bahot dukhta hai iska ilaz bataye 

1)Sar dard k dor honay k lie surah e taha surah # 20 ki ayat # 25 ta 28 ko 3 dafa parhnay sai sar dard mai bohat ifaqa hota hai.

2)Sar dard k lie kali chai mai dhanya k beejh pisay huay aur kachay angoor k ras ko mila kar pi liay jay, faida ho ga.(Ref : 2000 Dastoorul Amal pg # 400, 404)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

mera question ya ha k ap na apne question id no 6353 ma farmaya k wife par sakhti baghir shari uzr k nahi karne chaye , mera sawa ya ha k , agar orat mard ki khawahis par mukamal kapre nahi utarti , ya use lift nahi karate , ya us k bat ki mukhalifat karte ha , ya sex sa rokte ha(back side or front) buland awaz ma bat karte ha ya shohar ki bat apne ma bap ko karte ha to, bagiar ijazat k ghar se nikalte ha to kia ya sab batain shari uzr ma nahi aten, agar nahi to hamre guidance k lia wo batain bata dain jo shari uzr ma ate hain

Allah Hafiz

Ans: Sharie uzr sai murad aurat ka haiz ya nifas ki halat mai hona hai q k haiz aur nifas ki halat mai hambistri krna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Zeenat



ndershave ka kia tarika ha ya kahan say kahan tak karni chahin or kia ya back say bi karini chahin or aghar karini chahin to kahan sa kahan tak

Ans: Noora lagana yani puray badan k baal saf krna (hatta k sharamgah k bhi) riwayat ki roshni mai mustahabb hai. (Ref : Web site ayat ullah sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Aulad k lie

User Info.

Noushin - noushinkpathan@gmail.com - Nashik - India 

Question ID

17143 

Question Date

Thursday, October 11, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Assalam Aalekum, Aap ke bataye huain wazefe ke hisab se, Aurath ke peath pe bandh ne wale dhage ko pure waqth penkar rakhna hai ya usae raat main nikalkar rakhna hain. 

Is ayat ko lifafay mai band kar k aurat apnay pehlu k sath bandh lai inshallah jald sahib e aulad ho jae gi. Aur is taweez ko jab tk aulad na ho bandh kar rakhay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

General



User Info.

muhammad maqsood - msbmmangla@gmail.com - mangla - Pakistan 

Question ID

17146 

Question Date

Thursday, October 11, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

kya main apni do betion ke shadi aik din do alag alag larko se ker sakta hoon 

Jee han shadi kar saktay hain. Q k shadi un mustahabbat mai sai hai jin ki islam nai bohat ziada takeed ki hai , Rasool e Khuda s.a.w.w. ka farman hai k : jo shakhs shadi kar leta hai wo apna adha deen bacha leta hai.

Is k alawa shadi k silsilay mai logo k lie koshish krna, un k lie wasila ban’na aur tarfain ko rishtay k lie aamada krna mustahabb hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 385-89 pg # 231-33)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Shadi biah



User Info.

Batool - aquagreen85@yahoo.com - rawaplindi - pakistan 

Question ID

17145 

Question Date

Thursday, October 11, 2012 

Mujtahid Name

sistani 

Question

if husband didnt meet wife for long time till four motnhs without any contact and nan nafqah.than nikah will be valid or ont? 







1)It is not permissible for the husband to abandon sexual intercourse with his youthful, permanent wife for more than 4 months, except when sexual intercourse is harmful to him, or involves unusually more effort, or when the wife herself agrees to avoid it, or if a prior stipulation to that effect was made at the time of Nikah by the husband. And in this rule, there is no difference between the situations when the husband is present, or on a journey, or whether she is a wife by permanent or temporary marriage.

2)If the husband who is responsible for the wifes maintenance, does not provide her the same, she can draw her expenses from his property without his permission. 


And if this is not possible, and she is obliged to earn her livelihood, and she cannot take her case to the Mujtahid, who would compel him (even by threatening him with imprisonment) to pay the maintenance, it will not be obligatory upon her to obey her husband while she is engaged in earning her livelihood.

In above two problems in a permanent marriage, the marriage is in order(valid). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2380-82) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Shadi biah



User Info.

mohammad bilal - bilal_sum@yahoo.com - bahawalpur - pakistan 

Question ID

17157 

Question Date

Friday, October 12, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

aslamolikm bivi ki sharam gah dekh sakta hay our udher kis kar sakta hay

1)Mian aur biwi aik doosray ka pura badn dekh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2400)

Emtiham mai



User Info.

abbas ali - agjatniwala110@yahoo.com - - india 

Question ID

17151 

Question Date

Friday, October 12, 2012 

Mujtahid Name

ayatullah sistani 

Question

salamun alaikum i have a brother studying in f y bcom not able to study bfore he was a ranker of the class now not even he is able to pass he sleep a lot .he even wishes to study any dua for him ilaaj exam r nearer  

1)Agar koe talib e ilm chahata ho k usko sabaq yaad ho jaay tu usko chahiay keh surah aa’raaf(surah#7) ki ayat #171 ko kisi kaghaz par likh ker is kaghaz ko apni sabaq ki jaghah kitaab main rakh diya karay tu wo sabaq isko insha allah yaad ho jaay ga. 2)Emtihaan main kamiyaabi k liay ye bohat asar wala wazeefa hay.emtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay.ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat # 62 hay: “ ﻔﺎﻦﺤﺴﺒﻚﻫﻮﺍﻟﻨﻯﺍﻴﺪﻚﺒﻨﺼﺮﻩﻮﺒﺎﺍﻟﻤﻮﻤﻨﻴﻦ ” “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 352-55) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

ok

11893



games

Computer mai jo cards wali game hoti hai khelna jaiz hai ya nahi....

Ans : Joa(gambling) khailna(jaisay cards) jaiz nhi aur computer par bhi joa khailnay ka ye hi hokum hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 488, pg # 259)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

User Info.

Andaleeb Sehar - lily_sehar@yahoo.com - peshawar, pabbi - pakistan 

Question ID

14093 

Question Date

Wednesday, March 21, 2012 

Mujtahid Name

ayatyllah sistani 

Question

mujhe aisa wazeefa de k jis se mere mangeter k dil mai mere liye behad bohat ziada muhabbat peda ho jaye.. plzzzz apko bohat duain dongi... 

Mangeter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)

Wazifa : Mian biwi ki aik doosray say mohabbat o ulfat may izafay k lye har namaz k baad surah e mumtahinah suarh # 60 ki ayat no 7 ko 7 martaba parha karay to donoo may be-shumar muhabbat qaim ho jay gi.

Ayat ye hay:

عَسَی اللّٰہُ اَنْ یَّجْعَلَ بَیْنَکُمْ وَبَیْنَ الَّذِیْنَ عَادَیْتُمْ مِّنْھُمْ مُّوَدَّۃً ط وَاللّٰہُ غَفُوْرٌ رَّحِیْمٌo(الممتحنۃ۔7)

(Ref : Naway salaheen pg # 350)

User Info.

zain ul abidin - zain_sahib3000@ymail.com - lahore - pakistan 

Question ID

14736 

Question Date

Saturday, July 14, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

sir mera sawal ye hai k are kise chader ko mani lag jae tu wo khushak (dry) ho jae tu pher agr kesi ka hath us chader ko lag jae tu kia haath napak ho jae ga ya nhi 

Agar hath tar (geela) ho aur osi jigha touch ho jis jigha mani lagi thi to wo hath bhi najis ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 119)

User Info.

malik - malik12851@yahoo.com - - china 

Question ID

14024 

Question Date

Sunday, March 18, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

aoa,mera sawalburay khiyalat sai hai,jin ko main bayan nahi kar sakta aur isa maloom hota hai kai mughai koi cheez gumrah kar rahi hai maslaan allah tallah ki zaat kai barai main and hazran muhammadSAW ksi bsrai main,plz is ka koi ilaaj bataiyai 

1)Rozana 1000 martaba “Ya Allaha ho ya hwa” ka wird karnay wala ahl e yaqeen wa tawakkal mai shumar ho jata hai.

2)Agar kisi ko ye taufeeq hasil ho jae k wo rozana 100 martaba “Allaha” kahay to osay ahl e yaqeen mai shamil kar lia jae ga. (Ref : Dunya wo aakhriat ki 100 perashanion ka hal pg # 61)



User Info.

aalisha - a_liverpoolthebest@hotmail.co.uk - derby - united kingdom 

Question ID

14759 

Question Date

Tuesday, July 17, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

Are we ment to believe in waseela and if we are can you please give me the details of waseela in sparah 6 rukhu number 9. Thank you Allahafiz 



User Info.

aman - arsh19@in.com - goa - india 

Question ID

15104 

Question Date

Tuesday, July 31, 2012 

Mujtahid Name

istinja ki problem 

Question

Assalam aleykum mera sawal ye hai ki jab koi istinja karke inkle or fir se usko lage ki uska peshab kharij ho raha hai ya wo kahi ja raha ho or usko libas na badal sake or usmai peshaab ke katre lag jaye to namaz jayez hogi.. 

Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   6   7   8   9   10   11   12   13   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2024
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish