Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet44/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   40   41   42   43   44   45   46   47   ...   91

1)Jo cheez badn k pani phounchnay tk rokawat ho zaroori hai k insan osay hata day aur agar is k hat janay ka yaqeen krnay sai pehlay ghusl kray to is ka ghusl batil hia.

2)Agar ghusl k waqt kisi shakhs ko aqlan ehtimal ghuzray k koi aisi cheez is k badn par hai ya nhi jo badn tk pani phounchnay mai rohuwat ho to zaroori hai k chan been kray yaha tk k mutmaen ho jae k koi aisi rokuwat nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 376,377)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Shadi ka wazifa



User Info.

ali raza - aliraza@yahoo.com - khanewal - pakistan 

Question ID

16890 

Question Date

Wednesday, October 03, 2012 

Mujtahid Name

shadi wazifa 

Question

helo sir mera name ali raza ha ma ail larki sa bophat piyar karta hon wo bhi mujh sa bohat piyar karti ha par wo larki arrai famliy sa taulq rakhti ha us ka maa baap mery rishty k liy nhi manta or us ka dadi dada or 4 chachu ha wo bhi nhi manty or us ka aik mamo ha wo hamary bohat khilaf ha wo bhi nhi manta us larki na bihat dafa apni ami sa kha par wo nhi manti rishty k liy plz aap mujhy koi aisa wird batay k us ki famliy waly maan jay ham dono ka rishta ho jay plz meri madad kary ma bohat parshan hon ma panjtan pak ka manny eala hon madad karo plz ma aap k jawab ka wait karo ga 

Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

ok

Ehtilam



User Info.

syed ali raza - saliraza33@gmail.com - khanewal - pakistan 

Question ID

16885 

Question Date

Wednesday, October 03, 2012 

Mujtahid Name

ehtalam 

Question

sir ma jb rat ko sota hn to rat ko zehan ma koi ganda khayal a jay to ma farik ho jata hn plz khuch batay mujhy plz 

Surah e al tariq k khawas me he k sotay waqt is ko parh k soye to ethilam nahi ho ga. (Ref : mukhzane amaliat pg # 64, 65)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Wazifa



User Info.

farah deeba - ahmedghafoor82@yahoo.com - terni - italy 

Question ID

16899 

Question Date

Wednesday, October 03, 2012 

Mujtahid Name

sultan bahoo 

Question

jo aap nay aayt btain hai wo kis main badna hai?chamry main, dori, ya kapry main?shukria 

Wo ayat kisi bhi cheez mai bandh kar aurat k pait par bandh dain inshallah hamila ho jay gi. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Salam/ na mehram k salam



User Info.

Gulrez Farooqui - Gulfarooqui09@gmail.com - Bihar - India 

Question ID

16901 

Question Date

Wednesday, October 03, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

a.s. Kya namehram ko slaam karna chahiye hadis ki roshni me btaye... 

Agar lazzat k iraday aur haram mai mubtilla honay k khof k bagair ho to salam krnay mai koi haraj nhi hai. note: agar jins e mukhalif jawan larki ho to behtr hai osay salam na kia jae ta k gunah mai mubtilla honay sai bacha rahay. (Ref : Kitab Nigah aur libas pg # 61 masla # 88) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Ok


Talaq iddat

User Info.

noman khilji - nomankhilji@gmail.com - karachi - pakistan 

Question ID

16846 

Question Date

Sunday, September 30, 2012 

Mujtahid Name

??????? 

Question

ASalam Walaum > agr nikah ho jaye or rukhsati na ho or Shohar Intakal kr jaye to kya Larki pr Iddat lazim hai ??????......  

Agar koi aurat bewa ho jaay aur agar wo hamila na ho to chand ka hisab say 4 mahine 10 din iddat rakhe. Yani shadi karne se ruki rahe chahae wo 9 saal sai chooti ho ya ya’eesa(50saal sai bri) ho ya sohar nai os k sath jima kia ho ya na kia ho chahae sohar bacha ho ya deewana ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2481) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Talaq



User Info.

Adeel ur Rehman - tum_11_11@yahoo.com - Rawalpindi - Pakistan 

Question ID

16845 

Question Date

Sunday, September 30, 2012 

Mujtahid Name

talaq 

Question

janab meri bv hamla hai or meri saas mujse lari or main ne gussy main tallaq 3 se ziada martaba kaha q k muj pe aseeb hai or us waqt b mujhe hosh nahi tha han jahan tak mujhe yaad hai k mere mun se aik bar talaq nikla to saas ne mere mun pe hath rakh dia tha meri talaq ki niyat nahi thi q k main janta tha k meri bv hamla hai or hum theek reh rahay thay. bv ne mujse aik bat kahi k muje alaq rakho main ne kaha theek hai. jis waqt main ne talaq di mohallay wale b mojood thay jo ab keh ray hain k maine 15 bar talaq kaha tha. janab aseeb ki waja se main hosh main nahi tha or 1 talaq main manta o 2sri bar mere mun pe hath rakha sas ne wo talaq ka lafz mere mun se darust nahi nikla tha.us sy aglay din mere abu ne muje court le ja kar written3 talaq dilwa di jo k bv ko bhej di gai.ap jawab den jald se jald k main bv se ruju kesay kar sakta o ya nahi.mere walid jo k kai bar mujse bv ko talaq dilana chahaty thay unko moqa mila or unho ne faida uthaya ab wo bohat khush hain. ab bv b or main b q k bachay ka pata tha humain us ki khatir razi hona chahaty hain. answer den jald se jald q k abhi derh mah hua hai is talaq ko. 

Ye talaq shi nhi hai q k Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,laihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Shadi k lie wazifa



User Info.

abc.. - red_roseas@yahoo.com - rawalpindi - pakistan 

Question ID

16838 

Question Date

Sunday, September 30, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

mera question ya hai k mera liya koi acha rish nai arha.. or agar a b jy to inkar ho jata hai... plz ap mjhe koi wazifa bta dy... bht meharbani hogi... 

Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

ok

talaq



User Info.

quratulain - quratulainhina@yahoo.com - islamabad - pakistan 

Question ID

16843 

Question Date

Sunday, September 30, 2012 

Mujtahid Name

ahl e sunna 

Question

i had been in saperation from about 17 months and now i got divorce fromthe court procedings(khula). what about my iddat. pl reply me soon 

Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.

1)talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3.zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.in sharait ki raushni main court say talaq lain sahi nahi or aisi talaq ghalat or batil hay. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). 2)Agar bivi apnay shohar se itni bayzaar ho jay keh bil-akhir apnay shohar k hoqooq ada kernay per qudrat nah rakh sakay or is baat per bhi raazi ho jay k apnay shohor ko khuch maal waghaira baksh day takeh wo osay talaq day ker azaad ker day laikin shohar is paishkash ko thukra raha ho or aurat ko talaaq nah day raha ho tab bhi haakim e shara(mujtahid) tak k liay talaq daina jaiz nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), mujtahid say pochay gay sawalaat part#2, Maslah#148 ) Note: jab aisi halat main haakim e shara(mujtahid) k liay talaq daina jaiz nahi hay tu adalat k liay talaq daina kaisay jaiz hoga. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

ok

Ahkam e nikah



User Info.

kiran batool - kt_ktgc@yahoo.com - faisalabad - pakistan 

Question ID

16842 

Question Date

Sunday, September 30, 2012 

Mujtahid Name

ayat ullah ali sistani 

Question

kya aik syed zadi ki shadi aik ghair syed sy ho skti hai jo shia b ho? or bht namazi parhez gaar b ? 

Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

1)Daad yani ringworms k lie surah e Ibrahim surah # 14 ki ayat # 26 aur surah e taha surah # 20 ki ayat # 55 ko aur is jumlay ko ( ﺍﷲﺍﻜﺑﺮﻭﺍﻨﺖﻻﺘﻜﺑﺮﺍﷲﻴﺑﻘﻴﻭﺍﷲﻋﻠﻰﻜﻞﺸﻰﻘﺪﻴﺮ ) likh kar galay maid al dain inshallah shifa milay gi. (Ref : Tajalliyat e quran pg # 70-1)

2) ہینگ ko sirkay mai pees kar laip karna ringworm k lie behtreen dawa hai. (Ref : Apna dawakhana pg # 46)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Shadi biah



User Info.

salman - salmanali2014@yahoo.com - okar - pakistan 

Question ID

16837 

Question Date

Sunday, September 30, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

to phr log wife k back use karny ko haram q samjty ha ans me . 

Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.

Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hai. Aur is sai nikah nahi toota hai. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Shadi biah / edit question



User Info.

saim - samchoudry1000@hotmail.com - islamabad - pakistan 

Question ID

16836 

Question Date

Sunday, September 30, 2012 

Mujtahid Name

hj 

Question

islam main b v gand marna jaizhay 

Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hai.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Back / shadi biah



User Info.

Md Hisamuddin - mdhisamuddin35@yahoo.com - Gulbarga - India 

Question ID

16856 

Question Date

Monday, October 01, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

As salamalkum . Mera sawal ye hai kya apni bewi ke pechle (ass) hise mein sex kya to nika tuoth jata hai ? 

Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Aur is sai nikah batil nhi hota hai.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2335)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Ok

Taharat o najasat



User Info.

naghman - nagman_mir@yahoo.com - lahore - pakistan  

Question ID

16850 

Question Date

Monday, October 01, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

mera masla ya ha k raat ko sota waqat ehtelam ho gya tha to vo kapron par laga tha aur sath may mera bed(metres) par b laga tha vo jaga wet ho hai thi, main ya poucha na chata hon k is paak kasa kia jaya 

Agar mani kisi paak cheez per lag jaay tu wo najis ho jaay gi or os ko paak karne ka tareeqa ye hay k mani ki nijasat ko door kar k aik mertabah os jagah per paani daala jaay,jab wo paani beh jaay tu wo cheez paak ho jati hay,laikin libaas or is jaisi hi chezoo ko nichorna bhi zaroari hay.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b) tauzeehul masail, maslah # 155). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

aglam


User Info.

naeem - shah177@ymail.com - p - p 

Question ID

16852 

Question Date

Monday, October 01, 2012 

Mujtahid Name

none 

Question

main ne aik larky se 4 saal pehly sex kiya .tub meri umar 16msaal the...main us larky ke behan se shadi karna chahta hun....penetration k bary main shak hai k hoi ya nhi hoi...... 

Aglaam|(homo-sex) karwanay walay larkay ki maa , bahn aur bati aglam karnay walay per jabke (aglam karnay wala) balig ho haram ho jatay hain. Aur agar iglam krwanay wala mard ho ya iglam krnay wala na-balig ho tab bhi ehtiyat e lazim ki bina par yahi hokum hai laikin agar osay guman ya shak ho k dhokool hua tha ya shak kray k dhokool hua tha ya nhi to phir wo haram nhi ho ga. laikin aglam karnay walay ki maa , behan , aur bati aglam karwanay walay per haram nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2369)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Doodh pilanayu k ahkam



User Info.

rafi - rafiullah_khattak@yahoo.com - rawalpindi - pakistan 

Question ID

16547 

Question Date

Tuesday, September 18, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

agar aurat par ghusal farz ho jaey tou aisay halat mai bachay ko dhood pilana chahiyey kiya 

Halat e janabat main aurat k liay apne bachay ko dhoodh pilana jaiz .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 354, 355)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

ok

Shadi biah / bad mai dekhna paray ga


Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   40   41   42   43   44   45   46   47   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2024
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish