Kisko kahun mei baap mere, baap hai kahaan
Tum be-kafan mei be-saroo samaan hogayi
Kya kya na khalq karne hakarat se behgayi
Mei bekasi se dekhke muh sabka rehgayi
Kurta phata huwa meri pehchaan hogayi
Gar aah ki to shimr pukara khamosh ho
Aur chup huwi to be-padari ne kaha ke ro
In afatoon mei girke pare-shaan hogayi
Be jurm kaan zakhmi huwe aur tamache khaaye
Jo chaahe mujh falak ki sataayi ko phir sataaye
Shehzaadi-e-Hussain ki ye shaan hogayi
Sadke gayi bataawo kaha hai mere padar
Aaye padar to jaaye Sakina bhi apne ghar
Kyu aise zalimon ki mei mehman hogayi
Poothi hun uski, jo ke hai kohnain ka ameer
Jisne hazaroo qayd-se chud-waa-diyey aseer
Ummat nabi ki dekhke anjaan hogayi
Jab sarpe shah-e-deen ke Sakina ne ki nazar
Chillaayi roke haaye gazab mar gaye padar
Baba ke sar ko dekhke hayraan hogayi
Mu rakh ke mu pe shaah ko royi jo dil fighaar
Sadma huwa nikaalne lagi tan se jaan-e-saar
Nanhi si jaan jaan se bejaan hogayi
Bas ay "ANEES" bazm mei hai giryaa-o-buka
Sadiyoon talak rulaayenga sabko ye marsiya
Bali sakina qarb ka unhwaan hogayi
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
BAAD-E-SHEH ZAINAB-E-DILGEER NAY KYA KYA DEKHA
Haq paraston ka wafadaron ka aur pyaron ka (2)
Shah-e-lowlaak pe chalte hue khanjar dekha
baad-e-sheh....
Chaadaray cheen ke kuf-faro nay loota ghar ko (2)
Sar barehna shahe aulaad ka kumba dekha
Shimr ne chenay gowhar mu pay tamachay maaray (2)
Khoon kaano se Sakina ka tapakta dekha
baad-e-sheh....
Ek rasan may kiya paaband bade choton ko (2)
Tauq-O-zanjeer may beemaar ko jakde dekha
baad-e-sheh....
Haaye jis shehr mai shehzaadi kahi jaati thi (2)
Khud ko is koofay may, bay-makna o chaadar dekha
baad-e-sheh....
Qaid may margayi ghut ghut ke sakina aakhir
Markhad ek chota sa zindaan may banta dekha (2)
baad-e-sheh....
Haaye shabbir nay aur zainabo kubra nay ANEES (2)
Waqt ke saath zamanay ko badalta dekha
baad-e-sheh....
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
YA ZAINAB-E-KUBRA
(Ya zainab-e-kubra) x6
Ay bibi baniye aza, pegham karbala tera, jisne suna yahi kaha
Tegh khutbo ki barsare darbaar, Jaise chalti ho haideri talwaar,
Kat ke ghirte the zalimo ke jigar, Jang-e-khaiber kiya teri lalkaar
Ay bibi baniye azaa, dine rasool bach gaya, Quran ki thi ye sadaa
Yaad ata hai shaam ka manzar, Bibi sarpe tere na thi chadar,
Har taraf patharo ki baarish thi, Teri poshaak thi lahu me tar
Ay B-B baniye aza, sadma tha ye bohot bada, Roya sare shahehuda
Tune bacho ki di hai qurbani, haye re tera zokh imaani,
Pyaase bhayi ki yaad me tune, khun bahaya hai ank ka paani
Ay bibi baniye azaa, ye zabt hosla tera, neze pe ser pukaarta
Tere dar par ye istighasa hai, Jo bhi farshe aza pe rota hai,
Us pe saya kare tera ghazi, wo jo mushkil kusha ka beta hai
Ay bibi baniye aza, hum momino ki ye dua, ashke aza ka waastaa
Kitne makrooz matami hai tere, karza tu ghaib se adaa karde,
Bibi tu to sakhi ki beti hai, Tu to muflis ko baadshaah kar de
Ay B-B baniye aza, tu innama tu hal ataa, kehta hai sar jukaa huwa
Qaid be jurm jo hai matamdaar, misle mazloom aabide bimaar, Unko azaadiyo ka tohfa de, aaj tu misle haidare karrar
Ay B-B baniye aza, hum ko hai tera asra ghairo-se mangna hai kya
Tere bhaayi ne jaise rahib ko, saat bete ataa kiye phirto,
Tu bhi hamsheer us sakhi ki hai, dede awlaad chahiye jisko
Ay bibi baniye azaa, awlaad aisi kar ataa, ho wo bhi matami tera
Waasta us aseer bachi ka, rassiyo me bandha tha jiska gala,
Wo jo pyaasi thi mar gayi pyasi, koyi bacha na ab rahe pyaasa
Ay B-B baniye aza, hai har sabil par likha, kehta hai khun bhayi ka
Ay BB baniye azaa, humse na haq ada huwa, karde muaf-ye-khata
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
BHAYI MAI ZAINAB HU x 4
Pehchano mujko ay mere ghazi Zainab hu me bhayi
(Bhayi me zainab hu) x4
Ye karbala hai jaagir teri (ham aye teri jagir me)x2
Marjaye zindan me hi Sakina (yehi likha tha takdeer me) x2
Pehchano mujko ay mere gazi……..
Zindan se chutkar mai aagayi hu (ranjo alam ki chadar liye)x2
Bazaar kufa me hai jo guzri (ankhoon me sare manzar liye) x2
Pehchano mujko ay mere gazi……..
Bhaya tumhari gairat ki khatir (balon-se parda karti rahi) x2
Chadar nahi thi sarpar jo meri (ek ek kadam par marti rahi) x2
Pehchano mujko ay mere gazi……..
Bazaare kufa se O guzarna (ehle haram ke salaar ka) x2
Bhaiya sajayaa tha ashkiyane (ek ek kona bazaar ka) x2
Pehchano mujko ay mere gazi……..
Bhaiya Sakina ko ek shaki ne (manga kanizi me jis ghadi) x2
Me binte zehra me binte haider (Bhaiya larazkar me rehgayi) x2
Pehchano mujko ay mere gazi……..
Kaisa andhera zindan tha wo (Jisme Sakina jaage gayi) x2
Baba chacha se mujko milado (Maasuma roro kehti rahi) x2
Pehchano mujko ay mere gazi……..
Kurta jo uska khun me bhara tha (usko banaya maine kafn)x2
Jab dafn karte the usko Abid (tharra raha tha unka badan ) x2
Pehchano mujko ay mere gazi……..
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
SHIYAA NE MAA NAWHA KUNA
Kushta-shud sibte Rasulallah, Tere kanare furaath (2)
Barbaad huwi mai. Hai wawaila. Luti gayi mai. Hai wawaila.
Qaidi bani mai. Hai wawaila, Tere kanare furaath (2)
Tere kanare, khayme hamare
Afsos-e ye hai, lagne na paya
Tu chup rahi thi, sar ko jukaye
Badte alam se, lab par thi haye
Malik-ke kausar, pani ko tarse
Ankhoon se ansu, Zehra ke bar se
Tere kanare, aaya jo ghar se
Pyaase kay naiza, guzra jigar se
Ghazi ke bazu, tere kanare
Pani ki khatir, kat-ke gire thay
Gham naak manzar, bhoolungi kaise
Wo pyaas-e bache, be aab-e kuze
Pita to pitaa, kitna sa pani.
Masum Asghar, sheh ki nishani.
Baki hai ab tak, tish-na dahani.
Kaise dikhaye, hai mez-baani
Barchi jigar par, Akbar ne khayi.
Sukhe labo tak, tu kyun na ayi.
Zanzeer kisne, tujko pehnayi.
Mar gaya pyaasa, Sughra ka bhaayi
Mera to sab kuch, lut gaya ban may.
Ek ek sipahi, mar gaya ran me.
Teer laga Sarwar ke badan me.
Ab hai judayi, bhaayi bahan me
Be ghusle lashe, tere kanare.
Chalis din tak, aise pade the.
Ye bath koyi, ab tujse puche.
Kya thi ada-wath, sibt-e Nabi se
Shaam se lutkar, ayi hai Zainab.
Daagh jigar par, layi hai Zainab.
Sharminda tumse, bhayi ye Zainab.
Kho ke Sakina, ayi hai Zainab
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
BARBAAD HUWI MAI
ABA’AD HUWI KARBOBALA UJDA MADINA
BARBAAD HUWI MAI (2)
ZAINAB KO NA’RAS-AAYA, MUHARRAM KA MAHINA
BARBAAD HUWI MAI (2)
Ek din tha, ke is sher-ki karti thi me shaahi , Or aaj-e tabahi x2
Be ghusl pada mor-e nabuwat ka nagina. Barbad-e huwi mai
Kis lash pe roou kise chodum me baradar (Lashe hai bhathar) x2 Had ye hai-ke rone ki ijazat-e bhi mili na. Barbad-e huwi mai
Asgar ka gala bhayi ka sar senaye Akbar (Sab gowhar o chadar2)
Is dasht me lutaa gaya Zainab-e ka khazina. Barbad-e huwi mai
Maye bina pehchan saki, bacho ke chehre (Bikhre huwe sehre x2 Hai khoon ke dariya me gharibo ka safina. Barbad-e huwi mai
Ek aag hai khaimo me qayamat ka sama hai (ghazi tu kaha hai x2 Dekho to ridaa chin-e liya, shimr-e kamina. Barbad-e huwi mai
Chadar chini, dur lay liye ab zulman dhawo (Baba se milawo) x2 Neze ke tale bait-ke roti hai Sakina. Barbad-e huwi mai
Paband-e rasan bibiya bazar-e khule sar, Har moud-pe pathar x2 Masum yatimo ka baha. Surkh pasina. Barbad-e huwi mai
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
HAI ZAINAB - HAI ZAINAB
ITNI GHARIB HOGAYI GHAM YU LIPAT GAYE (2)
ZAINAB KE EK LIBA’AS MAI DO SAAL KAT GAYE
ITNI GHARIB HOGAYE GHAM YU LIPAT GAYE (2)
Kya Kya ghuzar gayi he muharam ke chaand pai (2)
Saydaniyo ke waqt achanak ulat gaye (2)
Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2)
Zainab ka dil bhi kya tha ghamoo ki kithab thi (2)
Ek dil mai us gharib ke sau gham simat gaye (2)
Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2)
Hatho se maa ke khayme ka parda ulat gaya (2)
Hatho pe shah ke jis ghadi Asghar ulat gaye (2)
Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2)
Bole Hussain beti se pani na mangana (2)
Jin bazuoon pe mashk the wo baazu katgaye (2)
Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2)
Marne chale Hussain to rehwaar ruk gaya (2)
Do nanne nanne hath sumo se lipat gaye (2)
Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2)
Kaise utha sakege bhala laash ko Hussain (2)
Aaza Hassan ke laal ke tukdoon me bat gaye (2)
Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2)
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
HAI HUSSAINA, HAI HUSSAINA (2)
KEHTI THI ZAINAB, HAEY HUSSAINA (2)
HO GAYI BARBAD YE BEHNA KARBOBALA MEIN (2)
KEHTI THI ZAINAB, HAEY HUSSAINA
Karbala Kuch Na Diya Karbo Aziyath Kay Siwa
Merey Daman Mein Bacha Kya Hai Musibat Kay Siwa
Karbala Tujh Say Mila Kiya Hai Qiyamat Kay Siwa (2)
Subha-e-Ashoor Azan-e-Ali Akbar Ki Qasam
Merey Bhai Pay Chaley Tir Hazaroon Payham
Chup Rahi Karbobala Hotey Rahey Hum Pay Sitam (2)
Mera Athara Baras Wala Jiyala Akbar
Kha Gayi Usko Bhi Aai Karbala Teri Nazar
Mainey Dekha Hai Usi Lal Ka Barchi Mein Jigar (2)
Bhai Athara Thay Doo Betey Thay Koi Na Raha
Ab To Tanhai Meri Deti Hai Mujko Pursa
Kya Bhara Ghar Tha Mera Kar Diya Mujko Tanha (2)
Mere Abbas Pay Kiya Guzri Bataoon Kaysey
Mashk Eik Bharney Mein Doo Bazoo Qalam Ho Kay Gairey
Uskey Marney Say Hai Mehrum Bahan Chadar Say (2)
Bey Khata Qatal Howa Bhai Mera Jungle Mein
Saikadoon Zakhm Kalejey Pay Lagey Ek Pal Mein
Aag Pani Ne Laga Di Hai Merey Anchal Mein (2)
Merey Allah Mujhey Sham Talk Jana Hai
Koi Bhi Apna Nahi Shehr Bhi Begana Hai
Teri Khushnudi Mein Rassi Mein Mera Shana Hai X 2
Taa Qiyamat Rahey REHAN Aza-e-Sarwar
Khooney Dil Behta Rahey Ankh Say Ansoo Ban Kar
Yeah Sada Kanoon Say Takrati Hai Ab Bhi Aksar
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
ZAINAB TANHA, GHO’OR ANDHERA
Mouth ka saya, badal banke sar par chaya
Awaze tapoon ki ubri, kaun chala kaymo ki janib
Tayz kadam se chalta aya, poch ansoo Zainab dekhi
Dekheti kya hai uska baba, baap ke sine par sar rakh-kar
Bilak bilak kar, tadap tadap kar, aysa (rooyi 2)
Naro Zainab naro, ha mere jigar ke tukde naro (2)
Me kaise na rowun baba mai ujad gayi baba (2)
Ha mera Akber, Ha mera Asger, Ha mera Ghazi
Ha tera dilber, Ha me ujad gayi baba
Ha ek din me, Ha ghar ujda, Na reh bhaayi
Ho na beta, Ha me ujad gayi baba
Ha me bekas, Ha me muztar, Ha pardesi
Ha me bay ghar, Ha me ujad gayi baba
Ha gaya Ghazi, Ha darya par, Ha gire bazoo
Ha kat kat kar, Ha me ujad gayi baba
Sarwar pe, Ha chala khanjar, Me hogayi
Ha be chadar, Ha me ujad gayi baba
Ha mara hai, Ha aada ne, Ha pyaso ko
Ha lashkar ko, Ha me ujad gayi baba
Ha ek chadar, Me jab dekha, Ha Qasim ka
Ha jab laasha, Ha me ujad gayi baba
Ha zindan me, Ha jaana hai, Ha rasi hai
Ha shaana hai, Ha me ujad gayi baba
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
YE MAI HU MAI, MERI TANHAYI. YE TAMAASHAYI.
Lo ayi gyaara muharram hai. Kya khabar layi.
Chali hai janibe zindan tumhari maa jayi.
Sawaar ham ne kiya tha tumhe mere bhaayi.
Ab awo ya mujhe kehdo na intizaare karo (2)
Utho Hussain bahan ko zara sawaar karo (2)
Sawar humne kiya tha, tumhe dame rukhsath
Lagaam thaamI thi maine, bahaa labe rikath
Kahaa gayi wo muhabath, kahaa gayi chahath
Amama apna mere sarpe, saaya baar karo (2)
Watan se door hu kuch aur, door jaati hu,
Utho utho mere bhaiya, tumhe jagaa thi hu,
Koyi bhi aata nahi mai, jise bulaa thi hu,
Qaraar do mere mujko na, bekaraar karo (2)
Safar Madine se kaisa tha, ye safar kya hai,
Na mehmilay hai-na haudaj, na koyi parda hai,
Hai sar pay khaak ye karbobala ka sehra hai,
Na jee sakungi tere baad, etebar karo x2
Dare furath-pe, ay sown-e-waale jaag zaraa,
Alam ke saaye me rukhsat, bahen ko kar bhaiya,
Suna hai sakth katin hai, ye sham ka rasta,
Behen ye raasta abbas se, naamdaar karo x2
Mein awoongi mere bhaiya, zaroor awoongi,
Kafan udawungi markad, tera banawoongi,
Jahaa bhi jawoongi farshe, azaa bichaawoongi,
Mein khaid kaat ke lout awoo, intezzar karo x2
Ab awo ya mujhe kehdo na intizaare karo (2)
Na jee sakungi tere baad, etebar karo x2
Utho hussaine bahan ko zara sawaare karo (2)
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
BHAAYI SHABBIR
Lo chala karvaan khuda hafiz,
Bhaayi shabbir fiamanillah, chali hamsheer fiamanillah (2)
Zamin pe bikhre huwe noor is behen ka salaam (2)
Badan darida o majboor is behen ka salaam
Chali hai tumse bohoth door is behen ka salaam
Misaale Fathima har dukh me muskuraungi….2
Salaam umme abiha ke goudh ke paale,
Salaam karte hai Zehra ke haath ke chaale,
Salaam zulfe Muhammed se khelne waale,
Padenge durre to mai sabr aazmaungi…….2
Ye gham nahi hai ke me sogwaar Qaidi hun,
Abu turaab ki aur Fathima ki beti hun,
Me is kaleje mai kuwwat Ali ki rakhti hun,
Yazide (la) waqt ke khaibar ki mai giraaungi……2
Rahe wafaa ke bahattar masafiroon ki kassam,
Labe furath sulagte huwe gharoon ki kassam,
Sina ki nouk pe rakhe huwe saroon ki kassam
Jalaale Hazrate Abbas banke jaaungi………2
Khushi se ehle sitham bandh le mere bazu,
Banenge nuh ka tufaan ab mere ansuu,
Na chhut sakegi ye khune Hussain ki khushbu,
Me sar khule huwe darbaar-e-shaam jaungi……2
Nigaah janibe dariya uthi to itna kahaa,
Mere diler Alamdaar fathaye dariya
Tujhe khabar hai mere sarse chhingayi hai rida
Tere alam ka pharera rida banaaungi……….2
Jo ponchi shaam to bazaar ko sajaa dekha,
Kabhi najaf to kabhi sue karbala dekha
Pukaari baba mera tumne hosla dekha
Jahaa bhi jawungi farshe azaa bichaungi……2
Do'stlaringiz bilan baham: |