Hai dard kaleje mei jo utne nahi deta
Hasrat se tere pehle mei dam mera nikalta
Mei cheyn se sojata tere goud mei madar
Are kuch deyr mei neze pe rakha honga mera sar
Na dekhna us waqt mujhe madar-e-muztar
Chal-jayenga us waqt tere qalb pe khanjar
Ghode abhi dowdenge meri laash ke uppar
Mei subha-se ta asr uta-tha raha lashe
Daman mei chune Qasim-e-nawshaah ke tukde
Lipta Ali Akbar ka kaleja tha sina se
Amma mere chehre pe hai khun-e-Ali Asghar
Is haal mei amma hai teri goud ka pala
Maqtal mei mera khogaya har ek ujaala
Hai kon Sakina ko meri poochne wala
Soeyngi mere sine pe kaise meri dukhtar
Dekho to qayamat hai bapa ehl-e-haram mei
Khayme se nikal aayi hai Zainab mere gham mei
Ab ane ko hai bibiya(n) bahar koi dam mei
Samjaawo unhe amma rahe khayme ke andar
Lo saans ubharne lagi dil doob raha hai
Nazro(n) mei meri Zainab-e-muztar ki rida hai
Abid se thi umeed so-wo ghash mei pada hai
Kya honga mere baad Sakina ka muqaddar
Ay "SARWAR-O-REHAN" bayaan kaise ho manzar
Sheh kehte the amma ye kada waqt hai mujpar
Kistarha kaleje se lagu aapke ut-kar
Chumunga qadam aapke ab mei lab-e-quasar
NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)
Hai…..Khud’a ne-jab malakul ma’ut ko ye izn diya
Ke ro’ohe Hazrat-e-Sarwar nikaal kar le aa’a
Rahe qayaal ke’e, Shabbir ko na ho eeza’a
Hussain…. (3) Pehle hi zaqmoo se chur chur huwa
Malak pukara ye’e, mujsa’y na-ho sakega khuda’a
{Mai kis tara’ah se nikalo’on, badan se ja’an-e-hussain
Aray…. Bahut hi saqt hai ya rabb, ye imtahaan-e-hussain}
Hai….. Laga hai zaqm tabar, beh raha hai sar se lahoo
Bhare hain khoon mein jaane Rasool ke gesoon
Qareeb jaake rakhoon dil pe kis tarah qaboo
Ke is lahoo mein tho hai Fatema ke doodh ki bu
Hai… Mai-phir in-aankhon pe dhaoon sitam ye kya hai zaroor
Bichadke jo Ali Akber se ho gayeen be noor
Nida ye aayi dahan se nikaal jaane huzoor
Kaha dahan mein tho kaante pade hain rabbe ghafoor
Nida ye aayi ke gardan se khynchna inki
Kaha mai kya kahoon gardan pe chal rahi hai churi
Churi pakadke ye chillati hai koi bibi
Na zibha kar mere bacche ko mai duwa doongi
Hai…. Nida ye aayi ke seene se qabz kar le jaa
Kaha wo teeron se chalni hai ai mere rehmaan
Abhi tho maarke barchi hata tha ek shaitan
Aur ab tho hai tahe zaanuye shimr liye quraan
Hai… Nida ye aayi ke mazloomiyet ke rutba shinas
Kamr se khynchle kaabe ki jaan be waswaas
Kaha malak ne tadapkar ba’dardo hasrato yaas
Kamar tho toot gayi, jabse mar gaye abbas
Falak se tab hua roohul ameen ka ran mein nuzool
Kaha pukarke muh dhamplo baraye batool
Pisar ke laash pe kholegi baal binte Rasool
Sada ye thi malakul mauth ki ba huzn malool
Hai….Isi-ye hukm hu par - fikr –ye-hai ay yazdaan
Har ek juzv hai zaqmi lagaaoon haath kahan
KHUDA PUKARA YE MUSHKIL KARENGE HUM AASAAN
Na tu nikaal mere aashiqe ghareeb ki jaan
MAI QUD NIKAAL RAHA HOON BADAN SE JAANE HUSSAIN
KE QATM HONE KO AB HAI - YE IMTAHAANE HUSSAIN.
NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)
HAAYE HUSSAIN - PYAASE HUSSAIN (5)
Damishk mai jo gareeboon ka khafela pahoncha
Yazeede (la) nahes ne darbar me bula bheja
Bahen se shaye ki shahadath ka waaqiya poocha
Tadap ke binte Ali ne yazeed (la) se ye kaha
Zamee ki goud me Islam ka sitara hai (2)
Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai
Kaha yazeed (la) se Zainab ne aye sitam ara
Ghazab kiya tere lashkar ne roze ashoora
Mere Hussain ko jungle me ghair kar mara
Ali ka kardiya barbaad ghar ka ghar sara
Jo bekafan hai abhi tak nabi ka pyaara hai (2)
Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai
Suhaag oujda kisi ka kisiki kook jali
Kisi ka jalraha daman rida kisi ki chini
Kisi ki maang me karbobala ki qakh padi
Kisi ki aal hai zinda me Ya Ali madadi
Shakhi ne sibte payaimbar ka ghar oujada hai (2)
Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai
Kidhar gaye mere Abbas-O-Qasim-O-Akbar
Wo mere Aun-O-Mohammed wo mere noore nazar
Mai tujhko dundoon kahan bezaban Ali Asghar
Bathao bibiyoo roen mai aaj kiskis par
Jahan mai Zainabe dilgir be-sahara hai (2)
Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai
Ye ranjo gham-sitam-o-zoor aur jafa kabtak
Rasool zaadiyan balwe me berida kabtak
Rahegi qaid me aulade murtuza kabtak
Nabi ki aal pe ye zulme narewa kabtak
Mujhe tho mauth hi alam me ab gawara hai (2)
Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai
Haaye hussain pyaase hussain (JAWAB)
NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)
HUSSAIN IBNE ALI KO PUKAAR TE-JAA WO (2)
Khadam khadam pe mukhadar savarthe jawo
Hussain O ke jo sipte rasoole athar hai
Hussain O ke jo noore nigahe haider hai
Hussain O ke jo binte nabi ke dilbar hai
O haq ke vaste gardan kata diya O hussain
Jo taqto taj ko tokar laga diya O hussain
Hukumathoon ko jo nicha dikha diya O hussain
Mile hussain tho bande ko haq ki zaath mili
Milay hussain to ilsam ko hayath mili
Jisay hussain milay usko kayenaath mili
Badi khushi se jo akbar ko dediya O hussain
Jo apne haatho pe asgar ko dediya O hussain
Namaz-e-asr may jo sar ko dediya O hussain
Sar-e-guroor hukumath jhukadiya O hussain
Yezidiyath ko tikane lagadiya O hussain
Jahan ko sabre ke jowhar dikha diya O hussain
Jo kharq hoke lahu main ubhar gaya O hussain
Jo sabr-ro shukr se dil fat-ha kar gaya O hussain
Jo dard banke jigar main utar gaya O hussain
Jo aaj aal ko chode O kal kare na gila
Kidaar-e-fani se milta hain akhibath main sila
Hain khush naseeb jo MIRZA ko ahl-e-bait mila
Hussain ibne ali ko pukaar te-jaa wo (2)
Khadam khadam pe mukhadar savarthe jawo
Hussain ibne ali ko pukaar te-jaa wo (2)
NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)
HAAYE HUSSAINA (2)
AY NAWHA KUNA AHLE AZA
HAAYE HUSSAINA (2)
KUMBA TERA SAB MARA GAYA
HAAYE HUSSAINA (2)
O Aun-O-Mohammed (as) teray humsheer ke pyaare
Pyaase thay magar janibe dariya ko sidhaare
Taakeeth-ki madar ka bharam, rak liya kaisa
Us teer nay Zahra (sma) ka jigar kaat diya hai
Markad mai Mohammed (saw) ko-bi baychain kiya hai
O teer jo maasum ki gardan pay laga tha
Zainab (sma) tera bay-maqna-O-chadar sare bazaar
Bas zulm ki had hogayi ay syeday abrar
Sab ehle haram rote-the, khush hote-the a’adaa
Kab aaoge tum lout-ke itna to bata do
Bimar hun marti hun, mujhe aake dawa do
Khat Fathima Sugra (sma) ka, Madine se hai aaya
O-Mashk-O-Dariya-O-Alam-aur-O-Ghaazi (as)
O-Pyaas-O-Gardan-O-Sakina (sma) si bhateeji
Jis waqt tar-rayi pay gira sher ka laasha
Zanzeeroon mai jakda huwa ek lagaroo bimar
Ujday huwe ek khafile ka khafila salaar
Aur mehve tilavat O tera sar sare naizaa
REHAN khalam rook phata jaata hai seena
Kya dard mai douba huwa likha hai ye nawha
Jisne bhi suna giriya kuna hoke pukara
NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)
HUSSAIN ZINDABAAD (2)
Khuda ye paak ka pyara hussain zindabad. Nabi ki ankhoon ka tara hussain zindabad.
Dil-e-batool ka pyara hussain zindabad. Ali ka raaj dulara hussain zindabad
Lagaye jao ye nara (hussain zindabad-2) Kaho ye milke hamara (hussain zindabad-2)
AMIR-E-SHEHR SHAHADAT HAI TERA NAAM HUSSAIN.
Tuji pe behja hai islam ne salaam hussain. Hai tere hato me kounain ka nizaam hussain.
Suna jo noke sina par (tera kalaam hussain-2) Pukaar-uta ye nazaara (hussain zin.. 2)
KIYA HAI PANI TERE GHAWSALO NE PATHAR KO?
Shikast di hai teri pyaas ne samandar ko. Fana ke kabr me dafna kiya sikandar ko.
Ulat ke rakhdiya tune (har ek manzar ko-2) Hakikato ko ubharaa (hussain zin.. 2)
KAYAAR SHAB PE UJALO NE HUKMARAANI KI.
Jale diye to hawo ne paas pani ki. Mili zaif ko ugrayi ya jawaani ki.
Zaban hogayi majbur (be zabaani ki-2) Ye tera faiz he saraa (hussain zin.. 2)
PAYAAME HAQ HAI KHUDA KI KASAM PAYAME HUSSAIN.
Har ek cheez hai kuonain ki gulam hussain. O mohtaram hai jo karta hai ehtaraam hussain
Aghar yazid se lena hai (intikaam-e-hussain-2) Laghawo joom ke nara (hussain zin.. 2)
JO GHAR LUTAATA HAI USKO HUSSAIN KEHTE HAI.
Jo din bachaata hai usko hussain kehte hai. Jo hur banaata hai usko hussain kehte hai.
Jo jeet jaata hai (usko hussain kehte hai-2) Shuja-atoonay tone pukaraa (hussain zin.. 2)
BARAAYE JUNG YE LAYKAR JO ZULFIKAAR GAYA.
Amir-e-shaam ko beta ali ka haar gaya. Kiya ye wakt ne aylaan ikhtidaar gaya.
Hussain jit gaye or (yazid hargaya-2) Khuda ka din pukaraa (hussain zindabad-2)
ALI KA LAAL SHAHE MASHRAKAYN ZINDAA HAY.
Wo khalb-e-fatema zehra ka cheyn zinda hai. Shabaab fata-e-kadro hunain zindaa hai.
Yazid margayaa mera (hussain zinda hai-2) Ye zindagi ka hai naraa (hussain zin.. 2)
YE TERA DOST BHI TERA ADOO BHI KEHTA HAI.
Chiraag andhiyo ke ru-baru bi kehta hai. Alam bi tegh bi chah dil gulu bi kehta hai.
Nazar bi fikr bi dil bhi (lahu bhi kehta hai-2) Jo katl hoke na haraa (hussain zin.. 2)
WAFA KA SAMT-TERA GOHAR SADA PASAND RAHE.
Nishan-e-matame shabbir al jo band rahe. Alam hussain ke lashkar ka sar buland rahe.
Yazid kabr ki gayrayiyo (me band rahe-2) Dil-e-hussain hamara (hussain zin.. 2)
Lagaye jao ye nara (hussain zindabad-2) Kaho ye milke dobara (hussain zindabad-2)
Laghawo joom ke nara (hussain zindabad-2) Lagaye jaan ye nara (hussain zindabad-2)
Kaho ye milke dobara (hussain zindabad-5)
NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)
YA HUSSAIN (2) YAA HUSSAIN
Yaa hussain khush-taye taighe jafa, Yaa hussain sipte rasoole khuda
Haye sar par sare naiza tera, Dar badar le gaye baani-e-jafa
Be kafan lashaaye beghar hai gharib-e-zehra
Hai badan ghodoon se pamal tera wa-vaiylah
Nainawa dashte bala karbala, Kya huwi joro jafa karbala
Kya thi pyaa-soo ki khata karbala, Kuch to khaidi to bata karbala
Apne mehmaan pe ye bandish-e-paani kyun kar
Jiski maadar ko mila mehr main aab-e-kauser
Ek maqtal main bahathar lashe, Banje bete bathije pyaase
Para-para huwe saare aisay, Ek quraan ke paray jaisay
Khaakh ud-udke shahidoon ka kafan banti-thi
Khuld se fathima zehra ke sada aati thi
Ek taraf behta tha darya-e-furaath, Ek taraf pyaaso pe mushkil ki hayaath
Bade shabbir aseeri ki O raath, Kaisay guzri thane sad paash ke saath
Koyi bhaayi ko, koyi roti thi betoon ke liye
Bekasi ye thi ke aansoon na the ankhoon ke liye
Thash-na-lab be-watan-o-be-khata, Sar tha sajde main tahe taigh gala
Ek ek zakm se khoon behta-tha, NAWHA karti-thi janab-e-zehra
Khaime ke darpe behan karti thi faryaad-o-fugha
Jaise sehra main kisi shakhs ki aawaze azaa
Margaya shere alamdar-e-jari, Chal gayi qasim-me-mehru pe churi
Margaya dasht main ham shakle nabi, Khake sine pe sitam ki barchi
Ghar ka ghar zainab-e-mazloom ka barbaad huwa
Lutgaya shehr-e-Nabi Karbala abaad huwa
Kat-gaye baazu-e sakha-e-haram, Chidgayi mash huwa thanda alam
Jalthe khaimoo main tha barpa matam, NAWHA karte the sabi ahle haram
Ay alamdar uto chinti hain zainab ki rida
Koyi baaqi-na tha-bas aabid-e-muztar ke siwa
Fathema Zehra ye deti hai duwa, Ta qayamath rahe ye farshe aza
Yu-hi aati rahe mat’m ke sada, Ho har ek lab pe hussainy NAWHA
Hashr mai shay ke azaadaroo ko pursa doongi
Mai azaadaroo ko jannath ki basharath doongi
Kaise REHAN main likoon NAWHA, Ghamse seena hain mera karbo-bala
Aankh se behta-ta khoon ka darya, Karte the khalbe jigar bhi giriya
Haaye O be kaso mazloom O be-yaare hussain
Royenge hashr talak tujko azaadar-e-hussain
YAA HUSSAIN (3)
NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)
Mujpe kyu band karte ho pani, kya Muhammad kya pyara nahi hu 4
Mujpe kyu band karte ho pani, kalma goyo Muhammad ke shaani,
Kya me mehman aya nahi hu. Kya me Zehra ka jaya nahi hu
Mujpe kyu band karte ho pani, kya Muhammad kya pyara nahi hu 4
Mera baba hai mushkil kusha (Meri madar bhi hai sayyida) x2
Mera beta hai zainul ibaa (Mere nana ka kalma pad-ha) x2
Jiske saye ko tum dhundte ho. Kya me uska hi saya nahin hu
Tumne maktub likh ke kahi (Ayiye jald ibn-e-ali) x2
Deenn ki roshni kam huwi (Sham-e-islam bujhne lagi) x2
Tumne chahaa tha me agaya hu. Khud madine se aya nahi hu
Das taras me meray kya nahin (ILm takwa shuja'at yakee(n)) x2
Mere pairo ke niche zamee(n) (jispe rakhe farishte jabee(n)) x2
Mei hi sardar-e-ahle jina hu, koi tuta sitara nahi hu
Meri gardan pe khanjar chale (aag lagti hai ghar me lage) x2
Bint-e-zehra ki chadar chine (hath dunga na apna tujhe) x2
Hath mera ye dast-e-khuda hai, mai to munkir khuda ka nahi hu
Sath zehra ki hai betiyaa (mohtaram inka koi kaha) x2
Pyaas ki dhoop ki sakhtiya (sabke chehre huwe hai dhuwa) x2
Betiya fatema ki hai pyaasi, sirf ik mai hi pyasa nahi hu
Hukm abbas ko du agar (nehr le aaye wo cheen kar) x2
Karbala hogi zeyr-o-zabar (Laash thai-rengi har mouj par) x2
Mei nahi chahta jang karna. Fauj ladne ko laaya nahi hu
Ghunji hal min ki aisi sadaa (Sheh ko "REHAN" kehte sunaa) x2
Ya Ali Ya Ali eliya (Waqt imdad ka agaya) x2
Mere bache bhi lagte he pyaase. Phir bhi kya muskuraya nahi hu.
NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)
Jab fauje kirdigar mei koyi nahi bacha
Ruksath ko aaye khaime-mei shehen-shaey karbala
Pohunche khaya-me zainab-o-kulsoom ke kareeb
Awaaz di behan ko aur Shabbir ne kaha
ZAINAB FEEAMANALLAH ZAINAB FEAMAANALLAH
Ab aakhri fareeza-ye khaliq bhi ho ada
Mai marne ja-raha hun tumhe kehke alwida
Lashkar me koyi baki nahi hai mere siva
Koyi sipahi fouje udo ka nahi raha
Ab mera janasheen hai sajaad be-khata
Rehna hai uske saath tumhe bade karbala
Din bar to meine lasho pe lashe uthaey hai
Na-jane kitne zakhm kalaije pe khaye hai
Ab akhri salaam ko khaime-mei aaye hai
Zakhmo ne dardo-ghamne mujhe kar diya nid-haal
Mai katl hone wala hu iska nahi malal
Reh-rehke beridayi ka ata hai ab khayal
Rakhna khayal meri Sakina ka ay behan
Soyegi kaise khak ke bistar pe pur mahan
Royegji jab-bhi yaad use ayega watan
Ye kehke al faraaq chale shahe behro bar
Nikle kaman zulm se O teer aur tabar
Ki khamaey haram ki taraf akhri nazar
Ghoday se khak pa-giray sultane karbala
Tathir ro rahi thi tadap ne lagi kisa
Jalti zami pe sajda kiya aur yeh kaha
MAZHAR ajeeb waqt tha Zehra ke laal par
Manzar ye dekhti thi behan sar ko pit kar
Ye keh ke suwe khuld kiya shah-ha ne safar
NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)
MAI RAHUN YA NA RAHUN (2)
Ya Husssian (3) Mabood Takabul Rakna.....
Mai Rahun Ya Na Rahun `(2)
Mera Islam Rahega, Mera Paigham Rahega
Aye Fouje Ashkiyaan Mera Islam Rahega,
Quran Rahega Mera paigham Rahega.
Jab Zuhar Tak Hussain Bahatar Ko Ro Chuke
Akbar ko ro chuke, Ali Asgar ko rochuke
Ek do pahar me bawafa lashkar ko ro chuke
Phir fouje badnasab say muqatib huwe Imam
Hujjat tamam karta hun sun lo mera payam.,
Farmate they Hussain ke mai be kusur hun
Roushan hai tumpe, jisme payambar ka noor hun
Faaqoo say mai nidhaal hun zakmoo say chur hun
Zakmoon pay Zakm pyaas ki shid-dath mai khaunga
Lekin mai nana jaan say wada nibhaunga.
Dariya ko tumne cheen liye maine kuch kahan
Paani dikha dikha ke piya, maine kuch kaha
Daag Akbarray jawan ka diya maine kuch kiya
Haq par hun mere haq mai sina bool rahi hai
Sun loo O azaan meri zabaan bol rahi hai
Maqsad hai la ila ki baqa aur kuch nahin
Wada ho zairay teyqh wafa aur kuch nahin
Iske siwa laboon pay duwa aur kuch nahin
Razi ho mujsay mera khuda chahta hun main
Mai hun Hussain sab ka bhala chahta hun main
Maqsad nahin hai jung hamara khuda gawa
Khat bhej ke hai tumne bulaya khuda gawa
Bay jurm tumne mujko sataya khuda gawa
Khanjar talay baland mai takbeer karunga
Apnay lahu say khaak pay tahreer karunga
Mai aur karun Yezid (la) ki baiyath nahin nahin
Badlun ajal ke dar say shariyath nahin nahin
Jeenay ke badlay chodun shahadat nahin nahin
Tum kaun ho naqab rukhoo say hataunga
Main kaun hun ye nouke sina par bataunga
Aaakar daray khayam pay Zainab ko di sada
Aa ay meri ghareeb behan aaa khareeb aaa
Ley aakhiri salam hussainay ghareeb ka
Maqsad hai mera kya ye sabaq tujko yaad hai
Meri sharike kaar mujhe etaymaad hai
Zainab tadap ke boli ke bhaiya samaj gayi
Bhaiya teray isharay ko behna samaj gayi
Mai kya teri ghareeb Sakina samaj gayi
Khutboon say mai hilaungi qasray Yazid (la) ko
Marne na dungi ab mai kisi bhi shahid ko
Uta gubaray zulm, kadakti hai bijliyaan
Zeese ghiray Hussain uthi surkq aandhiyaan
Nagah sar Hussain ka aaya sarey sina
Quran suna ke sayeday mazloom ney kaha
Low` nana jaan wada wafa maine kardiya
Ay SARWAR-O-REHAN ye lamha ajeeb hai
Naize pay lab khusha ye Hussain ne gharib hai
Zainab tumhari shaame gharibaan kharib hai
Sab kuch teray hawalay hai, ab tu sambhalna
Apna khayal rakna, Sakina ko paal na
NAWHA- MAZLOOM-E-KARBALA - IMAM HUSSAIN (A.S)
MERE LAHU KE HAR QATRE MEI
GUNJ RAHA HAI - YAA HUSSAIN,
AB TO SABKA VIRD ZUBAAN BHI
REHNA LAGA HAI - YAA HUSSAIN
Do'stlaringiz bilan baham: |