Page nawha – safar-e-imam-hussain (AS)


NAWHA – MOULA-E-KAYAINATH HAZRATH ALI (A.S.)



Download 0,81 Mb.
bet7/7
Sana09.09.2017
Hajmi0,81 Mb.
#20590
1   2   3   4   5   6   7

NAWHA – MOULA-E-KAYAINATH HAZRATH ALI (A.S.)



HO GAYE ZAINAB SE KHAFA (AY MERE BABA)

KYA BETI SE PYAARI THI KHAZA, GHAR MERA VEERAN KIYA, KARTI HUN AA-HO BUKA, ZULM YE KAISA HUWA (AY MERE BABA)
SUNTE-NAHIN MERI SADA KISKO PUKAAROON,

SAAYA HAI MERE SAR SE UTA KISKO PUKAAROON,

ZARB YE KAISI LAGI (AY MERE BABA),

KAUN THA AISA SHAKI, ZULM KI HAD HOGAYI



ROTE-HAI HASNAIN ZARA ANKHEIN THO-KHOLO,

DIL-GUM SE HAI BECHAIN ZARA ANKHEN THO-KHOLO

KAISI HAI GHAM KI SADA (AY MERE BABA),

PHAT-THA HAI MERA JIGAR, APKO YUN DEK-KAR


CHALTE-HAIN KHANJAR MERE SEENE PE ALAM KE,

TAQDEER NE DIKHLAYE YE DIN KAISE SITHAM KE,

ANKH SE ASUN RAVAN (AY MERE BABA),

SINO SE UTHA DHUWAN, DARD KI CHINGARIYAN


AYE-BINE MULJIM (la) YE BATA TUJKO MILA KYA,

TUNE-HAI LAHU KISLIYE HAIDER KA BAHAAYAA,

QATL NAMAZI HUWA (AY MERE BABA),

ARSH SE AYI SADA, HOGAYA MEHSHAR BAPA


ROTE-HAIN JIBREEL-E-AMIN PEET KE SEENA,

NAALE KOYI KARTAA HAI KOYI PADTAA HAI NAWHA,

YA-ALI MUSHKIL KUSHA AY MERE BABA

DEKHIYE UTKAR ZARA NAWHA KUNA HAI FIZA


TEGAY-JAFA AAP PE ZAALIM NE CHALAAYI,

ROTI HAI ZAMIN AASMAAN DETAA HAI DU-HAAYI,

KUCH TO KARO GUF-THAGU AY MERE BABA

BEHTA HAI SAR SE LAHU AAP HUWE SUR-KHURU


MASJIDE-KUFA ME BAPA SHOROO BUKAA HAI,

DA-MAADE NABI SHERE KHUDAA QATLE HUWA HAI,

ROTE HAI AHLE AZA (AY MERE BABA),

HOGAYI MAJLIS BAPA, DIL BHI TADAPNE LAGA


UT-GAYAA-DUNIYAAN SE MADADGAAR HAMARA,

BEVA-O-YATHEEM-O KA ASEER-O KA SAHARA,

SHABBAR-O-SHABBIR PAR AY MERE BABA

KE JIYE UTKAR NAZAR ROTHE HAIN SAR PITKAR


NAWHA YE REHAN AAZMI HAI MOULAA ALI KA,

HUM SAB KE LIYE OKHBAA ME BAKSHISH KA SAHARA,

AATI HAI HARDAM SADAA, QATLE NAMAZI HUAA

NAWHA – MOULA-E-KAYAINATH HAZRATH ALI (A.S.)


UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE =3

ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEERE SITHAMGAR SE

UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE =3
ALI KI BEK-ALI PAR ZINDAGI AANSOON BAHATI HAI.. (2)

SADA-YE AL-FERAQ AATI HAI, HAR EK TARE BISTAR SE

UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3)

ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE


PARESHAN SURQ CHEHRA SARD HAI AUR SURQ HAI ANKHEN

YATEEMI KYA HAI POOCHO AAJ ABBAS-E-DILAAWAR SE..

UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3)

ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE


DIL-E-ISLAAM SE HOUK UT-THI HAI IMAAN ROTA HAI..(2)

MUSAL-LAY PAR JO BEHTA HAI NAMAAZI KA LAHOO SAR SE..

UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3)

ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE


DILE UMMUL-BANI KO BE-WAGI KA GHAM UTANA HAI (2)

SUHAAGAN ZINDAGI KHOON RO RAHI HAI DEEDAYE TAR SE..

UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3)

ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE


TADAP AY FITRATE ISLAAM MOULA JAANE WAALE HAIN (2)

PAYAAME IRJAEE AANE KO HAI ALLAH KE GHAR SE

UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3)

ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE


SUNI HAI JISKE KAANON NE HADIS-E-RAAS KARASI (2)

WO POOCHE GHAM ALI KI MAUTH-KA KHABRE PAYAMBAR SE..

UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3)

ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE


JANAZA KUL-E-IMAAN KA ALI FITRAT JAB UT-TYEGA (2)

NA JAANE HAAL KYA ZAINAB KA HOGA GHUM KE KHANJAR SE

UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3)

ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE



NAWHA – MOULA-E-KAYAINATH HAZRATH ALI (A.S.)

Jibreel nawha padte hai (Maray gaye Ali x2)
Maula-e-kayinat pe talwaar chalgayi, maray gaye Ali


Masjid udaas mimbare (kufa udaas hai x 2)
Tar khoon me khuda ke (wali ka libaas hai x 2)
Rota hai asmaan zamin ghamse phat gayi, mare gaye Ali

Masjid me rozadar pay (kaysa sitham huwa x2)
Kaabe se aa rahi hai sadaa (wa musibatha x2)
Ghamse nabi ki kabr bhi ab kaampne lagi, mare gaye Ali

Haay haay yateem Shabbar-O-(Shabbir hogaye x2)
Abbas dilko thaamke (rote huwe chale x2)
Sarse ridaaye Zainab-o-Kulsum girgayi, mare gaye Ali

Duniya mei bekasoon ka (sahara nahin raha x2)
Uthra tha jo falak se (sithara nahin raha x2)
Arshe bareen pe farshe azaa aaj bichgayi, mare gaye Ali

Maula mera jo khoon me (apne naha gaya x2)
Bole farishte haye ye (kaisa sitham huwa x2)
Uriyain ye roke kehti thi duniya ujadgayi, mare gaye Ali

Zahra lahad me rothi hai (Haider ke waste x2)
Kehti hai cheyn kabr ke (andhar nahin mujhe x2)
Bacho pe mere gham ki ghata aaj chhagayi, mare gaye Ali

REHAN mere saath me (rone lagaa kalam x2)
Aankho se mere jaari (huwe ayse ashke gham x2)
Chalte huwe kalam ke mere saas rukh gayi, mare gaye Ali
NAWHA –SHEZAADI BIBI FATHIMA ZEHRA (SMA)
FATHEMA ZEHRA (2) YA ZEHRA (4)
Ay meri bibi (2) Tere dar pe isteghasa hai,

Tera mamnoo meri shehzaadi ye jahan sara hai


Tu hame hifz or amaan de-de, Apni chadar ka sa-ebaan dede,

Teri kudrath me kya nahin bibi, Tu jise chahe do jahaan dede


Ay meri bibi (2) Aansu-o ne duwa mangi hai,

Teri tasbee hi padke dil ne tujhe pukaara hai


Tera darbar O sakhi dar hai, Har farishta jahan-ka dagar hai,

Tere makrooz asmaan waale Tera makrooz har sikandar hai


Ay meri bibi (2) Tu sakhi hai tere bache bhi,

Ek raahi nahi gawaahi me jag ye saara hai


Farshe majlis pe aur musale pa, Har jawan keh raha hai ro-rokar

Ham rahe na rahe magar bibi, Ta qayamat rahe game sarwar


Ay meri bibi (2) Tere bacho ka gham mana-te hai,

Apni awlaad se kahi badke gham ye pyara hai


Karz makrooz ka adaa karde, Muflisoon ka naseeb wa karde,

Jinki goudi bhari nahi bibi Unko awlaad tu ataa karde


Ay meri bibi (2) Bas tuhi muraad dethi hai,

Teri chawkat dare ilahi ka isti-araa hai


Farz momin se gham juda karde, Bas ghame karbala ata karde

Be khataa kayd me hai jo momin, Moujize se unhe rihaa karde


Ay meri bibi (2) Gham koyi hussainiyo ko na de,

Jo hussaini hai tere baba ko jaan se pyaara hai


Un shahedo ka ye mukadar hai, Sayiban inka teri chadar hai

Unke sino pe ay meri bibi daghe matam nishaane haider hai


Ay meri bibi (2) khuld me shaheed jab jaye,

Teri awaaz aaye aane do ye hamaara hai


Majlise gham me ashk barsane, Aasake ya nahi khuda jaane,

Kya bharosa hamari sanso ka, Ab kaha ham kaha aza khane



Ay meri bibi (2) Ashke gham teri amaanath hai,

Teri awlaad ke hi gham-ne hame sawaara hai



Tujko umat ne yu sataya hai, Marghe mohsin pe bi rulaya hai

Tujko baba ke baad ummat ne, Haye darbaar me bulaya hai



Ay meri bibi (2) Kitne sadme utha hai tune,

Jeete-ji tujko meri shehzadi gham ne maara hai



Ay meri bibi (2) tere darpe sar jukaate hai,

Har hussaini ka tere tuk-do pe hi guzaara hai



NAWHA –SHEZAADI BIBI FATHIMA ZEHRA (SMA)
SADME UTA RAHI HUN MAI,

BABA TUMHARE BAAD (4)
DAR-BAR JA-RAHI HUN MAI (2),

BABA TUMHARE BAAD


SADME UTA RAHI HUN MAI,

BABA TUMHARE BAAD (4)
BA’BA YE FATHIMA (SMA) PE MUSIBATH KA WAQT HAI

YE MARHALA~ KHATIN HAI QAYAMAT KA WAQT HAI

QUTHBA SUNA RAHIN HUN MAI (2),

BABA TUMHARE BAAD


KOYI MUJHE BATAAYE-KE, KYA THA MERA KASOOR

SADMA YE HAI KI, SHAHR KI AABA’ADIYOON SAY DUR

AANSOON BAHA RAHI HUN MAI (2),

BABA TUMHARE BAAD


BABA TUMHARE BAAD YE MUJPAR SITHAM HUWA

MOHSIN MERA SHAHEED HUWA, WA MUSIBATA

YE GHAM UTHA RAHI HUN MAIN (2),

BABA TUMHARE BAAD


BABA GHAREEB BETI-KI GHURBATH KO DEKH LO

UMMATH-NE HAQ NAHIN DIYA, BINTE RASOOL KO

YE AJR PA RAHI HUN MAIN (2),

BABA TUMHARE BAAD


ZULMATH KI HAR NAQAAB KO, RUKH SAY HATA KE AAJ

DARBAAR MEI LAYIN KE, KHUTBA SUNA KE AAJ

HAQ KO BACHA RAHI HUN MAIN (2),

BABA TUMHARE BAAD


DARBAR JAARAHI HUN MAIN (2),

BABA TUMHARE BAAD

SADME UTHA RAHI HUN MAI,

BABA TUMHARE BAAD (4)
********************************

NAWHA –SHEZAADI BIBI FATHIMA ZEHRA (SMA)
FARSHE MAJLI’’IS-PE FATHIMA’AA ZEHRA’A,

LAMHA (2) SHUMAAR KARTI HAI

AY AZADAA’RO - AAO MAJ’LIS MEI’I,

FATHIMA INTEZA’AR KARTI HAI
Ay azadaroon suno’o, keh rahi hai Sayyeda (2)

Har ek chahane wale ko bakshwadungi

Mere Hussain ko rote rahoo duwa dungi (2)
Tum apne ghar mei aza khaane jab sajaooge

Jaza Rasool say iski zaroor paooge

Khuda bhi raazi rahega, Ali-bhi aur mai-bhi

Gham apna bhool ke aashur jab manaoge

Tumhare dil ke har ek zakm ki dawa dungi
Ajeeb haal say aungi mai sare mehshaar

Ke laungi mai wahan ghoud mai Hussain ka sar

Mai laungi mere Abbas ke kate huwe haath

To saath laasha-e-Asgar bhi aur Hassan ka jigar

Khuda say baba ki ummath ko baksh-wadungi
Ba waqt asar gulu-e-Hussain kat-tha tha

Pisar ke gird phiri roohe Fathima Zehra

Nidaye Fathima aati thi aah’a wa-waila

Ke chaki pees ke maine Hussain ko paala

Karo na khatl ise main tumhe duwa dungi
Meri Sakina-O-Zainab ki sab kaneeze sune

Wasiyath ek meri hai ye dhiyaan mei rakhe

Kabhi jo zikr-ho, Zainab ki be-ridaayee ka

To ek lamha bhi khud ko woh be-rida na kare

Mai tumko betiyaan Zainab si ba-hara dungi
Tum is jahan mei hamara sahara ban jaaoo

Hamare baa-ize izzath to ban ke diklaoo

Na aisa ho kahin apne kisi amal say kabhi

Azaa ki rooh ko nuksaan tumna pahunchaoo

Ye mera wada hai mai tumko bakshwadungi
Jo umr-bhar mere bachoo ka nawhakhan hoga

Baroze hashr O uthna hi SHADMAN hoga

Jo Nawhe likhte rahe MAZHAR ABIDI yun-hi

Khalam ye taba qayamath yunhi rawan hog

Har ek bayt pay, Janath mai ghar diladungi

NAWHA - ARBAEEN
SADAAT-E-KARBALA - SADAAT-E-KARBALA

Chehlum ko Karbala mein jab ayeen woh Bibiyan
SADAAT-E-KARBALA (2)
Kuch bibiyaan yaahan hai kuch bibiyaan wahan
Karthi huwi fuga (x2)
Arey bikhri huwi thi maktal-e-sarwar mei ja-baja


Zainab-ne is zameen ko sungha tho ye kaha
Sajjad kuch sunaa (2)

Maqtal hai yeh Hussain ki Amma ki hai sada



Abid tadap ke bole phupi aap per fida
Sach aap ne kaha (2)
Baba shaheed honge jahaan hai yehi jagah

Ek bibi dasht-e-khooni mein jaati thee nehar par
Keh-thi ba chashm-e-thar (2)

Abbas dene aayi hun pursa Sakina ka



Ghut ghut ke laadli teri zindaan mein margayi
Turbath wahin banii (2)
Bhaiya woh qaid say-huwi marke bhi na juda

Akbar ki qabr per yun huwi Laila nauha-gar
Dekha na saal bhar (2)
Aayi-hun qaid-e-shaam se ab hoke mein riha

Bano yeh bain karti thee ay mere be-zubaan
Maa dhoonde ab kahaan (2)
Batla de hai kahaan mera Asghar ay Karbala

Qurbaan tere ay mere Maa jaye be-watan
Majbur thee behan (2)
Zindaan mai mujhse teri amaanath huwi juda

Rote hain khaas-o-aam tera sun ke yeh kalaam
Ay Shaah ke ghulaam (2)
Noha tera 'ANEES' hai maqbool-e-bargaah

NAWHA - ARBAEEN
ARBAEEN KARNA HAI SHAH-E-KARBALAYI KA

Leke daagh seene par, shaah ki judaai ka
H
aq ada kare Zainab, kaise apne bhaayi ka
Khaafila uthar aaya, sabr ki khudaayi ka
Karbala ke maidaan par Fathima ki jaayi ka

Mauth ke bayaabaan may zindagi ka maatam hai
Z
ulm ke andheron may roshni ka maatam hai
Aansuon ke toofaan may tishnagi ka maatam hai
Ek behan ke his-se may har kisi ka maatam hai

Bhaayi kya sunaaun mai hum pe kya sitham guzre
B
aad-e-asr-e-aashura be-kafan thay sab laashe
Shaam-e-gham ke jaatay hi mauth ke badhe saaye
Chin gayi rida meri bhaayi jal gaye khaime

Dur tak nigaahon may shaam ka andhera hai
K
arbala say kufa tak haadisoon ne ghayra hai
Jabsay nowne-haalon ne, mu ko apne phera hai
Maamta ki goudhi may, mauth ka basera hai

Baad-e-karbala bhaayi, har qadam qayamat thi
B
e-rida rasan basta raah-e-shaam say guzri
Bhaayi hum tamaasha thay raaste tamaashayi
Har qadam dua yeh thi kaash mauth aajaaye

Bhaayi qaid khaane ki teeragise ho aaye
A
ap ki amaanat ko zulmaton may kho aaye
Khoon goshwaaron ka aansuon say dho aaye
Yun Sakina bibi ko sab aseer ro aaye

Qaid say reha ho kar jab Madina jaaungi
J
aa ke maa ki turbat par marsiya sunaaungi
Karbala ke maqtal may kya huwa bataaungi
Bhaayi apnay baazu ke neel bhi dikhaaungi

Bhaayi ab khudahafiz khabr say chali Zainab
B
in tere guzaa-regi kaisay zindagi Zainab
Uth gayi FAREED aakhir keh ke Ya Ali Zainab
Ranj-o-gham ki dunya may phir say kho gayi Zainab

NAWHA - ALVIDA
ALVIDA ALVIDA ALVIDA AY HUSSAIN
Yeh sada yeh fughaan - Aur yeh majlisain

Matam-O-Nawha-aur gham ki yeh zeenatain

Chaha-ta hai yeh dil, Yun-hi qayam rahain

Aha phat ta hai dil, Kis ter ha ye kahain


Merai mehmaan hai akhari yeh salaam

Tujpe qurbaan hai akhari yeh salaam

Shah-e-zeeshan hai akhari yeh salaam

Dil hai veeran hai akhari yeh salaam


Bakshh do hoogayi, ho-jo koyi khata

Haq-ke khidmath-na hamse ada ho saka

Gham yehi hai-na jee bhar-ke matam kiya

Teri khaatir-na kyun apna sar dai-diya


Gar jeeyai saal bhar - phir karenge ye gham

Royain gai phir terai gham main milkar baham

Aur agar mar-gayai-to ye hooga alag

Hay afsos jee bhar kai royain-na hum.


Alvida ay Hussain ay Hussain alvida

Alvida ay Shah-e-mashrakain Alvida

Bint-e-Ahmed kai ai noor-e-ain Alvida

Hai Mujahid kai lab per yeh bain Alvida



NAWHA - ALVIDA
Hai… Khaiyd hoka’rr Jo Suwe Sha’am Chali Bin’te Ali…

Pouhunch-kar la’ashe bara’dar pa’y, buka kar’r ne lagi..
Tu mere baaloon pay khaaq daalday

Mai Tere Lashe pay khaaq daaldoon (2)

Tu mujhe rida de-day, Mai tujhe kafan de-dun
ALVIDA HUSSAIN.. ALIVIDA (3)

Dahst mai tujko layeinoon-ne kafan bhi na diya

Cheenli sar-say mere hai sithamgar nay rida



Na raha koyi madadgaar sare dashte bala

Tu raha be-kafan, Mai aseeray mehan

Mai huwi be-riday, Tu gharibul wathan
Tera Lasha huwa pama’al sare karbobala

Hai tukde huwa Zainab-ka jigar wa-waila



Aayi-be-saqta bhaayi mera hotoon pay sada

Ye sitam kya huwa, Mera ghar lut gaya

Koyi yaavar nahin, kya karun mai bhala
Meray mazloom baradar mai tujhe deti kafan

Hai pardes main majbur huwi teri behan



Yaad ata hai mere bhaiyi mujhe mera watan

Dard say choor hun, Gham say ranjoor hun

Imtehan hai mera, haa’e majbur hun
Jo mere dil pe guzarti hai bayan kaise karun

Jo lage zakm jigar par O ayan kaise karun



Mai bhala sabr mere tishna dahan kaisay karun

Khaak udaungi mai, Gham utaungi mai

Kis tarah be-rida, Shaam gaungi mai


Ye terah jism nahin, khoon mai tar hai Quraan

Nouke naiza say cheeni, Chadar-e-tath-heer yahan



Be-ridayee ka hai, ehsaas mere dil fe-garaan

Mai karungi ada, Jo mera farz hai

Mere bhaayi magar, Ye meri arz hai
Bint-e-Zehra pay qayamath ki ghadi hai bhaayi

Be-kafan ran mai teri laash padi hai bhaayi



Aur behan dasht mai be aas khadi hai bhaayi

Mai jigar tham-kar, rehgayi khaak par

Apni hamsheer par, Ek ehsaan kar
Waqt-e-ruqsath ye layein hampe sitam dhayenge

Bar-sare nouke sina tera ye sar layenge



Be-rida mujko bhi bazaar mai le-jayenge

Tera dil royega, Zakm O khaungi

Suwe bazaar mai, Be-rida jaungi
Kya qayamath ka O manzar tha Nadeem-O-Safdar

Laasha-e-Shah tadap ta-tha ye naaley sunkar



Aur sar peet-ke kehti rahi bint-e-Haider

Alvida khas-ta-tan, Alvida be-kafan

Alvida be-watan, Alvida pur-mahan

ALVIDA - 10th MOHARRAM
RUN KO JAATE HUWE - SAR JHUKAYE HUWE (2)

SHEH NE ROKAR KAHA - ALVIDA ALVIDA (2)
AAYA WAQT-E-SAFAR - AYE BEHAN AAJ HUM (2)


HO-RAHE HAIN JUDA - ALVIDA ALVIDA (2)

Sha’ah bad-kar behan-ke, galay lag-gayey
A
ur dukhiya behan (Say yeh kehne lagay x2)
Meri mazloom pyaasi musaafir behen (2)

Te’era hafiz khuda - Alvida (4)



Jis-say darr-ti-thi tu woh ghadi aa-gayi
Dekho chaaro taraf (Teergi chah gayi x2)
Dasht-e-purhawl main shaam honay ko hai (2)

Lo’o musaafir chala – Alvida (4)



Lay-ke baali Sakina ko aa-ghosh main
Nunhe nunhe say haathon ke bosay liye, Rokay bosay liye
Sheh-ne hasrath say beti ko tak-the huwe (2)

Aaha bhar kar kaha – Alvida (4)



Bola beemar bete-se aaqa mera,
Ab na ayey-ga ay (Beta baba tera x2)
Mauth ki aahatain taiz honay lagee (2)

Aa’rahee hai sada – Alvida (4)



Aya khaimay say bahar jo Moula mera,
Bhaayi beta bhati-ja koyi bhi na tha, hai koyi bhi na tha
Ek hasrat say chaaro taraf dekh kar (2)

Sheh nay khud hi kaha - Alvida (4)



Jab tadap kar kaha meray shero uthoo,
Aao Zainab ke bhaayi ko rukhsath karo, aao rukhsat karo
Ek ek laash-e-bay-sar se aayi sada (2)

Ay Shah-e-Karbala - Alvida (4)



Aisa matam karo aisa matam karo,
Pak bibi kahe marhaba marhaba, marhaba marhaba
Khoon ubaltay howay aik aik zakham say (2)

Aaj aayey sada - Alvida (4)



NAWHA – TABLEGHI
MAZLOOM KA MATAM


Mazloom ka matham hai, mazloom ka matam (2)

Logo ye tamashaa nai (2)

Logo ye tamasha nai, is rone pe hasna nai

Mazloom ka matham hai, mazloom ka matham (2)


Kya milta hai matham me, kis tarha bataaye (2)

Mazloom ko rote hai mazloom jahaa mai (2)

Pathar nahi seene me (3) dil hai to ye matham
Ghar Fathima Zehra ka kis tarha say ujda (2)

Jab hogi qayamath to yu ayengi Zehra

Ek haath me do bazu (2) ek haath me parcham
Jab pyaare Muhammad se mai pyaar karunga (2)

Phir uske nawaase ka matham bhi karunga

Jis ghar me Muhammad hai (3) us ghar ke ya matham
Logo Nabi zaadi ka bazaaro me aana (2)

Aur band ke rassi me darbaro me laana

Is baath pe rothe hai (2) is dard ka matham
Zanzeero me jadka hai Shabbir ka beta (2)

Maa behne khule sar thi khun rota tha mawla

Sajjad se pucho to (3) kyun hai ye kamar kham
Khat Fathima Sughra ka kis waqt mila hai (2)

Jab bhaayi sina khaye rethi pe padaa hai

Khat kaun paday tera (3) tanhayi ka alam
Mazloom ka matham hai, mazloom ka matham (2)

Logo ye tamashaa nai (3) is rone pe hasna nai



Mazloom ka matham hai, mazloom ka matham

NAWHA – TABLEGHI
TAREEQ KE KIRDARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AY SHEH KE AZADARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO


Darya ho samandar ho tum seep-o-gowhar ho
Tum marze-qalandar ho sehra may gulay tar ho
Tum bazme abuzar ho tum fikr ke qambar ho
Tum hur ka qabeela ho tum john ka lashkar ho
Ay gham ke lamdaro kis baath may tum kam ho

Rasta nahi manzil ho dhadkan nahi tum dil ho
Mazloom ke tum haami har zulm ke qaatil ho
Insaan ki azmath ke har baath may shaamil ho
Zulmat ke samandar may tum noor ka saahil ho
Matam ke talabgaro kis baath may tum kam ho

Nisbath hai payambar se nisbath tumhay Hyder se
Is nisbath-e-maula se tum door rahe shar se
Tum aankh milate ho har waqt sithamgar se
Jo dars mila tumko salman-se-buzar se
Tum roop wohi dharo kis baath may tum kam ho

Abbas ke parcham se seekhi hai wafadari
Aankhon may tumhare hai imaan ki bedaari
Kismath se mili tumko mazloom ki ghamkhari
Zaalim ke liye abh-bhi tum taygh ho do dhari
Mazloom ke gham khaaro kis baath may tum kam ho

Zainab ki rida tumse karthi hai sawaal aisa
Kis gham may bahaathe ho aankon se lahoo apna
Kya ghar may tumhare bhi paighaam mera pahuncha
Jis deen ke laashe pe kaam aaya mera parda
Laaj uski rakho dekho kis baat may tum kam ho

Kya dars liya tumne Akbar ki jawani se
Kya seekha batao to karbal ki kahani se
Math behko qateebo ke alfaaz-o-mawani se
Mehfooz haqeeqath ko rakhna hai kahani se
Ay ilm ke mayyaro kis baath may tum kam ho

Masjid ke musalmano maidan ke bano ghazi
Tum Hur ki tarha maango ek raat may azaadi
Darbar may zaalim ke kyun bante ho faryadi
Sajjad ne jis tarha deeware sitham dhaa-di ghaadi
Deeware sitham ghaado kis baath may tum kam ho
Tum nahje balagha ki tafseer may dhal jao
Hyder ki ghulaami ka andaaz to apnao
Mazloom ko math chedo zaalim se na ghabrao
Haq baath jo kehna hai suli pe bhi douh-raoo
Allah ke naqqaro kis baath may tum kam ho

Shabbir ke matam may imaan ki hararath hai
Ye ayne ibadath hai ye ayne shariyyath hai
Shabbir ke paykar may islam ki nusrath hai
Khanjar ke talay dekho qaim jo ibadath hai
Maula ke tarafdaro kis baath may tum kam ho

Socho tho zara manzar tum shaam-e-ghareeban ka
Ghar jalta tha jab ran may us waaris-e-quran ka
Pamaal tha jab laasha ek besar-o-samaan ka
Kirdaar magar kya tha us waaris-e-quran ka
Samjho to samajhdaro kis baath may tum kam ho

Pyasa tha labe dariya wo lakhte dil-e-Zehra
Aankhon se barasta tha ghurbath may lahoo jiska
Wo waqt bhi tha kaisa cheh maah ka ek bacha
Haathon pe tadaptha tha pani ka na tha khatra
Us waqt ke jaabaro kis baath may tum kam ho

Halmin ki sada abh-bhi humse hai yehi kehti
Shabbir ki nusrath ki dil may jo tamanna thi
Kya abh-bhi hai wo baakhi jo chaah thi maula ki
Awaaz wohi dil ki har saans may hai abh-bhi
Jalte huwe angaaro kis baath may tum kam ho

Tum raahay sadaqath se imaan ki hararath se
Kirdaare imamath se afkaare risaalath se
Tum shaukhe shahadath se maula ki inayath se
Islam ki qidmath se mayyaare mohabbath se
Tareek nayi likhdo kis baath may tum kam ho

Imaan hai azadaari hai deen ki bedaari
Jarraari-o-karraari hai azme wafadari
Himmath na agar haari zinda rahi khuddari
Miljayegi sardari Hyder ki tarafdari
Karke to zara dekho kis baath may tum kam ho

REHAAN PE SARWAR pe maula ki inayath hai
Nowhe ki azaano may matam ki ekhamath hai
Sach poocho ko dono ki har saans ibadath hai
Ay ehle aza tumko matham ki jo daawath hai
Mu mod ke math jaao kis baat may tum kam ho

YA ALI ADRIKNI, YA ALI ADRIKNI
Dasht may luti gayi aale Rasoole madani
Ya Ali adrikni (2) Haaye be aab huwe qatl Hussaini Hassani
Ya Ali adrikni, Ya Ali adrikni

Dasht wo tapta huwa, dhup may aal-e-abaa
Khaak pe baita huwa, kartha hai ro kar buka (2)
Kaisi taqdeer may likhi thi gharibul wathani

Shaah ka wo nusrathi, kaisa huwa jannati
Zaanu-e-sibte Nabi, aur sar-e-Hurr-e-jari (2)
Koi Hur jaisa nahi duniya may qismath ka dhani

Fathima Zehra ka laal, pyaas se ran may nid-haal
Aata hai aksar khayaal, kissay karoo ye sawaal (2)
Maalik-e-kausar-o-tasnim ye tishna dahani

Bacha bhi che-maah ka, pyaas say tadpa kiya
Teer-e-sitham kya chali, chid gaya nanha gala (2)
Teer-se pehlu aur Asghar ki ye ghuncha dahani

Kehti thi rokar ye maa, haaye mera be-zubaan
Haaye ye nanhi si jaan, toota na kyun aasman (2)
Ye sitham aur mere asghar ki ye naazuk badani

Haaye wo kadiyal jawan, gir pada khaakar sina
Ro diya ye aasman, baap ka azm-e-jawan (2)
Shah-e-deen khaynchte hai sinay say barchi ki ani

Laash pe kehti hai maa, ay mere kadiyal jawan
Saal tha attharawan, haaye ye zakhm-e-sina (2)
Dekhiye aake jawan laal ki gul pai-rahani

Sayyad-e-abraar hai, nargha-e-kuffaar hai
Dar pay ye aazaar hai, teeron ki bouchaar hai (2)
Jism Shabbir ka teeron se hai chalni chalni

Zainab-e-aali muqaam, tumpe hai laakhon salaam
Ummath-e-khairul anaam, khoob kiya ehteraam (2)
Be-rida saani-e-Zehra huwi baazu rasani

Ya mere mushkil kusha, khalq ke haajath rawa
Aap pe mehshar fida, kardo ishaara zara (2)
Sang reze abhi hojayenge laal-e-yamani

NAWHA – IMAM-E-MEHDI (A.S)

LABBAIK LABBAIK LABBAIK YAA IMAAM (4)

Aaiye ya Baarwen Imaam (2) Labbaik (3) Yaa Imaam


Kijiyee Zahur Yaa Imaam (2)

Bad rahi hai zulm-jabr ki muhib aandhiyaan
Gir rahi hai moaminon ke qalbo jaa pe bijliyaan
Uth rahi hai dine mustufa ke simth ungliyan

Hujjath-e-khudaa hai aap deen ko dijiye amaan

Har kadam pe ab to ek (karbalaa hai yaa Imaam) (2)

Har baras areeze mawj ke supurth kar chuke

Zakhm intezaar se jigar hamaare bhar chuke

Kitne loog ji rahe hai kitne loog mar chuke

Waqt ke tamaam rastoon se ham guzar chuke


Lab pe aap ke zahoor ki (Dua hai yaa Imaam) (2)
Chawdaa sou baras se zulm seh rahe hai yaa Imaam

Raaz karbalaa har ek se keh rahe hai yaa Imaam

Shay ke gham me ashk ab bhi beh rahe hai yaa Imaam

Zulm ke mukhable pe gad gaye hai yaa Imaam

Aap ka jo dil ko ek (Hauslaa hai yaa Imaam) (2)

Jad hai aap ke Ali, Ali hai shere kibriyaa

Seerathe bathul kya hai aap kaa hai madrasa

Jaise Sabr Aap ne Husain hi se hai liya

Khatimaa karenge aake app zulm sabr kaa

Saath aap ke duwaaen (Sayyadaa hai yaa lmaam) (2)

Jis ko gaib par yakin nahi woh munkire Khuda

Jis ko gaib par yakin wohin padhegaa laa ilah

Laa illah padh ke ho gayaa Rasool ashnaa

Jo Rasool ashnaa hai woh mohib hai Aapkaa

Yeh Nabi ka aur Khuda ka (Faislaa hai yaa Imaam) (2)

Ek do nahin kahin jawaan shahid ho gaye

Karbalaa e Asr me Sitham mazid ho gaye

Zulm ke tamaam silsile shahid ho gaye

Pairawe Yazid (la) aaj fir yazid (la) ho gaye

Aapka Husainiyon ko (Aasraa hai yaa Imaam) (2)

Maaon na pisar behen ne bhaayi nazar kar diye

Bacche bhi yathim huwe shuhaag bhi ujad gaye

Baap ne game Husain me lahu jigar kiye

Jaari aaj bhi hai, majilse azaa ke silsile

Aaiye ke panjetan kaa (Wastaa hal yaa Imaam) (2)

Laash Jab Husain ne uthayi thi jawaan ki

Kabr jab banayi thi sagire be zubaan ki

Aankh nam huwi thi jab zamino aasmaan ki

Yaad hai wohi gadi Husaini imtehan ki

Apna gham isi sabab (Bhulaa diya hai yaa Imaam) (2)

As-Salaam Alai Ka Ya Imaam-E-Asri-Waz-Zamaan

Al-Aman 2 Ay Imam-E-Insojan, Al-Ajal 2

Ay Sharekat-Ul-Quran- Apke zahor ka munthazir sabi jahan

Sarvar-O-Rehan ki bhi (ye sada hai YA IMAAM) (2)


NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
AY MERE BHAAYI HUSSAIN (4)

BHAIYA GHAREEB ZAINAB, TERA KAFAN NA LAYI (3)

Lash-E-Hussain Par Hai, Zainab Ki Ye Duhaayi

BHAIYA GHAREEB ZAINAB, TERA KAFAN NA LAYI (2)
Misl-e-Bathool haq-se, mehroom hu mei ab tak

Shabbe’er tere gham mei, maghmoom hu mei ab tak

Tadpaa rahi hai mujhko, Abbas ki judaayi...


Afsoos ke Sakina, nazo(n) se jo pali hai

Jo tum ko yaad karke, zindaan mei chalbasi hai

Usko mili na bhaiya, zindaan se rihaayi...


Ham par sitam ay bhaiya, dhaate rahe sitamghar

Sayyeda’aniyo(n) ke sar mei, ati thi khaak ud-kar

Bazaar ka wo manzar, Zainab na bhool paayi...


Baalo(n) se mu(n) chupa kar, bazaar mei gayi thi

Narghe mei ashkiya(n) ke, beparda mei khadi thi

Guzri-hai-kya behen par, kaise batawu bhaayi...


Sajjad ke ye dil par, dushwaar marhala tha

Zanjeer ko sambhaale, beemar ro raha tha

Aal-e-nabi khule sar, darbar mei jo aayi...


Sabse badi musibat, kya hai kisi ne poucha

Beemar sar jhuka kar, rote huwe ye bola

Behno(n) ka shaam jana, Zainab ki beridaayi...


Misl-e-Batool hak-se mehroom hu mei ab tak

Shabbir tere gham mei, maghmoom hu mei ab tak

Tadpa rahi hai mujhko, Abbas ki judaayi...


Is aik saan-hay par, aksar MUHIB ne socha

Barbaad ho gaya jab, Aal-e-Nabi ka kumba

Baad-e-Hussain kyu kar, baaqi rahi khudaayi...

Bhaiya Gharib Zainab Tera Kafan na layi

(Ay Mere Bhai Hussain) x2 (Tera Kafan na layi) x3



NAWHA – SHAME-GHARIBAAN
BEHTI RAHI FURAAT, BEHTI REHI FURAT

Khoon ho ker beh gaya Akber kaa dil…

Muskura kar Khatam Asghar ho gaye (Behti rahi furat) x2
Karbala ke dasht me kaisaa andhera cha gaya

Aa gayi sham-e-gharibaa surkh hai khak-e-shifaa…

Jal-gaye khaim-e-sar-e-shamm-e-Alamin…..

Kitne manzar khaakh ho ker reh gaye (Behti rahi furat) x2


Dhal gaya din shaam aayi shaam phir aisi ke baad

Do paher ke baad chayi aisi tanhayi ki baad

Kis terhaa zehra ka ghar lutaa gaya….

Kis terha be-sar bahathar ho gaye (Behti rahi furat) x2


Aaj subhe tak ye ghar roshan bhi tha abaad bhi

Sab ke waris thay salamaat bhayi bhi awlaad bhi

Ek hawa asi chali pardes me, Be zaban bache b be sar ho gaye
Ye hai woh sham-e-gharibaa jo Qayamaat bangayi

Dukhtar-e-zehra ke sar se jisne chadar chin li

Ya rasulallah Qayamat ho gayi……..

Dakhile khayma sitamgar hogaye (Behti rahi furat) x2


Aik ik khatre ko tarse ban mai at-faal-e-hussain

Mashk zakhmi, khaali quze laash pamaal-e-hussain

Reh gayaa maidaan mai.. bekas kaa tan……..

Jashan me masroof lashkar hogaye (Behti rahi furat) x2


Marte dam pani-pisar mange padar majboor hai

Tu bataa sham-e-ghariba al qamaa kiya door hai

Waye nehre al qamaa behti rahi , Aur pyaase qatl akber hogaye
Hai wohi manzar wohi khaimay wohi tishna labi

Aaye hai sham-e-gharibaa khu(n) rulaane aaj bhi

Gham hame "REHAN -O-SARWAR" kyu na ho…..

Mahve mataam jab payambar hogaye (Behti rahi furat) x2



YA HUSSAIN YA HUSSAIN
Maula Haq Imam, Ya Hasan Ya Hussain (2)

Wo Abide Bimar Tha, Chalne Se Jo Lachaar Tha
Aur Shaam Ka Baazar Tha (2) Aur Mustafa Ki Betiyan…

Shabbir Ki Vo Laadli, Seene Pe Jo Shah Ke Pali
Jis Ki Aba Ban Mein Jali (2) Mu Par Tamacho Ke Nishan

Wo Asghare Besheer Tha, Aur Hurmula Ka Teer Tha
Pyaasa Gala Kyu Kar Chida (2) Larzi Zameen Aur Aasman

Pyaase Gale Khanjar Chale, Chaadar Chini Dure Lage
Abbas Ke Parcham Tale (2) Ro Kar Kahe Ye Bibiya

Ro Kar Kahe Qasim Ki Ma, Maara Geya Qasim Jawan
Aye Lal Mein Dhundu Kahan, Mehendi Teri Sehra Tera

Shaame Ghariba Cha Geyi, Abid Ko Ghairat Kha-gayi
Pehre Pe Zainab Aa Geyi (2) Abbas Aur Akbar Kahan

Wo Bawafa Abbas Tha, Dukhiyo Ki Jo, Ek Aas Tha
Pani Mila Par Na Piya (2) Pyasi Rahi Shehazadiya

Wo Bawafa Abbas Tha, Toote Dilo Ki Aas Tha
Pani Liya Par Na Piya (2) Masoom Ka Ehsaas Tha

Ek Abide Bemaar Tha, Aur Sham Ka Bazaar Tha
Rota Raha Ghayyur Khoon (2) Qaidi Ali Ki Betiya

Ek Abide Beemar Tha, Muddat Se Jo Beemar Tha
Aur Taukh Ka Azaar Tha (2) Aur Pao Mein Thi Bediya

Vo Zainabo Kulsoom thi, Chadar Se Jo Mehroom thi
Na Mahramo ke darmiya (2) Roti Rahi Sheh Zadiya

Chey Mah ka besheer tha, Aur Hurmula ka teer tha
Pyasa gala kyu kar kata (2) Ro kar kahe ye bibiya

Sughra Udhar roti rahi, Moula idhar roote rahe
Aur khatl sab hote rahe (2) Phir bhi kare shukre khuda

Aik Abide Bemaar tha, Aur Shaam ka bazaar tha
Rota raha ghayyur khu (2) Qaidi ali ki betiya
MERA WADA HUWA PURA NANA, MERA WADA HUWA PURA X 2

MEIN NOKE SINA PAR HUN, MERA WADA HUWA PURA NANA


Nana dekho nawaasa kahaan aagaya

Meine karbobala ko mu'allah kiya,

Khon mera aaj khaak-e-shifa ban gaya

Meine bachpan ka wada wafa kardiya,


Deen-o-Qura(n) bache tera Kaaba bache,

Ta qayamat rahegi azan ki-sada

Madres-sa bangayi aaj se karbala,

Haaye nana magar mera ghar na raha


Chakiyaan pees-ne wali maa ki qasam,

Meri agosh mai toda Akbar ne dam

Kaise lasha jawaan laya suwe haram

Apne vade pe kehta raha gham-pe-gham


Bhayi bathees barsoun se jo sasth tha

Maine wada nibhane mein O kho-diya

Khaa-gayi uske shaano(n) ko ye alqama,

O gaya aur darde kamar degaya


Mere nana ye dhula ye kamsin jawan

Aise ronda gaya dasht mei al-aman

Apne bete ko pehchaan payi na maa

Uski dulhan ne khud tod-di chudiya


Han O Asghar jo Sughra ki thi zindagi,

Jiski khatir O bimar bachi meri

Chote chote se kurte jo seeti rahi,

Uska khun apne chehre pe malke abhi


Mere nana Sakina ka gham dekhiye,

Umr itni si kitne sitam dekhiye

Jalti reti pe uske qadam dekhiye,

Kitne majboor hein aaj hum dekhiye


Shaam "REHAN-O-SARWAR" jo dhalne lagi,

Sar se Shabbir ke ye saada aati thi

Ay behen ab yahaan se qayaadat teri,

Mere wade ki khaatir zuroori huwi


Mera ghar mere bache meri zindagi,

Aap ke deen pe-sab maine qurban ki

Mere maathe pe bosa do ab aakhri

Bar sare noke naiza sawaari chali


Kitne lashe uthaye hein ek roz mei

Kitne ansoun bahaye hein ik roz mei

Sai-ka-doon teer khaaye hein ik roz mei

Saare wade nibhaye hein ik roz mei



NAWHA –IMAM-E-MOOSA-E-KAZIM (AS)
YA MOOSA-E-KAZIM

(Yabna jaffer abur-raza) x3 Abur-Raza



Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda

(Ya musa-e-kazim) x2


Tera baba imam-e-sadiq hai, Jiske dam se hai jafferi sare

Deen-o-mazhab sabak ibadat ke, Ham ko saye usi ke dar se mile

Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab-e-sayyeda
Hai qaramat-e-murtaza tujme, Saailon ke liye ye ata tujme

Rad jo hoti nahi kisi surat, Saas leti hai wo dua tujme

Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab-e-sayyeda
Tera beta imam-e-zamin hai, Jiske qabze mei raat hai din hai

Wo khurasaan ka hai shehzada, Har shifa uske dar pe mumkin hai

Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda
Teri dukhtar hai qum ki shehzadi, Uski chowkat pe de sada jo bi

Joliyaa apni bhar ke laata hai, Ghamse milti hai usko aazaadi

Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda
Tere taboot ki wo tanhaayi, Na tha beta khareeb na bhaayi

Chand mazboor aye ujrat par, Lash raste se teri utwaayi

Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda
Hai Najaf dushmano ke narghe mei, Karbala samara ke raste me

Bekafan momino ke laashe hai, Kufr dakhil huwa Madine mei

Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda
Maula tu bhi dar-e-hawaaij hai, Tera sikka jahaan raa’ij hai

Ham to har imtihaan se guzrenge, Dene wala tuhi nata’ij hai

Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda
Tu bhi "REHAN" istighahsa kar, Kehke ya Musa ya bin-e-Jaffer

Nauha goyi karu qayamat tak, Aur ghulaami karu dar-e-shah par

Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda

NAWHA – WAPSI MADINA
YASRAB NAZAR AAYA (4)
KULSUM NE MEHMIL KAY JO PARDEY KO UTAYA
APNA THA WATAN AUR (2), PARAYA NAZAR AYA

Moonh Dhanp Kay-Ronay Lagi Ahmed Ki Nawasi
Wiran Dar-o-Baam Tha Allah Rey Udasi
Ujda Bani Hashim Ka (2) Mahalla Nazar Ayaaaa

Wo Galiyan Jahan Aun O Mohammad Kabhi Khailey
Abdullah Wahan Phirtey They Khamosh Akailey
Har Simt Mein Bachoon Ka (2) Sarapa Nazar Ayaaaa

Sugra Ne Khabar Pai Kay Lout Aaye Musafir
Khush Ho Gai Rozey Pay Nabi Kay Howi Hazir
Kya Soncha Tha Sugra Ne (2) Usey Kiya Nazar Ayaaaa

Ujdi Howi Har Mang Thi Har Goudh Thi Khali
Asghar Ka Shaloka Tha Sakina Ki Thi Bali
Abbas Ka Parcham Bhi (2) Akela Nazar Ayaaaa

Jis Waqt Ruki Nana Kay Rouzey Pay Amari
Naqey Say Giri Khak Pay Wo Dard Ki Mari
Rota Howa Nana Ka (2) Jo Chehra Nazar Ayaaaa

Sugra Ne Kaha Amma Say Kiyoon Goudh Hai Khali
Ek Aah Bhari Bano Ne Kuch Moonh Say Na Boli
Roney Lagi Jalta Huwa (2) Jhula Nazar Ayaaaa

Bin Bhai Kay Dakhil Huwi Jo Apney Hi Ghar Mein
Gash Aa Gaya Taqat Na Rahi Qalab-o-Jigar Mein
Bey Goro Kafan Bhai Ka (2) Lasha Nazar Ayaaaa

Hujrey Mein Nazar Aaye Nahi Qasim-o-Akbar
Kehney Lagi Main Chood Gai Thi Yeh Bhara Ghar
Ghar Qabar Kay Mahool Mein (2) Dhalta Nazar Ayaaaa

Bistar To Wahan Aun-o-Mohammad Kay Sajay Thay
Aur Sath Mein Asghar Kay Khiloney Bhi Rakhey Thay
Laykin Na Koi Khelney (2) Wala Nazar Aya

Aai SARWAR-O-REHAN Gamey Shah-e-Huda Say
Sadaniyan Uthi Na Kabhi Fersh-e-Aza Say
Ankhoon Mein Laho Hoton Pay (2) Nauha Nazar Ayaaaa

NAWHA– IMAM-E-MEHDI (A.S)
AI MERE MAULA (2)

Sab logon ka imaan jaga dijiye maula

Ai mere maula (2)
Bad rahi hai kaisi dilon mei ye nafrate

Ho rahi hai kaisi mominon ki haalaate (2)

Dur ho rahi hai dilon se mohabbate-Ay mere maula 2

Zehnon ki kadurat ko mitaa dijiye maula


Badr rahi hai meri nasib joro jafaa se,

Jaata raha husne asar baste dua se (2)

Mit gaye hai ehle hunar kare wafa se-Ai mere maula 2

Ab raaz ka manzil ka bataa dijiye maula


Nazme gaahe deen mei tha naam hamara,

Sultanat lagaa na saki daam hamara (2),

Khouf pe mabni huwa har kam hamara-Ai mere maula 2

Phir meesamo mukhtar bana dijiye maula


Naazon ke hawaale se to ik khwaab bhi ham hai,

Taarikh mei bas waarise mehraab bhi ham hai (2),

Is daur me ab sahibe mizrab bi ham hai-Ai mere maula 2

Jine ki hame shams dikhaa dijiye maula


Padti rahi taarikh hamara hi qasida,

Nezon pe faqat tune parda haq ka jarida (2)

Shaitan ki zad me hai malango ka aqeda-Ai mere maula 2

Mirfat ka koi jaam pilaa dijiye maula


Ye deen amanat hai khayanat se bachaae,

Is basme wilayat ko khilaafat se bachaae (2),

Ankhon ki ita'at ko siyasat se bachae, Ai mere maula 2

Bas majlison matam ko jilaa dijiye maula


Sadiyon se hi aulaade nabi giryaa kuna hai

Shabbir ke aangan mei udhaasi hai fizaa hai (2),

Ha fatemazehra ko bala chain kahan hai-Ai mere maula 2

Us qalbe shikasta ko dawaa dijiye maula



Mazlum qabeele ki madad ke liye aaye,

Asghar hai pyaasa use paani bhi pilaae (2),

Dhoop me baiti huwi ma ko bi utae-Ai mere maula 2

Sughra ko bhi asgar se mila dijiye maula



Sab ehle azaa hoke pareshaan pukaare,

Is aalame islaam ke insaan pukaare (2),

Har sans me hi shoukato farhan pukare, Ai mere maula 2

Parde se hi parde ko hataa dijiye maula



NAWHA – IMAM-E-MEHDI (A.S)

YE SABR KA IMTEHAAN

YE SABR KA IMTEHAAN, YA IMAM-E-ZAMAAN
Muntazir hain ke kab ho zahoor aapka
Saare aalam pe chha jaaye noor aapka
Ho munawwar jahaan aap jab ho ayaan
Ya Imam-e-Zamaan, ya Imam-e-Zamaan

Zulm se tarr hui duniya aa jaaiye
Ban ke rehmat zamaane pe chhaa jaaiye
Aap hain waaris-e-rehmat-e-do jahaan
Ya Imam-e-Zamaan, ya Imam-e-Zamaan

Hum to labbaik kehne ko tayyar hain
Paas ilm-o-shujaa'at ke hathiyaar hain
Kab talak yun sahein zulm aur sakhtiyaan
Ya Imam-e-Zamaan, ya Imam-e-Zamaan

Ek karam ki nazar hum pe farmaaiye
Haal ab tarr hai kuchh to raham khaaiye
Aap ko sab khabar hai karein kya bayaan
Ya Imam-e-Zamaan, ya Imam-e-Zamaan

Raat din ye dua'ein hain lab par Nazeem
Humko mil jaaye duniya mein rutba azeem
Humse hi ho sipaah-e-Imam-e-Zamaan
Ya Imam-e-Zamaan, ya Imam-e-Zamaan

DUA-E-KUMAIL

YA SARI AR-REZA (6)

Ighfir leman, la yamleko-ilad dua, Fa inaka fa'alul lema tasha

Ya manismahu dawa, Wa zikrahu shifaa, Wa tahtahu ghenan

Tu hi kabir tu hi kibriya tu rehnuma,

Rage gulu se bhi nazdeek tu har ek lamha,

Hai tere naam ki taasir har maraz ki dawa,

Hai tere zikr me poshida mere hak me shafa,

Baghair maange hi karta hai tu ataa pe ataa (2)

Sadaa se pehle hi sunta hai sahilo ki sada



Ali wasila bane aur kumail paye shafa,

Usi ke naam se mansoob hogayi ye dua,

Shabe jumaa hai dua-e-komail shukr tera,

Ye ibteda hai to hai imtehan hadise kisaa,

Elahi teri riza ke siwaa kuch aur nahi (2)

Ke mere paas dua ke siwa kuch aur nahi



Mere khuda wo zabaane jo teri hamd kare,

Wo tere panjatan-e-paak ki dua me rahe,

Kabhi wo nare jahanum ki sakhtiya na sahe,

Pule siraat se bekhof bekhatar guzre,

Gunahagaro ko ye aasra hai subho masa (2)

Khula huwa hai musalsal tera dare tawba



Rasoole paak ke sadkhe me ay khuda ghar ghar,

Sho aaye ilm ki kirno ka mustakil ho guzar,

Khula rahe mere bacho pe shahre ilm ka dar,

Rahe jawaano ki har dam teri riza pe nazar,

Teri riza ki bina riske ilm kya ho ataa (2)

Jo tune chahe dare ilm khil nahi sakta



Tu mere aib chupata hai daal kar parda,

Elahi deta hu mai tujko waasta uska,

Wohi jo shaame ghariban me de rahi thi sada,

Nahi hai kuch bi mere paas is rida ke siwaa

Rasool zaadi ke parde ki laaj rakhlena (2)

Haram duaawoon ka meri bhi aaj rakhlena



Shakhista pahlue zehra ka wasta ay khudaa,

Jo waqte gusle Ali ne basad buqa dekha,

To apne aasu Ali saa jari na rok sakaa,

Khuda ka shehr bhi ek cheekh maar kar roya,

Usi rasool ki beti ka waasta ay khudaa (2)

Ho waalidain ko sehat ke saath umr ataa



Wo ek mariz jo bas shaam keh ke rota tha,

Jukaaye sar wo hayadar rota jaata tha,

Pahen ke bediyaan jo karbala se shaam gaya,

Usi mariz ke sadke se mangta hai shafa,

Maraz se pehle dawa khalk tune ki hai khuda (2)

Baraye sayyade sajaad de hame bhi shifa



DUA-E-TAWASSUL
YA WAJIHA INDALLAH

Aaoozoo billahi minash shaitanir rajim. Bismillahir rahmanir rahim. Allahuma ini asaluka wa atawajja hu ilayka. Binabiyi ka nabiyir rahma. Muhammadin salalahu alayhi wa ali. Ya abal kasim. Ya rasulullah. Ya imamar rahma. Ya sayyidi na wa mawla na. Inna tawaj jahna wastash fahna watawasal na bika ilallah. Wa kaddam na ka bayna yaday hajaa ti na.


YA WAJIHA INDALLAH, ISHFALANA INDALLAH (2)

Bare ilah ha banke sawali tere huzur

Daman me apne laye hai be inti ha khusur.

Lakin hamare sino pe matam ka dekh noor.

Apne nabi ke sadke me bakshega tu zuroor


Mawla Ali ka rab be jahaa tujko wasta.

Ya rab baraye Fatema siddika tahera.

Be ilm or rizq ka sagar bharaa huwa.

Tute na nemato ka mere ghar ke silsilaa


Malik tuje Imam-E-Hasan ka he wasta.

Jiske lahu se karbobala ki hai ibtidaa.

Ha us imam-e aman ka sadke kibriya.

Is mulk me ho amane ka parcham khula huwa.


Ab wasta Hussain alaihis salaam ka.

Parwar digar sabr shahe tish na kam ka.

Jiske labo pe vird tha tere hi nam ka.

Khanjar tale jo kari tha tere kalam ka


Ya rab tu meri hasti ko aisa sawar de.

Tu apni rehmato se mera ghar nikhaar de.

Sajjad ka tu sadkaye parwar digar de.

Bimar ko shifaa de mukammal karar de


Maalik Imam-E-Baqar or Jafar ka wasta.

Majlis me mai Hussain ki karta hu ye dua.

Dono ka wasta tuje deta hu ay Khuda.

Makrooz jo hai ghayb se kar unka karz ada.


Ya rab baraye Moosa-E-Kazim Ali Raza.

Mashhad me aur najaf me jo hai qibla-e dua.

Tu inke wasta se wo aulaad kar ata.

Maa baap jis se shaad ho jinki jo ye sadaa



Ya rab baraye Mawla Naqi Taqwa-E-Taqi.

Be jazbaye jihad-e bashar shaan-e Askari.

Mehdi ka bhi zahoor dikha de isi sadi.

Teri huzoor meri dua he ye akhri



NAWHA – TABLEGHI
HOGI YEH MAJLIS TO HOGI (2)

Hogaa yeh maatam to hogaa (2)

Aarzu hai yeh nabi ki (2) Ruk nahi sakti kabhi

Hogi yeh majlis to hogi Hoga yeh matam to hoga (2)


Chawdaa sadiyaan ho gayi hai, Majlise Shabbir ko

Khoon se Iikhte rahe ham, Gham ki iss tehrir ko

Yeh sadaa hai karbalaa ki (2) Yeh sadaa Shabbir ki
Taighon ke saayen me palte hai, Husaini Nawjawaan

Maut se ladna sikhati hai, Hame lori me maa

Apne khun se modte hai (2) Dhar ham to teg ki
Sunnate Zainab ye majlis, Sunnate Zainul ebaa

Shaam ke darbaar me, Majlis huwi Maatam huwa

Ruk na paee shaam me jab (2) Kya rukengi ab sabi
God ka bacchaa ho koyi, Yaa jawano pir ho

Dekho usko uss gadhi, Jab maatame Shabbir ho

Ek hai raftaar sabki (2) Ek hai aawaaj bhi
Saw janaaze ham uthaae, Apne pyaaron ke to kya

Ruk nahi sakta Azaadari, Kaa yeh silsilaah

Apne hi khoon me naha kar (2) Ham pukaarenge yahi
Chin bhi jaaye gar hussaini, Maaon se unke jawaan

Yaad karke zakhme akbar, Ko kahengi sab yeh maa

Tha aliakbar sa sadqa (2) Laal mera maatami
Keh raha hai parchame, Abbas ka panja yehi

Hath kat jaye to matam, Ruk nahi sakta kabhi

Sar ko takra kar karenge (2) Aag par chal kar kabhi
Ai azaadaro hussain, Ibne ali ke maatami

Yu guzaro tum azadari me, Apni zindagi

Pairwi karte hi rehna (2) Abu zaro salman ki
Hogi yeh majlis to hogi

Hogaa yeh maatam to hogaa (2)

(Aarzu hai yeh nabi ki) x2 Ruk nahi sakti kabhi

Hogi yeh majlis to hogi Hoga yeh matam to hoga (2)



NAWHA – TABLEGHI
HAI SOG JIS JAGA BHI, SHAHE MASHR KHAIN KA.

Khud pursa Zehra deti hai, Is noor-e ain ka.

Rona sawab jispe na rona haraam he.

Chashme khuda me iska barda ehtiraam he.

Yeh majlis-e husain, alaihis salaam he.

Chashme khudaa me iska baraa ehtiraam he.



Ye majlis-e he hamde khuda naat-e mustafa.

In majliso me hota he quran-e lab kusha.

In majliso me miltaha janat ka rasta.

In majliso ki hoti he kuch asi ikhtidaa.

Zakir ke lab pe pehle khudaa ka kalaam he.

In majliso me hoti he insaniyat ki bat.

Zikra gham-e husain he waydaniyat ki bat.

Ya majlise rasool ki hakaniyat ki bat.

Rak karthi he ye majlise sufyaniyat ki bat.

In ke sabab to hur bhi alaihis salaam hai.

In majlis-o ko ajra risalaat kaha gaya.

Roze azal se rone ka fitrat kaha gaya.

Dilki lugat me isko mohabbat kaha gaya.

Yani ise batul ke sunnat kaha gaya.

Har rone ankh-e ko mere salaam he.

Ik majlise azaa jo huwi mulk-e shaam me.

Zainab ne sab bichayi thi yaad-e-imaam me

Ansu chope he yaad-e shahido ke naam me.

Matam huwa jo yaad-e shah-e tish na kam me.

Tabse gham-e hussain zamaan-e me aam he.

Majlis me zikre bali sakina ki yaad karo.

Pani piyo to yaad shahe karbala ki ho.

Majlis me tazkira ali asghar ka jab suno.

Ik aah sard bhar ke tadap kar yahi kaho.

Asghar bada shahido me tera mukaam he

NAWHA – TABLEGHI
SUNO HUSSEINIO (2)

Hussain wo jo zehre tegh has ke sogaya

Yazid wo jo zillatio ka naam-e hogaya

Hussain wo jo marziye khuda kharid-e le,

Yazid wo hai jiska koi nam-e bhi ne le

Yazid zinda re ke murdabaad hogaya

Hussain sar kata ke (zindabad 2) zindabaad hogaya.

(Hussain zindabad) x4

Ye kal bhi zindabad tha wo ab bhi zindabad hai

(Hussain zindabad) x4


Quran-e me hadis-e me yazid-e ka bayaa nahi (2)

Yazid-e ki to kabr-e ka kahi bhi koi nishaa nahi (2)

Ajaa bajaa hai dehre me, hussain-e ki awlaad hai
Burayi-o ke dehr-e me yazid-e aam-e kargaya (2)

Hussain-e se ladaa to apni mot-e aap-e margaya (2)

Ye kal bhi murdabaad-e tha wo abh bhi murdabad hai
Har ik-e sharif-e zehne se, yazid-e itna gir gaya (2)

Kisi ne apni laal-e ka yazid-e naam-e na rakha (2)

Ye kal bhi na murad tha wo ab bhi na murad-e hai
Yazid-e wale takht-e par, nasib-e ke kharab-e hai (2)

Hussain wala kayd-e me bhi reh ke kamiyaab-e hai (2)

Hussainyat ki thokare yazid aur ibne ziyaad hai
Jahaa me sab se zyadaa ashk-e jiske nam-e par baha (2)

Zamaana laa ghame hussain-e ka koi jawaab-e la (2)

Ginees-e book to bus mere hussain-e se anaad hai
Yazid-e ek lakh-e ho mukaable pe gham nahi (2)

Hussain-e wale ek ho to lash karo se kam nahi (2)

Hussain-e ko ki apne matami pe etimaad hai
Ali ki beti zainab-e hazi hussain-e ban gayi (2)

Sharikatul hussain-e thi, yazidiyat pe cha gayi (2)

Hussain-e se parda huwa, sabak jo isko yaad hai
Tara na hai hussain-e hai, ha sath-e do hussainiyo (2)

Hussain-e se murad-e lo murad-e lo hussainiyo (2)

Hussain-e jisko dete uski nasle va muraad hai

(Hussain zindabad) x4

Ye kal bhi zindabad-e tha wo ab bhi zindabad hai

(Hussain zindabad) x4



NAWHA – TABLEGHI
HAI WAQT KADAA SAR PAR AAYA,

Hai chaaron taraf gham ka saaya-2

Phir aaj bani hai karbobala-2 phir karbobala ne yad kiya

Ay husayniyo-2 Jag utho-3 Husayniyo, Ai Husayniyon-2



Ek jaan hoke saare huseini chalo, Apni hasti sawaare huseini chalo

Is alam ke sahaare huseini chalo, Faatema ke pyaare huseini chalo,

Sirf ghazi ka parcham uta kar chalo, Jaag uthoo..


Apni taarikh par mehr baani kar, ilm ke des pe hukm rani karo,

Apne dushman ko ab pani-2 karo, Nam akber ke apni jawani karo

ilmo hikmat ki shamma jalaakar chalo, Jaag uthoo..

Akl ki jang afkaar se jeetlo, Har mubah-la ko guftaar se jeetlo

Zulm ko sabr ke war se jetlo, Sari dunya ko kirdar se jetlo

Khud ko apne husaynio banakar chalo, Jaag uthoo.


Zikre shabir hi apna manshur hai, Use ham dur hai shehse jo dur hai

Har zamin karbala se hi mamur hai, apna har youm-hi-youme ashur hai

Karbala apne dilme basaakar chalo, Jaag uthoo……
Jiska aayn kirdar sazi bi hai, Waqt ki jiske hathon mei bazi bi hai

Jo shahadat ka talib hai ghazi bi hai, Matami hai wohi jo namazi bi hai

Apne kirdaar se ye batakar chalo, Jaag uthoo……
Apne mazi se pucho ke tum koun ho, Tum ho musa agar koi firon ho,

Tum khuda wand ke aun-ke-aun ho, har nayi karbala ke liye jon ho

Khak me dushmanon ko mila kar chalo, Jaag uthoo
Dehr me ab bi halmin ki awaaz hai, Tum woho jinpe shabir ko naaz hai

Shah ka gham muqadar ki parwaz hai, Matami kehl wana to ezaz hai

Apne seeno pe tumgha sajaa kar chalo, Jaag uthoo

Fikr ko har badi se muara karo, bas musalman hone pe ghara karo

Dil yazidi safon se mubarra karo, Panjatan ke udu pe tabarra karo,

Naaraa-e-hydery tum lagaa kar chalo, Jaag uthoo……



Shoukat-o-zikr maula ka irfan hai,

Ye aqeeda malango ke pehchan hai,

Jo bhi shabir pe dilse qurban hai,

Woh azadaar jannat mei farhaan hai,

Ye aqeeda sabhi ko sunaakar chalo, Jaag uthoo……



NAWHA – BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
DARMIYAAN LASHO KE

Darmiyaan laashon ke maq-tal mei khadi hai zainab

Is andhere mei kisay, dhund rahi hai zainab

Darmiyaan laashon ke maq-tal mei khadi hai zainab


Sabki nazre hai chamakte huwe khanjar ki taraf (2)

Bhai ka khushq gala dekh rahi hai zainab

Darmiyaan laashon ke maq-tal mei khadi hai zainab


Sheh pe chalte huwe khanjar ko bhala kya maalum2

Kis tarha khaak pe gash khaake giri hai zainab

Darmiyaan laashon ke maq-tal mei khadi hai zainab
Haath utaa kar kare kis tarha se laashon ko salaam 2

Haath rassi mei hai shaano se bandhi hai zainab

Darmiyaan laashon ke maq-tal mei khadi hai zainab
Sheh pe chalte huwe khanjar ko bhala kya maalum2

Kis tarha khaak pe gash khaake giri hai zainab

Darmiyaan laashon ke maq-tal mei khadi hai zainab
Is andhere mei kise, dhund rahi hai zainab

Darmiyaan laashon ke maqtal mei khari hai zainab

(Ek baar aur muje godh mei lelo baba) x2

Jhod ker nanne se haatho ko Sakina ne kaha

(Ek baar aur muje godh mei lelo baba) x2
(Apni beti ki taraf pyar se dekho baba) x2

Yeh meri akhri quahish hi samaj lo baba

Kuch nahi maagugi phir tumse yeh waada hai mera

(Ek baar aur muje godh mei lelo baba) x2


(Paas beshir ke maqtal mei cheleh jaaou ge) x2

Mujko maaloom hai ab aap nahi aaou ge

Kya yeh mumkin nahi kuch der tehar jaaoy zara

(Ek baar aur muje godh mei lelo baba) x2


(Phool ki tarha sadaa sath hi rakha mujko) x2

Aaj tak aapne tanha nahi chora mujko

Ab muje chor ke kyu jaate ho tanha baba

(Ek baar aur muje godh mei lelo baba) x2


(Tanha medaan mei hargiz nahi jaane dete) x2

Hote gazi to sakina ki sifarish karte

Aap ko waastaa gazi ke keteh shano ka

(Ek baar aur muje godh mei lelo baba) x2


(Yeh amaanat na koi cheen le mujse aaker) x2

Saath lejayiyeh baba mere kaano ke gowhar

Apni masoom sakina pe yeh ehsaan hoga

(Ek baar aur muje godh mei lelo baba) x2


(Phir se Qur’an mohabbat ki tilawat karlu) x2

Dil yeh kehta hai ke gi bhar ke ziyaarat karlu

Ab kaha hogi mulaqaat na jaaneh baba

(Ek baar aur muje godh mei lelo baba) x2


Apni beti ki taraf pyar se dekho baba x2

Yeh meri akhri quahish hi samaj lo baba

Kuch nahi maagugi phir tumse yeh waada hai mera

(Ek baar aur muje godh mei lelo baba) x2


Waqt eh kaash "TAKALLUM" jo wahi ruk jaata x2

Apneh baba se sakina na kabhi hoti judaa

Phir kabhi aati na masoom laboh se yeh sadaa

(Ek baar aur muje godh mei lelo baba) x2



NAWHA – SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)
HEY WAQT-E-ADHAN AA ALI AKBER ADHAN DAI
BOLAI PISAR SAI SIBT-E-PAYAMBER ADHAN DAI

Yeh aakhari Adhan hai Sajda bhi Akhari
Arshai barin pai suntay hai Haider adhan dai

Thandaq milai Rasool kai rozai pai merai laal
Ik aag si hai seenai kai andar Adhan dai

Nam-e-Khuda Rasool ka Baaqi rahai ga deen
Is deen ki baka kai muqaddar Adhan dai

Kehti hai yeh Medinai sai aati huwi hawa
Sughra bhi muntazir hai biradar Adhan dai

Fauj-e-Adu ko Haq ki sadaqat dikha hi dai
Nad-e-ali kai zor per uth ker Adhan dai

Jis ka gala nabi kai labon ki ho janamaz
Phir woh gala na kyun tah-e-khanjer adhan dai

Chaltai hain Teer itnai Namazi hain Khoon main ter
Ai merai laal sabar kai paiker Adhan dai

REHAN yeh namazain aqeedat ka waqat
Nohon ko tu Adhan bana ker Adhan dai
Download 0,81 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   2   3   4   5   6   7




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2024
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish