Aap ki kya shaan hai maula, bolta quran hai maula
Fatema ki jaan hai maula, marzi-e-subhan hai maula
Karbala ka fat'he azaam, bakhuda hai waris-e-adam
Ja-bajaa phehle tere parcham, ta abad hoga tera matam
Teen din ki tishnagi maula, haaye teri bekasi maula
Khushk gardan par churi maula, karbala kehti rahi maula
Kis-tarha bhulenge O manzar, jab chala tha halk pe khanjar
Jab sina ki nouk pe tha sar, bol-tha qur'an tere lab par
Ye sabile ye azakhane, aankh mei ashkoon ke paymaane
Matami laaye hai nazraane, ab janaab-e-Sayyeda jaane
Ye teri maula azadari, zindagi se bhi hame pyaari
Hai yahi tujse wafadari, ashk ankhoon se rahe jaari
Waris-e-qur'an zindabaad, rehbar-e-insaan zindabad
Mazhar-e-imaan zindabad, fatema ki jaan zindabad
As-salaam ay malike kausar, as-salaam ay kushta-e-khanjar
As-salam ay jaan-e-payghambar, kehte hai "REHAN-O-SARWAR"
MERE LAHU KE HAR QATRE MEI
GUNJ RAHA HAI - YAA HUSSAIN,
AB TO SABKA VIRD ZUBAAN BHI
REHNA LAGA HAI - YAA HUSSAIN
NAWHA–IMAM-E-SYED-E-SAJJAD (A.S)
HAAYE SAJJAD, HAAYE BIMAAR (3)
Mai chal bhi nahi sakta, Qaidi hun mei amma,
Mei chal bhi nahi sakta
Aankhon se lahu meri (2) Ek pal bhi nahi rukta
Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma…
Ye khun jo behta hai, is aak ka matam hai,
Mujhe touq aur bedi-ke, gham se bi sawa gham hai
Maa behne phuphi aayi (2) baazaar mei be parda
Bas mere kaleje pe, us waqt qazaa utri,
Naamu-se Mohammed ki, jis waqt ridaa uthri,
Baazaar mei aaya hai (2) zindaan ye mera laashaa
Tatheer ke par-wargar, ummat ne phiraaye hai,
Us bibi ko logoon ne, darbaar dikhaaye hai,
Jis bibi ka baba ne (2) chehra bhi nahi dekha
Jab ehle sitam ham par, barsaane lage pathar,
Kya jaane kya guzri, us waqt mere dil par,
Jab maa ne kaha mujhse (2) tum koun ho ay betaa
Lachaar behen meri, sehme huwe rehti thi,
Maasum Sakina ye, har moud pe kehti thi,
Kya dafn huwe honge (2) karbal mei mere baba
Abbas ko mehshar tak, ye dard rulaaega,
Zainab ke khule sar ko, woh dekh na paaega,
Ghairat ke khuda ka sar (2) naize pe nahi rukta
Akber ka hasee chehra, jo dekhte rehte hai,
Sab kufiyon shami bhi, roro ke ye kehte hai,
Is husn ke paikar ki (2) ab tak hai maa zindaa
Maa behne khule sar hai, raahon mei tamashaai,
Aulaade mohammed ko, taqdeer kahaan laayi,
Paa bande silaasil hun (2) kaanton se bhara rasta
Tera hi kalam maula, teri hi zabaan maula,
FARHAAN AUR SHOUKAT ki, aukaat kahaan maula,
Tauheed bhi karti hai (2) har waqt tera giryaa
NAWHA–IMAM-E-SYED-E-SAJJAD (A.S)
MERA BIMAR IMAM (2)
WAQT SAJJAD NE KAISE WO GUZARA HOGA (4)
NAM ZAINAB KA JO GAIROO NE PUKARA HOGA
WAQT SAJJAD NE KAISE WO GUZARA HOGA (2)
YA RAB KOI MIL JAYE NA PEHCHAAN-NE-WALA
BAZAAR MAIN SAJJAD DUA MANG RAHA HAI
Lo Hussain Ibne Ali pyaase zibha hone lage (2)
Kitna sharminda wo darya ka kanara hoga
Wo gira zeen-se Zainab ki rida ka zamin (2)
Kon ab Fathema jaayi ka sahara hoga
Sare maidan tu jane to laga hai Asgar (2)
Kis tarah tere bina maa ka guzaara hoga
Nauke naiza pe bahane lage ansoo maula (2)
Phir Sakina ko kisi shaks ne mara hoga
Roze Mehshar ka hame dar nahi koyi Shoukat
Hath Shabbir ke kadmo pe hamara hoga
NAWHA–IMAM-E-SYED-E-SAJJAD (A.S)
HAI SHAAM KA BAZAAR (4)
SAJJAD SE RONE KA SABAB PUCH RAHA HAI
HAI SHAAM KA BAZAAR (2)
JO SHAAM ME GUZRI HAI, WOH SAB PUCH RAHA HAI
HAI SHAAM KA BAZAAR (2)
Woh lakh tamashai, be parda phupi behne
Kaisay na lahu roye, bimaar ki fhir aakhen
Is gam ki aziyyat ne, use maar diya hai
Kis tarah qaraar aaye, bimaar ko ay logoo
Sar naizoon pe pyaaroon ke, aate hai nazar jisko
Bay jurum musafir ki, yeh kaisi sazaa hai
Aankhoon se hai khun jaari, Khu-khar hai bimaari
Zanjeer hai pairon me, Aur Tawk-bi hai bhaari
Jalti hai zamin saari, Aur garm hawaa hai
Jaagir nahi maangi, zanjeer nahi pakdi
Saaye me nahin bai-ta poshaak nahi badli
Maa behno ki khaatir who, rida maang raha hai
Zindaan ke masaaeb bhi har waqt rulaate hai
………………………………………………………………
Mar jaye na Zainab ye kahi shoch raha hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Zinda se rihaa hoke bi, zinda me hain Sajjad
Ek nanhi si turbat jo, wahan karti hai faryaad
Markar bi rahun Qaid, me kya meri khataa hai
O zakhm bhi sajjad ko, jeenay nahi deta
Zakhmon se Sakina ke jo, chipkaa raha kurtaa
Woh khoon bharaa kurta hi, kafan Usko banaa hai
Baazaar me darbaar me, zindaan me roye
Chaalis baras mawth ke, armaan me roye
REHAN mera maula tadaptaa hi rahaa hai
NAWHA–IMAM-E-SYED-E-SAJJAD (A.S)
HAYE BAZAARE SHAAM, MERA BEKAS IMAAM (2)
EK YEHI BATH SAJAAD KO KHA-GAYI (2)
SAR KHULE HAAYE ZAINAB KAHAN AAGAYI
HAYE BAZAARE SHAAM, MERA BEKAS IMAAM (2)
Tuaq ke bouj se, sar nahi tha jhuka (2)
Wajh sharmindagi ek yahi dard tha (3)
Majmaye ashkiyaan mei phuphi aagayi.
Tap raha tha badan aur zanjeer bhi (2)
Be rida ma phuphi aur hamsheer bhi (3)
Soch te-the na kyu kar kaza aagayi.
Bibiyon ke gale reesmah se bandhe (2)
Gard aalood balo se chehre chupe (3)
Shaam tak is tarha binte Zehra gayi
Waarison ke janazon pe roye nahin (2)
Asr-e-aashur ke baad soye nahin (3)
Neend ruksat huwi aankh thakra gayi
Ekto zindaan uspa andhera bahoth (2)
Aur faryaad karne pe pehra bahoth (3)
Maut bhi is andhere se ghabhra gayi
So gayi Qaid-khane me who gamzadah (2)
Jiska shaam-e-gariban me daaman jalaa (3)
Qaid-khane ki usko zameen khagayi.
Kaise dafnaye jakde hai zanjeer me (2)
Dard likhi hai kya sirf takdeer me (3)
Dafan karne Sakina ko maa aagayi
Dard REHAN Sajaad ke mei likhun (2)
Ha mahe jaan-se mere tapak te hay khun (3)
Ruhe girta se is gham se tharraagayi.
NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)
MAI-YATH HAI SAKINA (sma) KI
ANDHERA HAAYE ZINDAAN (2)
Allah na dikhlaye ab aisa koyi zindaan
Mayyath hai Sakina (sma) ki andhera haaye zindaan (2)
Kurte ka kafan, ghusl, diya a’ashkon se jisko
Dafnaya use kaise ye Sajjad (as) se poocho
Kha’amosh huwi bachi (2) to rota raha zindaan
Udte huwe dekhe-jo parinde ko puka’ri
Ay Tahir-O-Sughra (sma) ko khabar do ye hamari
Tum khush raho Sughra (2) mere, kismat may tha zindaan
Kano ka lahoo chand se chehre pe jama tha
Qaimo may lagi aag - to daaman bhi jala tha
Tanhaayi may bachi ko (2) dasta raha zindaan
Sehmi huwi rehti thi sitamgaaro ke dar se
Shikwe kiya karti thi fakhad baap ke sar se
Likha gaya kismat may (2) ye kaisa hai zindaan
Ab khaakh pe soti hoo na takiya hai na bistar
Rakta nahi ek shamma koi ab to jalakar
Jeene nahi deta mujhe (2) ay baba - ye zindaan
Kehti thi phuphi qaid se kab ho’ogi rehaai
Amma mere ammu ki, khabar kyun nahi aayi
Tukde kiye deta hai (2) kaleja mera zindaan
Sar baap ka paaya to O phir is tarha soyi
Phir royi nahi uske liye maut thi royi
Deta raha Sajjad (as) ko (2), pursa sada zindaan
Maa kehti rahi aao utho neend se jaago
Azaad huwi qaid se, mai jaati hun ghar ko
Milne chalo Sughra (sma) se (2) ke ab khul gaya zindaan
Ghar jaane ka armaan tha Sakina (sma) ko jo REHAN
Marke bhi na pura huwa us bachi ka armaan
Masoom Sakina (sma) ka (2) markhad bana zindaan
AZADAROON DUWA MANGO’O, KOYI AISE YETEEM NA HO,
JAISE SAKINA YETEEM HUWI, SHAM-KE ZINDA’AN MEI-
JAB SAKINA (SMA) KO BABA KA SAR MILA....,
LIPTAA-KESARKO SEENA SAY, BACHI NE YE’E KAHA,
KHAGAYE SHA’AM KE ZINDA’AN MEIN, ANDHERE BABA (2)
Kisko kehte hai yetimi ye, suna tha maine, Aap-ke baad ye ehsaas huwa hai baba
Aap ke baad yetimi ki saza paayi hai,
Etni tanha hun ke saaya hai - na parchaayi hai,
Raath ro-roke guzarti hai, To din maatam mai,
Khayd khane mei yuhin sa’al kata hai baba.
Zindagi meri dukhoon say hai ibarath baba,
Kaisi qismat ne dikhaayi hai musibath baba,
Mai jo rotii hun to lagte hai tamache baba,
Aap ki yaad mei rona-bi saza hai baba.
Hai.. Ashk aankhoon say nikalte hai, Lahu kaano say,
Ab darindoon say nahin khauf, hai insaanoo say,
Ek majbur yetimaa par - sitam dhaate hai,
Meri taqdeer mai duroon ki jafaa hai baba.
Aap ki tarha say rooute hai ujaale baba,
Kaun zindaan say ab mujko nikale baba,
Tune manga’a tha duwa-O-mai khuda say jisko,
Ab wohi beti hai zindaan-ne jaafa hai baba.
Kitne armaa-the-ke zindaan say mai ghar jaaungi,
Aisa lagta hai yehi roo-roo-ke marjaungi,
Ye sitamgaar Sakina ko kafaan kya denge,
Kya kafan aapke lashe ko mila hai baba.
Hai.. Baba kehte hai ye zindaan ke andhere mujse,
Maut hi aayegi ab mujko, dilaasay denay,
Meri har saaans hi rehti hai sitam ki zad par,
Aise jeene say to marna-hi bhala hai baba.
Zakm lakhoon hai kalaije mai, dikhaun kaise,
Mujpe jo beet rahi hai O, bataun kaise,
Pyaas lagti hai-to peelay-ti hun aansoon apne,
Shimr (la) ke duray Sakina (sma) ki giza hai baba.
Lafz “MAZHAR” ne jo likhe hai, Lahooo roote hai,
SHADMAN aankh say yun ashk-e-aza behte hai,
Aisa lagtaa hai ke zindaan say, sada aati hai
Aisa nawha meri ghurbath pay likha hai BABA..
HAAYE SAKINA (6)
SHAB KI TAREEKI MEIN AKSAR’R,
ZINDAANE SHAM MEIN GHABRAKAR’R
SHIMR KE DAR SE, YAADE PADAR SE, MAA SE LIPAT KAR
Kehti thi sakina ro ro kar, Ay amma yahan se riha ho kar,
Ya najaf chalo - Ya watan chalo
Koi sunta nahin faryad meri, (Hai zakhm bada is dil pe yahi x2)
Dada se kahungi ghum apne, Jis roz yahan se jaaoungi
Kab tak mein rahungi naw’hagar, Kehti-hun jab-hi to mein aksar
Dada ki lahad par jaoungi, (Ye neel unhe dikhlaungi x2)
Ye zakhmi kaan jala’a kurta, Sughra ko dikhane jaaoungi
Yaad aye kabhi mujhko khwahar, Yaad aye kabhi dada haidar
Jo bibi payambar zaadi hai, (Wo bhi to yahaan faryaadi hai x2)
Yasrab ke tasawwur ne amma, Ek rahe sukoon dikhlaati hai
Ho khatm aziyyat ka ye safar, Bhar jaayenge sare zakhme jigar
Ab aur ghamon ki tab nahin, Ro-roke ye ankhe khushk huwix2
Kya tum ko gawara hai amma, Ban jaye meri marqad bhi yahi
Kuchh khauf nahin marne ka magar, Ehsaan karo itna mujhpar
Har raat huwi matam mein basar, (Har din hi guzara ro-ro karx2)
Ye zakhme aseeri zakhme jigar, Zalim ke tamaache yaade pidar
Milti hai saza-e-maut agar, Ye akhri khwahish hai maadar
Azad parindoon par aksar, (Ay amma meri jaati hai nazar x2)
Us waqt khayal a’taa hai mujhe, Kab qaid se chutkar jayenge ghar
Hai khouf lainoon ka dilpar, Faryaad karun kyu na rokar
Ankhon ko rasai dene lage, (Sab zakhm duhayi dene lage x2)
Jab mout mere sar par aayi, Ye log rihai dene lage
Ye lamhe ghaneemat hai maadar, Ye zakhm banenge rakhte safar
Dada ko wahaan pursa denge, (Phir fateha khani karlenge x2)
Jab dil ko sukoon miljayega, Ham log watan ko jaayenge
Sab royenge qabre zehra par, Jo meine kaha socho manzar
IRFAN aur MAZHAR apna watan, Hai bibi sakina ka madfan x2
Nisbat he najaf ki matti se, Payenge usi dharti ka kafan
Jab waqte qaza hoga humpar, Kehdenge farishto(n) se rokar
NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)
SAKINA UTO. MERI JAAN UTO.
Reha-yi mili. chalo ghar chale (2)
Ye Karti thi maa, lehad par buka, Meri la’adli, Chalo ghar chale.
Sakina uto. Meri jaan uto. Rehae mili. Chalo ghar chale (2)
Yaha se chalo, chale karbala. wahi pe tumhe, milenge chacha
Sitham jo huwe, batana unhe. Dikhaana unhe, ye kurta jalaa.
Chacha-jaan ko, dikhana zara, Ridaa khun bhari, chalo...
Bataana unhe, sabhi sakhtiya. Mili jis khadar, tuje gud-khiyaan
Hamari rida, luti kis tarha. Chini jis tarha, teri baaliyaan.
Bata’ana une, buji kis tarha, Teri tishnagi, chalo ghar chale.
Padar se milo, to dil joee ho. Bataana unhe, bahoth rooyi ho.
Kasam lo agar, tumhare bina. Sakina kabhi, kahin sooyi ho.
Lahad baap ki, mile jab tujhe, To kehna yahi, chalo ghar chale.
Lahad jab mile, tujhe bhai ki. To kehna use, meri ladli.
Rehaee mili, hame kaid se. Hame ab nahi, aziyath koyi.
Mere be zaban, uto ghar chale, Shabi-he nabi, chalo ghar chale.
Labe al-Qama, tu karna fugaa. Teri mouj hai, abhi tak rawa.
Meri pyaas par, huwe jo fida. Chacha ke mere, hai baazu kaha.
Kahaa mashk hai, kahaa hai alam, Kahaa hai jari, chalo...
Na ab gham koyi, na uftaad hai. Wo zanzeer se, ab aazad hai.
Puphi bhi teri, tere sath hai. Tere sath hi, wo Sajjad hai.
Meri gham zadaa, shabe gham kati, Sahar ho chuki, chalo...
Labo par tere, yahi baat thi, watan jayenge, kabi ham puphi
Tuje shimr ka, nahi khouf ab. Satayenge na, tuje ab shaki.
Nikal qaid se, shuru ham kare, nayi zindagi, chalo gar chale.
Gharibo ka ye, luta khafela. Wida ho ke phir, watan jayenge.
Tuje payengi, jo Sughra teri. To bimar ko, milengi dawa.
Gale mil ke phir, bohoth roengi, wo behna teri, chalo..
Mazar-e nabi, laraz jayengi. Bahen jab teri, karengi bukaa.
Kaha hai chacha kaha hai padar, kaha hai bata bhara ghar mera
Suna ne use, ye rudaad-e gham, Yehi bebasi, chalo ghar chale.
NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)
JAB QAYME ME RUKSATH KO SHAH-E-BAHROBAR AYE
Chilaee Sakina Mere bekas padar aye
Sheh keh-e the bibi hame ro kar na rulaawo
Phir pyaar kare ham tumhe, mu aa’ge ko lawo
O kehti thi hamrah mujhe leke-to jawo
Mai kya karun maidan me, gar-jaa ke na aa’wo
Neend aayegi jab aap ki bu pa’awungi baba (2)
Mei raat ko maktal me (chali aa’wungi baba-2)
Neend ayegi jab aap ki bu pawungi baba,
Chali awungi baba (2)
Farmaaya nikalti nahi sayedaa’niya bahar
Sine pe sulayengi tumhe raat mai madar
Kyu kehti ho maktal me chali awungi baba,
Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2)
Nanhe se kalay-jay pe mere chalti hai talwar,
Khulta nahi kyu aap ne bandhe hai ye hathyar,
Mai aapko khoker na kabi paa’woungi baba
Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2)
Aati hai bala sarpe to pehle muje varo,
Mar jawongi baba na sidharo na sidharo,
Jao’oge jahan mai bhi wahin ja-oungi baba
Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2)
Shab hogi to phir khaak pe soengay wahan aap,
Sine pe to Asgar (a.s) ko sulayenge waha aap,
Acha mai wahi khakh pe so ja-ungi baba
Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2)
Aane do agar pyas se gash ayega baba,
Tum jeetay raho pani bhi miljayega baba,
Mai aap ko dekhungi to ji-ja-ungi baba
Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2)
Kuch door na the ham ke tumhe neend na ayi,
Kiya hovega jab hogi mahino ki judaayi,
Bibi na kaho mai nahi so pa-ungi baba
Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2)
Woh hal ANIS ab nahi ho sakta hai markum,
Jis tarha chuti baap se woh dukhtare mazlum,
Nawha tha yahi jiska na ji pa-ungi baba,
Mai raat ko maktal mai (chali awungi baba)-2
NAWHA - BIBI SAKINA (SMA) & HAZRATH ABBAS (AS)
SAKINA (2) NA RONA SAKINA (4)
Abbas na ab lout ke ayega Sakina (3)
Abbas na ab lo’ut ke aayega Sakina’a... (2)
Ab koun tere naaz, uthayega Sakina
Bhaayi se vida hoke-yun, farmaate-thay Maula (2)
Ab koun mere ghar ko bachayega Sakina
Kya hoga zara der mein malum hai humko (2)
Tar khoon-mein alam nehr-se aayega Sakina
Ek shoor hai, koh-raam hai, Bibi labe dariyaa (2)
Lagta hai ke ab sher na aayega Sakina
Talwaron-me-naizon mai ghira hai mera bhaayi-2
Woh mashk-O-alam kaise bachayega Sakina
Abbas na honge tera, Baba bhi na hogaa (2)
Ab koun teri pyaas bhujayega Sakina
Kiske liye Bibi daray-khaima pe khadi ho (2)
Ab koyi taraayi se na aayega Sakina
Abbas ka wada hai-ke, paani na piyegaa (2)
Pehle tumhe kausar me pilayega Sakina
Ay “SARWAR-O-REHAN” ye kehte rahe maula (2)
Ye gham tujhe ta hashr rulayega Sakina
(HAAN YE HAI SHEHR-E-SHAAM) X3
CHOTI SHEHZAADI KA HAI YAHIN PAR QAYAM,
AAJ ROZE PE HAI ROSHNI SUBHO SHA’’AM,
PURSA DAARON KA HAI MAATMI AZHDAH’’AM,
PHAT RAHA HAI JIGAR SOCHTA HUN AGAR’’’’,
KAISA TAREEQ THA’’’’’, KAISA WEERAN THA’’’’’,
KAISA WEERAN THA, KAL YE ZINDAAN THA’’’’’’,
(BADA ROYI SAKINA YEHAN x2), (HAAN YE HE SHEHR-E-SHAAM x2)
Itni wehshat ke ik pal na guzre jahaan….
Chheekti ho jahaan sirf tanha-iyan
Rona kya siskiyon par bhi pa-bandiyan
Rassiyon bediyon tauq ke darmiyan
Sar khule khaak par ghamzada bibiyan
Usmein Qasim ki Akbar ki Asghar ki maan
Maang ujdi huwi khali thi godiyan
Sab ki himmat bandhati thi Zainab jahaan
Haan isi shaam ke beech bazaar mein
Bibiyan patharon ki thi bochhar mein
Khun mein dubi Muhammad ki thi betiyan
Har taraf shaam mein jashn ka tha samaan
Dekh kar binte Zehra ka yun sar khula
Noke neza se ghazi ka sar girgaya
Haye ghazi ki ghairat ka ye imtehaan
Sar patakne lagi saari shehzadiyan
Ek qayamat si darbar mein aagayi
Jab sakina kaneezi mein mangi gayi
Na padar na chacha bhai-bi natawan
Todi Sajjad ne ghaiz mein bediyaan
Dukhtare hind boli sakina bata
Kaise daman jala kyun hai kurta phata
Oudni teri sar ki gayi hai kahan
Khainchi-kis shaqi ne teri baliyaan
Boli kya haal apna bataaoun tujhe
Chhod ke jabse baba gaye hein mujhe
Mein yateem hogayi aur kya ho bayaan
Meri gardan mein bandhi gayi rassiyan
Aur ik roz zindaan rone laga
Jab sakina ko baba ka sar milgaya
Boli ab aye ho tum mere baba jaan
Itne din duur mujhse rahe ho kahaan
Royi "REHAN-O-SARWAR" ki ankhein lahu
Roza-e-shahzaadi pe ki guftagu
Haye is waqt hum tum khade hein jahaan
Nur hi nur hai kal thi tarikiyan
NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)
KYA MUJHE CHOD KAR SAB CHALE JAYENGE
HAAYE AMMA, ARE SUNO AMA,
Aray aapse mei bayaan, dil ka haal karun,
Aray dil mei uth-ta hai jo, ik sawaal karun
Qaid se jab rihaai haram paaenge (2)
Kya meri qabr pe phir nahi aaenge (2)
Sirf ranjo alam (2) mujhko tadpaaenge
Kya mujhe chod kar sab chale jaaenge….
Kya isi qaid mei gut ke marjaaungi,
Kya mei do gaz kafan bhi nahi paaungi,
Mailay kurte mei kya mujhko dafnaaenge
Sarse paaun talak mei lahu mei hu tar,
Mera zakhmon bhara ye badan dekh kar,
Sirf zaalim nahi zulm pashtaaenge
Shaam waale karenge abhi kuch sitam,
Mujhko khaae chala jaa raha hai ye gham,
Ye meri qabr pe shimr ko laaenge
Dekh kar zakhm baba ke ghabraayi mei,
Hashr mei baap ke paas jab aayi mei,
Dekh kar mujhko baba bhi ghabraaenge
Karbala hai kahaan aur kahaan shaam hai,
Na mujhe chain naa unko aaraam hai,
Woh mujhe karbala roz bulwaaenge
Karbala jaake baba se ye puchna,
Hashr mei unse jab ho mera saamna,
Kya mujhe apne sine se liptaaenge
Kehna sughra se apna chaman milgaya,
Ho mubarak tumhe to watan milgaya,
Hashr tak ham musaafir hi keh laaenge
Shaam mei hi meri shaam hojaaegi,
Ye kahaani agar aam hojaaegi,
Baap beti se kab pyaar farmaaenge
Ham na funkaar hai aur na ehle kalam,
Hai ye FARHAANO SHOUKAT pe unka karam,
Hamse shabbir nauha kehel waaenge
Kya mujhe chod kar sab chale jaaenge….
NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)
ZINDAN KI TARIKIYOON MEIN,
Apne sine se lagaaye huwe shabbir ka sar
Sakina kehti thi..., baba (2) suno mera safar
Are sab ke the shaane bandhe-Mera bandha tha ghala (2)
Mei panjo pe chalti rahi baba (3)
Aap se kaise kahu, kaise kata wo safar,
Aal-e-payambar chali rote huwe nange sar
Aap chale neze par, kanto pe bhaayi chala.... (2)
Mere phuphi raah me ashk bahati rahi,
Zulm rulaate rahe dhoop jalaati rahi
Zakhm mere pawo ka dhoop se jalta raha..... (2)
Maa’zi ke kuch waqiye yaad jo aye mujhe,
Sine pe kaise mujhe aap sulaate rahe
Yaado mei yu kho gayi bhul gayi har jafaa... (2)
Sabr ka daman mere haath se chuta nahi,
Neze se kya aapne baba ye dekha nahi
Kichti rahi reesima chalta raha kafla..... (2)
Ankh barasne lage kalb huwa nawha ghar,
Aya nazar jab muje neze pe asghar ka sar
Roti rahi mei use, wo mujhe rota raha (2)
Tumko kafan dediya reyt kei tufaan nei,
Baalo se parda kiya meri phuphi jaan ne
Aur mere dard ka koi madaawa na tha (2)
Raah me ammu ko jab dekha to maine kaha,
Kholdo meri rasan goud mei leylo chacha
Dekhke rote rahe meri aseeri chacha (2)
Chen mayassar mujhe aa-na-saka ek pal,
Zakhmi gala hogaya aur mere paaun shal
Raat safar mei kati din bhi safar mei kataa (2)
Baba madine ke wo din bhi mujhe yaad hai,
Sabz amari mei jab beyt ke jaati thi mei
Aaj zara dekhiye, kaise safar tay-kiya (2)
Ek rasan mei bandhe chothe bado ke ghale,
Lasho pe rote huwe karbobala se chale
Haal mera dekh ke rone lagi karbala (2)
(Mei panjo pe chalti rahi baba) x3
NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)
EK BACHI PHOOL SI JIS KA SAKINA NAAM THA,
Ro rahi thi shaam ki rahon mein wo karke buka….
Karte the tum kitna pyar baba
Ay mere naiza sawar baba (3)
Chal nahi sakti Sakina raaste dushwar hai.
Aabley hein pawon mai or aab-lo mai khar hai.
Ankh hai nam dil figaar baba.
Nile hein rukhsaar mere, aur gale mai hai rasan
Tashnagi be waarsi lachargi or be watan
Ek hai dil gham hazaar baba.
Aap ke sine pe baba chein se soti thi mai
Aap tadapte jo kisi bat pe roti thi mai
Roti hu zaaro khatar baba.
Be rida sab bibiya hai shaam ke bazaar hai
Zabt ka-yara nahi hai sabr bhi dushwar hai.
Sabr ke parwardigar baba.
Milna sakungi kabhi mai aap se ay baba jaan
Aap ka roza banenga karbala ke darmiyan
Shaam me mera mazar baba.
Yaad isi baat pe ata hai ghar aksar mujhe.
Aaj kaneezin mai bula ta hai sitamgar mujhe.
Koi nahi gham guzaar baba.
Kha-tithi jab bhi tamache shimre (la) sitamgar se
Aap ke chehre ke simth be kasi aur yaad se.
Dekhti thi bar bar baba.
Koun hai pursa ne-haal pyaas buja yenga koun
Baliya meri sitamgaron se dilayenga koun
So gaye sab jaa-nisar baba
NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)
ASHUR KI SHAB HAI SAKINA KA WO RONA.
Aur sayyade mazlum ka beti se yeh kehna
Are tu rooye, me yeh dekh nahi, sakta Sakina.
(Achi nahi ye baat na roya karo bibi)
(Pehlu me kabhi maa ke bhi soya karo bibi)
(Achi nahi ye baat na roya karo bibi)
Kya howe kisi shab ko jo ham ghar me na aaye
Tum hamko na pao tumhe hum bhi nahi paye
Tadpoogi nahin dard se wada karo bibi
Are bay-ta karo kuch der chara-go ko bujha kar
Samjha karo is khaak ko ay laadli bistar
Baali kabhi yuhin nahi pehna karo bibi
Are kuch der to yeh farz karo ham na rahe gar
Baaki na rahe haath koyi rakhne ko sar par
Ma-howl yateemo ka bhi socha karo bibi
Aadat zara tanhaayi me rehne ke bhi dhalo
Tasweer tasawur mai asiri ki banalo
Aazad parindo ko na dekha karo bibi
Are Asghar ko na manoos karo pyaar se apne
Akbar ki urusi ke na dekha karo sapne
Sugra ki karib itna na baitha karo bibi
(Achi nahi ye baat na roya karo bibi)
(Pehlu me kabhi maa ke bhi soya karo bibi)
(Achi nahi ye baat na roya karo bibi)
NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)
SEEYAHA RATH MAI, ZINDAN KE DAR PAY RO RO KAY
Sakina kehti hai, baba ye shab sata ti hai
Judaayi aap ki, us par ye khaak ka bistar
Kahin andhaire mai bachoon ko neend aati hai
Ye sun kay Zainab-e-mazloom boli gham na karo
Kahani kehti hu may ek, suno Sakina suno
Sakina kahani suno, Sakina kahani suno
EK SHAHENSHAH THA, HAAYE SAKINA,
Ek shaheshah tha yasrab mai raha karta tha, Uska ghar O tha ke quran jahan utra tha,
Dar pay Gibreel sa darbaan raha kartha tha, Us ka angan bhi sitharoo say bhara rehta tha,
Uskai darwazai say khali na koyi ja-ta-tha, Asmaan us ki sakhawat ki qasam khata tha
Uskai baba ko dar-e ilm kaha jata tha, Maa nai Shahzaadi-E-Qawnain laqab paya tha,
Us kai baitoon mai nazar aks-e Nabi ata tha, Baitiyoon ko gule paakiza kaha jatha tha,
Us kai ek bhai ki rag rag mai wafa behti thi, Ek bahan sath me saaye ki tarha rehthi thi
EK DIN KYA HUWA, HAAYE SAKINA,
Ek din kya huwa, O ghar se safar par nikla, Uska sab kunba bhi quran ki hifazath ko chala
Ashkiya nai usai phir dashtai bala mai ghaira, Teen din tak use pani bhi maiyasar na huwa,
Ho gayi aam har ek joro jafa us kai liye, Aur phir jung ka maidan saja us kai liye
Us kai ek bayte kai sinay me sina toot gayi, Bhaayi kay haath katay, teer laga, mashk chidi,
Laash pamal bhati-jay ki bi maqtal mai huwi, Bay zuban qatl huwa, khasta churi us pa chali,
Us shahenshah kai kunbay pai ghareebi chayee, Bujh gaye sarai diyai shame ghariban ayi
Khaymai jalnai lagay nazdeek sitamgar aaye, Us shehanshah ki bachi nai tamachai khaye,
Kaan zakmi huwe khoon ankhon se tapka haaye, Dhundnai baap ko maqtal mai O kaise jaye
Jaltai daman ko liye ganjai shahidaan mai gayi, Rasi gardan mai bandi sham kay zindan mai gayi
PHIR SAKINA NAI KAHA, HAYE SAKINA,
Phir sakina nai kaha rehtai hain wo loog kahan, Boli Zainab kai huwe sab wo aseeray zindan,
Khisa akhir huwa neend aayi na tumko meri jaan, Boli ro ro kai Sakina phuphi ab neend kahan,
Tum to kehti thi kahani suno neend aati hai, Is kahani say meri neend udi jaati hai
Boli ro ro kai Sakina ye mera khis-sa hai, Is kahani ka shahanshah mera baba hai,
Naiza jis-ke laga seenay main mera bhayya hai, Mera Asghar hai la’eeno nai jise mara hai,
Be rida tum ho phuphi jaan meri jaati hai, Ye kahani to merai ghar ki nazar aati hai
Jisko seene pe shahenshah kai neend aati thi, Dasht-e main haye chacha keh kai jo chillati thi,
Jiskai kaano say laho behta tha jo pyaasi thi, Apnai baba ki judaayi main mari jati thi,
Us shahenshah ki beti wo Sakina mai hun, Jis ka dushwar huwa qaid main jina mai hun
Khatm jab SARVAR-O-REHAN kahani ye huwi, Wo jo sunti thi kahani wo Sakina na rahi,
Thame zanjeer naa qahath se utha ek qaidi, Ek nanni si lahad ka’apte haatho se bani,
Sar shahenshah ka goudi me lahu rota tha, Wa hussaina ka bas ek shor bapaa hota tha
SAKINA KAHAANI SUNO
NAWHA – SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)
Jab shaam ke zindaan mei huwi, shaam haram ko
Ik aan-na raahath thi-na araam haram ko
Har baar tapakta tha lahu, ash-ke rawaan se
Zindaan larazta tha (2) Sakina ki fugha se
Allah jaane, kaha ho ay baba (2)
Baba kitni raathe guzar gayi baba, Allah jaane, kaha ho ay baba
CHOTE SE SIN MEI QAYDI-YE ZINDAAN HOGAYI (3)
Baba mei kyu na aap pe (2) qurbaan hogayi
Allah jaane, kaha ho ay baba (2)
Do'stlaringiz bilan baham: |