Suna hai "SARWARO REHAN" khwahare shabbir
Ali ke lehje me karti thi jis ghadi takreer
Yazeed-o-shimr (las) ke sine pe chalti thi shamsheer
O jab ye kehti thi wade ko me nibhaaungi
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)
(PARDA DUNIYA KO SIKHANE WALI
AAYI BAZAARON MEIN ZAINAB x 2)
GHAR SE BAHAR BHI NA AANE WALI (2)
AAYI BAZAARON MEIN ZAINAB
PARDA DUNIYA KO SIKHANE WALI
AAYI BAZAARON MEIN ZAINAB
Jisne baba se chuda-e-the kayi baar aseer (2)
Qaidi azaad karane wali (2) Aayi bazaaron mein Zainab
Jalte Khaimon se uta laayi Abbas ke Ba’ad (2)
Ali Aabid ko bachane wali (2) Aayi bazaaron mein Zainab
Deen ki khaatir-ye bee-bi saalar bani (2)
Banke Abbas dikhane wali (2) Aayi bazaaron mein Zainab
Apne seenay pe Sakina ko zindaanon mein (2)
Ba’ad bhaayi ke sulaane wali (2) Aayi bazaaron mein Zainab
Nange sar pad-ti-rahi khutbe bazaaron mein (2)
Kasre dushman ko hilane wali (2) Aayi bazaaron mei Zainab
Kufe aur shaam bhi saare-gaye ye baali johar (2)
Azmate deen ko badane wali (2) Aayi bazaron mein Zainab
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)
US WAQT JABKE ZAINAB, DARBAR ME GAYI THI,
QA’ARI NAMAZIYO(N) SE, MEHFIL SAJI HUWI THI,
ZALIM YE PUCHTA-THA. GHA’AZI TERA KAHAN HAI,
BALO(N) SE MU(N) CHUPA’AYE, ZAINAB YE KEH RAHI THI,
Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kahan x2
Majmaye aam me, bewatan be amaa(n), agaya karvaan
Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kahan x2
Mai bhi hu(n) marziya, binte khayrun nisa,
Mere lehje me hai, baba teri ada
Naam zainab mera, tune jo rakhdiya, day de apni zubaa(n)
Babajaan me rida mangti rehgayi,
Bamo dar saj gaye, jee-teji margayi,
Halqaye shaam me, nam sunkar mera, margaya naatawa(n)
Haath ka’ano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,
Aur nisha(n) jo sakina ke sha’ano pe hai
Har nishan se yahi, aa-rahi hai sada, babajaan babajaan
Shaame ashoor se, shaamo kufa talak,
Maine manga nahin hai khira’aje fadak,
Meri chadar se hai, meri maa ka suku(n), sunle zalim jahaa(n)
Babajaan ye tera akhri tha bayan,
Teri chadar bachayega ghazi jawaa(n),
Margaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hai bibiya(n) ABBASx9
Ruk na paya mere bawafa ka O sar,
Nouke naiza se aane laga khaak par,
Behn ko darbadar, dekhkar nange sar, seh na paya jawaa(n)
Haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,
Aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai
Har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan
Kal thi Maa aaj mai-bhi hu(n) darbaar me,
Misle Zahra khadi hu(n) me aghiyaar me,
Us taraf hai shaqi, is taraf rehgayi, bepadar betiya(n)
Aysa khutba diya mene darbaar me, Likhraha hai jo "YAWAR" tere pyar me, Lehjaye hayderi, har azaan ke liye, hai sadaye aza(n)
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)
SAJJAD MAI ZAINAB HU
MERE SAR PE RIDA KOI NAHI - BAZAAR–E–JAFA
MAJMA HAI KUFIYOON KA
MERE CHALNE KI JAA KOYI NAHI - BAZAAR–E–JAFA
Sajjad mere sar-say nou bar chini chadar,
Balway me nabi zaadi phirwayi gayi dar-dar
Mil jaey rida mujh-ko, aur meri dua koyi nai, bazaar–e–jafa
Sajjad chaloun kaisay lakhoon hai tamashayi,
Yaad aata hay rah-rah kay Abbas mera bhaayi,
Faryaad karun kis say, ab teray siwa koyi nai, bazaar–e–jafa
Sajjad mere dil ko ye dard sata-tha hay,
Sar ghazi ka naizey say jab khaak pe aata hai,
Sar mera khula dekhey, gham is-se bada koyi nai bazaar–e–jafa
Maloom hai aada ko, ghazi ki bahan hu mai,
Bay-dast hai woh ghazi, paband-e-rasan hu mai,
Yaad aayi wafa us ki, jab paas raha koyi nai, bazaar–e–jafa
Majboor hu bay-bas hu mai ro bhi naheen sakti,
Durroon ki aziiyat say mai so bhi naheen sakti,
Is darja musibath mai hamdard mera koi nai, bazaar–e–jafa
Sajjad teri halath dekhi naheen jati hai,
Bay parda mujhe dekhey ye baath rulaati hai,
Sajjad teri tarha kanton pe chala koi nai, bazaar–e–jafa
Mauth aaey-gi zindaan mai, meri bali Sakina ko,
Kya jaakey bataoungi bimaar-e-Madina ko,
Gham dil pe uthaney ko, ab baqi bacha koi nai, bazaar–e–jafa
Jaata hai suwe zindaan ab kunba Muhammad ka,
rassi me bandhey qaidi kanton say bhara rasta,
ummat nay sitam dhaey qismat say gila koi nai bazar–e–jafa
Bazar-e-sitam me tha Zainab ka ajab aalam,
MAZHAR me likhu kaisey zalim nay kaha jis dam,
Hay kaun tera waaris, Zainab nay kaha koi nai, bazaar–e–jafa
Majma hay kofioon ka meray chalnay ki jaa koi nai bazar–e–jafa
Sajjad me zainab hu mere sar pe rida koi nai, bazaar–e–jafa
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)
BAAZAR KE MANZAR KO
Aur apne khule sar ko bhuli nahi mai (2)
Apne bandhe haathoon ko,
bimarke zewar-ko bhuli nahi mai
Ut-thi huwi aandhi ko, wehshath ko bayabaan ko
Chuptay huwe suraj ko, ta’areeki ko maidaan ko
Chaltay huwe khanjar ko, naize pay teray sar ko
Ik chand tha badli mei, chupta-tha nikalta-tha
Parda dar-e-khaima ka, ut-tha kabhi girta-tha
O khama-e-Laila say, hai rukhsat-e-Akbar ko
Lehratay huwe naize, hai shimr (la) ka wo bhadna
Aa-aa ke mere peechay, har bibi ka wo chupna
Sholoon mei ghiray ghar ko, chinti huwi chadar ko
Yaad ata hai ik maan ka, wo khaak mei das jana
Aur aag kay sholoon mei, wo maa ka jhulas jana
Jaltay huwe jhulay say, lipti huwi madar ko
Masoom Sakina ko, badtay huwe naizoon ko
Giste huwe galoon ko, bay reham tamachoon ko
Giste huwe kanoo ko, Chin-tay huwe gowhar ko
Jiss raat mei tanha thi, uss raat kay dhalnay ko
Tootey huwe naize ko, uss raat kay pehray ko
Bachoon ke sisakne ko, aur raat kay bistar ko
Hai aaj bhi wo giriyaa, Hai aaj bhi wo zaari
Hai aaj bhi pathar ke, Seenese se lahu jaari
Rote huwe pathar ko, Pathar pe rakhe sarko,
Bhuli nahin mai
NAWHA – BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
HAI BAZAAR-E-SHA’AM JAKAR’RR
ZAINAB KO GHAZI YAAD AYA (3...)
HAI BAZAAR-E-SHA’AM JAKAR’RR (2)
ZAINAB KO GHAZI YAAD AYA (3...)
Ankhoon se khoon jaari, sarpe rida nahin thi
Zakmi haram ke dethey, kooyi dawa nahin thi
Jab duray lage badan par (2), Zainab ko ghazi yaad aaya (3)
Sadaath pa ba-rehna, kaatoon bhare thay raste
Roote thay jab ye khaidi, be-dar-dilo ke haste
Jab dekhi seena pe chaadar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)
Humsheer royi uspar, taqdeer royi uspar
Bimar jab-bhi royaa, zanzeer royi uspar
Hai ghaliyoon mai barse pathar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)
Jo malka-ye haya thi, raahoon mai be-rida thi,
Ye souch-kar-hi Zainab, bas mehve marsiya thi
Hai Sheereen ke ghar mai jaakar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)
Isss-say badi qayamat kya aur hogi logoon
Aabid ne apne sar ko, kyun na utaya souchoo
O kehta tha bas ye rookar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)
Abbas ki behan par, ek aisa waqt aaya,
Darbar mai sitam ke, Shimre (la) layin pukara
Hai kaun shay ki khwaahar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)
Nikli thi jab O ghar se, manzar O yaad aayaa,
Nazre jhukaoo logoon, Abbas ne kaha tha
Ab Shaam mai khule sar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)
(At-tara (18) Bhaayioon ki humsheer, aur khule sar
Ay log taras kha-oo, Zainab ko de-do chaadar
Fiza jo boli rookar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)
Darbaar mai gayi thi, ek roz Fathima (sma) bhi
Lekin rida thi sar par, betoon say thi tasal-li
Yaad aaya use ye manzar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)
Guzri jo bibi-yoon par, kya Shaadman sunaaye,
Mazhar mera kalaija, sadmoon say phat na jaaye
Bas rooko khalam ye keh-kar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)
AGAYI BINTE ALI, BERIDA HAATH BANDHE
BHARRE BAAZARON MAIN
Jiss ne suraj nah kabhi dekha tha
Ro-rahi hai voh gunahgaronh mai
Kaun jaanay ke yeh hai kaun, rassan pehne huwe
Berida roti hai Sajjad ke peeche chup ke
Sisskiyanh dubi hain jiss Bibi kee
Hai zanjeeron ke jhankaroon mai
Hai Zahra teri kismath na-millah Haq tujhko
Aise tazim teri ki hai mussalmanon ne
Tera Haqq mangne aayi Zainab
Ek menosh ke darrbaronh meinh
Kahan Zainab aur kahan shaam ke logonh ka hajum
Sarr barehana oonchee avaaz mainh khutbe padna
Qatlay murrsal ka havaala de karr
Chadare Mangna badh-karonh se
Aag Khaymonh ko lagi aur thay Sajjad be-hosh
Roro Abbas ko deti-thi sadaen Zainab
Lutloo chaadare Sayyedaniyyonh ki
Shor barpa tha sitamgaronh meinh
Kiss tarha kaate Sakina raath Baba ke beghair
Sogayyi Qaid se tanhhaee meinh rote rote
Hitchkiyyanh dabb gayyee Massooma ki
Hae zindan ke deevaronh meinh
Jiss jagga Majlis-e-Shabbir ho barpa Akhtar
Chhor Karr dukhiyya vahanh roti hai Zahra aa Karr
Baal Kholay huwe saar peet-thi hai
Apne pyaaronh ke Azadaaronh meinh
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)
ALAMDAR HAI ALAMDAR (3)
Roti hai Zainab (Hai Alamdar), Pyasi hai Zainab (Hai Alamdar)
Qaidi Hai Zainab (Hai Alamdar), Jati Hai Zainab (Hai Alamdar)
Alamdar Hai Alamdar x3
Shaam chali teri behan be rida, Khafela salar hai Zainul Eba
Choud ke maqtal me tujhe be kafan. Jati hu bazar mere ba wafa
Khaid huwi dekh nabi zadiyan, Bazu-O-mai bandhi gayi reesma
Dekh le Zainab ki zara bekasi, Koi nahi koi nahi paas baa
Dard hai tanhaiyi hai faryaad bi, Hashre bapa hai dile nashad bi
Lekay chale hai ye sitam-gar mujhe, Alvida ay bhayi teri yaad mai.
Yaad teri ayengi har gaam par, Kalb ko tadpayengi har gaam par
Tujse juda hoke-ye teri behan, Kehte huwe jayengi har gaam par
Dard se lachar behan kya kare, Mere Alamdar Behan kya kare
Koi Nahi aaj mera dasht mai, Gham me giraftar behan kya kare
Dilpe har-ek zakhmo ko sehte huwe, Sham talak jayengi rote huwe
Teri judaai me mere ba wafa, Aaj sare dasht ye kehte huwe
Baad tere dasht mai chadar chini, Nawha khuna mujpe huwi bekasi
Tere bina kaise bhala jayengi, Shaam ke darbar mai binte Ali
Loot padi aisi ke sab lut gaya, Ghar tere jane ke sabab lut gaya
Wo jo bhara ghar tha tere samne, Aake zara dekh wo ab lut gaya
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)
ZAINAB AAGAYI HAI SHAAM
Meri rida ke pasbaan, Rida laake ke udaa-de
(Khula hai sar, khule bazaar rida laake udaa-de) x3
Ay mere ghazi alamdaar, Rida laake ke uda de
(Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de) x3
Ye buturab ki beti ho kyu(n) na fariyaadi
Agar wo touqo salaasil se paaye azaadi
O mera abide bimaar, rida laake ke uda de
Wo beridaayi ke sadme ko kaise jhelega
Ye dard Abide muztar ki jaan lelega
Guzar na jaaye dilafgar, rida laake ke uda-de
Mujhe chhupale mere ghazi in nigaaho(n) se
Sabeel aisi banaa koyi, thay-ho ye raste
Na dekhe mujhko sitamghaar, rida laake ke uda de
Ghareeb hoogayi umath ne di saza mujhko
Tu dekh sakta nahi ghazi berida mujhko
Sina se gir gahi farwa, rida laake ke uda de
Tujhe sakina ke ashko(n) ki hai qasam ghazi
Tamaam umr-mai phir tujse khuch na mangungi
Ay ibne Haidere karrar, rida laake ke uda de
Tujhe to baba ne bakhshi hai masnade aali
Sawali koyi tere dar se kab gaya khali
Zamane bhar ke madadghar, rida laake ke uda de
Kabhi jo ghar se nikalti-me saal me ek baar
Tu ba’dke logo(n) se kehta tha, band karo bazaar
Wahi behan wahi bazaar, rida laake ke uda de
Sare hussain bhi rota hai nouke naiza par
Padar bhi rote hai, nana bhi, bas yahi kehkar
Khule saro(n) ke wafadar, rida laake ke uda de
Sada ye shaam se aati hai "MAZAHAR-O-IRFAN"
Tadap ke aaj bhi kehti hai Zainab-e-Zeeshaan
Meri rida ke nigehbaan, rida laake ke uda de
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)
BE RIDA SHAAM KE DARBAAR MAIN JAANA ZAINAB
Zalzale aayenge us waqt zamin par paiham
Chaadarein cheen ke le jayenge ban’iye sitam
Aur balwey mein tamashai banay naa mahram
Apne baalou hi-se mouh apna chupana Zainab
Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab
Meri naadan Sakina ko na rone dena
Baad mere koi takleef na hone dena
Garm reti pa kabhi usko na sone dena
Apne seene pe Sak’eena ko sulana Zainab
Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab
Gudkiyan meri Sakina ko jo de Shimre (la) layeen
Seiliya maarne aaye jo usey woh be deen
Khauf ke maarey nikal jaaye na jungle mein kahin
Apni aaghosh mein tum usko chupana Zainab
Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab
Yeh luta karwan jis waqt Madinah pohnche
Aake jo dukhtare bimar pidar ko pooche
Aur be sheer ko jis waqt woh dukhiya dhoonde
Meri Sughra ko kalaije se lagana Zainab
Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab
Khaafila ahle haram ka jo Madinah jaaye
Aur asnae safar mein mera maqtal aaye
Tumko fursat jo ghadi bhar ke liye mil jaaye
Chand aansoo meri turbat pe bahana Zainab
Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab
Karbala mein jo mere ghar pe musibath guzri
Aur baazaaroon mein tum par jo aziyath guzri
Mukhtasar yeh hai ke jo kuch bhi qayamat guzri
Saari rudaad meri maa ko sunana Zainab
Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(SHAAM KA BAZAAR)
MAI RAAHE SHAAM SE GUZRI HOON BE-RIDA BABA
ASEER-E-ZULM HOON ROTI HOON BE-RIDA BABA
Tha bekafan tera Islam mai rida dekar
Bala ke dasht se aayi hoon be-rida baba
Sitham garoon ne sathaya hai taziyaano se
Jo thak ke raah mein sooyi hoon be-rida baba
Ado jo durre lagata hai mere Abid ko
Mai dil ko tham kar bhaiti hoon be-rida baba
Lahoo bahata hai ankhon se Abid-e-muztar
Mai jab bhi kantoo pe chalti hoon be-rida baba
Safar ki khaak ne balon ka kar liya parda
Mai is ke baad bhi phirthi hoon be-rida baba
Meri aseeri pay MAZHER ne yeh likha nawha
Har ek lafz pe tadpi hoon be-rida baba
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(RETURN TO MADINA)
Haay, zindaa(n) ki qayd kaatke, Jab Saniy-e-Zehra…..
Ponchi watan to koyi bhi pehchaan na paaya
Aray Abdullah ibne Jaffar-e-Tayyar ne poocha
Tu koun hai kya naam hai tera ay zaeefaa
Ye sunke fuga karnay lagi Saniy-e-Zehra,
Are zauja hu aap ki mujhe pehchaano khudara
Mei Awn-O-Muhammad ki maa hu (2)
Pehchaano khudara (2) Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
Mei Awn-O-Muhammad ki maa hu (2)
Baalo ki safedi ka sabab pucho na mujhse,
In ankhon ne dekhe hai sitham karbobala ke,
Ghar lut gaya sara, pehchaano khudara, Mujko….
Chehre-se numaya jo mere karbobala hai,
Ye haal to Abbas ke marne se huwa hai,
Chuta wo saharaa, pehchaano khudara, Mujko….
Ek zakhm hai qasim ka mere kalb-o-jigar me,
Jo chaand ujaalay ka sabab tha mere ghar mei,
Wo bhi gaya maraaa, pehchaano khudara, Mujko….
Bas bhaayi ki matam mei rahi qayd bhi kaati,
Leykin mei kabhi Awn-O-Muhammad ko na rowi,
Ab deti hu pursaaa, pehchaano khudara, Mujko….
Bazaar mei Abid pe zaeefi huwi taari,
Wo aaj bhi rota hai aseeri pe hamari,
Ghamkhwaar hamaraaa, pehchaano khudara, Mujko….
Aray sadaat ke halke ne mujhe aake chupaaya,
Jab shaam ke hakim ne mera naam pukaara,
Us ranj ne maraa, pehchaano khudara, Mujko….
Shiree(n) se mulakath huwi raah mei ek baar,
Pehchaan nahi paayi mujhe wo-bi dilafgar,
Dil roke pukaaraaa, pehchaano khudara, Mujko….
Sab ghayr kujaara hai damishkaar kuja mei,
Karbal se chali hogaye khud karbobala mei,
Zulmat ka safar thaaa, pehchaano khudara, Mujko….
"IRFAN" ye alfaaz jo "MAZHAR" ne likhe hai,
Insaan tho kya cheez hai patthar ko rula de,
Jaise ke ye jumla pehchaano khudara, Mujko….
Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
NAWHA – SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)
(RETURN TO MADINA)
NA MEHMIL HAI, NA HAUDAJ HAI, NA LASHKAR KI WO SAJ-DHAJ HAI,
NA SARPE ALAM NA CHADAR HAI, ALLAH YE KAISA MANZAR HAI,
MUSAFIRANE MUSIBATH, WATAN ME AATE HAI (2)
SAFAR SE AATE HAI SOU-GHATE DARD LAATE HAI
Kiya salaam Muhammed ke aastane ko,
Lutaa ke aaye hai Zehra ke sab gharane ko,
Na kar qabool tu hum bekaso ke aane ko,
Ye nawha karte hai aur ashk khu(n) bahaate hai
Madina hum tere waali ko aaye hai kho kar,
Madina Kufe me sar nange hum phire dardar,
Madina daaghe rasan hai humare shaano par,
Utaa ke haath Madine ko ye sunaate hain,
Har ek kadam hai buka kab labo pe bayn nahin,
Ham aye zindaa pa Zehra ka noor ayn nahin,
Madina Akbar-o-Qasim nahi Hussain nahin,
Ye kaise kaise jawaan the jo yaad aate hai
Madine waalo kaho us behan ki kya taqdeer,
Jo dekhe apne biradar ke halq par shamsheer,
Lahu me ghark jo dekhe Hussain ki tasveer,
Lahu me kya yuhi bhaayi ka sar dikhate hai
Batawo kahte hai kya sab us amma jaayi ko,
Jo arbaeen talak de kafan na bhaayi ko,
Bahen dikhayegi mu(n) kis tarha khudaayi ko,
Kafan diya hai na unki lehed banaate hai
Chala bashir ye deta huwa khabar har jaa,
Magar mehlaye hashim me dekhta hai kya,
Ke ik mariza sare raah hai khadi tanha,
Hai muntazir ke wo kunbe ke log aate hai
Khabar ye phay-li to matham har-ek ghar me huwa,
Nikal-nikal padi sab aurathe ba-rehna paa,
Giri zamin pe Sughra ke uspe charkh gira
Ye soghwaar hai Sughra ke paas ate hai
Fiza-e-dard me lekar udaasiyaa aayi,
Safar se lut ke idher bhukhi pyasiya aayi,
Utho Rasul tumhari nawasiya ayi,
Ye khud-ko uuntoon se ehle haram ghiraate hai
Do'stlaringiz bilan baham: |