Woh cheezein jo namaaz mein makruh hain
-
Kisi shakhs ka namaaz mein apna chehra daa’e ya baa’e jaanib itna kam modna ke woh apne peeche ki jaanib maujood kisi cheez ko na dekh sake aur agar apne chehre ko itna ghumaaye ke oose peeche ki cheezein nazar aa sake to jaisa ke pehle bayaan ho chuka hai ooski namaaz baatil hai.Yeh bhi makruh hai ke koi shakhs namaaz mein apni aankhein band kar le ya daa’e ya baa’e taraf ghumaye ya apni dadhi ya haathon se khele aur uoongliyaan ek dusre mein daakhil kare aur thooke aur Quraan-e-majeed ya kisi aur kitaab ya anghoothi ki tehreer ko dekhe.Yeh bhi makruh hai ke Al-hamd, surah aur zikr padhte vaqt kisi ki baat suoonne ke liye khamosh ho jaaye balke har woh kaam jo ke khuzoo aur khushu ko khatm kar de makruh hai.
-
Ab insaaan ko neend aa rahi ho aur oos vaqt bhi jab oos ne peshaab aur pehkhaana rok rakha ho namaaz padhna makruh hai aur isi tarah namaaz ki haalat mein aisa moza pehhenna bhi makruh hai jo paao ko dabaaye aur in ke al’awa dusre makruhaat muffassal kitabo mein bayaan kiye gaye hain
Woh suurtein jin mein waajib namaazein todi jaa sakti hain.
-
Ikhteyaari haalaat mein waajib namaaz ka todna ehteyaat-e-waajib ki bina par jayez nahi hai laikin maal ki hifaazat aur maali ya jismaani zar se bachne ke liye namaaz todne mein koi harj nahi balke woh tamaam deeni aur doonyaavi kaam jo namaazi ke liye aham ho, oonke liye namaaz todne mein koi harj nahi.
-
Agar insaan ki apni jaan ki hifaazat ya kisi aise shakhs ki jaan ki hifaazat jiski nigaahdaasht waajib ho, namaaz tode baghair mumkin na ho to zaruri hai ke namaaz tod de.
-
Agar koi shakhs wasi vaqt mein namaaz padhne lage aur karza khwah oosse apne karze ka mutaaleba kare aur woh ooska karz namaz ke dauraan ada kar sakta ho to zaruri hai namaaz tod de aur ooska karza ada kare aur ba’d mein namaaz padhe.
-
Agar kisi shakhs ko namaaz ke dauraan pata chale ke massjid najis hai aut vaqt tang ho to zaruri hai ke namaaz tamaam kare aur agar vaqt wasi ho aur massjid ko paak karne se namaaz na tooti ho to zaruri hai ke namaaz ke dauraan massjid ko paak aur ba’d mein baaqi namaaz padhe aur agar namaaz toot jaati ho aur namaaz ke ba’d massjid ko paak karna mumkin ho to massjid ko paak karne ke liye oos namaaz ko todna jayez hai aur agar namaaz ke ba’d massjid ka paak karna mumkin na ho to zaruri hai ke namaaz ko tod de aur massjid ko paak kare aur ba’d mein namaaz padhe
-
Jis shakhs ke liye namaaz todna zaruri ho agar woh namaaz khatm kare to woh goonaahgaar hoga laikin ooski namaz sahi hai aur ehteyaat-e-mustahab hai ke woh dobara namaaz padhe
-
Agar kisi shakhs ko qir’at ya ruku’ ke jhukne ki had tak jhukne se pehle yaad aa jaaye ke woh azaan aur iqaamat ya faqt iqaamat kehna bhool gaya hai aur namaaz ka vaqt wasi ho to oonhein kehne ke liye namaaz tod de balke namaaz khatm hone se pehle oose yaad aaye ke oonhein bhool gaya tha tab bhi mustahab hai ke oonhein kehne ke liye namaaz tod de.
Shakkiyaat-e-namaaz
Namaaz ke shakkiyaat ki 22 qismein hain. Oon mein se 7 oos qism ke shak hain jo namaaz ko baatil kar deta hai aur 6 shak oos qism ke shak hain jinki parwah nahi karni chaahiye aur baaqi 9 oos qism ke shak hain jo sahi hain.
Woh shak jo namaaz ko baatil karte hain
-
Jo shak namaaz ko baatil karte hain woh yeh hain
-
Do rak’ati waajib namaz maslan namaz-e-subh aur namaaz-e-musafir ki rak’ato ki ta’daad ke baare mein shak. Albatta namaaz-e-mustahab aur namaaz-e-ehteyaat ki rak’ato ki ta’daad ke baare mein shak namaaz ko baatil nahi karta.
-
Teen rak’ati namaaz ke baare mein shak kare.
-
Chaar rak’ati namaaz mein koi shak kare ke oosne ek rak’at padhi hai ya oosse zyaada padhi hai.
-
Chaar rak’ati namaz mein dusre sajde mein daakhil hone se pehle se pehle namaazi shak kare ke oosne do rak’atein padhi hain ya oos se zyaada padhi hain.
-
Do aur paanch rak’ato mein ya do aur paanch rak’at se zyaada rak’ato mein shak kare.
-
Teen aur paanch rak’ato mein aur teen aur chheh se zyaada rak’ato mein shak kare.
-
Chaar aur chheh rak’ato ke darmiyaan shak ya chaar aur chheh se zyaada rak’ato ke darmiyaan sahk, jis ki tafseel aayegi.
-
Agar insaan ko namaaz baatil karne waale shakuk mein se koi shak pesh aaye to behtar yeh hai ke jaise hi ooska shak mustakam ho namaaz na tode balke is qadr ghauro fikr kare ke namaaz ki shakl barqaraar na rahe ya yaqeen ya gumaan haasil hone se na uumeed ho jaaye.
Woh shak jin ki parwah nahi karni chahiye
-
Woh shaquq jin ki parwah nahi karni chahiye mandarze darj hai
(1) Oos fa’el mein shak jis ke baj’aa lane ka mauqa guzar gaya ho maslan insaan ruku’ mein shak kare ke oosne Al-Hamd padha hai ya nahi.
(2) Salaam-e-namaaz ke ba’d shak
(3) Namaaz ka vaqt guzar jaane ke ba’d ka shak.
(4) Kaseerul shak ka shak-ya’ni oos shakhs ka shak jo bohut zyaada shak karta hai.
(5) Rak’ato ki t’adaad ke baare mein Imaam ka shak jab ki ma’moon oonki rak’at jaanta ho aur isi tarah m’amoon ka shak jabke Imam namaaz ki rak’ato ki t’adaad jaanta ho.
(6) Mustahab namaazon aur ehteyaat mein shak.
(1) Jis fa’el ka mauqa guzar gaya ho oos fa’el mein shak karna.
-
Agar namaazi namaaz ke dauraan shak kare ke oosne namaaz ka ek waajib fa’el anjaam diya hai ya nahi maslan oose shak ho ke Al-Hamd padhi hai ya nahi jabke oos kaam ko amdan tark karke jis kaam mein masshghool ho oos kaam mein shar’an masshghuul nahi hona chahiye tha maslan surah padhte vaqt shak kare ke Al-Hamd padhi hai ya nahi to zaruri hai ke apni shak ki parwah nah kare. Is soorat ke al’awa zaruri hai ke jis cheez ki anjaam deh ke baare mein shak ho ba’ja laaye.
-
Agar namaazi koi aayat padhte hue shak kare ke oos se pehle ki aayat padhi hai ya nahi ya jis vaqt aayat ka aakhri hissa padh raha ho shak kare ke ooska pehla hissa padha hai ya nahi to zaruri hai ke apni shak ki parwah na kare.
-
Agar namaazi ruku’ aur sujood ke ba’d shak kare ke oon ke waajib af’aal maslan zikr aur badan ka sukoon ki haalat mein hona, oosne anjaam diye hai ya nahi to zaruri hai ke apne shak ki parwah na kare.
-
Agar namaazi sajde mein jaate vaqt sahk kare ke ruku’ ba’jaa laaya ya nahi ya shak kare ke ruku’ ke ba’d khada hua tha ya nahi to zaruri hai ke apne shak ki parwah na kare
-
Agar namaazi khade hote vaqt shak kare ke sajda ya tashahhud ba’ja laaya ya nahi to zaruri hai ke apne shak ki parwah na kare
-
Jo shakhs baith kar ya laet kar namaaz padh raha ho agar Al-Hamd ya tasbihaat padhne ke vaqt shak kare ke sajda ya tasshahhud ba’ja laaya ya nahi to zaruri hai ke apne shak ki parwah na kare aur agar Al-Hamd aur tasbihaat mein masshghool hone se pehle shak kare ke sajda ya tashahhud ba’ja laaya ya nahi to zaruri hai ke ba’ja laaye.
-
Agar namaazi shak kare ke ek aisa amal jo namaaz ka rukn nahi hai baj’a laaya ya nahi aur ooske ba’d aane waale fa’el mein masshghool na hua ho to zaruri hai ke oose ba’ja laaye aur agar ba’d mein oose yaad aaye ke woh oos rukn ko anjaam de chuka tha to ek rukn badh jaane ki wajah se ehteyaat-e-laazim ki bina par oos ki namaaz baatil hai.
-
Agar namaazi shak kare ke ek aisa amal jo namaaz ka rukn nahi hai ba’ja laaya hai ya nahi aur oos ke ba’d aane waale fa’el mein masshghool na ho to zaruri hai ke oose ba’ja laaye. Maslan agar surah padhne se pehle shak kare ke Al-hamd padi hai ya nahi to zaruri hai ke al-Hamd padhe aur agar oose anjaam dene ke ba’d oose yaad aaye ke oose pehle hi baj’aa la chuka tha to choonke rukn zyaada nahi hua hai is liye namaaz sahi hai.
-
Agar namazi shak kare ke ek rukn ba’ja laaaya hai ya nahi maslan jab tashahhud padh raha ho to shak kare ke do sajde baj’a laaya hai ya nahi aur apne shak ki parwah na kare aur ba’d mein oose yaad aaye ke oos rukn ko baj’a nahi laaya to agar woh ba’d waale rukn mein masshghool na hua ho to zaruri hai ke oos rukn ko baj’a laaye aur agar ba’d waale rukn mein masshghool ho gaya ho to ooski namaz ehteyaat-e-laazim ki bina par baatil hai. Maslan agar ba’d waale rak’at ke ruku’ se pehle oose yaad aaye ke do sajde nahi ba’ja laaye to zaruri hai ke baj’a laaye aur agar ruku’ mein ya oos ke ba’d aaye to jaisa ke bataya jaa chuka hai ooski namaaz baatil hai.
-
Agar namaazi shak kare ke woh ek ghair rukni amal ba’ja laaya hai ya nahi aur ooske ba’d waale amal mein masshghool ho chukka ho to zaruri hai ke apne shak ki parwah na kare. Maslan jis vaqt surah padh raha ho shak kare ke Al-Hamd padhi hai ya nahi to apne shak ki parwah na kare. Albatta agar oose kuch daer mein yaad aa jaaye ke oos amal ko baj’a nahi laaya aur abhi ba’d waale rukn mein masshghool nahi hua ho to zaruri hai ke oos amal ko aur ooske ba’d waale amal ko baj’a laaye aur agar ba’d waale rukn mein masshghool ho gaya ho to ooski namaaz sahi hai. Is bina par maslan agar qoonoot mein oose yaad aa jaaye ke oosne Al-Hamd nahi padhi thi to zaruri hai ke Al-Hamd aur surah dono ko padhe aur agar yeh baat oose ruku’ mein yaad aaye to ooski namaaz sahi hai.
-
Agar namaazi shak kare ke oosne namaaz ka salaam padha hai ya nahi aur taaqibaat ya dusri namaaz mein masshghool ho jaaye ya koi aisa kaam kare jo namaaz ko barqaraar nahi rakhta aur haalat-e namaaz se kharij ho gaya ho to zaruri hai ke apne shak ki parwah na kare aur agar in suuraton se pehle shak kare to zaruri hai ke salaam padhe aur shak kare ke salaam durust padha hai ya nai to apne shak ki parwah nahi karni chahiye.
Salaam ke ba’d shak karna
-
Agar namaazi salaam ke ba’d shak kare ke oosne namaaz sahi taur par padhi hai ya nahi maslan sahk kare ke ruku’ ada kiya hai ya nahi ya chaar rak’ati namaz ke salaam ke ba’d shak kare ke chaar rak’atein padhi ya paanch, to woh apne shak ki parwah na kare laikin agar oose dono taraf namaaz baatil hone ka shak ho maslan chaar rak’ati namaaz ke salaam ke ba’d shak kare ke teen rak’at padhi ya paanch rak’at to ooski namaaz batil hai.
(3) Vaqt ke ba’d shak karna
-
Agar koi shakhs namaaz ke vaqt guzarne ke ba’d shak kare ke oosne namaaz padhi hai ya nahi ya gumaan kare ke nahi padhi to oos namaaz ka padhna laazim nahi hai laikin agar vaqt guzarne se pehle shak kare ke namaaz padhi hai ya nahi to khwaha gumaan kare ke padhi hai phir bhi zaruri hai ke namaaz woh padhe.
-
Agar koi shakhs vaqt guzarne ke ba’d shak kare ke oosne namaaz durust padhi hai ya nahi to apne shak ki parwah na kare.
-
Agar namaaz-e-zuhr aur asr ka vaqt guzar jaane ke ba’d namaazi jaan le ke chaar rak’ati namaaz padhi hai laikin yeh ma’loom na ho ke zuhr ki niyyat se padhi hai ya asr ki niyyat se to zaruri hai ke chaar rak’at namaaz qaza oos namaaz ki niyyat se padhe jo ooos par waajib hai.
-
Agar maghrib aur isha ki namaaz ka vaqt guzar jaane ke ba’d namaazi ko pata chale ke oosne ek namaaz padhi hai laikin yeh ilm na ho ke teen rak’ati padhi hai ya chaar rak’ati, to zaruri hai ke maghrib aur isha dono namaazon ki qaza kare.
(4) Kasarul shak ka shak karna
-
Kasarul shak woh shakhs hai jo bohut zayada shak kare y’ani woh shakhs jo tawjihaat ko bantne waale asbaab ki mawjudgi ke a’tbaar se oose apne hi jaise logon ke muqable mein zayada shak karta hai sirf wahi shakhs kasarul shak nahin hai keh shak karna jis ki ‘adat ban chuki ho balkeh woh shakhs bhi kasarul shak mana jayegaa jo oos ‘arze mein mubtala ho raha ho.
-
Agar kasarul shak namaaz ke ajza’ mein se kisi ke anjaam den eke baare mein shak kare to oose yuoon samajhna chahiye keh oos jazu ko anjaam de diya hai. Maslan agar shak kare keh ruku’ kiya hai ya nahian to oose samajhna chahiye keh ruku’ kar liya hai aur agar kisi aisii cheez ke baare mein shak kare jo mubtal namaaz hai maslan shak kare keh subh ki namaaz do rak’at padhi hai ya teen rak’at to yahi samjhe namaaz theek padhi hai.
-
Jis shakhs ko namaaz ke kisi khaas jazu ke baare mein itna zayada shak hota ho, keh shak ki kasrat oosi jazu se makhsus hokar rah jaye, agar woh namaaz ke kisi dusre jazu ke baare mein shak kare to zaruri hai keh shak ke ehkaam par ‘amal kare. Maslan kisi ko zayada shak iis baat mein hota ho keh sajda kiya hai ya nahin, agar oose ruku’ karne ke ba’d shak ho to zaruri hai keh shak ke hukm par ‘amal kare y’ani agar abhi sajde mein na gaya ho to ruku’ kare aur agar sajde mein chala gaya ho to shak ki parvah na kare.
-
Jo shakhs kisi makhsus namaaz maslan zuhr ki namaaz mein iis tarah shak karta hai keh kasrat oosi zuhr ki namaaz se makhsus hokar rah jaye, agar woh kisi dusri namaaz maslan ‘asr ki namaaz mein shak kare to zaruri hai keh shak ke ehkaam par ‘amal kare.
-
Jo shakhs kisi makhsus jagah par namaaz padhte vaqt isii kaifiyat ke sathh zayada shak kare jis ka tazkerah peechhe massle mein hua, agar woh kisi dusri jagah namaaz padhe aur oose shak paida ho to zaruri hai keh shak ke ehkaam par ‘amal kare.
-
Agar kisi shakhs ko iis baare mein shak ho keh woh kasarul shak ho gaya hai ya nahin to zaruri hai keh shak ke ehkaam par ‘mal kare aur kasarul shak shakhs ko jab tak yaqeen na ho jaye keh woh logon ki ‘aam haalat par laut aaya hai aur oos ke shak ki booniyaad yeh ho keh aaya oos ki haalat tabdeel huyee hai ya nahin, yeh na ho keh kasarul shak ke m’ani kya hote hain to zaruri hai keh apne shak ki parvah na kare.
-
Agar kasarul shak shakhs, shak kare keh ek rukn baja lay ahia ya nahin aur woh iis shak ki parvah bhi na kare aur phir oose yaad aaye keh woh rukn baja nahin laya aur oos ke ba’d ke rukn mein masshghul na ho to zaruri hai keh oos rukn ko aur jo kuchh oos ke ba’d hai, baja laye aur agar ba’d ke rukn mein masshghul ho gaya ho to oos ki namaaz ehteyaat ki bina par batil hai. Maslan agar shak kare keh ruku’ kiya hai ya nahin aur iis shak ki parvah na kare aur dusre sajde se pahle oose yaad aaye keh ruku’ nahin kiya thha to zaruri hai keh ruku’ kare aur agar dusre sajde ke dauraan oose yaad aaye to oos ki namaaz ehteyaat ki bina par batil hai.
-
Jo shakhs zayada shak karta hai agar woh shak kare keh koi aisa ‘amal jo rukn na ho anjaam diya hai ya nahin aur iis shak ki parvah na kare aur ba’d mein oose yaad aaye keh woh ‘amal anjaam diya, to agar anjaam den eke maqaam se abhi na guzra ho to zaruri hai keh oose aur oos ke ba’d waale af’al ko anjaam de aur agar ooske maqaam se guzar gaya ho to ooaki namaaz sahi hai. Maslan agar shak kare keh alhamd padhi hai ya nahin aur shak ki parvah na kare magar qoonoot padhte huye oose yaad aaye keh alhamd nahin padhi to zaruri hai keh alhamd aur surah padhe aur agar ruku’ mein yaad aaye to ooski namaaz sahi hai.
Imam aur maqtadi ka shak
-
Agar Imam jama’at namaaz ki rak’aton ki t’adaad ke baare mein shak kare, maslan yeh shak kare keh teen rak’atein padhi hain ya chaar rak’atein aur maqtadi ko yaqeen ya gumaan ho keh chaar rak’ati padhi hain aur woh yeh baat Imam jama’at ke ‘ilm mein le aaye keh chaar rak’atein padhi hain to Imam ko chahiye keh namaaz ko tamaam kare aur namaaz-e-ehteyaat ka padhna zaruri nahin aur agar Imam ko yaqeen ya gumaan ho keh kitni rak’atein padhi hain aur maqtadi namaaz ki rak’aton ki t’adaad ke baare mein shak kare to oose chahiye keh apne shak ki parvah na kare. Yahi hukm Imam aur maqtadi ke liye namaaz ke af’al ke baare mein shak maslan sajdon ki t’adaad ke shak ke baare mein hai.
Mustahab namaaz mein shak
-
Agar koi shakhs mustahab namaaz ki rak’aton mein shak kare, agar shak ka zayada wala ‘adad jo namaz ko batil karta hao to zaruri hai keh yeh samajh le keh kam rak’atein padhi hain maslan agar subh ki naflon mein shak kare keh do rak’atein padhi hain ya teen to yahi samajhe keh do padhi hain. Agar t’adaad ki zayadati wala shak namaaz ko batil na kare maslan agar namaazi shak kare keh do rak’ati padhi hain ya ek padhi hai to shak ki jis taraf bhi amal kare oos ki namaaz sahi hai.
-
Rukn ka kam hona nafl namaaz ko batil kar deta hai laikin rukn ka zayada hona oose batil nahin karta. Pas agar namaazi nafl ke af’al mein se koi fa’el bhool jaye aur yeh baat oose oos vaqt yaad aaye jab woh oos ke ba’d waale rukn mein masshgul ho chukka ho to zaruri hai keh oos fa’el ko anjaam de aur dobara oos rukn ko anjaam de maslan agar ruku’ ke dauraan oose yaad aaye keh surah alhamd nahin padhi to zaruri hai keh vapas laute aur alhamd padhe aur dobara ruku’ mein jaye.
-
Agar koi shakhs nafl ke af’al mein se kisi fa’el ke mut’aliq shak kare khawah woh fa’el rukni ho ya ghair rukni aur oos ka mauqa na guzara ho to zaruri hai keh oose anjaam de aur agar mauqa guzar gaya ho to apne shak ki parvah na kare.
-
Agar kisi shakhs ko do rak’ati mustahab namaaz mein teen ya zayada rak’aton ke padh lene ka gumaan ho to chaheye keh oos gumaan ki parvah na kare aur oos ki namaaz sahi hai laikin agar oos ka gumaan do rak’aton ka ya oos se kam ka ho to ehteyaat-e-wajib ki bina par oosi gumaan par amal kare maslan agar oose gumaan ho keh ek rak’at padhi hai to zaruri hai keh ehteyaat ke taur par ek rak’at aur padhe.
-
Agar koi shakhs nafl namaaz mein koi aisa kaam kare jis ke liye wajib namaaz mein sajda sahu wajib ho jata ho ya ek sajda bhool jaye to oos ke liye zaruri nahin keh namaaz ke ba’d sajda sahu ya sajde ki qaza baja laye.
-
Agar koi shakhs shak kare keh mustahab namaaz padhi hai ya nahin aur oos ka koi muqarrar vaqt na ho jaise “namaaz-e-j’afar-e-tayyar” to oose samajh lena chahiye keh nahin padhi. Agar oos mustahab namaaz ka yawmiah nawafil ki tarah vaqt muqarrar ho aur oos vaqt ke guzarne se pahle shak kare keh oose anjaam diya hai ya nahin to oos ke liye bhi yahi hukm hai. Laikin agar vaqt guzarne ke ba’d shak kare keh woh namaaz padhi hai ya nahin to apne shak ki parvah na kare.
Sahi Shakuk
-
Chand suuraton mein agar kisi ko chaar rak’ati namaaz ki rak’aton ki t’adaad ke baare mein shak ho to zaruri hai kaeh fauran ghaur kare aur agar yaqeen ya gumaan shak ki kisi ek taraf ho jaye to oosi ko ikhteyaar kare aur namaaz ko tamaam kare varna oon ehkaam ke mutabiq amal kare jo zeal mein bataye ja rahe hain.
Woh 9 suuratein yeh hain:
-
Dusre sajde ke dauraan shak kare keh do rak’atein padhi hain ya teen. Iis suurat mein oose yuoon samajh lena chahiye keh teen rak’atein padhi hain aur ek aur rak’at padhe phir namaaz ko tamaam kare aur ehteyaat-e-wajib ki bina par namaaz ke ba’d ek rak’at ehteyaat khade ho kar baja laye. Ehteyaat-e-wajib ki bina par baithh kar do rak’at namaaz ehteyaat kafi na hogi.
-
Dusre sajde ke dauraan shak kare keh do rak’atein padhi hain ya chaar yeh samajh lena chahiye keh chaar rak’atein padhi hain aur namaaz ko tamaam kare aur ba’d mein do rak’at namaaz-e-ehteyaat khade ho kar baja laye.
-
Agar kisi shakhs ko dusre sajde ke dauraan shak kare keh do rak’atein padhi hain ya teen ya chaar oose yeh samjh lena chahiye keh chaar rak’atein padhi hain aur woh namaaz khatm hone ke ba’d do rak’at namaa-e-ehteyaat khade ho kar baja laye aur ba’d mein do rak’at baithh kar baja laye.
-
Agar kisi ko dusre sajde ke dauraan shak ho keh chaar rak’atein padhi hain ya paanch to woh yeh samjhe keh chaar rak’atein padhi hain aur iis booniyaad par namaaz ko tamaam kare aur namaaz ke ba’d do sajde sahu baja laye. Yahi hukm har oos suurat mein hai jahan kam az kam shak chaar raak’at par ho. Maslan chaar aur chhe rak’aton ke dirmiyaan shak ho aur har oos suurat mein jahan chaar rak’at aur oos se kam aur oos se zayada rak’aton mein dusre sajde ke dauraan shak kare to oose chaar rak’atein qarar de kar dono shak ke a’maal anjaam de sakte hai y’’ani iis ehtemaal ki bina par keh chaar rak’at se kam padhi hain, namaaz-e-ehteyaat padhe aur iis ehtemaal ki bina par keh chaar rak’at se zayada padhi hain ba’d mein do sajda sahu bhi kare. Tamaam suuraton mein agar pahle sajde ke ba’d aur dusre sajde mein dakhil hone se pahle sapqa chaar shak mein se ek oose pesh aaye to oos ki namaaz batil hai.
-
Namaaz ke dauraan jis vaqt bhi kisi ko teen rak’at aur chaar rak’at ke dirmiyaan shak ho zaruri hai keh yeh samjh le keh chaar rak’atein padhi hain aur namaaz ko tamaam kare aur ba’d mein ek rak’at namaaz ehteyaat khade ho kar ya do rak’at baithh kar padhe.
-
Agar qayaam ke dauraan kisi ko chaar rak’aton aur paanch rak’aton ke baare mein shak ho jaye to zaruri hai keh baithh jaye aur tashahhud aur namaaz ka salaam padhe aur ek rak’at namaaz-e-ehteyaat khade ho kar ya do rak’at baithh kar padhe.
-
Agar qayaam ke dauraan kisi ko teen chaar aur paanch rak’aton ke baare mein shak ho jaye to zaruri hai keh baithh jaye aur tashahhud aur namaaz ka salaam padhe aur do rak’at namaaz-e-ehteyaat khade ho kar padhe.
-
Agar qayaam ke dauraan kisi jo chaar rak’aton aur paanch rak’aton ke baare mein shak ho jaye to zaruri hai keh baithh jaye aur tashahhud aur namaaz ka salaam padhe aur do rak’at namaaz-e-ehteyaat khade ho kar aur ba’d mein do rak’at namaaz baithh kar padhe.
-
Agar qayaam ke dauraan kisi jo paanch rak’aton aur chhe rak’aton ke baare mein shak ho jaye to zaruri hai keh baithh jaye aur tashahhud aur namaaz ka salaam padhe aur do sajda sahu baja laye.
-
Agar kisi shakhs ko sahi shakuk mein se koi shak ho jaye aur namaaz ka vaqt itna tang ho keh namaaz azsar nau na padh sake to zaruri hai keh namaaz na tode aur jo massla bayaan kiya gaya hai oos ke mutabiq amal kare. Laikin agar namaaz ka vaqt vase ho to namaaz tod kar naye sare se bhi padh sakta hai.
-
Agar koi shakhs tashahhud mein masshgul hone se pahle ya oon rak’aton mein jin mein tashahhud nahin hai qayaam se pahle shak kare keh ek ya do sajde baja laya hai ya nahin aur oosi vaqt oose oon shakuk mein se koi shak lahaq ho jaye jo do sajde tamaam hone ke ba’d sahi ho to oos ki namaaz sahi hai.
-
Agar koi shakhs qayaam ki haalat mein teen aur chaar rak’aton ke baare mein ya teen, chaar aur paanch rak’aton ke baare mein shak kare aur oose yeh bhi yaad aa jaye keh oos se pahli rak’at ka ek sajda ya dono sajde ada nahin kiye to oos ki namaaz batil hai.
-
Agar kisi ka shak za’el ho jaye aur koi dasra shak oose lahaq ho jaye maslan pahle shak kare keh do rak’atein padhi hain ya teen rak’atein aur ba’d mein shak kare keh teen rak’atein padhi hain ya chaar rak’atein to zaruri hai keh dusre shak ke mutabiq ehkaam par amal kare.
-
Jo shakhs namaaz ke b’asd shak kare keh namaaz ki haalat mein misaal ke taur par oos ne do aur chaar rak’aton ke baare mein shak kiya thha ya teen aur chaar rak’aton ke baare mein shak kiya thha to dono shakuk ke hukm par amal kar sakta hai aur namaaz ko batil karne waale kisi ka hukm ko anjaam de kar woh namaaz dobara bhi padh sakta hai.
-
Agar kisi shakhs ko namaaz ke ba’d pata chale keh namaaz ki haala mein oose koi shak lahaq ho gaya thha laikin yeh na janta ho keh woh shak namaaz ko batil karne waale shakuk mein se thha ya sahi shakuk mein se thha to zaruri hai keh namaaz ko dobara padhe aur agar eyh janta ho keh shak sahi shakuk mein se thha ya sahi shakuk mein se thha to zaruri hai keh namaaz ko dobara padhe aur agar yeh janta ho keh woh shak sahi shakuk mein se thha laikin yeh na janta ho keh oos ka ta’luq sahi shakuk ki kaoon si qism se thha to oos ke liye jayez hai keh namaaz ko dobara padhe.
-
Jo shakhs baithh kar namaaz padh raha ho agar oose aisa shak lahaq ho jaye jis ke liye oose ek rak’at namaaz-e-ehteyaat khade ho kar ya do rak’at baithh kar padhni chahiye to zaruri hai keh ek rak’at baithh kar padhe aur agar woh aisa shak kare jis ke liye oose do rak’at namaaz-e-ehteyaat khade ho kar padhni chahiye to zaruri hai keh do rak’at baithh kar padhe.
-
Jo shakhs khada ho kar namaaz padhta ho agar woh namaaz-e-ehteyaat padhne ke vaqt khada hone se ‘ajiz ho jaye to zaruri hai keh namaaz-e-ehteyaat oos shakhs ki tarah padhe jo baithh kar namaaz padhta hai aur jis ka hukm sabqa massle mein bayaan ho chukka hai.
-
Jo shakhs baithh kar namaaz padhta ho agar namaaz-e-ehteyaat padhne ke vaqt khada ho sake to zaruri hai keh oos shakhs ke vazife ke mutabiq amal kare jo khada hokar namaaz padhta hai.
Do'stlaringiz bilan baham: |