Mubtilat e namza kapray
User Info.
|
Ashfaq Hussain - hussainashfaq057@gmail.com - Okara - Pakistan
|
Question ID
|
15130
|
Question Date
|
Wednesday, August 01, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
kia pent fold karne se namaz nahi hoti agar nahi to hadis ka hawala bhi digiye shukriya
|
Is se namaz batil nahe hote hai. Aur zaroori hai k mard chahae osay koi bhi dekh na raha ho namaz ki halat mai apni sharamgahoo ko dhapain aur behtr ye hai k naaf sai ghutnoo tak badan bhi dhapain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1113,776) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ehtilam ka wazifa
User Info.
|
Umar - Umariqbal755@yahoo.com - sialkot - pakistan
|
Question ID
|
14706
|
Question Date
|
Tuesday, July 10, 2012
|
Mujtahid Name
|
quran
|
Question
|
sir ma ap se phyly b du bar puch chuka hu ye sawal lakin muje koi jawab nai mila sir is bar zaror jawab dena sawal ye ha k ma mushtzani chur di ha lakin phir b har char panch din bad rat ko sooty waqt nikal jata ha yani ehtelam huta ha ma is k bary ma buhat pareshan hu muje is hal btaye tafseel ma a
|
Sonay say pehlay ba-wazoo halat mai surah e mea’rij(surah no. 70) ko aik martaba parhay aur surah e noor likh kar takiay(pillow)k nichay rakhay to ehtilam sai mehfooz rehay ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Shadi
User Info.
|
Muhammad Rauf - mr.rauf143@gmail.com - Lahore - Pakistan
|
Question ID
|
19525
|
Question Date
|
Tuesday, October 23, 2012
|
Mujtahid Name
|
Shadi
|
Question
|
Assalam o Alaikum muje 1 hadees chahye k shadi se pahle piyar karna haram hai ya halal hai es k mutalik koi hadees or biyan hai to plz muje un k link send karian
|
Kisi bhi gair ekhtiri amal par shriat koi hokum nhi lagati hai laikin yad rahay, shriat kisi bhi aisay irtebat ki khabi ijazat nhi deti jo inhay haram ki taraf lai janay wala ho. Is k alawa shadi sai pehlay mangetar sai aam mamool ki baat cheet krna jis k andar koi shawat angaiz baat na ho, koi haraj nahi hai laikin is mai bhi shrt hai k is sai koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram mai parnay ka dar ho . (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 137,pg # 65)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Ehtilam
User Info.
|
Anas - anas_razi@yahoo.in - Chennai - India
|
Question ID
|
19507
|
Question Date
|
Tuesday, October 23, 2012
|
Mujtahid Name
|
Raat mein Ehtilam say
|
Question
|
Assalam allikum. Im a 25 years old guy, atleast in a 4 days sotey mein khwab mein mujhe kisi ke sath kuch karte huwe us ke baad ethelam ho jata hai.. kya ye garmi ki wajah se hai ya tandik ki wajah se.. coz i feel very cold then i used mota barsheet then i feel hot.. kya aye wajah hai..?why this happen? Reply me fast Thanks
|
Sonay say pehlay ba-wazoo halat mai surah e mea’rij(surah no. 70) ko aik martaba parhay aur surah e noor likh kar takiay(pillow)k nichay rakhay to ehtilam sai mehfooz rehay gain. (Ref : Naway e salaheen pg # 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Shadi biah
User Info.
|
Muhammad Imran - imran_mentor@yahoo.com - - pakistan
|
Question ID
|
19246
|
Question Date
|
Monday, October 22, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
MERA SAWAL HE K SHADI K BAD APNI BIVI K SATH JINNABT ISLAMIC TARIQE SE KESE KI JAI TAK K KHAWAND OR BIVE DONO KA KOI LOSS NA HO PHISYCALL
|
1)Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hai k jima k waqt mustahab hai k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab biwi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makrooh hain un main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena, 5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main , 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna, 8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9.berhana (naked) halat main jima kerna, 10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna, 11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 )
2)Hambistari ki dua: Mustahabb hai k hambistari say pehlay apna haath biwi ki peishani k baal (hair of forehead) par rakhay aur ye dua perhay: ﺍﻠﻠﻬﻢ ﻋﻠﻰ ﻛﺘﺎﺑﻙ ﺘﺰﻮﺠﺘﻬﺎ ﻮ ﻔﻰ ﺍﻤﺎﻨﺘﻙ ﺍﺨﺬﺘﻬﺎ ﻮ ﺑﻛﻠﻤﺎﺘﻙ ﺍﺴﺘﺤﻠﻠﺖ ﻔﺮﺠﻬﺎ ﻔﺎﻦ ﻘﻀﻴﺖ ﻠﻰ ﻔﻰ ﺮﺤﻤﻬﺎ ﺷﻴﺌﺎ ﻔﺎﺟﻌﻠﻪ ﻤﺴﻠﻤﺎ ﺴﻮﻴﺎ ﻮ ﻻﺘﺠﻌﻠﻪ ﺸﺮﻚ ﺍﻠﺸﻴﻄﺎﻦ (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa bekalematekastahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”) Tarjuma: “Yaa Allah main nay teri kitaab k mutabiq is say nikah kia or teri amanat mai is ko lia hai or teray kalimaat k zarie sai is ki sharam gaah ko halaal kia, pas agar tu nai is k raham mai meray lie koi cheez ka faisla kia hay to is ko musallam aur kaamil qarar dai aur is main shitan ki shrkat na qarar dai.” (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,maslah # 4)
Note : Hambistri knay ka tareeqa maloom krnay k lie aap kitab islam aur jinsiaat mai sai parh saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Haiz
User Info.
|
Naimuddin - Aarbazk@gmail.com - Kolkata - India
|
Question ID
|
18088
|
Question Date
|
Thursday, October 18, 2012
|
Mujtahid Name
|
Muamilaat
|
Question
|
Assalamoalaikum.. Sir mera question ye hai kya ladki log period(mense) jitna din chalega utna din Quran pak k ayat padh sakta hai? Pls pls give my ans. As soon as possible
|
1)Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay sai sajda karna wajib ho jata hai un Ayaat ko halat haiz main parhna haram hay. wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wan-najam Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain. Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 467)
2)haa’iz k lie mustahabb hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai paak kray aur wazoo kray aur agar wazoo na kar sakay to tayammum kray aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua aur salwaat mai mashgool ho jae. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Istemna
User Info.
|
Sham - Shamsulhaque692@gmail.Com - Varansi - India
|
Question ID
|
19523
|
Question Date
|
Tuesday, October 23, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Assalamo alaikum main 19 year ka hu aur main pichale 4 saalo se musterbate karta hu kya ye haraam hai agar hai to ise chodne ka koi tarika bataye plz answer.
|
1)Istemna krna haram hai chahae kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253) 2)Sub sai pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehad or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day kar aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani kar rahay hain. aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof kar lain jaisay sport, kitab perhna waghira, or har os cheez sai bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).3) Jo shaks shadi nah kerne ki wajah se haram kaam main mubtila hota ho os per wajib hay k shadi karay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # 2407). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Zakat ka malik Zakat ko ehtiyat e lazim ki bina par imam ya naib e imam(mujtahid) ki ijazat k bagair fi sabil allah yani wo kaam jin ka faida tamam muslmano ko hota ho maslan masjid ya imam bargah tamer karana wagira mai istemal nahi kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1889)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Rozay k ahkam
User Info.
|
Muhammed - getonline2@gmail.com - Dubai - UAE
|
Question ID
|
15131
|
Question Date
|
Wednesday, August 01, 2012
|
Mujtahid Name
|
Ayatullah Sestani
|
Question
|
AOA,ayam e Ramdhan mey husband & wife humbistari kertay hain aur neyat karain kay sehree say peghlay gusal etc. Laikin, neend ka galba honay ke waja say sehree may nahe uth sakhe aur jub uthay to waqt-e-sahar guzray 2 ghantay ho chukee thay, phir wo foree gusal kerlain aur khana turq kerain to ye roza sahee mana jaee ga? Jazakallah.
|
1)Agar kohe sharks ramzan ki kise raat junub (ghusal janabat wajib )ho aur yaqeen ya itmenaan rakhta ho k agar sogaya to subah ki aazaan se phele bedaar ho jaay ga aur is ka musmam irada ho k bedaar hone k baad ghusal kare ga aur is irade k sath so jay aur aazaan tak sota rahe to is ka roza sahe hai . (ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1600) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Janab e Imam e zamana (a.s.) se mankool he k dushmanoo k door karney, un ki ros’va’e, sahar(magic) ko be asar karney aur maqasid e deni aur dunyaei pura honay ke lie dua saba’sab bari afadiat rakhti he.( ref kitab wazzif ul abrar pg no 121). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
General
User Info.
|
sajid lai - mushtaq101@yahoo.com - karachi - pakistan
|
Question ID
|
15132
|
Question Date
|
Wednesday, August 01, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Assalam o Aliqum mmujhe yeh jannna hai ke ramdan sarif kon se hijri me farz howa <
|
2 (doosri) hijri me rozay farz hoay.(Ref : 14 sitare ,Mulana Syed Najamul Hasan,pg no 66) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Jamat k ahkam
User Info.
|
shaz - Shazrais@gmail.com - Kanpur - India
|
Question ID
|
15133
|
Question Date
|
Wednesday, August 01, 2012
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Namaaz Ba-Jamaat ke liye kis waqt khade hona chaiye?
|
Mustahab hai k qad qa’ma’tis salah khenay k baad muqtade (jamat k sate namaz perne wale) khare ho jain . (ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1465) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Na mehram
User Info.
|
Kanwal - nuzi_kh@yahoo.com - Karachi - Pakistan
|
Question ID
|
15127
|
Question Date
|
Wednesday, August 01, 2012
|
Mujtahid Name
|
Kiss leyna
|
Question
|
Meri mangani 2010 mn jis se mn love karti the us se ho gai hai, 2009 mn mn kisi or larkey k sath milney us ki gari mn bethi us ne mery hath pe kiss kia or mn gari se utar kar chali gai, mn ne 2 month tak us larkey se phone pe gap shap ki, Please batain islam k lehaz se mujy kia karna chaiye or ye baat jab mn ne apney mangetar ko bataee us k baad wo mujy tanz or shak ki nigah se dekhta hai is ka kia hal hai PLease must Replyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyy
|
1)jins e mukhalif se dosti kerna aur baat cheet karna jaiz nhi q k gunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
2 Mangetar na mehram he aur Mangetar se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho, karnay mai koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
If a Pak thing touches a najis thing and if either or both of them are so wet that the wetness of one reaches the other, the Pak thing will become najis. Similarly, if the wetness of the thing which has become najis, touches a third thing, that third thing will also become najis. It is commonly held by the scholars, that a thing which has become najis transmits its najasat, but indefinite number of transmissions is improbable. In fact, after certain stage it is Pak.
For example, if the right hand of a person becomes najis with urine, and then, while still wet, it touches his left hand, the left hand will also become najis. Now, if the left hand after having dried up, touches a wet cloth, that cloth will also become najis, but, if that cloth touches another wet thing, it cannot be said to be najis. In any case, if the wetness is so little, that it does not affect the other thing, then the Pak thing will not become najis, even if it had contacted the Najisul Ayn. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Rizq
User Info.
|
Faheem Ahmed - Faheemahmedusmani@google.com - Mambai - India
|
Question ID
|
34555
|
Question Date
|
Wednesday, January 30, 2013
|
Mujtahid Name
|
|
Question
|
Assalam o alaikum mai 1 tajir banna chata hu koi mujrab wazifa taleem farma de
|
Jo shakhs surah e hijr surah no. 15 ko likh kar apnay bazoo k sath bandh lai to os ki khareed o farookth ziada ho jae gi, log os say karoobar karna behtr samjhain gay aur jab tak ye likha hua is k pas ho ga Khuda k hokum say is ka rizq ziada ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 27) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Ok
quran
User Info.
|
sheema - haleema_ayesha@rocketmail.com - hyderabad - india
|
Question ID
|
34620
|
Question Date
|
Wednesday, January 30, 2013
|
Mujtahid Name
|
ayat info
|
Question
|
wo kausi surah ki ayat thi ,.aur wo kounsi ayat thi jisme hazarath ayesha r.a ki pakdamani ka zikar kiya hai,,,,bahoot se moulana ni iska tafser mai ye kaha kai pakdaman ladkon ko pakdaman ladkiyan milangi kiya ye sahin hai aur app plz maiko ye sureh ka naam with refernce to ayat bataye.n kiya pir jo pakdaman nahi hai unko pakdaman nahi milangay????????????????????
|
Do'stlaringiz bilan baham: |