QURAN Pak mein ALLAH TA’ALA ka irshad hei:
“Ae HABIB(Salla lahu Alaihe Wassallam) ! Logoon Se Farma Dijye ke Agar Tum ALLAH ko Mehboob Rakhte Ho To MERI itteb’a Karo ,ALLAH Tum Se Muhabbat Kare Ga..aur Tumhare Gunah Bakhsh De Ga, Beshak ALLAH GHAFOOR aur RAHEEM hei.”
(Al-IMRAN:31)
ALLAH TA’ALA apni Muhabbat hasil karne Ka Rasta logoon ko bata raha hei Ke MERA Mehboob Banna hei aur Agar Tumhen MUJH se Muhabbat Ka Dawa hei To MERE HABEEB(Salla lahuAlihe Wassallam) ki Itteb’a aur Ata’at Karo. ALLAH ki Ata’at Lazim hai Lekin Itteb’a Namumkin, Jabk HUZOOR NABI PAK(Salla lahu Alaihe Wassallam) ki Itteb’a aur Ata’at donoon lazim hein. Isliye ALLAH ne APNAY HABIB ki Itteb’a ka Hukm diya hai. Matlab kehne ka yeh hai k:
Jab Tak NABI Pak(Sallal lahu Alaihe Wassallam) Se Har Cheez se Bar Kar Muhabbat Nahi Karo Ge, Tumhara EMAAN mokammal nahi Ho ga.
Jab Tak REHMAT UL-LILA’ALMEEN( Salla lahu Alaihe Wassallam) Ki Nisbat Ko Nahi Pehchano Ge, RAHMAAN ki Rehmat Ka Shaoor hasil Nahi Kar sakte
Jab Tak Zaat-e- MUHAMMAD(Sallal lahu Alaihe Wassallam) ki Rifa’t aur Azmat ka ilm hasil nahi Karo ge, ALLAH ki Qudrat ko nahi jan sakte, Os ke Irfan ko nahi pa sakte.
Jab Tak Ommattiy-e-RASOOL( Sallal lahuAlaihe Wassallam) Jesi Anmol Ne’imat ka Shukr ada Nahi Karo ge, , ALLAH TA’ALA ke Ehsanat aur Ne’imatoon ki ,Jo is Nisbat ke Sadqay se mili hein, qadar o Manzilat se mehroom Raho ge.
Jab Tak NABI Kareem(Salla lahu Alaihe Wassallam) Ki Ata’at Nahi karo Ge, ALLAH ke Farmanbardar Nahi Ban Sakte.
Jab Tak MUHammad Mustafa ( salla lahu Alaihe Wassallam) Se Wafa Nahi Karo ge, RABB E KAREEM ke Mehboob Nahi Ban Sakte.
Ta’zeem e NABI aur Ahteram e NABI( Sallal lahu Alihe Wassallam) mein Sartapa ADAB ban jao. Agar Zara Si bi Gustakhi Ki to Tumhari Sari Ebadat aur Amal ALLAH ki Bargah mein Zaya hon ge.
Jab Tak HABEEB E KHUDA(Salal lahu Alaihe Wassallam) ko Razi nahi Karo ge, KHUDA ko RAZI nahi kar sakte.
Apnay Dil mein ALLAH ki Muhabbat ke Charagh ko ISHQ E RASOOL(Salla lahu Aliahe Wassallam) Se Aag Lagao, Tabhi Tumhara Zahir aur Batin MUNAWWAR ho ga.
Tumhari ROOH par Bala-e-A’ala ke Anwar ki Barish Tabhi Ho gi Jab DAR-e- MUSTAFA(Sallal lahu Alaihe Wassallam) se Rohani Faiz lo ge.
ALLAH TA’ALA tak Rasa’iy ,Sirf NABI PAK(Salla lahu Alaihe Wassallam) k Waseele se Mumkin hai aur NABI PAK(Salla lahu Alaihe Wassallam) tak Rasa’iy Murshid e Kamleen ke Zarye se hoti hai.
HUZOOR PAK(Salla lahu Alaihe Wassallam) ke AHL e BAITt, SAHABA KARAM, TABA’EEN, AA’IMA ARB’A,FUQHA aur OLIA ALLAH, in Sab se Muhabbat aur Aqeedat EMAAN ka lazmi hissa hai. In ke Naqsh e Qadam par chal kar hi HUZOOR PAK(Salla lahu Alaihe Wassallam) ki Itteb’a aur Ata’at ho sakti hai.
ALLAH TA”ALA ne Bandoon ki HADAYAT aur RAHNUMAI ke bohat se Waseeley peda kiya hein, zaroorat un ko Tasleem karne aur Apnaney ki hai.
Ma’eh Khanay Bohat ziada hein, Pilaney Waley bhi Bohat hein, Zaroorat sirf JAAM ki hai.
Raasta Buhat Wazeh aur Aasan hai, Zaroorat sirf Qadam othanay ki hai. ALLAH ke Nek aur Moqarrab Bandoon se Talluq mazboot karo,in ki Rahnumai mein Quran o Sunnat ke Motabiq amal karne mein hi ALLAH aur RASOOL(Salla lahu Alaihe Wassallam) ki ATA’AT hai. Yehi “SIRAT e MUSTAQEEM” hai.
ALLAH TA’ALA ne apne Bandoon ko Pehli DUA yehi sikhai hai:
“AE ALLAH ! Hamen Seedha Raasta Dikha, Un Logoon ka Raasta Jin Par TOO ne APNA IN’AM Kiya.”
(Al-FATIHA:05)
Ae Bande ! Oth ,Sanwar Ja. Sari Zindagi RABB se Door reh kar Ghaflat mein Guzar Di.Duniya ki Lazzatoon aur Nafs ki Khawaishoon mein apna Bara Nuqsan kar liya. Apnay Rabb aur Os ke HABEEB(Salla lahu Alaihe Wassallam) ko mana le. Touba Ka Darwaza ab bhi khula hei,. Rehmat ka Darya ab bhi Jari Hai Muhlat Tere pass ab bhi hai. Jo Baqi Zindagi Rah Gai hai Os ko ALLAH ke Moqarrabeen se Wabasta Ho Kar HABEEB E KHUDA(Salla lahu Aalihe Wassallam) ki Sachi Ghulami mein guzar de.
Ae Bande ! Agar Too Ne AAQA(Alaih Salat u Wassalam) ke Ishq o Adab aur Wafadari Se RABB TA’ALA ko Razi kar liya ,to Pata hai ! RABB Tujhay kia At’a Kare Ga ? :
KI MUHAMMAD(SallaL lahuAlaihe Wassallam) SE WAFA TOO
NE,TO HUM TERE HEIN,
YEH JAHAN CHEEZ HAI KIA, LOH O QALAM TERE HEIN…
Jo HABEEB E KHUDA MUHAMMAD MUSTAFA ka ho gia, KHUDA Os ka Ho Gia.
Ya Rabb! Mujay Dolat-e-Bekali Milay
Mujay Izteraab Ki Lehar Milay,
Yoon Doboob ISHQ-E-NABI Mein,
k Mujay Apni Bhi Na Khabar Milay.
Do'stlaringiz bilan baham: |