Lyrics – Index
Song Page
1) Kissi ki muskarahato pe ho nissar…………………….………………………………………………………………………….2
2) Mere Sapno ki rani………………………………………………………………………………………………………………………….3
3) Hai apna dil to awara………………………………………………………………………………………………………..……………5
4) Pal pal dil ke pass…………………………….…………………………………………………………………………………………..7
5) Ajeeb Dasta hai ye………………………………….………………………………………………………………………..…………………8
-
Kisi Ki Muskurahaton
Kisi ki muskurahaton pe ho nisar
Kisi ka dard mil sake to le udhaar
Kisi ke waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena isi ka naam hai
Kisi ki muskurahaton pe ho nisar
Kisi ka dard mil sake to le udhaar
Kisi ke waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena isi ka naam hai
Maana apni jeb se fakeer hein
Phir bhi yaaron dil ke ham ameer hein
Maana apni jeb se fakeer hein
Phir bhi yaaron dil ke ham ameer hein
Mitte jo pyaar ke liye woh zindagi
Chale bahaar ke liye woh zindagi
Kisi ko ho na ho hamein to aitbaar
Jeena isi ka naam hai
Kisi ki muskurahaton pe ho nisar
Kisi ka dard mil sake to le udhaar
Kisi ke waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena isi ka naam hai
Rishta dil se dil ke aitbaar ka
Zinda hai hami se naam pyaar ka
Rishta dil se dil ke aitbaar ka
Zinda hai hami se naam pyaar ka
Ki marke bhi kisi ko yaad ayenge
Kisi ke aansuo mein muskuraanyenge
Kahega phool har kali se baar baar
Jeena isi ka naam hai
Kisi ki muskurahaton pe ho nisar
Kisi ka dard mil sake to le udhaar
Kisi ke waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena isi ka naam hai
-
Mere Sapno ki Rani
Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, tu chali aa
Mere sapno ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastani kab aayegi tu
beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, aa tu chali aa
Pyaar ki galiyaan, baagon ki kaliyaan
Sab rang raliyaan poochh rahi hain
Pyaar ki galiyaan, baagon ki kaliyaan
Sab rang raliyaan poochh rahi hain
Geet panghat pe kis din gaayegi tu
Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, tu chali aa
Phool si khilke, paas aa dil ke
Door se milke chain na aaye
Phool si khilke, paas aa dil ke
Door se milke chain na aaye
Aur kab tak mujhe tadpaayegi tu
Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, tu chali aa
Kya hai bharosa aashiq dil ka
Aur kisi pe yeh aa jaaye
Kya hai bharosa aashiq dil ka
Aur kisi pe yeh aa jaaye
Aa gaya to bahut pachtaayegi tu
Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, tu chali aa
Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, haan tu chali aa
Chali aa, haan tu chali aa
Chali aa, haan tu chali aa
-
Hai apna Dil to Awara
Hai apna dil to awara
Hai apna dil to awara
Na jaane kispe aayega
Hai apna dil to awara
Na jaane kispe aayega
Haseenon ne bulaya
Gale se bhee lagaya
Bahot samazaaya,
Yahee na samaza
Haseenon ne bulaya
Gale se bhee lagaya
Bahot samazaaya,
Yahee na samaza
Bahot bhola hain bechara
Na jaane kis pe aayega
Hai apna dil to awara
Na jaane kispe aayega
Ajab hain deewaana
Na dar na thikana
Jameen se begana
Falak se juda
Ajab hain deewaana
Na dar na thikana
Jameen se begana
Falak se juda
Ye yek toota hua tara
Na jaane kis pe aayega
Hai apna dil to awara
Na jaane kispe aayega
Jamaana dekha sara
Hain sab ka sahaara
Ye dil hee humaara
Hua na kisee ka
Jamaana dekha sara
Hain sab ka sahaara
Ye dil hee humaara
Hua na kisee ka
Safar mein hain ye banjara
Na jaane kis pe aayega
Hai apna dil to awara
Na jaane kispe aayega
Hua jo kabhee raajee
To mila naheen kaajee
Jahan pe lagee baazee
Wahee pe hara
Hua jo kabhee raajee
To mila naheen kaajee
Jahan pe lagee baazee
Wahee pe hara
Zamaane bhar ka nakara
Na jaane kis pe aayega
Hai apna dil to awara
Na jaane kispe aayega.
-
Pal Pal Dil Ke Pass
Pal Pal Dil Ke Paas Tum Rehti Ho
Pal Pal Dil Ke Paas Tum Rehti Ho
Jeevan Meethi Pyaas Yeh Kehti Ho
Pal Pal Dil Ke Paas Tum Rehti Ho
Har Shaam Aankhon Par
Tera Aanchal Lehraye
Har Raat Yaadon Ki
Baarat Le Aaye
Main Saans Leta Hoon
Teri Khushboo Aati Hai
Ek Mehka Mehka Sa
Paigaam Laati Hai
Mere Dil Ki Dhadkan Bhi
Tere Geet Gaati Hai
Pal Pal Dil Ke Paas Tum Rehti Ho
Kal tujhko dekha tha maine apne aangan mein
Jaise keh rahi thi tum mujhe baandh lo bandhan mein
ye kaisa rishta hai
yeh kaise sapne hai
begane hokar bhi
kyu lagte apne hai
main socch main rehta hoon
dar dar ke kehta hun
Pal Pal Dil Ke Paas Tum Rehti Ho
Tum Sochogi Kyon Itna
Main Tumse Pyaar Karoon
Tum Samjhogi Deewana
Mein Bhi Iqraar Karoon
Dewaanon Ki Yeh Baatein
Deewane Jaante Hain
Jalne Mein Kya Mazaa Hai
Parwane Jaante Hain
Tum Yunhi Jalate Rehna
Aa Aakar Khabon Mein
Pal Pal dil ke pass
tum rahti ho
jeevan meethi pyaas
tum rehti ho
Pal Pal dil ke paas
tum rehti ho
-
Ajib Dastan Hai Yeh
Ajib dastan hai yeh
Kaha shuru kaha khatam
Yeh manjile hai kaun si naa
Woh samajh sake naa ham
Ajib dastan hai yeh
Kaha shuru kaha khatam
Yeh manjile hai kaun si naa
Woh samajh sake naa ham
Yeh roshni ke sath kyu
Dhuan utha chirag se
Yeh roshni ke sath kyu
Dhuan utha chirag se
Yeh khwab dekhti hu mai
Ke jag padi hu khwab se
Ajib dastan hai yeh
Kaha shuru kaha khatam
Yeh manjile hai kaun si naa
Woh samajh sake naa ham
Mubarke tumhe ke
Tum kisi ke nur ho gaye
Mubarke tumhe ke
Tum kisi ke nur ho gaye
Kisi ke itne pas ho ke
Sab se dur ho gaye
Ajib dastan hai yeh kaha
Shuru kaha khatam
Yeh manjile hai kaun si naa
Woh samajh sake naa ham
Kisi kaa pyar leke tum
Naya jahan basaoge
Kisi kaa pyar leke tum
Naya jahan basaoge
Yeh sham jab bhi aayegi
Tum hamko yad aaoge
Ajib dastan hai yeh
Kaha shuru kaha khatam
Yeh manjile hai kaun si naa
Woh samajh sake naa ham.
| Page
Do'stlaringiz bilan baham: |