Sajaya baagh apna to kamaal kya kiya,
Auron ka aashian saja kar dikha,
Zaban shamshir hai, miaan men hi rakh,
Tanz o tanqid nahin, dil naghmon se behla,
Pyaari hoti hai fitratan zeest sabko apni,
Tu jee kar auron ke liye jahan ko dikha,
Amaal tere sab nek hi rahen,
Baad e marg, ai dost, zinda reh kar dikha,
Turbat tak aya hai chal kar tu, 'Sahil',
Na kaandha, na janaza , ek tamasha aur karte ja.
79.
Is daur ka kya kahun, yeh daur e siyasat hai,
Bata 'Sahil' tu hi bata ya daur e jahalat hai,
Jhukate hain sab, sar shaikh ke aage,
Riyakaari kahun ya yeh daur e sadaqat hai,
Kabhi baron ka ehtiram hua karta tha farz,
Aaj dekhiye yeh daur e jasaarat hai,
Aina bhi mutee hai, jaise dekhna chaho, dekho,
Isey maslahat kahun ya yeh munafaqat hai,
Jaata hun main shauq se maikhane har roz,
Bata, ai vaaiz, illat kahun ya yeh ziyarat hai,
Mahabat men an ban to hoti hi hai,
Isey adavat kahun ya yeh nazakat hai,
'Sahil', giley shikwe mat kar tanqid mat kar,
Qabool kar le, yeh khuda ki nazaamat hai
Ya khudaya, gar hai teri nizamat hai,
To kya insaan ki phir shaamat hai
80.
Sabr kar, saabir ban, waqt hai tere saath,
Raftah raftah chal kar 'Sahil' waqt ko haa
81.
Aisa to na tha 'sahil' zamane men kabhi,
Tu hi bata jahan men, kahan chain o aman hai,
Ai ahl e siyasat nai rang mat dikhao,
Is mulk ko mat baanto, yeh sab ka watan hai,
Phool sabke hain barabar, baharen bhi sabki,
Gulshan hai tumhara to mera bhi chaman hai,
Gulaab tumko ho mubarak mera saman hai,
Gar sahan hai tumhara to mera aangan hai,
Kya pehnun, kya seekhun, kya padhun, kya karun,
Haq hai yeh mera, mera hi tan man hai,
Pesh raft pe tawajjo zururi hai, magar,
Us laash ko bhi dekho jo be gor o kafan hai,
Aansu na baha 'sahil', chashm num na kar,
Dhool jhonkna bhi to aakhir khud men ek fan hai.
82.
Ai ahl e siyasat nai rang mat dikhao,
Is mulk ko mat baanto, yeh sab ka watan hai,
Phool sabke hain barabar , baharen bhi sabki,
Gulshan hai tumhara to mera bhi chaman hai,
Gulaab tumko ho mubarak mera saman hai,
Gar sahan hai tumhara to mera aangan hai,
Kya pehnun, kya seekhun, kya padhun, kya karun,
Haq hai yeh mera, mera hi tan man hai,
Pesh raft pe tawajjo zururi hai, magar,
Us laash ko bhi dekho jo be gor o kafan hai,
Aansu na baha 'Sahil', chashm num na kar,
Dhool jhonkna bhi to aakhir khud men fan hai.
83.
Ahl - e- Siyasat Ke Naam
Ai ahl -e- siyasat gulaab tumko hon mubarak, mera saman hai,
Gar sahan hai tumhara to mera aangan hai,
Nai gul na khilao, nai rang mat dikhao,
Is mulk ko mat baanto, yeh sab ka watan hai,
Phool sabke hain barabar, baharen bhi sabki,
Gulshan hai tumhara, to mera bhi chaman hai,
Kya pehnun, kya seekhun, kya padhun, kya karun,
Haq hai yeh mera, mera tan man hai,
Pesh raft pe tawajjo zururi hai, magar,
Us laash ko bhi dekho, jo be gor o kafan hai,
Aisa na tha 'Sahil' zamane men kabhi,
Tu hi bata dost, kahan chain o aman hai
Aansu na baha, chashm num na kar,
Dhool jhonkna bhi to aakhir, khud men ek fan hai.
84.
Charagh ki lau hawa men jalti bujhti hai
'Sahil', dil ko taskin kh-moshi men milti hai ,
Hua karti thi baazaaron men garmi bahot
Aaj jaan ko bhi dekho, kitni sasti bikti hai,
Kabhi sunte they naghme bulbul ke yahan
Na jaane yeh aaj kis ki ujdi basti hai,
Hum to bhule hain raah maikade ki bhi yaro,
Unki aankhon men na jaane kaisi masti hai,
Nahin jaana hai ab kisi ma'bad ya khumgah,
Ai vaaiz o saqi kya yeh bhi zabardasti hai,
Dil men jhaanko, asl jauhar to rooh hi hai
Dar ba dar dhundte ho kyon, wo baatin men basti hai
Maula, dua karte they log sukun ki tujhse
Aaj badat ka naam daulat parasti hai
Kya bigadegi uska qismat bhi 'sahil',
Jis ke chehre pe tabassum, mizaaj faaqa masti hai.
85.
Taveel hoti hai bahot dastaan zindagi ki,
Kuch waqt to lagega sunaane men usey,
Deewana hai dil, rehte hain gham bhi kuch mustaqil,
Kuch waqt to lagega ab samjhaane men usey,
Veeraan dasht men jab rakha hai tu ne gaam, musaafir,
Phir kuch waqt to lagega sajaane men usey,
Rooth jaati hai kyon na jaane jaan hamari,
Humne kya na kiya manaane ko usey,
'Sahil', ik umr guzri hai yaad karte jisey,
Kuch waqt to lagega ab bhulaane men usey.
86.
Dopahar ho gayi hai janab,
Badalon se tapak raha hai aab,
Chashm num hain , dil hai udaas,
Guzra hai mausam jo tha kabhi taab,
Nahin milta hai sabko jahan men sawaab,
Kuch rehte hain armaan, kuch rehte hai khwab,
Yaad aati hai watan ki jab bhi mujhe, yaro,
Yaad aati hai raavi aur wo darya Chenaab.
Us watan ki lau uski aab o taab,
Wo chahchahati bulbul us gulshan ka gulaab,
Dhundta hun main phir taskin 'Sahil',
Ke aaj dil hai afsurda, bahot be taab.
87.
Na soor zakhm ko teri yaad ne bharne na dia,
Chaah bhi thi zaalim jis ne marne na dia,
Hum to pareshan they hi, be haal they bahot,
Kambakht be shab ne phir raat bhar soney na dia,
Sookhi thi dil ki kisht bhi, be barg o bar, aaj,
Na meharbaan tha falak jisne boney na dia,
Kotaahi na hui qasd men, lekin,
Muqqadar ki riza ne kuch karne na dia,
Dil bhar aata tha aksar manind e sailaab, yaro,
'Sahil', per ana bhi thi aisi jisne roney na dia
88.
Charagh ki lau hawa men jalti bujhti hai
'Sahil', dil ko taskin kh-moshi men milti hai ,
Hua karti thi baazaaron men garmi bahot
Aaj jaan ko bhi dekho, kitni sasti bikti hai,
Kabhi sunte they naghme bulbul ke yahan
Na jaane yeh kis ki ujdi basti hai,
Hum to bhule hain raah maikade ki yaro,
Unki aankhon men na jaane kaisi masti hai,
Nahin jaana hai ab kisi ma'bad ya khumgah,
Ai vaaiz o saqi, kya yeh bhi zabardasti hai,
Dil men jhaanko, asl jauhar to rooh hi hai
Dar ba dar dhundte ho kyon, wo baatin men basti hai
Maula, dua karte they log sukun ki tujhse
Aaj badat ka naam daulat parasti hai
Kya bigadegi uska qismat bhi 'sahil',
Jis ke chehre pe tabassum, mizaaj faaqa masti hai.
89.
Taveel hoti hai bahot dastaan zindagi ki,
Kuch waqt to lagega sunaane men usey,
Deewana hai dil, rehte hain kuch mustaqil,
Kuch waqt to lagega ab samjhaane men usey,
Veeraan dasht men jab rakha hai tu ne gaam, musaafir,
Phir kuch waqt to lagega sajaane men usey,
Rooth jaati hai kyon na jaane jaan hamari,
Humne kya na kiya manaane ko usey,
'Sahil', ik umr guzri hai yaad karte jisey,
Kuch waqt to lagega ab bhulaane men usey.
90.
Watan Ki Yaad
Dopahar ho gayi hai, janab,
Badalon se tapak raha hai aab,
Chashm num hain , dil hai udaas,
Guzra hai mausam jo tha kabhi taab,
Nahin milta hai sabko jahan men sawaab,
Kuch rehte hain armaan, kuch rehte hain khwab,
Yaad aati hai watan ki jab mujhe, yaro,
Yaad aati hai Raavi aur wo darya Chenaab.
Us watan ki lau, uski aab o taab,
Wo chahchahati bulbul, us gulshan ka gulaab,
Dhundta hun main phir taskin, 'Sahil',
Ke aaj dil hai afsurda, bahot be taab.
91.
Na soor zakhm ko teri yaad ne bharne na dia,
Chaah bhi thi aisi zaalim thi, jis ne marne na dia,
Hum to pareshan they hi , be haal they bahot,
Kambakht shab ne, phir raat bhar soney na dia,
Sookhi thi dil ki kisht bhi, be barg o bar, aaj,
Na - meharbaan tha falak, jisne boney na dia,
Kotaahi na hui qasd men kabhi, lekin
Muqqadar ki riza ne kuch karne na dia,
Dil bhar aata tha aksar manind e sailaab,
'Sahil', per ana bhi thi aisi, jisne roney na dia
92.
Jaan apni hi ki ho jis ne qurbaan,
Shahadat ki uska kya loge imtehan,
Dhalte suraj ko dekh kar, hai falak aaj udaas,
Takta reh gaya zulmat ko, be bas aasman,
Dijiye kh-moshi ka isey dars zurur,
Ke hoti hai zaalim bahot yeh zaban,
Anjaam e zeest muqarrar hai sab ka,
Kyon rehta hai insan, tu pareshan,
Nazariya dekhne ka hota hai alag sab ka,
Koi raushan sham'a dekhta hai, koi uska dukhaan,
Jalata hun jab bhi main dil men misbaah,
Yaad aati hai maazi ki dekh kar dhuan,
Na chaman koi na andaleeb kahin,
Kor chashm hain mere, ya har su hai khazaan,
Har lamhe ko dekh 'sahil', tu guzarte huay,
Bata, kya khushgawaar rahi teri zeest ki daastaan.
93.
Vida hui bahaar, guzra hai shabaab,
Nahin hai 'sahil' yeh waqt e inqilaab,
Har su hai daur e khazan, dil bhi veeraan,
Khilega kya chaman men koi dilruba gulab,
Be raham hain abr e tar, tishna hai zamin,
Tark kia bulbul ne baagh, kya barsegi ab mai e naab,
Mafhum samjha hayat ka, sawaal na mujhse kar,
Sawaal per sawaal vaaiz, na hua koi jawaab,
'Sahil' mukhaatab hai haqeeqat, yaad e maazi taaza,
Na jaane kyon dikhaate hain log, mujhe khwab o saraab,
Baja hai, dost, sawaal tera, gila bhi qabool,
Per raaz jeene ka yehi hai, khushi se janaab.,
Jaana hai sabko baargah men rab ke huzur,
Shakwon ka mat rakh, tu fuzul ka hisaab,
Nasheb o faraz usi ka nizaam o nisaab hai,
Mat samajh hayat ko tu khwahmah azaab.
94.
Zindagi apni to saja lo,
Shab o roz ko hamraaz bana lo,
Buri bala hai tanhai yaro,
Kisi ko to apna bula lo,
Koi to pehnaye ulfat ki maala,
Koi to ho sun ne sunane wala,
Rooth jao gar zindgi se 'sahìl,,
Phir, koi to ho samjhane wala,
Aasaan nahin hai tanha jeena,
Khaali jaam se mai e naab peena,
Bacha kar rakho tum daman apna,
Aasaan nahin hai chaak daaman seena,
Chalte reh 'sahil', kabhi yeh na samajhna,
Ke manzil teri hai bahot dur,
Main jaanta hun tujh ko, teri himmat ko,
Tera junoon, teri lagan, tere futoor ko.
95.
'Sahil' dubti kashti ko bacha le tu,
Sooni mehfil ko jaage le tu,
Kyon ujda ujda hai dayaar tera
Apne kuche ko saja le tu,
Rutha hai kyon aaj khud hi se tu,
Pareshan hai dil, to manaa le tu,
Zulmat har su falak bhi udaas,
Sham'a baatin men jala le tu,
Anjuman ka hai tu sitara jab,
Beroon ki tajali samaa le tu,
Kahin door kho gaya hai 'sahil' bhi tujhse,
Ja, dhund, aur ja kar bula le usey,
Kaun jaanta hai tujhko 'sahil' se behtar,
Jaan hai wo teri, ja manaa le usey.
96.
Kya neend kya khwaab kaisi chain ki shab guzri hai,
Tu hi bata 'sahil', kya yeh meri hi nagri hai,
Qafas hai yeh kaisa zamin o falak ka, kaho,
Sawaal hai yeh kaisa jab turfa aseeri hai,
Nasheb o faraz e zindagi se hi samjhe,
Faaqa masti, hi asl jauhar o ameeri hai,
Behr bhi haail na tha visaal men kabhi,
Aaj, bin deewaar bhi qurbat men kaisi doori hai,
Kabhi ehsaan faramosh na hona ai 'sahil' tu,
Tu to jawaan hai aur woh alamat e peeri hai.
97.
Ram ke bharose hi chalta hai mulk,
Ram ke bharose hi chalega,
Kar lo jo chaho tum, ahl-e- siyasat,
Ram o Rahim hi ki vaani sunega.
Azaadi ke huay hain sattar saal,
Dekh lo logo desh ka tum haal,
Karte hain vaade hum se yeh shaikh,
Phir kuch nahin hota, kaisa hai yeh kamaal?
Naare lagana hai shauq inka,
Dekhiye aap vajd -e- zauq inka,
Kya nahin karte yahan yeh log,
Aap dekhiye shaan- o- shaukat o fauq inka,
Party A ho ya ho phir party B/C,
Giroh hain yeh to sirf siyasi,
Fikr hai kisey mulk ki yaro,
Bhuki rahe janta, ya rahe wo pyaasi,.
Daulat parasti ka mausam hai,
Zabardasti ka mausam hai,
Kya yeh tera hi nizaam hai maula,
Khud parasti ka mausam hai,
Dhool jhonko aankhon men sabki,
Zabaan per kya, hai dil men kya,
Khuda hi jaane haal in haakimon ka,
Tu hi 'Sahil' hamen kuch bata,
Banaiye bandooken banaaiye jahaaz,
Bhaad men gayi puja kaun padhta hai namaaz,
'Voice in the wilderness', hai teri 'Sahil',
Afsos, yeh teri hai tanha aawaaz.
98.
Mat sunao dastan 'ghalib' ki yaaro,
Ke zabaan 'Sahil, ki bhi rekhta hai,
Kaafir na hua' Sahil', kabhi ,
Ke imaan uska bahot pukhta hai.
Shak o shubaah ka shikar na hua,
Kabhi ghaflat men bhi wo be aitbaar na hua,
Tufan bhi aaye zindagi men jab,
'Sahil' kabhi na - farmabardar na hua,
Ghurub hone ko aya hai aftaab ab,
Dekhta hai woh usey dhalte huay,
Takta hai woh hairat angez,
Zamane ko aaj badlate huay.
Na jaane kab ayegi koi haseen shab,
Na jaane kab ayegi taskin ab,
Subh to hogi kal 'Sahil' zurur,
Per kya hogi wo na ghamgin tab ?
99.
Kya bujhayegi mashaal e dil ko hawa,
Sham'a kya degi parwana e mustaqil ko saza,
Sun kar cheekh sahil ki, karti hai mauj ilteja,
Ai sumundur, baaz aa, sahil ko na sata,
Rang jama de saqi, ik jaam pila de tu,
Sooni hai mehfil teri, dikha mehfil ko tu ada,
Ai subh, neend hai pyaari mujhe bahot,
Soya hun badi mushkil se, tu mat jaga,
Us raah ko dhund 'sahil', us pir e aasitaan ko,
Qareeb tere laaye jo teri manzil, sada.
100.
Kha-moshi se kab banti hai koi baat,
Aankh band karne se nahin hotii hai raat,
Aftab ki kirnon se ayaan hoti hai subh
Mastoor chehre se kya hogi koi mulaqaat,
Hamdardi, dard mandi, sahara, farz hain,
Insaniyat ki nahin hoti hai koi zaat,
Gardanen kat ti hain shaikh, sar garanon ki,
Inkisaari se na hui kisi ki kabhi maat,
Muraqqa e maazi hai ab hamsafar mera,
Guzar chuka hai waqt bhi 'Sahil' manind e din o raat,
Chhord ke jaaye jahan men jo shirin do alfaaz,
Kya dega koi is se badh kar kisi ko saughaat
101
Haif 'Ghalib', ke tu ne kalisey ko ja-e-kufr kaha,
Rishta kya hai mazhab ka imaan se bata,
Gar imaan nahin to insan ka sar o saaman kya hai,
Bat gaya mazhab men gar, to iman kya bata,
Isey waseela na bana tu jannat ke liye,
Mit jayegi insaniyat , ai bashar sambhal ja,
Kya hoga wahdat ka, khuda ke hukm ka,
Kya sabka alag hai kahin bhagwaan bata,
Log puchhte hain, kyon rehta hai 'sahil' pareshaan,
Ai dil, aaj chashm kyon hai giryaan, tu hi bata,
Zeest turfa tamasha hai, zamana hi hai ajab,
Farq kya hai tujh men aur haiwaan men, ai insan bata.
102.
'Sahil' na chahte huay bhi shab o roz ko ginta hun,
Farishta e ajal ke qadam ki aahat sunta hun,
Azaab to nahin hai zindagi , lekin,
Daam e zeest men saraab dekhta hun, khwab bunta hun,
Hayat ke nasheb o faraaz se ghaafil nahin hun main,
Hamwaar nahin hota kuch bhi, khub jaanta hun,
Taskin ko rakhta hun main baatin men mahfuz,
Na sarwat, na shauhrat, ibadat men dhunta hun,
Gulsitan men gul hona koi mojiza nahin hai,
'Sahil' main to biyabanon men ja kar phool chunta hun.
103.
Sanam rooth jaaye to manaa lijiye,
'Sahil', riza rab ki na ho to kya kijiye,
Chhupaye baithe ho kyon dil men tum raaz,
Humsafar hain sitaare bata dijiye,
Gar na khush hai andaleeb to muzaika nahin,
Baat to naghme ki hai, aap suna dijiye,
Udaas ho kyon ai humdum mere,
Dil halka kijiye, hamen rula dijiye,
Neend aa gayi hai jaanam, palken hain bhaari,
Tum kaho to sahi 'sham'a bajha dijiye',
Khata hoti hai sab se ulfat men 'sahil',
Kyon hote ho khafa, zara muaf kijiye.
104.
Husn e seerat o surat ki baat kijiye,
Zinda insan na ke moorat ki baat kijiye,
Aaj zamana hai aisa, 'sahil' tu bhi dekh,
Jahan jaaiye kudurat ki baat kijiye.
Waqt ab kahan sair o shughal ke liye,
Chaman men miliye , baat khush soorat kijiye,
Haif ! ke haal aisa hai 'sahil', jidhar dekhiye,
Siyasat nahin to baat zururat ki kijiye,
Husn e ulfat ki kaun karta hai baat,
Baat dosti ki nahin sarwat ki kijiye,
Falak o zamin men ab dilchaspi kahan,
Zindaan o zamanat ki baat kijiye,
Nizamat teri men, ai mere maula,
Yeh kaisa hai daur pesh raft ka,
Kuch kar mere aaqa, kuch de isey aql,
Apne insan ko aap hi bacha lijiye.
105
Riza hai sab khuda ki, isi men hai daanayi,
Jab tak na miley is jism se humko bhi rihayi,
"Khata lamhon ne ki thi, saza sadiyon ne paayi'',
Turfa kitna hai ke raah - e- haq gunahon ne dikhayi,
Kaun dekhta hai 'Sahil, kisi ki seerat aaj,
Shauq hai sabka sat'hi husn aarayi,
Bujh chuki thi dil ki shama na jaane kab aur kyon,
Justaju teri ne maula woh phir se jagayi,
Karte hain log daawe daanishmandi ke dekhiye,
Firasat to hum ko yaro deewanon ne sikhlayi,
Hum puchhte rahe thikana bulbul ka baghban se,
Raah uske ghar ki uske naghmon ne hamen batayi,
Bhul chuke they logo hum husn e zindagi ko,
Aaj yaad phir se maazi ki, bachpan ne dilayi,
Bahot kathin hai 'sahil' is dil ko samjhaana,
Mahabat bhi hum ne apni dil se hi nibhaayi,
Justaju darya ki thi manzil e maqsud,
Humne baith kar kinaare khud tishnagi mitayi,
Jo mila na mila, muqddar, karam tha tera,
Khwaabon se hum ne apni zeest li sajayi,
Yaad karta hai tujhko maula tera 'sahil' subh o shaam,
Hoti hai is se uski khub hausila afzaayi.
106.
Ulfat aur wafa bhi kar ke dekh li,
Jaan nisaar bhi kar ke dekh li,
Ab kya bacha hai dekhne ko 'Sahil',
Jab nadi bhi paar kar ke dekh li,
Tere kaarwaan men meer hum so liye,
Hawaon ke saath hum ho liye,
Jane kis rukh yeh ab le jayengi,
Umeedon ki chaadar hum dho liye.
Aasmaan ko chhune ki aarzu ab nahin hai,
Sumundur men sadaf ki justaju nahin hai,
Haath thaama hai ab tanhai ka main ne,
Kisi se ab tamanna - e - guftagu nahin hai,
Chaman men bulbul se mil liye ,
Naghme bhi uske sun liye
Hisaab rakhna hai ab bas anfaas ka,
Tasbeeh ke daane bhi gin liye,
Khwaab aate hain roz manzil ke, mujhe,
Saqi aur uski mehfil ke, mujhe
Khwahish nahin hai ab kuch bhi baaqi,
Nakhre dekha diya aawaara dil ne mujhe.
Hamen apni hi hosh nahin hai 'Sahil ',
Tujhe kya batayen kidhar hai manzil,
Kisey khabar is na paayedaar jahan men,
Pur sukoon kaun hai, aur kaun ghaail.
107.
Wo junoon hi kya jo sawaar na ho,
Wo jaan hi kya jo nisaar na ho,
Har lamha sukun to milta nahin,
Ai bande, tu yunhi be qaraar na ho,
Kyon koste ho tum qismat ko apni ,
Wo momin hi kya jisey aitbaar na ho,
Mat keh saayaara sitaron ko tu,
Khanabadosh hai , jiska ghar baar na ho,
Meri fahm se baahar hai khudaya,
Usey saza kyon jo gunahgaar na ho,
Gehra hota hai itna malaal kabhi,
Doob jaun main dosto, gar gham khwar na ho,
Har maashuq ko hoti hai chaah aashiq ki,
Dukhtaraz kya karegi gar mai khwaar na ho,
Azaab hai khaalipan tanhai ka 'Sahil',
Tadapti hai niyaam bhi gar talwaar na ho
108.
Dua dil men na ho to salaam nahin hota hai,
Ulfat men koi aaghaaz-o- anjaam nahin hota hai
Kh-mosh tabasum, sard fughaan, nigah baazi,
Izhar e ulfat sar e aam nahin hota hai,
Husn asl ko kab samjhoge yaro,
Bin bint ul inaab jaam nahin hota hai
Dekhiye talash kis shai ki hai sabko,
Afsos, shaurhat ka koi naam nahin hota hai,
Kya hoga gurez is baat se koi,
Ke aaj kisi ka ikraam nahin hota hai,
Samajh le tu ai be rahm waqt,
Koi kisi ka ghulam nahin hota hai
Khush hain hum bhale anjaan hi sahi,
Ke be naam kabhi bad naam nahin hota hai,
Jahan irade hon nek, dil paak ho,
Wahan kuch bhi haraam nahin hota hai,
Jaanta hai sab kuch kaho rab ke siwa kaun,
Uski rah per chalna kabhi na kaam nahin hota hai,
Karo justaju uski batin men logo,
Deedar e khuda sar e baam nahin hota hai,
Tab'a zaad kaho 'Sahil' to kuch baat baney,
'Ghalib ' ko padh kar likhna kalaam nahin hota hai.
109.
Gardish e aayam ke nesheb -o- faraaz dekhiye,
Jo kal talak baala dast tha aaj saail hai,
Kis shai ka khauf hai tujhe, suraj bhi to hota hai ghurub,
Ai musafir, safina -e- zeest ka har haal, anjaam sahil hai,
Dil kis ne dekha , armaan bhi nihaan hote hain,
Ayaan hota hai bas nigahon se, kaun qaatil hai.
Khuda ki riza qabool karne walo, zara socho,
Jo qasd na karey insan wo to kaahil hai,
Ma'bad men daakhile se koi momin banta,
Har gaam-e- hayat ho dil men jiske khuda, woh kaamil hai,
Jahan dil khush ho aur qana'at ki raunaq ho,
Wo tanhai bhi ai 'Sahil', mukamal mehfil hai.
Khuda ka ghulaam hai tu to bata,
Kahin aziat aur kyon kahin aish-o-araam,
Main ne kaha ghulaam hun taabedaar hun,
Na karo tum bhi sawaal, isi men miley aaram.
110.
Mera Naam
Kisi ne puchha mujhse kya hai tera naam,
Main ne kaha main hun rab ka ghulaam,
Dekh lo baatin men tum bhi khuda ko,
Kaise dikhaun main tumhen sar e baam,
Naam kya hai tere khuda ka, bata
Main ne kaha, Allah aur Shri Ram,
Kab milta hai wo tujhe 'sahil'
Main ne kaha har subh, aur har shaam,
Rang roop hai uska kaisa, bata,
Kya kahun, kahin siyah aur kahin gul faam,
Jodta hun kahin haath main ibadat men,
Kahin karta hun sajde aur dua salaam,
Kya jaan na chahte ho dosto tum,
Maslak mera, dharam mera ya mera naam,
Kaisa hai yeh daur, ai khudaya tera,
Kaisa ajab hai yeh nizaam,
Ab tu hi aa kar samjha jahan ko,
Tera bashar to laga hai karne tamaam.
Mat puchho dosto kya hai mera naam,
Main ne kaha na tumse, main hun khuda ka ghulaam.
111.
Shama to jala deti hai parwaane ko 'Sahil',
Dil phool per aa jaaye, to bhanwara kya karey.
112
Giley waqt se na kar, ai insan, tu khud hi be daad hai,
Teri havas ne kar diya tujhe, bilkul barbaad hai,
Kya hua hai tujhe, is jahan ko tere,
Nazariya be zauq kyon, jab qad e shamshad hai,
Chaahta hai maut tu dushmanon ke liye,
Bande hain sab khuda ke, soch, kitni na jaaiz faryaad hai,
Har bashar ke dil men jab basta hai maula,
Phir bhi wo kabhi maseeha, aur kyon kabhi jallad hai,
Maqsud tera khuda hai, kis mustaqbil ki baat hai,
Ai bande, zindagi to bas maazi ki roodaad hai,
Kehte hain rooh bhi jism men qaid hai,
Mera to aqeedah hai dosto, tan men rooh hi aazaad hai,
'Sahil', bakhshin hain tujhko rehmaten maula ne, be shumar,
Takte hain log tujhko, ke dil tera aabaad hai,
Yaro dekhta hun main aaj ki pesh raft ka junoon,
Per, kya karun, dil bahot na shaad hai.
113.
Aaye tufaan jab bhi aaye, panah teri 'sahil ' hai,
Rukiyo na , ai kashtiye zeest, us paar hi terri manzil hai,
Itna gham har su yaro , kuch gham ghalat to chahiye,
Kyon ruken naaseh ke yaan, maikhana hi to manzil hai,
Teer o khanjar ba dast nahin , nazaron men unki ayaan hain,
Kyon puchhta hai mujhse munsif, kaun mera qaatil hai?
Gunah apne sar le lun, maaf karun , ya saza dun,
Do'stlaringiz bilan baham: |