kar le tu jo pursish chaahe, wo to bahot sang dil hai,
Parwaa nahin mujhe yaro, siyah shab kitni kyon na ho,
Raushan rahe shama ya gul ho jaaye , noor e khuda dil men hai,
Pand na de khalwat ke vaaiz, anjuman main ne dekhi hai,
Vaaiz, raunaq jis ke dil men ho, uske ghar men mehfil hai,
Shiaar uska tabassum hai, baatin men uske ik Chaman,
Khaar kitne kyon na hon, wo bismil nahin, 'Sahil' hai.
114.
Rumooz ka khazana hai, aaj ka yeh insaan,
Bahaar dil men nihaan hai, iyaan hai khazaan,
Bazaar e ishq bana hai aaj maidaan -e- jung,
Inkisaari dekhiye, hai kitni sar gardaan,
Sumundur tak aap dekhiye, rau ravaani darya ki,
Phir dekhìye phisalti kaise, is insan ki zabaan
Dubone wale bahot hain, num chashm per mat jaana,
Hain ashk nahin hamdardi ke, bacha kar rakhna daamaan,
Dil shikastah mat karna, log afsos to karenge , lekin,
Aah nahin hai dil se unki, riyayi hai unki fughaan,
Dar ba dar, chaarahgar, maikhana aur sanam,
Nahin hai koi dua se badh kar , ai nadaan, darmaan,
Reg per chalne ka khauf kaisa, naqsh e pa zururi hain,
Gharq ho jao gar behr men, kuch to rahenge phir nishan.
Kab kaha qismat ne bande , qasd se tu ghafil reh,
Mil jayega raah per tujhko, jeene ka aur sar o saamaan,
Qasmen khaate hain khuda ki, khuda ko jo ho so ho,
Kam zarf hai kitna bashar aaj, kam asl uska imaan,
Umr guzarti ja rahi hai, kaho kis ka hai yeh jahan,
Chalta hun zamin per lekin, nigaah men hai asmaan,
Daur hai yeh jiddat ka, aur tu hai is se na aashna,
Kyon hota hai tu yunhi 'Sahil', hirasaan, pareshaan.
115.
Qita
Gar be wafai na ho jahan men, to lutf e wafa na ho,
Khush rahe yeh duniya gar, kahin jafa na ho,
Gar khauf e khuda rahe zahn men , koi be wafa ho kyon,
'Sahil', sukun se jeena samjhe dunya, phir koi ho kyon khafa.
116.
Kitna be sabaat hai yeh dum -e- hayaat,
Pal men furqat, aur pal men hi mulaqaat,
Ru- ba -ru -e -zeest rehti hai ajal dar pe,
Is kaarzaar e hayat men, na koi jeet na koi maat,
Nazar mai hain ghunche ki fana har aan, lekin,,
Rakhte hain woh dil men khilne ke tasavuraat,
Sukun pur ho tu jitna , ai rab ke bande,
Uthenge zahn men roz hazaron sawalaat,
Jeene ka mafhum hai khabt din o raat,
Puchh lo tum us se logo hai jiski yeh kaenaat,
Tasavur rakh dil men maula ko tu hamesha,
Phir karna ai bashar apni tu ehtiyaat.
Wo daur-e- wafa kidhar woh paak daaman kahan,
Bazaar-e- ishq men nahin chadhti koi baraat,
Neki se pur karo zeest ka tum khazana,
Kya le jaoge saath apne tum la'l o jawaharaat,
Yeh zalzala yeh tufaan yeh mausam-e- khazan
Qahr hai yeh khuda ka uski ki hai aafaat
Kaash , koi dekhe usey libaas -e majaaz men kahin,
Kya milegi hamen 'Sahil' is taraddud se nijaat.
Kaun hai aurr kya uska kaar, yeh sawaal kaise,
Jab bande hain sab khuda ke phir wohi to hai uski zaat.
117.
Khaali wo mai ka jaam tha,
Paana khayal e khaam tha,
Saqi ke maikade men aaj,
Raqib hi ka to naam tha.
Dukhtaraz ka wo ghulaam that.
118.
Rang mukhtalif hote hain 'sahil' shajar per,
Nazar kyon hai phir teri mere hi dilbar per,
Jaan bhi haazir hai tere liye jaanam,
Aur aafat mat dhaa mere sokhta jigar per
Fitna bahot hai aaj ki dunya men 'sahil',
Tu rakh inhesaar apne qalam per, na ke nashtar per
Gar khud se guftagu men lutf na ho koi,
Phir kya karoge ja kar tum yaaron ke ghar per,
Jab inkisaari hi bunyaad hai raah e sukun ki,
Naqsh e pa na banao tum zar ke dagar per,
Nigahen saath na den gar alfaaz ke, dosto,
To rakhiye etimaad aap sirf nazar per,
Aadi hain log itne khushamadi ke aaj,
Ke uth gaya hai yaqin, insan e aihqar per,
Shab ka madaar hai aftab ke ghurub hone per,
Khurshid bhi bhatakta hai ik umeed e sahar per,
Naqaab chehron per nahin dilon per hai mustaqil,'Sahil',
Phir bhi karte hain log etibaar majaazi paikar per.
119.
Kaarguzari hai kis kh yeh araiash e khayaban,
Kaho kaun hai is jahan ka wo baghbaan,
Faani hai sab, bas chund din ke hain mehman,
Lam ya'zal to khizr bhi na raha, hum kya honge jaavidaan,
Tamanna khwahish pashemaani hain aah ke ajza,
Per, dil se nikli hui dua banti hai fughaan,
Saza o jaza ka taslim karna munasib hai,
Bas dua kijiye ke rahe muqaddar meharban,
Hum to chal diye hain yaro, apni manzil ki jaanib,
Mubarak ho tumko yeh zamin o asmaan,
Zavaal pazeer hua hai itna, tera jahan khudaya,
Ilteeeja hai tere 'Sahil' ki, be laus rahe yeh daamaan.
Kh-mosh hain nigahen, siley hain unke lab,
Kaash ke jazbaat ki bhi hoti koi apni zabaan,
Jis ja taskin miley, tashaffi ho jahan,
Wo dasht o sahra hi sahi, hai wo rashk e jinaan.
120.
Shaadmani bhi 'Sahil' banti hai saraab,
Jeena gar ho jaaye pur azaab,
Manind e sumundar hai zeest, logo,
Hote hain is men donon, sukoot o girdaab,
Turfa hai itna shab o roz ka hungama,
Kyon rakhun main kaho phir unka hisaab,
Behlaane ko ji , ghunche e dil hi kaafi hai,
Kya karunga main le kar tumhara gulaab,
Matti ka putla hai tu bhi to sheikh,
Kyon dikhata hai tu mujhe majaazi ro'b n daab,
Kar lo jama nek amaal tum yaro
Kya saath le jaoge tum hayat ke asbaab,
Khamoshi se paata hun sukun main bahot, varna,
Aata hai mujhe bhi tumhen karna be jawaab,
'Sahil' gardish-e-waqt ki aamad se, dekh kaise,
Bhool jaate hai apne, aur aghyaar o aibaab.
121.
Saudagar nahin hun main hun saudayi,
Gar samjho baat meri to ho humnavayi,
Har ja hai dahshat, rang zamin ka hai surkh,
Ru ba ru hai sabke yeh kaisi tabaahi,
Be hiss o be zauq hain log aaj aise,
Ke parwa nahin hai gar ho ruswayi,
Mudda e hayaat pesh raft nahin hai,
Bar'to firasat, isi men hai daanaayi,
Jangal ka raja asad hai maana,
Lekin wo bhi hai sabka fikrmand humsayi,
Maidaan -e-jung na banao hayat ko yaro,
Isi men hai logo jahan ki bhalayi,
Jahan milti hai taskeen tujhe, ai 'Sahil',
Usi ja se tu kar le mukammal shahasayi.
122.
Wo gul na they bahaar ke
Wo rang they bimaar ke,
They muntazir yeh naina mere,
Na jaane kis ke deedaar ke,
Wo gul na they bahaar ke.
Wo gul na they bahaar ke,
Nishaan they wo ik khaar ke,
Rang surkh to tha per tha lahu,
Guzre they din aazaar ke,
Wo gul na they bahaar ke.
Jo rang na they bahaar ke
Wo zakhm they ik naar ke,
Dil ghunche ka bahot naazuk hai,
Asbaab they wo kisi daar ke,
Wo gul na they bahaar ke,
Kya khazan ke wo yaar they,
Wo rang they kisi aur ke,
Wo gul na they mere gulzaar ke,
Wo gul na they bahaar ke,
Wo gul na they bahaar ke,
Nishaan they wo aar paar ke,
Kya teer na tha hadaf per 'Sahil',
Shayad dast they wo aghyaar ke,
Wo gul na they bahaar ke.
123.
Aaj mila hai waqt sochne ka fursat men,
Ranj o malaal bahot hai dosto furqat men,
Chale aate hain log khushhaali men meri,
Farishta to wo hai jo kaam aaye musibat men,
Main khush hun yaro tanhai men apni,
Ghabra jaata hun ab hungaam e khalqat men,
Kis ne dekha hai kisi ke dil men jhaank kar,
Kaash, ek aina hota logon ki soorat men,
Tere teh khaane men kya khazinah hai shaikh,
Hum ne dekhi hai khushi kaasa e ghurbat men,
Usey kya milaoge tum khaak men logo,
Inkisaari ho jis ki fitrat men,
Kya nahin jaana hai khaak e gor ke aage
Ai bande, gar ibadat nahin hoti turbat men,
Haath ki lakiron per kya bharosa karen,
Quwat bahot hai dast e qudrat men,
Na bana tu kashmakash zindagi ko 'Sahil',
Taslim kar jo likha hai teri qismat men.
124.
Gar waqt na hota to hum kya hote,
Aur khushi na hoti to gham kya hote,
Na saba, na naseem, na hawa kahin ,
Aisi faza men kaho dum kya hote,
Gar ishq na hota na shaheed koi,
Majnun na hote, to sanam kya hote,
Gar kufr na hote na hoti ibadat,
Phir dair kya aur haram kya hote,
Qaza ka bhi reh shukrguzaar,
'Sahil' fana na hote to janam kya hote,
Mat koso yaro tum dast e khuda ko,
Uska qahar na hota to karam kya hote.
125.
Aaj fikr hai sab ko diram o daam ki
Agarche 'Sahil', zururat hai dilon ko aaraam ki,
Na khabar aaghaaz ki, na kisi anjaam ki,
Na safar e hayat ke kisi gaam ki,
Jo dil men aaya so kiya hum ne,
Muntazir nahin koi aamad -e- payaam ki,
Pila de saaqi, nazron se pila de,
Chaah nahin hai hamen kisi jaam ki,
Chhu lete hain taare zamin se hum,
Nahin hai darkaar kisi sar e baam ki,
Ehtiraam to baatin men hota hai , yaro
Qadar nahin hai kisi salaam ki,
Kaise bhuli hai duniya ibadat ko aaj,
Guftagu har ja, hasrat - o - kaam ki,
'Sahil' hun logo , tashaffi hai haasil,
Aarzu nahin hai 'Ghalib' ke naam ki.
126.
Dar par aa kar jo hawa
Dastak de aur miley na,
Kya degi woh taskeen mujhe,
Naseem ho ya ho saba.
127.
Kyon pherta hai tasbbeeh, ai zaahid, tu baar baar,
Kum huin hain kya mushkilen, kya kam hua aazaar,
Hua karti hai mahabat dil hi se hamesha
Nigaahon se hota hai to sirf ulfat ka izhaar,
Is khareed o farokht ke aalam men, dekhiye,
Har jagah hai aaj ba pa ik naya hungama e baazaar,
Jab ik luqma bahot hai shikam seri ke liye,
Hawas kyon hai tujhe insan, kyon hai tu khwaastaar,
Seerat o soorat mukhtalif, har shakhs apni zaat ka,
Phir laazim hai ke sabka, ho alag alag kirdaar,
Jisey khauf lage tufaan se, sahil ki god men,
Usey kya le jaoge yaro, sumundar ke tum paar,
Aayega waqt bahaar ka, mat dekh gulshan ke khaar,
Ruken na raahi gaam tere, jab raah ho na hamwaar.
Basa liye hai maula ko, dil men humne apne,
Tu kab tak rahega kaafir, muntazir e deedaar.
" Baabar ba aish kosh ke aalam dobara n'est',
'Sahil', kaafi hai ik zindagi, tu gaa le raag malhaar
128.
Mushkilen hain kitni
Mushkil hai kitna kuch na karna,
Mushkil hai kitna khud se lardna,
Jab talak aaye na mushkil
Mushkil hai kitna chain se marna.
Mushkil hai kitna ehsaan karna,
Kar ke ehsan phir bhulana,
Qarzdaar ban na aasaan nahìn hai,
Mushkil hai kitna qarz khwah hona.
Mushkil hai kitna dil ko manaana,
Mushki hai kitna patthar ko rulana,
Gham qurbat ke bhaari bahot hain,
Mushkil hai zahn se udaasi mitana.
Mushkilen bahot hain 'sahil' maana,
Mushkil bahot hai haan men haan milana,
Ghuroor, ana, joolan hain yaro,
Mushkil hai kitna sar jhuka kar chalna.
Muayyin hai Khursheed ka dhalna,
Maah o anjum ka nikalna
Aziat hai zulmat shab ki ,
Mushkil hai raaton ko sona
129.
Hawa baazi hawala baazi,
Aur ab dagha baazi,
Tum hi batao,
Kaun jeeta hai kaun si baazi ,
How sharp are the minds at coining phrases,
Wonder how many 'baazis' still out there,
Baazis no more than roulette, friends,
And barbs, like Divaali rocket flare.
Baazian mat lagao, ai ahl -e- siyasat,
Logon ke armanon se khilwaard mat karo,
Yaad rahe tumko anjaam zindagi ka,
Voter se nahin, to khuda se to daro.
Baazis are the stuff that casinos are made of,
The chequerboard of life in your face,
Kings and queens the humble pie eat,
And pawns. once in a while. win the race.
Be zauq na bano, zabaan ko do lagaam,
Shireen hai yeh shamsheer bhi,
Arz hai tum se dast bastah,
Aawaaz sun lo awaam ki,
Else face the music, O, vote -seeker,
All terms in life come to an end,
So does life meld with dust,
Simple to understand, isn't it friend?
130.
Mere dar per aa kar jo hawa,
Dastak de aur miley na,
Kya degi wo taskeen mujhe,
Naseem ho chahe ho saba,
Jo dil ko na chhuay sada,
Chilman men na ho haya,
Jo gaam se gaam na mila sakey,
Banegi humsafar batao woh kya.
Kyon karte ho baat mai e naab ki,
Kabhi nazren saqi se milayeene hain kya,
Tassavur e raqib zahn men na ho,
Kaho wasl ka lutf aayega kya.
Bech kar zameer jo karey sauda,
Wo taajir kaho taajir hai kya,
'Sahil', pukhta na ho imaan jis ka,
Usey kahoge banda Khuda ka kya.
131.
Mujhe rang na deekhao bahaar ke,
Main ne dekhen hain bahot rang pyaar ke,
Nahin hote hain mustaqil din bahaar ke,
Main ne dekhen hain haail raah e hamwaar ke,
Aasaan nahin hota hai dil ka lagana,
Sajde dekhiye wafa ke parastaar ke,
Bhadakte sholay, sulagti aag,
Mukhtalif hote hain rang har naar ke,
Ishq men lutf to hota hai bahot ,
Per zakhm bhi hote hain chund khaar ke,
Riza nahin hoti ulfat men hamesha,
Anjaam bhi dekhe hain main ne inkaar ke,
Dil rota to hai per zaahiran nahin,
Ke ashk nahin hote hain dil e figaar ke,
Saada lauhi hai libaas firasat ka, 'sahil'
Rang nahin hotey hain hoshyaar ke.
132.
Aashiqui se badh kar, ai sanam, kya hai,
Gham e furqat se badh kar, gham kya hai,
Dhoke ke namoone ghazab ke hain yaro,
Lab pe muskan, to chasm num kya hai,
Rota dil , Behte ashk aur zaban kh- mosh,
Koi to batao dosto, ranj o alam aur kya hai,
Na dua, na sajda, na dil men naam rab ka,
Gar zakhmi ho jigar, deegar marham kya hai,
Sultanat ho veeran to baadshaahi kaisi,
Naam gulon men na ho to bharam kya hai,
Hujoom se dur, shor o ghul se alag,
Muqaddas nahin to dair o haram kya hai,
Dum, gar zest nahin hai to kya hai dum,
Haya dil men na ho, to sharam kya hai,
Momin maanta hai tu khud ko phir bata,
Tere Zahn men 'Sahil' sawaal aur dil men vahm kya hai.
133.
Rang men tu bhang ab na mila,
Ai dil -e- naadaan tu mujhe na sata,
Din bhar ka thaka hara aaya hun,
Ab dast e jafa ki daastan na suna,
Nahin hai gar masarrat qismat men ,
Kam az nam tu to mujhe na rula,
Kyu nahin hai aab e hayaat, saqi,
Umeed -e- farda zinda hai tu mai na pila,
Kya manaoge ghairon ko tum kaho,
Gar apne hi dil ne saath na diya,
Kab tak karega tu minnat kiran ki,
Shayad rootha hai aftab, tu usey na bula,
Tujhe neend nahin aati to jaag mere dost,
Auron ke khwaab to na mita
Chhord falsafa, maskhera ban, 'Sahil',
Udaasi bahot hai jaban men, tu aur na phaila.
134.
Kahin gharq na ho jaaun saahil ke aab men,
Khudaya, naqsh e pa rahen darya e pa yaab men,
Buland kirdaar men dekhiye kotaahi aaj,
Jaise daagh hota hai haseen mahtaab men,
Lehar daurti hai khushi ki ragon men goya,
Jumbish ho kisi jaam e seemaab men,
Haya na ho to kya rakha hai jaanum naqaab men,
Sach nahin to phir kya hai tere jawaab men,
Gulsitaan ka haqdaar banega wo kaise,
Gar rang o bu na ho gulaab men,
Gar tapish na ho subh ke aaftaab men,
Sotey rehiye janaab, shab ke shabaab men,
Hama tan gosh kyon baitha hai 'sahil' tu,
Mauseeqi to dil men hoti hai, na ke mizraab men.
135.
Shab e furqat hai kya karenge khud ko sanwaar ke,
Ghamgin hai dil na sunao tum naghme bahaar ke,
Ro kar guzaari hai shaam, phir ashkon ka kya shumar,
Meezaan men nahin tolte, gham dil- e- figaar ke
Dil o jaan haazir, kaho aur kya pesh karen,
Maangte ho shahadat, kis qaul e jaan nisaar ke,
Yaaron ne kiye vaade hum se bhi intezaar ke,
Chund khwaab dekhe hum ne bhi sumundar ke paar ke,
Zakhmi hai jigar, daaman hai taar taar,
Mat suna 'Sahil' to qisse dil e daaghdaar ke.
136.
Jazba hai mahabat, aitbaar deewanon ka kya,
Har su ho khazan, to gulzaar khaaron ka kya,
Hamdardi, humnavayi, kaho aur kya chahiye,
Insan ho to deedar phir, farishton ka kya,
Yeh hua, wo hua, khuda hi jaane kya hua,
Baat karo zeest ki, daastaanon ka kya,
Badalte hain rang misl-e girgit, yeh
Bharosa kaho phir meharbanon ka kya,
Garajte hain insan jaise garjte hain abr,
Yaqin main karun asamonon ka kya,
Na gul, na bahaar, na kuch aur la faani,
Jab gulshan hai faani to baghbanon ka kya,
Ai shaikh, jeeni hai zeest sab ne apni apni,
Taareekh se kya vaasta, zamanon ka kya,
Tai kar ai musafir, tujhe jaana hai kahan,
Manzil na ho zahn men, to raahguzaron ka kya,
'Sahil' mahal na bana, mahalon ka kya,
Humsafar hi na rahey, to deevaron kya,
Khazaan men paley, shanasayi hai khazaan se,
Aati jaati in hain baharen, baharon ka kya.
143.
Hungama
Khaali wo mai ka jaam tha
Milna , khayal e kham tha,
Saqi ke maikade men aaj,
Raqib hi ka naam tha.
Wo dukhtaraz ka ghulaam tha
Raqib mera badnaam tha
Mai ka tha shauqeen bahot
Rehta sar-e- haam tha.
Rang na siyah na gulfaam tha
Iman us ka na-kaam tha,
Jis dil men basa ho shaitaan,
Us dil men qatl-e-aam tha.
Hungama khule aam tha
Kisi shai ka na koi daam tha
Baazaar aap ka the janab
Puchhna wahan haraam tha.
Hungama uska naam tha
Hungama uska kaam tha,
Baazar tha woh turfa 'Sahil',
Hungama hi payaam tha.
144.
Aasaan nahin hai jeena ,nafas ke lete lete,
Kahin ruk na jaaye saans' Sahil' nafas ke lete lete
Marna bhi aasaan nahin hai, chain se jeeta hai kaun,
Le jaana ai khudaya tu, neendon men sotey sotey,
Jeete hain sab ginte huay, subh o sham saare,
Guzaarte hain zindagi goya, sab hi khote khotey,
Din chaar hain sabke dosto, jannat hai muntazir,
Be faiz hai phir jeena inhen, yunhi rote rotey,
Haasil hua zeest men kya, shumaar na kabhi kijiye,
Umr guzarti hai sabki yaro, tukhm hi botey botey,
Chaand per daagh hain, yeh rahenge hamesha
Kul umr lagti hai 'Sahil' daaman ko seete seetey.
145.
Kab tak naghme sunaoge , dil kab tak behaloge
Roothe nahin udaas hain 'Sahil', tum kab tak hamen manaoge,
Hum jaante hain janab ko huzur, hamen na bataiye
Kyon karte ho vaade milne ke, dilaase kab tak dilaoge,
146.
Rang kya batayen chaman ke gulabon ka,
Hijaab pehnao yaqin nahin, tirchhi nigahon ka,
Naam bahaar kis shai ka hai khazaan se puchhiye,
Kaun jaanega behtar us se, pata baharon ka,
Taar e dil ko na chherdiye, khuftah hain aansu,
Ban jayega jaag gaye to , ik darya ashkon ka,
Dil men hoti hai wafa, ulfat bhi to jazba hai ,
Kya karenge dekh kar jaanaan, tera ruqqa daawon ka,
Dekhta hun hairat zada is vahshi dunya ko main
Shumar karta hun, ungilon per, aaj nek insanon ka,
Aaj ka din khatm hua kya pata kal thikanon ka,
Khabar khud ki hi nahin , kya karun mehmanon ka.
Tanha bahot hai dil 'Sahil', har su hai tanhayi,
Taalib hun ik dost ka, kya karunga tere naghmon ka,
147.
Samjhte they tu bas ik mehmaan hai,
Dil kehta hai ab, tu 'Sahil', ki jaan hai,
Teri aankhon ka khumar basa hai dil men,
Tu dost hai jahan ki, to mera imaan hai,
Mahabat ki baaten karenge jab log,
Kehenge yeh teri aur meri daastan hain,
Aata hun milne tujh hi ko chaman men,
Tu na ho to maano gulshan khazaan hai,
Mehak ho teri jis baagh men jaanam,
Wahan phulon men tujh ko dhundna aasaan hai,
Tu milne se na itarana kabhi,
Raaz e ulfat dil men 'Sahil' ke pinhaan hai.
148.
Hazaron , laakhon arbon guzre
Main bhi chala jaunga,
Marhala hai yeh jag bhi yaro
Rab ke ghar sukun paunga,
Muntazir hai firdaus sab ka,
Bas nek amaal hi karte jao,
Jo kaho jo karo,
Usey paak libaas pehnao,
Ghoomta phirta hai iblees
Talaash kamzor insan ki ,
Hawas buri bala hai yaro
Khayal karo tum jaan ki,
Naseehaten mat de tu 'Sahi',
Kaun sunega teri,
Jo bhi jaaye aaj ma'bad men
Us ne jhooti mala pheri.
149.
Kafan ki chaadar mujhe mat dikhao,
Zinda hai dil, naqaab mat pehnao,
Shab, to shab hi hai , hai wo zulmat bhari,
Umeed sahr hai, mujhe umeed se milao,
Maana ke shab vasl ki hai, aftaab to hoga ayaan,
Jal chuki hai yeh raat bhar, ab to sha'ma bujhao ,
Har su hain ghair jahan men , yaro,
Bulbul ke nahin tum naghme apne sunao
Jaanta ha i'Sahil', haqeeqat zindagi ki ,
Tum sapne suhaane usey mat dikhao
150.
Tere husn ke deedar ke taalib hain sab,
Tere dare pe baithe hain sab jaan ba lab,
Tujhe kya khabar tera ghar hai kya,
Teri har ada ka hai andaaz ghazab,
Saazgaar the wo zamana bahot,
Kya hua hai is zamane ko ab,
Jab ek hi hai jahan ka parvardigar,
Tera kaun hai bata, falak men rab,
Samjha na khudaya tere jahan ko, 'Sahil',
Ajab hai maula, yeh bahot ajab.
151.
Jazba hai mahabat, aitbaar fasaanon ka kya,
Har su ho khazan, to gulzaar khaaron ka kya,
Humnavayi ho to phir aur kya chahiye,
Ghair miley nek to deedar mehmaanon ka kya,
Yeh hua, wo hua, khuda jaane kya hua,
Baat karo zeest ki, daastaanon ka kya.
Farhaad, Majnun, Raanjha, pujaari mahahat ke ,
Haal dekhiye aaj ke khokhle deewaanon ka,
Kar ke barbaad zamin ko yeh banda e khuda,
Ab, chala hai haal bigaadne aasmaanon ka,
Zamana tera, tera apna hai 'Sahil',
Log karen jo chaahen zikr zamaanon ka.
152.
Doob jaati hai kashti girdaab men kayi baar,
Mat kar tu baaten maraasim ki yaar,
Sunen hain qisse tere raub ke bahot,
Soch ai shaikh, kiska hai siva rab ke, ikhtiyaar,
Kyon chalte hain log chashm kor ki tarah,
Kaho, kaun hai khufta aur kaun bedaar,
Daon pech mat sikhao tum zeest ke mujhe,
Ba khabar hai gul ke muhafiz hai uske khaar,
Ai bande , gulshan hai hayat aur baaghban tu,
Isey daulat se nahin ibadat se sanwaar,
Jaanta hai 'Sahil' asliat jahan ki,
Hamsafar hain uske , is baagh ke gul o khaar
153.
Mere kehne per gar ruk jaaye ajal,
To jaavidaan khizar nahin, main banun,
Dil ki baat sunun ya tumhari sunun,
Koi to batao kis ki sunun, kya karun,
Zulmat se kaho kyon darun,
Aur jeene se pehle, kyon marun,
Aankh band karun neend na aaye,
Jaagun, ya khwabon se ja milun,
Faza, to bas faza hai 'Sahil',
Phir khalah ko kyon aasmaan kahun
Do'stlaringiz bilan baham: |