Bismillahe Wa Behi Nasht’een Zaruri Tazkerah



Download 2,25 Mb.
bet23/41
Sana22.06.2017
Hajmi2,25 Mb.
#11669
1   ...   19   20   21   22   23   24   25   26   ...   41

Roze ke ehkaam

Roze se muraad yeh hai khuda ki khushnudi aur ooske aage izhaar-e-tazeel ke liye Azaan-e-subh se maghrib tak 8 cheezon se jo ba’d mein bayaan ki jaaeygi parhez karta hai.


Niyyat

  1. Insaan ke liye roze ki niyyat dil se guzaarna ya maslan yeh kehna “main kal roza rakhoonga”zaruri nahi balke ooska iraada karna kaafi hai ke woh baargaaahe ilaahi mein apni zillat ka izhaar ke liye Azaan-e-subh se maghrib tak koi aisa kaam nahi karega jisse roza baatil ho aur yeh yaqeen haasil karne ke liye oos tamaam vaqt mein woh roze se raha hai zaruri hai ke kuch deir Azaan-e-subh se pehle aur kuch deir maghrib ke ba’d bhi kaam karne se parhez kare jin se roza baatil hota hai.

  2. Insaan Ramadhan ki har raat ko oosse agle din ke roze ki niyyat kar sakta hai.

  3. Ramadhan mein roze ki niyyat ka aakhri vaqt ek aise shakhs ke liye jiski tawajjo ho,Azaan-e-subh se pehle ya’ni ehteyaat-e-waajib ki bina par zaruri hai ke azaan-e-subh ke vaqt jab woh parhez shuru kare to iraade ke saath ho chahe woh iraada na khud aagaah taur par ooske dil mein kahe maujood ho.

  4. Jis shakhs ne aisa koi kaam na kiya ho jo roze ko baatil kare to woh jis vaqt bhi din mein mustahab aur kaffara bhi oos par waajib hai.

  5. Jo shakhs Ramadhan ke rozo aur oosi tarah waajib rozon mein jinke din mo’yyin hain roze ki niyaat kiye baghair Azaan-e-subh se pehle so jaaye agar woh zohur se pehle bedaar ho jaaye aur roze ki niyyat karle to ooska roza sahi hai aur agar woh zohur ke ba’d bedaar ho to zaruri hai ke ehteyaat karte hur qurbate mutleqa ki niyyat se baaqi din khud ko roza baatil karne waali cheezon se bachaaye aur oos din ke roze ki Qaza bhi baja laaye.

  6. Agar koi shakhs Qaza ya kaffara ka roza rakhna chahe to zaruri hai ke oos roze ko mo’ayyin kare maslan niyyat kare ke main Qaza ya kaffara ka roza rakh raha hoon balke agar kisi ko ‘ilm na ho ya bhool jaaye ke Ramadhan hai aur aur dusre roze ki niyyat kare tab bhi woh roza Ramadhan kaa roza shumaar hoga. Nazr aur oos jaise rozon mein nazr ki niyaat karna zaruri nahi.

  7. Agar koi shakhs jaanta ho ke yeh Ramadhan ka mahina hai aur jaan bhoojh ke Ramadhan ke roze ke al’awa kisi dusre roze ki niyyat kare to woh roza jiski oosne niyyat ki hai woh roza shumaar nahi hoga aur isi tarah Ramadhan ka roza shumaar bhi nahi hoga agar woh niyyat qasde manafi ho balke agar manafi na ho tab bhi ehteyaat ki bina par woh roza Ramadhan ka roza shumaar nahi hoga.

  8. Misaal ke taur par agar koi shakhs Ramadhan se pehle ki roze ki niyyat kare laikin ba’d mein ma’loom ho ke yeh dasra roza tha to ooska roza sahi hai.

  9. Agar koi shakhs Azaan-e-subh se pehle niyyat karne ke ba’d behosh ho jaaye phir oose din mein kisi vaqt hosh aa jaaye to ehteyaat-e-waajib ki bina par oos din ka roza tamaam kare aur agar tamaam na kare to oos din ki Qaza baj’a laaye.

  10. Agar koi shakhs Azaan-e-subh se pehle roze ki niyyat kare aur phir masst ho jaaye aur phir oose din mein kisi vaqt hosh aa jaaye to ehteyaat-e-waajib yeh hai ke woh oos din ka roza tamaam kare aur ooski Qaza bhi baj’a laaye.

  11. Agar koi shakhs Azaan-e-subh se pehle roze ki niyyat kare aur so jaaye aur maghrib ke ba’d bedaar ho to ooska roza sahi hai.

  12. Agar kisi shakhs ko ‘ilm na ho ya bhool jaaye ke Ramadhan hai ayur zohur se pehle oos amr ki jaanib mutawajjeh ho aur oos dauraan koi aisa kaam kar chukka ho jo roze ko baatil kar deta hai to ooska roza baatil hoga laikin zaruri hai ke maghrib tak koi aisa kaam na kare jo roze ko baatil karta hai aur Ramadhan ke ba’d roze ki Qaza bhi kare. Agar zohur ke ba’d mutawajjeh ho ke Ramadhan ka mahina hai to ehteyaat ki bina par raj’a roze ki niyyat kare aur Ramadhan ke ba’d ooski Qaza bhi kare aur agar zohur se pehle mutaawajjeh ho aur koi aisa kaam bhi na kiya ho jo roze ko baatil karta ho to zaruri hai ke roze ki niyat kare aur ooska roza sahi hai.

  13. Agar Ramadhan mein bachha Namaaz-e-Subh se pehle baaligh ho jaaye to zaruri hai ke woh roza rakhe aur agar Azaan-e-subh ke ba’d baaligh ho to oos din ka roza oos par waajib nahi hai. Laikin agar mustahab roza rakhne ka iraada kar liya hai to oos soorat mein ehteyaat-e-mustahab yeh hai ke oos roze ko poora kare.

  14. Jo shakhs mayyat ke roze rakhne ke liye ajeer bana ho ya ooske zimme kaffare ke roze ho, agar woh mustahab roze rakhe to koi harj nahi hai laikin agar Qaza roze kisi ke zimme ho to woh mustahab roze nahi rakh sakta aur agar bhool se mustahab roza rakh le to oos soorat mein agar zohur se pehle yaad aaye to ooska mustahab roze kal’adam ho jaata hai aur woh apni niyyat Qaza rozo ke jaanib mod sakta ha. Agar woh zohur ke ba’d mutawajjeh ho to ehteyaat ki bina par ooska roza baatil hai aur agar agar oose maghrib ke ba’d yaad aaye to ooska roza sahi hai.

  15. Agar Ramadhan ke roze ke al’awa koi dasra mo’yyin roza insaan par waajib ho , maslan oosne mannat mani ho ke ek muqarra’rah din mein roza rakhega aur jaan bhoojh ke Azaan-e-subh tak niyyyat na kare to ooska roza baatil hai aur agar oose ma’looom na ho ke oos din ka roza oospar waajib hai ya bhool jaaye aur zohur se pehle oose yaad aaye to agar oosne koi aisa kaam na kiya ho jisse roza baatil hota hai to roze ki niyyat karle to ooska roza sahi hai aur agar zohur ke ba’d yaad aaye to Ramadhan ke roze mein jis ehteyaat ka zikr kiya hai ooska khayaal rakhe.

  16. Agar koi shakhs kisi ghair mo’yyina waajib roze ke liye maslan roza-e-kafffarah ke liye zohur ke nazdeek tak amdan niyyat na kare to koi harj nahi hai balke agar niyyat se pehle mussamma iraada rakhta ho ke roza nahi rakhega ya muzabzib hoke roza rakhe ya na rakhe to agar oosne koi aisa kaam na kiya ho jo roze ko baatil karta ho aur zohur se pehle roze ki niyyat karle to ooska roza sahi hai.

  17. Agar koi kaafir Ramadhan mein zohur se pehle Musalmaan ho jaaye aur Azaan-e-subh se oos vaqt tak koi aisa kaam nahi kare jo roze ko baatil karta ho to ehteyaat-e-waajib ki bina par zaruri hai ke ma’fi al zimma ki niyaat se din ke aakhri tak roza baatil karne waale kaamo se parhez kare aur agar aisa na kare to oos din ki Qaza baj’a laaye.

  18. Agar koi bimaar shakhs Ramadhan ke kisi roze se pehle tandrust ho jaaye aur oosne oos vaqt tak koi aisa kaam na kiya ho jo roze ko baatil karta ho to ehteyaat-e-waajib ki bina par zaruri hai ke niyyat kare aur oos din ka roza rakhe aur zohur ke ba’d theek ho to oos din ka roza oospar waajib nahi. Albatta zaruri hai ke ooski Qaza kare.

  19. Jis din ke baare mein insaan ko shak ho ke Sh’abaan ki aakhri taarikh hai ya Ramadhan ki pehli, oos din ka roza rakhna insaan par waajib nahi hai aur agar roza rakhna chahe to Ramadhan ki niyyat nahi kar sakta laikin niyyat kare ke agar Ramadhan hai to Ramadhan ka roza aur agar Ramadhan nahi hai to Qaza roza ya oosi jaisa koi aur roza hai to ba’eed nahi hai ke ooska roza sahi ho laikin behtar hai ke Qaza roze waghairah ki niyyat kare aur agar ba’d mein pata chale ke Ramadhan tha to Ramadhan ka roza shumaar hoga laikin agar niyyat sirf roze ki kare aur ba’d mein m’aloom ho ke ramadhan tha tab bhi kaafi hai.

  20. Agar kisi din ke baare mein insaan ko shak ho ke Sh’abaan ki aakhri taarikh hai ya Ramadhan ki pehli taarikh aur Qaza ya mustahab ya aise hi kisi roze ki niyyat kare aur roza rakhe aur din mein kisi vaqt pata chale ke Ramadhan hai to zaruri hai ke Ramadhan ke roze ki niyyat kar le.

  21. Agar kisi mo’ayyin waajib roze ke baare mein maslan Ramadhan ke roze ke baare mein insaan mazbazab ho ke apne roze ko baatil kare ya na kare ya roze ko baatil karne ka qasd kare to agar dobaara roze ki niyyat na kare to ooska roza baatil ho jaata hai aur agar dobara roze ki niyyat kar leta hai to ehteyaat-e-waajib ki bina par oos din ka roza poora kare aur ba’d mein ooski Qaza kare.

  22. Agar koi shakhs jo mustahab roza ya aisa waajib roza maslan kaffare ka roza rakhe hue ho jiska vaqt mo’yyin na ho kisi aise kaam ka qasad kare jo roze ko baatil karta ho ya mazbazab ho ke koi aisa kaam kare ya na kare to agar woh koi aisa kaam na kare aur aur waajib roze mein zohur se pehle aur mustahab roze mein ghuroob-e-Aaftaab se pehle dobara roze ki niyyat karle to ooska roza sahi hai


Mubtelaat-e-Roza

  1. 8 cheezein roze ko baatil kar deti hain:

(1) Khaana aur peena

(2) Jama’a karna

(3) Istimna- ya’ni mard apne saath ya kisi dusre zariye se jam’a ke al’awa koi aisa f’ael kare jiska natije mein mani khaarij ho-Aurton mein iski kaifiyat ka tazkerah massla no345 mein ho chuka hai.

(4) Khuda t’ala, Pyghambar-e-Akram (s.a.w.s) aur oonke janasheeno se ehteyaat-e-waajib ki bina par jhooti baat mansoob karna.

(5) Ghubaar halq tak pohoonchaana ehteyaat-e-waajib ki bina par

(6) Azaan-e-subh tak janabat, haiz ya nifaas ki haalat mein baaqi rehna.

(7) kisi sayaak cheez ka haqana (anaema)karna

(8) Qay karna



In mubtelaat ke tafseeeli ehkaam a’endah massa’el mein bayaan kiye jaayenge.
1. Khaana aur peena.

  1. Agar rozedaar is amr ki jaanib muttawajjeh hote hue ke roze se hai koi cheez jaan bhoojh kar kha ya pee jaaye to ooska roza baatil ho jaata hai,qata-e-nazar oosse ke woh cheez aisi ho jise amooman khaya ya peeya jaata ho maslan Roti aur Paani ya aisi cheez ho jise amooman kahaya ya peeya na jaata ho maslan Mitti aur Darakht ka shira,aur khwha kam ho ya zyaada hatta ki agar rozedaar toothbrush muh se nikaal le aur dobaara muh mein le jaaye aur ooski tari nigal le tab bhi roza baatil ho jaata hai siwaaye is ssorat ke ooski tari-e-lo’aab dehen mein ghul mil kar is tarah khatm ho jaaye ke oose berooni tari na kaha jaa sake.

  2. Jab rozedaar khana kha raha ho agar ose ma’loom ho jaaye ke subha ho gayi hai to zaruri hai ke jo lukma muh mein ho oose ogal deaur agar jaan bhoojh ke luqma oogal le to ooska roza baatil hai aur is hukm ke mutabiq jiska zikr ba’d mein hoga ooska kaffarah bhi waajib hai.

  3. Agar rozedaar ghalti se koi cheez kha ya pee le to ooska roza baatil nahi hota.

  4. Injection aur Drip se roza baatil nahi hota, chahe injection taqwiyat pohoonchaane wala aur drip glucose wagahirah hi ki kyoon na ho.Dame ki bimaari mein istemaal hone waala spray agar dawa ko sirf phepdo tak pohoonchaaye to oose bhi roza batil nahi hota.Isi tarah aakh aur kaan mein dawa daalne se roza baatil nahi hota chahe ooska zeka gale mein mehsoos ho Naak mein daalne waali dawa agar gale tak na pohoonche to os se roza baatil nahi hota .

  5. Agar rozedaar daato ki rakhto mein pasi hui koi cheez amdan nigal le to ooska roza baatil ha jaata hai.

  6. Jo shakhs roza rakhna chataho ooske liye Azaan-e-subh se pehle daato mein khelaal karna zaruri nahi hai laikin agar oose ‘ilm ho ke jo ghiza daato ke rekhto mein reh gayi hai woh din ke vaqt pet mein chali jaayegi to khelaal karna zaruri hai.

  7. Muh ka paani nigalne se roza baatil nahi hota khawah tarshi waghairah ke tasawwur se muh mein paani kyoon na aaya ho.

  8. Sar aur seene ka balgham jab tak muh ke andar waale hisse tak na pohoonche oose nigalne mein koi harj nahi hai laikin agar woh muh mein aa jaye to ehteyaat-e-mustahab yeh hai ke oose na nigale.

  9. Agar rozedaar ko itni pyaas lag eke oose pyaas se mar jaane ka khauff ho jaaye ya oose nuksaan ka andesha ho ya itni sakhti oothna pade jo ooske liye naqaabil-e-bardaasht ho to itna paani pee sakta hai ke oon oomur ka khauff khatm ho jaye balke agar maut auto on jaisi cheezon ka khauff ho to paani peena waajib hail akin ooska roza baatil ho jaayegaa aur agar ranzaan ho to ehteyaat-e-laazim ki bina par zaruri hai ke oosse zyaada paani na piye aur din ke baaqi hisse mein woh kaam karne se parhez kare jisse roza baatil hota hai.

  10. Bacche ya parinde ko khilaane ke liye ghiza ka chabaana ya ghiza ka chakhna aur isi tarah ke kaam karna jis mein ghiza amuman halq tak nahi pohoonchti khawah woh ittefaqan halq tak pohoonch jaye to roze ko baatil nahi karti.Laikin agar insaan shuruu se jaanta ho ke yeh ghiza halq tak pohoonch jaaye gi to roza baatil ho jaata hai aur zaruri hai ke ooski qaza ba’ja laaye.

  11. Insaan kamzori aur naqahiat ki wajah se roza nahi chod sakta laikin kamzori is had tak ho ke amuman bardaasht na ho sake to phir roza chodne mein koi harj nahi hai.


2. Jama’a

  1. Jama’a roze ko baatil kar deta hai khawah azu tanasil tak hi daakhil ho aur mani bhi khaarij nahi hui ho.

  2. Agar aale tansasil supaari se kam daakhil hui ho aur mani bhi khaarij nahi hui hi to roza baatil nahi hotalaikin jis shakhs ki khatnagaah na ho oosse kam miqdaaar bhi daakhil kare to ooska roza baatil ho jaayega.

  3. Agar koi shakhs amdan Jama’a ka iraada kare aur phir shak kare ke supaari barabar dakhul hua tha ya nahi to ooska hukm massla no.1551 ko dekh kar ma’loom kiya jaa sakta hai.Albatta agar roza baatil karne waala kaam anjaam na diya ho to kisi bhi soorat mein kaffara waajib nahi hota.

  4. Agar koi shakhs bhool jaaye ke roze se hai aur Jama’a kare ya oose oose Jama’a par is tarah majboor kiya jaaye ke ooska ikhteyaar baaqi na rahe to ooska roza baatil na hoga albaatta agar Jama’a ki haalat mein oose yaad aa jaaye ki roze se hai ya majboori khatm ho jaaye to zaruri hai ke fuaran jam’a tark kar de aur agar aisa na kare to ooska roza baatil hai.


3. Istimna

  1. Agar rozedaar ikare (istimna ke maane massla no.1553 mein bataye jaa chuke hain)to ooska roza baatil hota hai.

  2. Agar beikhteyaari ki halat mein kisi ki mani khaarij ho jaaye to ooska roza baatil nahi hai.

  3. Agar rozedaar ko yeh ‘ilm ho ke agar din mein soye gaa to oose ehtelaam ho jaaye gaa ya’ni sote mein ooski mani kharij ho jaayegi tab bhi ooske liye soona jayez hai khawah na soone ki wajah se oose koi takleef na bhi ho aur agar oose ehtelaam ho jaaye to ooska roza baatil nahi hota.

  4. Agar rozedaar mani kharij hote vaqt neend se bedaar ho jaaye to oospar waajib nahi ke mani nikalne se roke.

  5. Jis rozedaar ko ehtelaam ho gaya ho woh peshaab kar sakta hai khawah oose yeh ‘ilm ho ke peshaab karne se baaqi maandah mani nali se baahar aa jaayegi.

  6. Jab rozedaar ko ehtelaam ho jaaye, agar oose ma’loom ho jaaye ke mani nali mein reh gayi hai aur agar ghusl se pehle peshaab nahi karega to ghusl ke ba’d mani ooske jism se kharij hogi to ehteyaat-e-mustahab yeh hai ke ghusl se pehle peshaab kare.

  7. Jo shakhs mani nikalne ke iraade se ched chaad aur dil lagi kare laikin ooski mani na nikle to agar dobara roze ki niyyat na kare to ooska roza baatil hai aur agar dobara roze ki niyyat kar le to ehteyaat-e-laazim ki bina par zaruri hai ke roze ko tamaam kare aur ooski qaza bhi baj’aa laaye.

  8. Agar rozedaar mani nikaalne ke iraade ke baghair misaal ke taur par apni biwi se ched chaad kare aur hasi mazaak kare aur oose itmenaan ho ke mani kharij nahi hogi to agarche ittefaqan mani kharij ho gayi jaaye, ooska roza sahi hai.Albatta agar oose itmenaan na ho to oos soorat mein jab mani kharij ho gayi to ooska roza baatil ho jaayegaa.


4. Khuda aur Rasul(s.a.w.s)par bohtaan baandhna

  1. Agar rozedaar zabaan se ya likh kar ya ishaare se ya kisi aur tariqe se Alah Ta’ala ya Rasul-e-Akram(s.a.w.s)ya Aimmah(a.s) mein se kisi ko jaan bhoojh se koi jhoot baat mansub kare to agarche woh fauran keh de ke maine jhoot kaha tha ya tauba kare tab bhi ehteyaat-e-laazim ki bina par ooska roza baatil ho jaata hai aur ehteyaat-e-mustahab ki bina par Hazrat Fatematuz Zehra (s.a) aur tamaam Ambiya uar Mursaleen aur oonke jaanashino se bhi koi jhoot baat mansub karne ka yahi hukm hai.

  2. Agarche (rozedaar) koi aisi riwaayat nakl karna chaahe jiski qatayi hone ki daleel na ho aur ooske baare mein oose ‘ilm na ho ke sach hai ya jhoot to ehteyaat-e-waajib ki binapar zaruri hai ke oose nakl karte hue bayaan kare aur pyghambar-e-Akram aur Aimmah se bela waasta taur par nisbat na de

  3. Agar (rozedaar)kisi cheez ke baare mein iqtedaar rakhta ho ke woh waqeyi qaul-e-khuda ya qaul-pygahmbar-eAkram (s.a.w.s) hai aur oose Allah Ta’ala aur Pyghambar-e-Akram(s.a.w.s) se mansub kare aur ba’d mein m’aloom chale ke yeh jhoot tha to ooska roza baatil nahi hoga.

  4. Agar rozedaar kisi cheez ke baare mein yeh jaante hue ke jhoot hai, oose Allah aur Rasul-eAkram (s.a.w.s) se mansub kare aur ba’d mein oose pata chale ke jo kuch bhi oosne kaha tha woh durust tha, agar oose m’aloom tha ke yeh kaam roze ko baatil kar deta hai to ehteyaat-e-laazim ki bina par zaruri hai ke roze ko tamaam kare aur ooski qaza bhi baj’a laaye.

  5. Agar rozedaar kisi aise jhoot ko jo khud rozedaar ne nahi balke kisi dusre ne ghada ho jaan bhoojh ke Allaah Ta’ala ya Rasul-akram (s.a.ws.) se mansub kar de to ehteyaat-e-laazim ki bina par ooska roza baatil ho jaayega. Laikin agar jisne jhoot ghada ho ooska qaul nakl kare to koi harj nahi .

  6. Agar rozedaar se koi sawaal kare ke kya Rasul (s.a.w.s) ne aisa farmaaya hai aur woh amdan jahan jawaab nahi dena chahiye wahan asbaat mein de jahan asbaat mein dena chaihiye wahan amdan nafi mein jawaab de to ehteyaat-e-laazim ki bina par ooska roza baatil ho jaata hai.

  7. Agar koi shakhs Allah Ta’ala ya Rasul (s.a.w.s) ka qaul durust nakl kare aur ba’d mein kahe ke maine jhoot kaha hai ya raat mein koi jhoot baat oonse mansub kare aur dusre din jabke roza rakha hua ho kahe ke jo kuch maine guzishta raat ko kaha tha woh durust hai to ehteyaat ki bina par ooska roza baatil hota hai. Siwaye iske ke woh oos baat ki oosi vaqt ki kaifiyat ki itelaa de raha ho.


5. Ghubaar ko halq tak pohoonchaana

  1. Ehteyaat-e-waajib ki bina par ghaade ghubaar ka halq tak pohoonchna roze ko batil kar deta hai khawah ghubaar kis aisi cheez ka ho jika khan halaal ho maslan aata ya kisi aisi cheez ka jiska khaana haraam ho maslan mitti.

  2. Ghair kasafat ghubaar (jo ghubaar ghaada na ho) halq tak pohoonchane se roza baatil ho jaata hai

  3. Agar hawa ki wajah se kasafate ghubaar paida ho aur insaan mutawajjeh hone uar ehteyaat kar sakne ke bawajood ehteyaat na kare aur ghubaar ooske halq tak pohoonch jaaye to ehteyaat-e-waajib ki bina par ooska roza baatil ho jaata hai.

  4. Ehteyaat-e-waajib yeh hai ke rozedaar cigratte aut tambaaku wagahira ka dhuaa halq tak na pohchahye.

  5. Agar insaan ehteyaat na kare aur dhuaa ya gubar halq tak chala jaaye agar oose yaqeen aur itmeenaan tha key eh cheez halq mein na pohoonchegi to ooska roza sahi hai laikin agar gumaan tha ke yeh halq tak nahi pohoonchegi to behtar yeh hai ke oos roze ki qaza baj’a laaye.

  6. Agar koi shakhs yeh bhool jaane par ke roze se hai ehteyaat na kare ya beikhteyaari ghubaar wagairah ooske halq mein pohoonch jaaye to ooska roza baatil nahi hota.

  7. Poora sar paani mein dubone se roza baatil nahi hota laikin yeh shadeed makruh hai.


6. Azaan-e-subh tak Janabat, Haiz aur Nifaas ki haalat mein rehna

  1. Agar joonub shakhs Ramadhan mein jaan bhoojh ke azaan-e-subh tak ghusl na kare ya jis shakhs ka fariza tayyamum ho aur woh jaan bhoojh ke tayyamum na kare to zaruri hai ke oos din ka roza poora kare aur aur phir ek din aur roza rakhe aur choonki yeh tey nahi hai ke yeh dasra roza qaza hai ya saza hai lehaaza Ramadhan ka oos din ka bhi roza maafi zimme ki niyyat se rakhe aur Ramadhan ke ba’d bhi jis din roza rakhe aur ooski qaza ki niyyat kare.

  2. Jo shakhs Ramadhan ke roze ki qaza karna chahta ho, agar jaan bhoojh kar subh ki azaan tak joonub rahe to oos din ka roza nahi rakh sakta. Haan! agar jaan bhooj kar na ho to rakh sakta hai. Agarche ehteyaat yeh hai ke oose tarq kar de.

  3. Jab joonub shakhs Ramadhan ke rozo aur oonki qaza ke al’awa kisi bhi mustahab roze mein jaan bhooj kar Azaan-e-subh tak ghusl na klare to oos din ka roza rakh sakta hai.

  4. Agar koi shakhs Ramzan ki kisi raat mein joonub ho jaaye agar woh amdan ghusl na kare hatta ke vaqt ang ho jaaye to zaruri hai ke tayyamum kare aur roza rakhe aur ooska roza sahi hai.

  5. Agar jnub shakhs Ramadhan mein ghusl karna bhool jaaye aur ek din ke ba’d oose yaad aayeto zaruri hai ke oos din ke roze ki qaza kare aur agar chand dino ke ba’d yad aye to ootne dino ki qaza kare jitne dino ke baare mein oose yaqeen ho ke woh joonub tha maslan agar oose yeh ‘ilm na ho ke woh teen din joonub raha ho ya char din to zaruri hai ke teen dino ke rozo ki qaza kare.

  6. Agar ek aisa shakhs apne aap ko joonub karle jiske paas Ramadhan ki raat mein ghusl aur tayyamum mein se kisi ke liye bhi vaqt na ho to ooska roza baatil hai aur oospar qaza kaffara dono waajib hai.

  7. Jo shakhs janta ho ke ooske paas ghusl karne ke liye vaqt nahi haiaur khud ko joonub karle aur phir tayyamum karle ya vaqt hone ke bawjood jaan bhooj kar ghusl karne mein itni taakheer kare ke vaqt tang ho jaaye aur tayyamum kare to agarche goonaahgaar hai laikin ooska roza sahi hai.

  8. Jo shakhs Ramadhan ki raat mein joonub ho aur jaanta hai ke agar soegaa to bedaar nahi hoga to ehteyaat-e-waajib ki bina par oose baghair ghusl ke nahi sona chahiye aur agar woh ghusl karne se pehle apni marzi se so jaaye aur subh tak bedaar na ho to ooska roza baatil hai aur qaza aur kaffara dono oospar wajib hai.

  9. Jab joonub Ramadhan ki raat mein so kar jag uuthe aur is baat ka ehtemaal ho ke agar dobaar so gaya to subh ki azaan se pehle bedaar ho jaayega to woh dobara so sakta hai.

  10. Agar koi shakhs Ramadhan ki kisi raat ko joonub ho jaaye aur woh yaqeen ya itminaan rakhta ho ke agar so gaya to subh ki azaan se pehle bedaar ho jaayega aur ooska musmam iraad ho ke bedaar hone ke ba’d ghusl karega aur oosi iraade ke saath so jaaye aur azaan tak sota rahe to ooska roza sahi hai.

  11. Agar koi shakhs Ramadhan ki kisi ek raat ko joonub ho aur oose itminaan na ho ke agar so gaya to subh ki azaan se pehle bedaar ho jaayegaa aur woh is baat se ghaafil ho keh bedaar hone ke ba’d oospar ghusl karna zaruri hai to oos soorat mein jabki woh so jaaye aur subh ki azaan tak so raha ho to ooska roza sahi hai.

  12. Agar koi shakhs Ramzan ki kisi raat mein joonub ho aur oose yaqeen ya ehtemaal is baat ka ho ke agar woh so gaya to subh ki azaan se pehle bedaar ho jaayega aur woh bedaar hone ke ba’d ghusl na karna chaahta ho to iis soorat mein jabki woh so jaaye aur bedaar na ho to zaruri hai ke oos din ka roza muqammal kare aur qaza aur kaffara ooske liye laazim hai. Isi tarah agar iis taraddud mein ho ke bedaar hone ke ba’d ghusl kare ya na kare to ehteyaat-e-laazim ki bina par bhi yahi hukm hai

  13. Agar joonub shakhs Ramadhan ki kisi raat mein so kar jag uuthe aur oose yaqeen ho ya iis baat ka ehtemaal ho ke gar so gaya to azaan-e-subh se pehle bedaaar ho jaayegaa aur woh musammam iraada bhi rakhta ho ke bedaar hone ke ba’d ghusl karega aur woh dobaaar so jaye aur azaan-e-subh tak bedaar na ho to zaruri hai ke oos din ke roze ki qaza kare aur agar dusri neend se bedaar ho jaaye aur teesri dafa so jaaye aur subh ki azaan tak bedaar na ho to zaruri hai ke oos din ki roze ki qaza kare aur ehteyaat-e-mustahab ki bina par kaffara bhi de.

  14. Jis neend mein insaan ko ehtelaam ho woh pehli neend samhji jayegi lehaza agar ek baar bedar hone ke ba’d soye aur subh ki azaan tak bedaar na ho to jaisa ki pichhle massle mein bataya gaya hai zaruri hai keh oos din ka roza qaza kare.

  15. Agar kisi roze daar ko din mein ehtelam ho jaaye to oospar fauran ghusl karna waajib nahi.

  16. Agar koi shakhs Ramadhan mein subh ki namaaz ke ba’d jaage aur yeh dekhe ke oose ehtelaam ho gaya hai to agar che oose m’aloom ho ke yeh ehtelaam azaan se pehle hua hai ooska roza sahi hai.

  17. Jo shakhs Ramadhan ke qaza roze rakhna chahta ho agar woh subh ki azaan ke ba’d bedaar ho aur dekhe ke oose ehtelaam ho gaya hai aur jaanta hai ke yeh ehtelam oose azaan-e-subh se pahle hua hai to oos din ramadhan ke roze ki qaza ki niyyat se roza rakh sakta hai.

  18. Agar Ramadhan ke rozo mein Aurat subh se pehle Haiz ya Nifaas se paak ho jaaye Aur amdan ghusl na kare ya ooska fariza tayyamum karna ho aur woh tayyamum na kare to zaruri hai ke oos din ke roze ko poora kare aur ooski qaza bhi kare. Ramadhan ki qaza agar jaan bhoojh ke ghusl ya tayyamum na kare to ehteyaat-e-waajib ki bina par woh oos din ka roza nahi rakh sakti .

  19. Jo aurat Ramadhan ki shab mein haiz ya Nifaas se paak ho jaaye, agar jaan bhoojh ke ghusl na kare yahan tak ke vaqt tang ho jaaye, to zaruri hai ke tayyamum kare aur ooska oos din ka roza sahi hai.

  20. Agar koi aurat Ramadhan mein subh ki azaan se pehle Haiz ya nifaas se paak ho jaaye aur ghusl ke liye vaqt na ho to zaruri hai keh tayyamum kare aur subh ki azaan tak bedaar rehna zaruri nahi ha. Jis joonub shakhs ka fariza tayyamum ho ooske liye bhi yahi hukm hai.

  1. Agar koi aurat haiz ya nifaas ke khoon se subh ki azaan ke ba’d paak ho jaaye aur ooske ghusl ya tayyamum mein se kis ka bhi vaqt naho to ooska roza sahi hai.

  2. Agar koi aurat subh ki azaan ke ba’d haiz ya nifaas ke khoon se paak ho jaaye ya din mein oose haiz ya nifaas ka khoon aa jaaye to agarche yeh khoon maghrib ke qareeb hi kyoon na aaye ooska roza baatil hai.

  3. Agar aurat haiz ya nifaas ka ghusl karna bhool jaaye aur oose ek din ya kayi din ba’d yaad aaye to jo roze oosne rakhe hain woh sahi hain.

  4. Agar aurat Ramadhan mein subh ki azaan se pahle haiz ya nifaas se paak ho jaaye aur ghusl karne mein kotaahi kare aur azaan-e-subh tak ghusl na kare aur vaqt tang hone ki suurat mein tayyamum bhi na kare to jaise ke guzar chuuka hai, zaruri hai ke oos din ka roza poora kare aur qaza bhi kare laikin agar kotahi na kare maslan moontazir ho ke zanana hamaam mayyasar aa jaaye khawah oos muddat mein woh teen dafa’ soye aur azaan-e-subh tak ghusl na kare aur tayyamum karne mein bhi kotahi kare to ooska roza sahi hai.

  5. Jo aurat Istehaza-e-kaseera ki haalat mein ho agar woh apne ghuslon ko oos tafseel ke saath na ba’ja laaye jis ka zikr massla no. 396 mein kiya gaya hai to ooska roza sahi hai. Aise hi Istehaza-e-mutawasta mein agarche aurat ghusl bhi na kare to ooska roza sahi hai.

  6. Jis shakhs ne mayyat ko mass kiya ho ya’ni apne badan ka koi hissa mayyat se mass kiya ho woh ghusl-e-massse mayyat ke baghair roza rakh sakta hai aur agar roze ki haalat mein bhi mayyat ko mass kare to ooska roza baatil nahi.


Download 2,25 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   19   20   21   22   23   24   25   26   ...   41




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2024
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish